Chapter 79
Part-79
Subaah ki pehli roshni Garewal House pe girti hai....aaj Sujal ko gaye do din ho gaye hai...........lekin pata nahi kiski nazar lag gayi hai........her taraf khamoshi hi bajti hai........aur kahi na kahi in khamoshi me bhi kashish ke rone ki aawaz sunai deti hai........aaj bhi ghar ke sabhi ki aankhein num hoti hai........aaj bhi koi kashish se baat karne ki himmat nahi karta........sab log Breaffast le liye aaye huye the.........
Prerna: Kripa.........Kashish ko bulao......
Kripa: pichle aadhe ghante se bula rahi hoon lekin kuch bhi sunti hi nahi........
Anjali: Mama........usne pichle do dino se kuch nahi khaya.......
Kavya:aise to woh bimar pad jayegi............Angad........use bula lao.......
Angad: nahi kavya........woh muje dekhkar ek hi sawal karti hai.........use lagta hai maine use dhoka deke ghar laya......main use nazare nahi mila sakta..........Akshat tu ja.......
Akshat: thik hai........lekin ple uske samne koi Sujalbhaiyaa ka jikar bhi mat karna..........
Kavya: thik hai tum jao le aao..........
************************************************************ *******************
Jaane kaisi hui hai Mujhse aisi nadaani..
(Kashish Sujal ka coat leke subaah se aisi hi bethi huyi hoti hai)Meine bikhrali aapni.. Zindagi ki kahani. (aankhoin se bas aanshu beh rahe hai)
Paas ake bhi mujhse.. Dur woh hogaya hai.. (abhi bhi us coat se Sujal ki khusboo mehsoos hoti hai)
kaise batlaoon kisko.. Mera kiya kho gaya hai.. (Kashish ko kuch purani baatein yaad aati hai)
Dastaan dard bhari..Maine chahat ko meri.. (Kashish coat ko apne sine se laga deti hai)
Apnay haathon saza di.. Dil ye bezaar hua hai.. (Kashish us coat ko apne pass leke bahot zor se rone lagti hai)
Cha gayi hai udasi.. (jab akshat uske pass aata hai)
Thoda sa pyar hua tha.. Thoda hai baaqi.. (Kashish apni bhigi huyi palko se Akshat ko dekhti hai)
************************************************************ *******************
Akshat: Bhabhi........neeche chaliye........sab aap ka intzaar kar rahe hai.....
Kashish kuch jawab nahi deti.......
Akshat: Bhabhi........maine aapse neeche chalne ko kaha........chaliye.......neeche mama aapko bula rahi hai......
Kashish abhi bhi koi jawab nahi deti.........
Akshat use haath pakad ke neeche lejata hai........lekin Kashish bina kuch kahe uske piche chalti rehti hai..........Akshat Kashish ko leke dining table ke pass aata hai.........jaha pe sab bethe huye hote hai.........Kashish ko aise dekh kar sabki aankhein bhar aati hai..........
Prerna: Kashish....yaha aao........betho......
Kashish abhi bhi wahi khadi hoti hai..........
Anjali; Kashish.........mama tumhe bethne ko kehti hai.........chalo.......
Anjali Kashish ko leke use chair pe bithti hai.........
************************************************************ *******************
Kashish apni chair pe beth jati hai...........Kashish apni pass wali chair ko dekhti hai........
Kashish use dekhti hi rehti hai kyunki woh khali hoti hai...........
Kashish: Sujal.....
Jab Kashish ko sujal nazar aata hai......
Kashish use chune hi jati hai lekin woh Kashish ka bharm hota hai............
Kashish phir se tut jati hai............aur zor se rone lagti hai jab woh samne sabhi ko dekhti hai..........
Kashish roti huyi apne kamre me chali jati hai............
Angad: kashish..........
Charu: Bhabhi.......rukiye to.......
Lekin tab tak kashish chali gayi hoti hai...........
************************************************************ *******************
Kashish wapas apne kamre me rone lagti hai.............
Jab Kashish ko sujal ka hone ka ehsaas hota hai........
woh piche mud ke dekhti hai to sujal hota hai lekin ojal ki tarah woh bhi gayab ho jata hai..........
