Chapter 86
Aaj char din aur gujar gaye the lekin abhi tak Kashish kahi se bhi paise jama nahi kar payi.......ab shaam ko leke parso subaah tak ka waqt hai.........ab in chan ghante kashish ki takqir ka faisla karnewali hai.......
Kashish apne kamre me hoti hai jab Angad aur Kripa aate hai.........
Angad: kya soch rahi ho........yahi na ki tender ke liye paise kaha se aayenge...............
Kashish:jab waje jante hi to puchte kyun ho......
Angad: maine hamesha tumhari izzat kari hai........aaj bhi sahi rai hi dunga.....Tushar se deal kar lo.......kyunki wahi ab ek rasta bacha hai......man lo uski baat Kashish......
Kashish: aisa tum keh rahe ho.......nahi Angad.....yeh sapna sirf Sujal ka hai.....iske saath me kaise kisi aur ka naam jod sakti hoon.......nahi Angad yeh sahi nahi hoga............
Kashish: waqt hi to mere pass nahi hota ......her waqt waqt hi kam pad jata hai........rishtey nibhane se pehle waqt khatam hojata hai...........her bar yeh waqt hume harakar jeet jatta hai........kyun yeh waqt kisi ki bhavnao ko nahi samajta.........kyun yeh waqt dilo ke jasbato ke saath khelta hai.........jab chaha ek rukh badal diya.....yeh bhi to nahi sochta ki is ek pal me kisi ki zindagi ka faisla badal sakta hai.....meri kuch samaj me nahi aata ki main kya karoon..........koi bhi to rasta batao muje......Sujal tum sun rahe ho to batao main kya karoon..........batao Sujal main kya karoon........
Kashish: jaisa aap sab chaho....kyunki ab yahi ek raste pe muje chalna hoga chahe kitne bhi kante kyun na chubhe muje........
Angad: tum subaah taiyaar rehna hum log kal Subaah hi Tushar ke ghar ja rahe hai deal ke silsile me........
kashish: thik hai........main taiyaar hoon.......
Angad aur Kripa apne kamre me chale jate hai...........
********************************************************************************
Subaah Subaah Kashish apne kamre ki khidki ke pass kuch soch rahi thi.....
Kashish: janti hoon tum mere is faisle se khush nahi ho......lekin tum hi batao main kya karti...........muje jo sahi laga woh rasta main chun rahi hoon.........ab is raste pe chalne ki liye mera saath nahi donge.......Sujal main sirf tumhe khush hote huye dekhna chahti hoon.......muje koi farak nahi padta ki main kaun sa rasta chunu lekin muje farak padta hai to tumhari khushiyon se..........kyun ki tum khush to main khush........tum rote ho to dard muje hota hai.......is liye main kabhi nahi chahungi ki main kabhi tumhe koi dard doon........haa aaj jaan bujkar tumhe dard de rahi hoon........aaj tumhare sapne ko kisi ke saath batne ja rahi hoon.....ho sake to muje maff kar dena...........
Swayam: welcome.......Mrs. Garewal ......welcome...........aap aayi bahar aayi hamare is chote se aashiyane me.........
Kashish gusse me Swayam ki aur dekhti hai.......
Swayam: aaiye to andar..........waise yaha aane ki koi khaas waja.......
Angad: hum log Tushar se baat karne aaye hai ki hume unki deal manzur hai.........
Rishi: deal kaun so deal.......
Angad: wahi jo hamare Sujal ke dream project ko woh finance karne wala hai.......
Swayam: Sujal ka........Kashish yeh main kya sun raha hoon........tum to abhi se harr gayi......us din kya kaha tha sab se tumne.........tumhara pati zinda hai.........to phir uski yaad me tum uska dream project kaise bana sakti ho........
Swayam: tumhare liye kuch bhi......hamari aur se yeh deal paki..........
Rishi: lets open the champagne...........time to celebrate........
Swayam Champagne ki bottle kholta hai.......jiske kholne se kuch Kashish pe girti hai.........
Kashish: Angad..........inse sab baat karke bahar aa jana main tumhara car me intzaar karti hoon .........
Kashish waha se chali jati hai........Angad use batata hai ki woh log kal subaah ghar aake deal sign kar sakte hai...............
