Chapter 88
Aise hi kuch dino bad Kashish sab ke saath neeche nasta laga rahi hoti hai.........
Kashish: Kripa.......kya kar rahi hai..........beth ja aaj se tu kam ko haath bhi nahi lagayegi.............
Kripa: lekin Kashish..........
Kashish: lekin vekin kuch nahi sunna...........aur haa aap panchve mahine ke bad office bhi nahi aayegi...........samje aap..........
Kripa: yeh to kya baat huyi..........main office kyun nahi ja sakti........main ghar pe bore ho jaungi..........
Anjali: ghar pe mama hogi ..........aur haa practice ke liye Khushi bhi.........is liye tum kuch nahi kar sakti kyunki agar mama ne sun liya to abhi se sab pabandi lag jayegi tumhe..........
Kripa: thik hai main ab tum dono ki baat ko kaise tal sakti hoon..........
kashish: yeh huyi na hamari kripa wali baat.............waise Charu......tum kab hume khuskhabri suna rahi ho............
Charu: Bhabhi main aur bacha.............abhi Akshat khud ek bacha hai use sambhalte sambhalte main ab thak gayi............aur aap keh rahi hai bacha..........
Kashish: tu bhi na charu.........main sach me keh rahi hoon.........ek bar bacha ho jane ke bad sab sidhe ho jate hai..........abhi hamare Kavya aur Anjali ko hi dekh lo...........
Anjali: baat to sahi ki tumne.........aaj kal Kavya bahot hi jimedar insaan ho gaya hai...........lekin Kashish tum apni sunaah...........Shaadi ke itne dino baad bhi tum aur Sujal.............
Kashish: main aur Sujal kya...........
Charu: wahi to hum janna chahte hai ki aisa kaun sa rasta hai jo hume pata nahi...........aur ek baat muje aaj tak samaj nahi aati..........
Kashish: kaun si.........
Kashish: tum log phir se shuru ho gaye..........aisa kuch bhi nahi.........
Kripa: bata na Kashish...sharma kyun rahi ho..........
Kashish: yeh bhi koi batanewali baat hai.........
Charu: to thik hai is bar hum aapke saath chalte hai........hum khud hi dekh lenge...........
Kashish: tum log pagal ho gaye ho.....hamare beech wahi hota hai jo aam taur pe pati patni ke beech hota hai...........
Kashish: shut up Kripa...........dekho aath bajnewale hai.........woh mera intzaar kar raha hai..........main chalti hoon..........
Kashish: kya bachpana hai.........chodo muje.........
Charu: nahi Bhabhi.......rukiye aisi bhi kya jaldi hai...........
Kashish: muje nahi tumhare bhiyaa ko dair ho jayagi.......
Kripa: kuch nahi hoga.........abhi dekho............3..........2..................1.........
Sujal (from room): Kashish..........Meri tie.............
Charu: jaiye aap ka bulava aa gaya..........
Kashish jane lagti hai..........
Kripa: aur wapas aake batana mat bhulna ki kya hua..........thik se yaad rakhna...............
Kashish sharmake chali jati hai...........
********************************************************************************
Kashish Sujal ke kamre me aati hai..........
Kashish: Sujal....tumhari yeh aadat abhi tak gayi nahi.........
Sujal: kya karoon jaan aaj kal tum pass nahi aati..........
Sujal: jooth bolna nahi pyaar karna...........pyaar ki meethi meethi baatein karna............aur bahot kuch sikhne ko hai.......main sikhau..........
Kashish: pehle pata hota to tum jaise pagal se dil na lagati.........aur lagati to shaadi to kabhi nahi karti..........
Sujal: tab tumhe uthake shaadi ke mandap pe le jata........
Kashish: bahot achchi tarah se tumhe janti hoon........ab jao office.........
Kashish: achcha......sadak pe aane ka dil kar raha hai........
Sujal: jaan tumhare liye woh bhi.........
Kashish: Jao..........bye........
Sujal: bye.....jaan..........Love you........
Kashish: love you too.........
Sujal bag leke neeche nasta karne chala jata hai..........
Kashish (to herself): kitna khush lag raha hai..........hey bhagwan aise hi mere Sujal ke chehre pe yeh muskurahat rakhna...........jo bhi dard tumne Sujal ki zindagi me likhe hai woh sab muje de dena.......lekin sujal ko aise hi haste rakhna...........ho sake to aise hi lamhe me puri zindagi bit jaye........aap ka sukhriya aapne muje mera pyaar lauta diya...........thank you so much........
Kashish duad ke neeche chali jati hai..........
********************************************************************************
Kashish apni office me kaam kar rahi hoti hai jab ek parsal aata hai..........Kashish us parsal ko kholne ja rahi thi jab uske cell pe phone aata hai.........
Tushar: Mrs. Kashish Sujal Garewal.............bahot khushi ho rahi hai ........apne pati ko wapas dekh ke........
Kashish: kaun ..........kaun bol raha hai.........
Kashish: kya matlab hai.........sach sach batate kyun nahi.........
Tushar: abhi to shuruaat huyi hai.........abhi anth hua nahi........abhi to sare tamashe hone hai.........asli maza to ab aayega is khel ka.........