Kashish: kyun kiya tumne aisa Sujal kyun...........tum jante the phir bhi........kyun muje akela chod ke chale gaye..........muje tumhare saath kyun nahi leke gaye..........kyun chod diya muje in aanshu ke sahare......kyun Sujal........jawab kyun nahi dete tum...........Sujal.........mere sawaal ka jawab do....maine koi galti ki........tum muje aisi saza di tumne...........kyun chale gaye tum......kyun chale gaye.......kyun.........kyun Sujal..........
Kashish phir se rone lagti hai..........
************************************************************ *******************
Aise hi din gujarte ja rahe hai............Kashish bahar garden me khadi apni zindagi me zakne ki koshish kar rahi thi............
Kashish: Sujal........aaj ehsaas hai ki tumhare bina zindagi kitni badtar hai............her jagah katein hi hai........her jagah se tumhara ehsaas hota hai.......aisa lagta hai tum kahi gaye hi nahi.......mere pass ho.........apni kashish ke pass........
Sujal: Kashish....
Kashish hairan hoke piche mudti hai.........
Kashish: Sujal............tum........tum Sujal.......
Sujal; Kashish.....haa main tumhara sujal... lekin yeh kya kashish....main tumhe is tarah nahi dekh sakta.......aur in aankhoin me to kabhi aanshu nahi dekh sakta...........Kashish ab se tumhe tumhari hi nahi meri zindagi bhi jini hai.......maine jo sapne dekhe use tum pura hote huye dekhogi.........Kashish main jina chahta hoon.....tumhare dil me rehkar..........Kashish mujse vaada karo ki tum ab apna khayal rakhogi........tum mere liye jiogi.........Kashish vaada karo mujse aaj se tum ab se meri jimedariyaan bhi nibhaogi............vaada karo........
Kashish: Sujal..........main vaada karti hoon .....tum jaisa chahoge waisa hi hoga.........per mere pass laut aao Sujal........main tumhare bigar nahi jii sakti......laut aao meri zidnagi me.....laut aao mere sujal banke.......
Sujal: nahi Kashish main ab zindagi me bahot aage badh chuka hoon........jaha pe main gaya hoon waha se log wapas nahi aate..........lekin mujse vaada karo ki tum apne aap ko aur is ghar ko shambhalogi...........tumhe mere liye jina hai...........kyunki tabhi main chain se is duniya se moksh le sakta hoon......Kashish main ja raha hoon lekin hamesha dil me dhadkan banke rahunga.......
Sujal phir se ojal ho jata hai...........aur Kashish phir se rone lagti hai............
************************************************************ *******************
ek din sham ko Kashish apne cupboard me se kuch dhundh rahi thi jab use woh CD milti hai jab aakhri bar Sujal aur Kashish ne sab ke samne dance kiya tha aur Akshat ne sab record kiya tha.....Kashish woh cd leke use tv pe lagati hai aur dekhene lagti hai............Jaise jaise woh Sujal ko dekhti hai puri tarah se tut jati hai..........
Kashish:Sujalllllllllllllllllll.............Sujallllllllllll llllllllll..............................Sujallllllllllllllll lllll...................
aur zor zor se rone lagti hai.............jab prerna, Kripa aur Angad daud ke aate hai.................jab sab log woh tape TV pe dekhte hai.........aur sab log samaj jate hai.......Angad jake foran TV bandh kar deta hai.........
Prerna: Kashish........sambhalo khud ko..........ab jine ki aadat dal lo......
Kashish: nahi ......main jiungi.........Sujal ke liye jiungi kyunki woh yahi chahta hai...........
Kripa: lekin is tarah rote huye dekh ke use kitna bura lagega.........
Kashish: ab nahi sambhala jata mujse............pehle maine apna bacha khoya lekin main sambhal gayi kyunki sujal mere saath tha...........lekin ab to woh khud hi muje chod ke chala gaya.........ab nahi mere pass mera pati hai aur nahi is shaadi ki koi nishani..........kitni lachar hoon main kripa........
Prerna; aisa nahi kehte beta........sujal ka jane ka gumm hum sab ko hai........
Kashish: lekin mere liye to Sujal sab kuch tha.........mera dil tha woh.......meri her dhadkan uske naam se bajti thi..........uski khusboo se meri saansein mehek ti thi..........lekin woh to sab apne saath le gaya..........kuch bhi nahi choda apni Kashish ke liye.........