********************************************************************************
Apne dil ko meri taraf se saaf kar lo..... (Anjali use apni khidki se dekhti hai)
Samne jo aaya sach jhuk gayi meri ankhein.... (kashish ki aankhoin se aanshu beh rahe hote hai)
Tumne hansh ke uthayi saari wo tikhi batein.... (Anjali Kashsih ke pass aake uske aanshu pochti hai)
Tumhare bin to sanam.kya wafa kya hai kasam..... (Kashish Anjali ke gale lag kar rone lagti hai)
Pyar mera hai baki.....Thoda sa pyar hua hai thoda hai baki...... (Anjali use rone se mana karti hai)
********************************************************************************
Anjali: kya hua .......ro kyun rahi ho.......
Kashish: Anjali.........mera dil bahot ghabra raha hai........pata nahi kal kya hoga.......muje yeh tendar milega ki nahi.......lekin ek ajeeb sa darr lag raha hai........aisa lag raha hai kuch honewala hai........
Kashish: nahi tum samaj nahi rahi.........muje ek ajeeb si becheni ho rahi hai.........aisa kabhi nahi hua mere saath pehle.........
Anjali: Kashish.......shayad tum thak gayi ho.......tumhe aaram ki zaroorat hai...........chalo andar.........waise bhi thand badh gayi hai.....beemar pad jaogi...chalo......
Anjali Kashish ko leke andar chali jati hai...........
********************************************************************************
Ab subaah ka sooraj apne saath nayi roshni ko leke aa raha hai..............sare Garewals hall me beth ke Tushar, Swayam aur Rishi ka intzaar kar rahe hote hai......jab woh teeno aate hai..........
Kavya: to deal ke kagaz taiyaar hai.............
Tushar: haa........to sign karle..........do ghnate baad submit karne hai........
Angad: haa........kyun nahi..........Kashish idhar aao.........sign karo.......
Kashish papers ke pass jake pen haath me leti hai.........jab achchanak se tez hawa se darwaza khul jata hai ........Kashish bas darwaze ki aur dekhti rehti hai.....
Anjali: Kashish.........soch kya rahi ho sign karo.........
Kashish phir se sign karne jati hai lekin phir se ruk jati hai.........
Akshat: Bhabhi.........sign karo......hume dair ho rahi hai.................
Kashish: nahi..........
Tushar: kya.......kya kaha tumne..........
Kashish: main yeh sign nahi kar sakti......
Prerna: per kyun beta........kya hua.........
Kashish: woh aa gaya hai.......ab muje sign karne ki koi zaroorat nahi..........Mama woh aa gaya..........woh wapas aa gaya hai...........
Kashish: Sujal.......Sujal wapas aa gaya hai............mera sujal wapas aa gaya hai.......
Swayam: koi nahi aaya........Kashish sign karo...........
Kashish: tumne suna nahi maine kya kaha...............ab muje is deal ki koi zaroorat nahi kyunki ise sambhalne wala wapas aa gaya hai............
jab bahar ek gadi ke aane ki aawaz aati hai...........aur usme se Sujal bahar aata hai.........
Yeh kehte hi Kashish ghar ke bahar daud ke chali jati hai............
Tushar: Kashish puri tarah se pagal ho gayi hai.........
Sab log Kashish ke piche daudte hai..............
********************************************************************************
Kashish jab bahar aati hai to use apni aankhoin pe yakeen nahi hota..........
Sujal: Kashish............
Sujal; main janta hoon.....meri Kashish mere bigar kaise ho sakti hai.......maine mehsoos kiya hai tumahra dard......maine tumhe dekha hai apni chaah me tadapte huye.........Kashish jitni tum tadpi hoon itna main bhi tadpa hoon tumhare liye......
Sujal: main vaada karta hoon ki ab tumhe chod ke kabhi nahi jaunga.........kyunki main bhi apni Kashish ke bigar nahi jee sakta....kyunki yeh Sujal Kashish ki waje se zinda hai....
Sujal: pyaar main bhi to tumse bahot karta hoon Kashish.........shayad tumhare pyaar ki waje se hi main aaj zinda hoon..........
Sujal: I love you Kashish..........
Kashish: chalo Sujal apne ghar chalte hai.....jaha pe sab tumhara intzaar kar rahe hai..............
********************************************************************************
Kashish Sujal ka haath pakad ke sab ke samne lati hai.............
Kashish: Mama........maine aapse kaha tha na ki main aapke bate ko wapas laungi.........main leke aa gayi...dekho aapka Sujal aapke samne khada hai.......Angad hamara Sujal wapas aa gaya.,,,,,,Akshat......maine kaha tha na ki mera yakeen karo lekin aap sab ko lagta tha na ki main pagal ho gayi ho........ab aap ko kuch kehna hai..........meri saansoin ka chalna is baat ka saboot hai ki Sujal mere saath hai...........