Kashish: tumhe mujse dushmani hai na.....to tum isme Sujal ko beech me kyun la rahe ho..........tum Sujal ko haath bhi mat lagana.........tumhe marna hai na muje mar dalo lekin Sujal ko ek kharoch bhi aayi na to main tumhe chodungi nahi.........
Tushar: pehle woh envelop khol ke dekho to sahi ..........
Kashish: tum hume akela kyun chod nahi dete...........tumhe paise chahiye to main tumhe dungi........lekin hume hamari zindagi jine do...........
Tushar: muje tumhari khushiyaan chahiye jo main leke rahunga...........bye............apna aur khas karke apne pati ka khayal rakhna..........
Kashish: suno..............suno..............tum aisa kuch nahi karoge..........suna tumne.............
Kashish: kyun..........kya bigada hai maine........muje laga us din kisi ne mere saath majak kiya hoga lekin nahi........kyun aakhir kyun........muje chain se kyun koi nahi deta..........kyun muje sujal se pyaar karne ki saza de rahe ho....kyun..........
ab raat ko dinner ke bad sab log apne apne kamre me chale jate hai...........Kashish aaine ke samne beth ke apni choodiyaan nikal rahi hoti hai...............abhi bhi woh us phone aur tasvir ke bare me soch rahi hoti hai.............
Sujal: Kashish...........
lekin Kashish itni soch me hoti hai ki koi jawab nahi deti.........
Sujal: Kashish............kaha kho gayi........
Kashish: haa........kuch kaha tumne.......
Kashish: kahi nahi........bas aisi hi kaam ke bare me sochne lagi.........chalo raat kafi ho gayi hai tum so jao main aati hoon........
Sujal: to phir aankhein num kyun hai...........aur aankhoin se aanshu kyun behne lage..........ek baat sun lo tum...........tum apne aap se jooth bol sakti ho lekin mujse nahi...........ab batao kya hua.........kise ne kuch kaha tumse...........
Kashish: aise kyun bol rahe ho........jis din tumpe yakeen tut gaya us din main tut jaungi...........tum jante ho ki main khud se jyada tumpe yakeen karti hoon........lekin ek bar tumhe khoke phir se paya hai..........ab kho dungi tumhe to main kaise jiungi.......sujal tum jante nahi lekin meri zindagi ki us pal ko kaise koske jiye hai...........ek ek pal ko maine aanshu ke sahare bitaya hai..........ab us mod ko piche dekhke nahi dekhna chahti..........muje laga tum aagaye sab kuch thik ho gaya..........lekin kuch thik nahi..............kuch bhi thik nahi............sab bikhar raha hai..........lekin jante ho aaj main apne aap ko sambhal rahi hoon kyunki main janti hoon ki aaj main tut bhi gayi to tum ho muje sambhalne ke liye aur tum keh rahe ho mera tumpe se yakeen uth gaya..............nahi sujal sapne me bhi mat sochna aisa.......kyunki hamara yeh jo rishta hai woh pyaar, sach aur yakeen pe tika hua hai...........agar aaj teeno me se koi ek tut gaya to hamara rishta beech raah me manzil pe pahunchne se pehle tut jayega...........aur main kabhi aisa nahi hone dungi.......kyunki yeh rishta muje meri zindagi se pyara hai...........shayad is liye ab darr lagta hai........Sujal muje darr lagta hai...........tum mere saath hona............hona tum mere saath.........
Kashish: kabhi aisa mat kehna............main apne pyaar ke saath sak jaise labz bhi sunna nahi chahti...........tumhara pyaar mere liye sabse bada hai.........tumhare pyaar se main jiti hoon.........tumse maine pyaar karna sikha hai Sujal..........shayad is liye aaj tumse bahot bahot pyaar karti hoon............I love you Sujal...........i love you............
Sujal kiss kashish's forehead........aur phir uske aanshu pochta hai aur aise hi raat bit gayi ek dusre ki baahoin me...............
********************************************************************************
dusre din Sujal office ke liye nikal raha hota hai.........
Sujal: achcha Kashish main office ke liye nikal raha hoon..........muje dair ho rahi hai...........thik hai...........apan khyal rakhna..........aur sham ko jaldi aane ki koshish karunga.......bye..........
Sujal: Kashish........main tumse baat kar raha hoon........main ja raha hoon office............
Kashish: Sujal.........main bhi tumhare saath office chalti hoon......
Sujal: Garewal.......lekin tumhe KnK nahi jana...........
Kashish: nahi aaj se main her waqt tumhare saath rahungi..........main tumhe ek pal ke liye bhi kahi nahi jane dungi.......
kashish: her waqt mazak mazak............kabhi to serious ho.........
Sujal: relax........main to sirf tumhe hasane ki koshish kar raha tha..........main janta hoon tum pareshani me ho aur main samaj sakta hoon kyun........lekin tum her waqt to mere saath nahi reh sakti.......aur tum mere saath rahogi tab bhi kya farak padega..........jo hona hai use koi nahi badal sakta...........is liye ab iske bare me sochna chod do...........