Angad: Kashish.........chod to woh gaya hai apne pyaar ko .......aaj janti hai hum sab ek hai to sirf sujal ki waje se............hum sab ne sujal se pyar karna sikha hai.......woh aaj bhi hamare pyaar me zinda hai.........
Kripa: Kashish........Angad sahi keh raha hai..............waise tumhe kuch batane me aane hi wali thi.......parso Sujal ka shradh hai.......tum samaj rahi hona............tumhara hona bahot zaroori hai......
Kashish: parso Sujal ke bigar barah din ho jayenge............aur main ab tak saansein le rahi hoon...............
Kashish phir se rone lagti hai aur Prerna aur Kripa use samjate rehte hai...............
************************************************************ *******************
Aaj Sujal ka Shradh ke liye sab aaye huye hote hai..........Tushar, Swayam aur Rishi bhi aaye huye hote hai..................
Rishi: bhai abhi tamasha shuru hoga.......aapko yaad hai na pichli bar kaisa hua tha.......
Swayam: chup yaha pe marvana hai........woh dekh sab log hume hi dekh rahe hai........chup..........
Tushar: yeh Kashish kahi dikhai nahi deti..........lagta hai Sujal ke gumm me tut gayi hai........
Panditjee: Shradh ke liye ghar me se koi aaye...........beta ho to beta ya phir pita bhai..........
Angad: jii sharadh Akshat karega........
Akshat: shuru kijiye Panditjee........
Kashish: ruk jaiye........yeh shradh nahi ho sakta......yeh shradh main karungi........
Panditjee: aurat ka karna mana hai ..........shastron me likha hai.......
Kashish: mere Sujal ka shradh main hi karungi........shastron ko aap badal dijiye..........chaliye rasam shuru karte hai...........
Kashish puja shuru karti hai ..........sab log Kashish ko dekhte hi reh jate hai...............Kashish shradh karke wapas apne kamre me chali jati hai...........
************************************************************ *******************
Kashish apne kamre me aake dekhti hai to dressing table pe uska mangalsutra pada hua hota hai............Kashish use apne haath me leti hai aur phir use drawer me rakh deti hai........
jab Kashish ki nazar us gift box pe girti hai jo sujal jane se pehle Kashish ke liye leke aaya tha..........Kashsih jab use kholti hai to apne aap ko rok nahi pati kyunki Sujal uske liye Sindoor laya hota hai..............
Kashish use bhi apne mangalsutra ke pass rakhti hai jab uski nazar drawer me pade ek tasvir pe jati hai......kashish us tasvir ko haath me leti hai.............
Kashish: aaj se main tumhare liye jiungi.......yahi chahte the na tum..........ab se wahi hoga jo tum chahoge............aaj se kashish kashish ki nahi balke sujal ki zindagi jiyegi..............
Jab charu daudti huyi aati hai........
Charu: Bhabhi........jaldi chaliye aap mere saath........woh log aapke bare me faisla kar rahe hai.........
Kashish: kaisa faisla..........kiski baat kar rahi ho.........
Charu: maine abhi abhi neeche suna ki Angadbhaiyaa,Kavyabhaiyaa, Mama aur Akshat aapki shaadi ke bare me soch rahe hai..........
Kashish: nahi aisa nahi ho sakta............nahi woh log mere saath aisa kuch nahi kar sakte............
Charu: Bhabhi chaliye.....main janti hoon ki aap Bhaiyaa ke bigar nahi reh sakte lekin aap bhaiyaa ki yaadoin se bhi dur nahi ho sakti.......jaldi chaliye......
Kashish: main kya karoon Sujal......muje koi rasta batao.............
Kashish gusse me neeche aati hai jaha pe sab log hote hai..........abhi tak Swayam , tushar aur rishi bhi hote hai.........
Akshat: aap logo ne bilkul sahi socha hai........agar Bhabhi ki zindagi me koi aa jaye to use Sujalbhaiyaa ke bare me sochne ka waqt nahi milega aur woh dheere dheere bhaiyaa ko bhool jayegi...........
Jab Kashish zor se Akshat ko thapad marti hai.............
Akshat: bhabhi.......
Kashish: mat bol muje Bhabhi.........Bhabhi ka matlab bhi janta hai.........sujal ke chale jane ke bad tum logo ko mera saath dene ki badle muje hi ghar se chale jane ko keh rahe ho........aur kisne hakk diya aap sab ko........yeh faisla karne ka.......kisne haa.......meri zindagi ka faisla karne ka hakk sirf tumhare bhai ka tha jo ab bhi sirf unka hai..........