Prerna: bas kar Kashish........ab kitni apni safai degi.........aaj hum teri hi nazar me gir gaye hai........
Kashish: nahi mama aisa mat kaho.....main sirf sab ko khush dekhna chahti hoon........
Sujal jake prerna ke pair chuke uske gale lagta hai........
Prerna; kyun bahot maza aata hai na tumhe hume pareshan karne me........ek bar bhi apni maa ke bare me nahi socha.....kyun Sujal kyun itne dukh diye hume.......aur hamara kasoor kya hai ki hum sab tujse bahot pyaar karte hai..........bol chup kyun hai.....
Sujal: ab aapko chod ke kahi nahi jaunga..........kabhi nahi dunga ab aap sabko aanshu..........ab andar chale.........
Sujal: yeh sab kya ho raha hai...............
Angad: tumhare dream project ko pura karne ke liye hum Tushar ki company ke saath deal kar rahe the........
Sujal: ab hume is deal ki koi zaroorat nahi........ab main wapas aa gaya hoon to...............
Tushar: lekin phir bhi ab hamare pass ek ghanta bacha hai tendar ke liye...........
Sujal: hum yeh tendar nahi bhar rahe hai kyunki main abhi zinda hoon aur main apne bal pe ise pura kar sakta hoon......muje kisi ki zaroorat nahi.........mere liye mera pyaar aur mera parivar mere saath hai.......mera yeh project sirf mere aur mere bhaiyon ke liye hai......koi baharwala isme dakhal ke woh mujse bardasht nahi hoga.......kyunki yeh mera aur mera papa ka sapna hai..............
Swayam, Tushar aur Rishi chale jate hai...........
sab log ek dusre ke saath bahot si baatein karte hai...........
********************************************************************************
Sham ko sab khana khake bethe huye hote hai.........
Kavya: Sujal tumne yeh to bataya nahi ki tum kaha the........kis halat me the.........
Sujal: muje teen mahine tak hosh nahi tha is liye main khud nahi janta ki un teen mahino me mere saath kya hua........phir jaise hosh aaya tab meri sharir me itni taqat nahi thi ki main uth ke chal saku do kadam.,....aur jis ghav me main tha waha pe nahi phone hai na hi koi doctor...lekin jis ghar me muje panah di thi un logo ka main zindagi bhar sukhriya ada nahi kar sakta............is liye tum log andaza kar sakte ho ki main kis dor se gujara.........
Sujal: phir jaise jaise main thik hao gaya main pass me ek ganv tha waha pe gaya jaha pe phone karke maine Neev aur Prachi ko bulaya kyunki main aap sab ko surprize dena chahta tha........
Kripa: zindagi ki woh ek dor se Kashish gujar chuki jise ek patni sapne me bhi nahi soch sakti.....Sujal kitne din aur raat tak is ghar ke her khone se kashish ki chikh aur rone ki aawaz aati thi..........hum logo mese koi kashish ka woh roop nahi bhool sakta........achcha hi hai tumne Kashish ko aise nahi dekha kyunki tum to kabhi nahi dekh sakte the use aise.............lekin jante ho Kashish ko pura yakeen tha ki tum wapas aaoge.......usne phir se tumhari patni banke jina shuru kar diya tha.......samaj ke khilaf jake....sirf aur sirf tumhare liye..........
Anjali: Sujal........main is liye yeh nahi keh rahi ki Kahsish meri behen hai......lekin Kashish jaisi ardhangini bahot hi kam logo ko milti hai.........usne tumhare sapno ke liye khud ko mar diya tha woh tumhare liye jee rahi thi............
Angad: ab use chod ke mat jana kyunki ab hum Kashish ko nahi sambhal sakte..........uski halat humse dekhi nahi jati............
Sujal: janta hoon ab kabhi bhi main Kashish ko chodke nahi jaunga.......ab to yeh saath zindagi bhar ka rahega..............
Kashish bina kuch kahe waha se chalke Mandir me bhagwan ke pass chali jati hai............
********************************************************************************
Sujal jab aake dekhta hai to Kashish bhagwan ke aage haath jodke parthna kar rahi hoti hai...........