Kashish: kaise chod doon.........tum hi batao........kaise fikar na karoon.........
Sujal: tum ghabrao mat.......maine police me baat ki hai naa.........woh is jad tak pahunchke rahenge..........thik hai.........ab main chaloon.........
Kashish: haa..........
Sujal: pehle ek bar haske muskurake jane ko kaho........tab shayad main ja paunga kyunki tumhe aise udas chod ke main nahi ja paunga..........
Kashish: tum jao main thik hoon........
Sujal: pakka..........
Kashish: haa baba pakka..........ab jao.........
Sujal: tum kuch bhool rahi ho........
Kashish: nahi to...........sab yaad karke maine diya tha........kuch bhi to nahi bhooli..........
Sujal: meri morning kiss.........
Kashish: Sujal..........kuch nahi milega......jao.........bye......
Sujal: ple.........ek.........
Kashish: thik hai.......lekin sirf ek........
Kashish kiss him on his cheek...........sujal dusra aage karta hai......
Kashish: ek ki baat huyi thi na.......
Sujal: lekin aaj kal ek ke saath sab kuch ek free milta hai..........
Kashsih:tum bhi na.........
Kashsih kiss his other cheek.........
Kashish: ab jao........bye.........
Sujal: bye.......
Kashish: aur office pahunchte hi muje phone karna.........
Sujal: jee...........
Sujal office chala jata hai...........
Kashish (to herself): main janti hoon........mujse jyada tum is waqt pareshan ho rahe ho........meri khushi ke liye tum apni pareshani chupa rahe ho........lekin main bhi tumhari patni hoon..........tumse jyada tumhe janti hoon..........tum lakh koshish kar lo mujse apne dard chupane ki lekin kabhi chupa nahi paoge.........tum mere dard ko apne pyaar se bhar dete ho......lekin khud ke dard ko batna nahi chahte........lekin main batungi her dard ko tumhare saath...............
Kashish: are.......muje to yaad hi nahi raha............parso Sujal ka janamdin hai..........sujal se puch lungi ki woh kya chahta hai is baar...........abhi ke liye muje dair ho rahi hai..........
Kashish bhi apni office ke liye nikal jati hai...........
Comments (8)
Hey just read yr ff n its gr8... cont.sooon
16 years ago
hey dear..the part was very well written..it had everything in it... aur is part mein tho pyaar koot-koot kar bhara hua hai.. mujhe yeh part padke bohat achcha laga... pehle tho jis tarah kripa , anjali aur charu kashish ko chida the hai.. aur kashish jis tarah se woh baat ko taalne kii koshish karthi hai.. soooo sweeettt.. aur yeh sujal mahashay , usko tho roz kashish kii zaroorat padthi hai.. romance kiye bina janaab ka mann nahi maantha office jaane ke liye..how cute.. mujhko is baat kii khushi hai kii itne saare toofano ke aane ke baad bhi sujal aur kashish kii zindagi mein un dono ka pyaar waisa hii hai..actually waisa hii nahii.. it is increasing day by day... sujal , kashish kii jodi ko dekhkar , unke saath ko dekh kar mann se yeh baat nikalthi hai kii woh dono hamesha saath rahe... waise i want to seriously kill tushaar.. uski itni himmat.. woh kashish ko phir se pareshaan karne laga hai..threatening her of sujal's life.. is baar agar tushaar ne kuch bhi kiya na dear tho main tumhare fanfic mein aakar us tushaar ko marr daaloongi... i liked the way sujal , kashish kii pareshaani ko bina lafzo ke samaj letha hai.. aisa special hai un dono ka rishtha.... aur unki agli subah where sujal is trying to cheer kashish , though woh khud itna pareshaan hai.. i seriously love their spirits of standing by each other through thick & thin.. very well written dear... dear do continue soon..i'am waiting for the next part eagerly.. sun_4232008-08-14 05:42:56
16 years ago
hey kashish..wonderful part girl..!! its gr8 to see SK together...they're jus luvly...woww.......me
16 years ago
hey the part was awesome...i just hope their problems get solved soon...plz do cont soon...
16 years ago
Hi Kashish very cute and romantic, fab and rocking part...i kept blushing throughout the whole part , Kashish humne pahle bhi kaha tha aaj bhi kah rahe hain u r such a very very good writer..part was really mindblowing and so romantic poori seen abhi tak hamre mind mein chal rhi hai..Kashish dear hamare paas alfaz kam par jate hain I am speecless lekin etna kah skate hain ..aapki ff par kar hamara dil khush hojata haii u r so talented..keep up the good work and plz update my fav ff soon Thanks for nice part Take care
16 years ago
amazing part hope tushar is killed fast i hate him gr8 job cont soon
16 years ago
amazing part poor kashish and sujal the troubles dont go from their lives hope everything gets sorted out soon cant wait 4 sujals birthday the scene between kripa kashish anjali and charu was really sweet
16 years ago
superb part kashish...... yeh jo phone kar ke pareshan karta hai us ko marr dalo bichare sujal kashish ko pareshan kar ke rakha hai... plzz continue soom
16 years ago