Kashish (to bhagwan): bahot si muskil ke bad muje mera suhaag wapas mila hai use ab kisi ki nazar mat lagne dena................muje meri khushiyaan lautane ke liye bahot bahot sukhriya......main aaj aapko bata nahi sakti ki main kitni khush hoon...........bas ek hi khwaish hai ki ab yeh saath zindagi bhar na chute.........
Kashish: sujal.......main sirf bhagwan ka sukhriya kar rahi hoon ki usne muje mera sujal wapas kar diya........ab muje aur kuch nahi chahiye.........
Sujal: ab to saath milke her khushi ko badhana hai.......
Sujal: thik hai................
********************************************************************************
Kashish khidki ke pass khadi thi jab Sujal kamre me aata hai...........
Kashish mud ke Sujal ko dekhti hai.........
Sujal: bahot se aanshu maine diye hai tumhe.......aaj bhi yeh aanshu meri waje se beh rahe hai........
Sujal: main sabkuch bardast kar sakta hoon lekin tumhari aankhoin me aanshu dekh ke jo dard muje hota hai woh us dard se kayi jyada hai.........
Sujal: ab hum hamesha itne hi kareeb rahenge............
Mujhse Keh Rahi Hai Ki Badhne De Bekhudi
Uljhi Uljhi Saanson Ki Aawaaz Hai Pasand
Sujal Kashish ko apni baahoin me uthake apne saath bistar pe le jata hai.,,,,,,,aaj phir se woh raat aayi hai jab do pyaar karnewale ek honge......aaj phir se kayamath ki raat aayi hai........aaj unke beech koi nahi aa sakta tha...........agar kuch tha to judaai ke bad ka milan......beimtihaan mohabbat thi aaj,,,,,,,,,
.
Comments (17)
[QUOTE=goodkashish]Hi Friends'.i am so sorry for not posting any new part'''..the problem was that my computer crashed and now I lost everything that I had on my laptop'''so ple give me two more days and I will update all my ffs''.i know you must be cursing me for not informing you'.but believe me I also miss u guys'''.i will try my best and I will need your love and support'''thanks Love Kashish[/QUOTE]Kashish dear don't worry take your time & update your fanfics.. hum sab intezaar karenge....
16 years ago
hey its k kashish i understand cont when u get the info back
16 years ago
Hi Friends….i am so sorry for not posting any new part………..the problem was that my computer crashed and now I lost everything that I had on my laptop………so ple give me two more days and I will update all my ffs…….i know you must be cursing me for not informing you….but believe me I also miss u guys……….i will try my best and I will need your love and support………thanks Love Kashish
16 years ago
hey awesome...m relli happie sujals back..plz cont soon
16 years ago
Hi Kashish hope u r fine there...plz contine soon
16 years ago
woww!!! kashish amazing part simply awesome sab se khushi ki baat sujal is back yipeeee and wat a romantic emotional part superb
16 years ago
hi Kashish hope u r fine there....aaki ff par kar to hum aapke fan hogaye hain..etna acha likhti hain aap ..this part was awsome.very romantic...sujal aur kashis phir se ek hogaye bahut acha feel hua...humne yeh part 2 baar para...bas waiting eagerly for next update..plz try to update soon thxxx take care ajnabi_sahil2008-07-31 16:11:53
16 years ago
awesome part kashish...woww sujal is bak...yipee.....!!!and the last scene was relli romantic..
16 years ago
awesome...wonderfull...outstanding part yaar!!!...maza agaya yeah part parkar !!!...the way u have describe the journey of sujal and kashish from where they got seperate n reunited is amazing !!!.....how kashish could feal sujal preseance and that's what make not to sign those paper wt thushar !!!.....emotional yaar of sujal and kashish milan ...but i'm soo happy that he's back!...i could imagine swayam, rishi n specially thushar face when they saw sujal entering the house wt kashish!!!...what a slap they got..lol!!!!.....i love sujal confidence in everything...how he kick thushar out the house polity !!!....i know that thushar was trying not to loose his cool...par kay kare...he got the biggest shock !!!!!!!!!......i think these 3 idiots should now take care of themselves coz the day sujal n his bros get to know wht they tried 2 do 2 their dear friend n bro....no one is going to spare they ...angad sabse pehle !!!....the last scene was really nice sujal n kashish reunited forever again !!!!!!!!!........continue soon plzzzz..........waitting eagerly for the next part!!!!!!
16 years ago
amazing part finally sujal is back i really liked the way u showed how kashish already felt sujals presence before he even entered the house cant wait 2 read what sujal will do 2 rish swayam and tushar i can actually imagine their reaction on seeing sujal
16 years ago