Angad: Kashish.....hum to sirf tumhe khush dekhna chahte hai......
Kashish: khush..........yeh kehke to aaj aapne muje itna dukh diya jitna shayad muje sujal ke jane per bhi nahi hua.......agar aap logo ko lagta hai Sujal ke bad aap log muje nahi sambhal sakte to muje zeher deke mar dalo........lekin kisi aur ka naam mere naam se jud ke muje jite ji mat maro........main aap logo ke aage haath jodti hoon......muje meri zindagi me akela chod do........
Tushar: Kashish yeh log tumhari bhalai hi to sochte hai........
Kashish: tum hamare ghar ke mamlo me na bolo to achcha hai..........mera bhala sochne ka hakk sirf mere pati aur mere gharwalo ko hai......is liye tum hamare ghar ke mamlo me mat pado.........
Anjali: Kashish......Sujal......tumhara kal hai aur tumhare samne puri zindagi padi hai.........
Kashish: abhi mere pati ko chale gaye barah din nahi huye ki aap sab...........shayad aap log bhool rahe ho to main yaad dila deti hoon.......ki yeh Kashish sirf aur sirf Sujal ki hai.......aap logo ne socha bhi kaise main kisi aur ke saath..........meri maang me sirf aur sirf sujal ka naam ka sindoor hi rahega........aur Mama aap bhi in sab ki baatoin me aa gayi........
Prerna: Kashish.......Sujal ko to tumhe ek din bhulna hi hoga......
Kashish: aap papa ko bhool payi........nahi na..........Anjali kya tum Kavya ko bhool sakti ho.......nahi na.........to aap logo ne kaise soch liya ki main Sujal ko bhool jaungi........bhula use jata hai jo chala gaya.......lekin aaj bhi Sujal ka ehsaas mere saath hai........aaj bhi woh mujse durr hoke bhi mere bahot kareeb hai...............aaj mere pass sujal nahi lekin uski yaadein to hai.......aur aap log mujse woh yaadein chin ke muje dar dar ki maut de rahe hai...........aapko darr hai na ki main kaise jiungi.......main jilungi Sujal ki yaadoin ke sahare..........ab muje apni zindagi nahi jini hai balki sujal ki zindagi jini hai......meri zindagi to kab ki khatam ho gayi .......ab se main sujal ki zindagi jiungi..........Sujal ka her woh sapna pura hoga jo maine unki aankhoin me dekha tha.......aur aap log mera saath dene ke badle mujse yeh umeed bhi chin rahe hai.........
Angad: Kashish......hume maff kar do..........humse galti ho gayi..........
Kashish: aap log jante hai ki main sujal se kitna pyaar karti hoon phir bhi....maine pichle do saal me bahot kuch khoya hai......lekin maine sab kuch khokar bhi ek anmol rishta nahi khoya........mere pyaar ke saath mera rishta .....lekin aaj aap log mujse woh bhi chinna chahte hai......aap log hi bataiye main kiske sahare jiungi......sirf Sujal ki yaadein aur pyaar hi to hai mere pass....aaj woh mere saath nahi to kya hua........main to aaj bhi use itna hi pyaar karti hoon.........main kisi bhi janam me apne aap ko Sujal ke alawa kisi aur ko nahi dekh sakti........mujse pyaar karne ka hakk sirf Sujal ka tha......muje chune ka hakk sirf sujal ka tha..........mere pati hone ka hakk bhi sirf sujal ka tha aur rahega............aur yeh baat aap log achchi tarah se yaad rakh lijiyega..........main sirf aur sirf Sujal ki patni hoon...........sirf Sujal......
Kashish yeh kehke roti huyi apne kamre me chali jati hai aur sab log hairan reh jate hai...........................
Comments (7)
a very emotional part..i'am feeling so sad for kashish... becharii... sujal usse chod ke chala gayaa..dear please sujal ko wapas le aao.. i cannot see sujal,kashish ko ek doosre se durr... jab thak sujal hai tab thak kashish kii saans chalegi... aur ab jab sujal nahii hai tho kashish is just living for the sake of living... my heart really goes out to her... please yaar sujal ko lao... aur dushmano kii baand bajao.... do continue soon....me waiting for the next part eagerly...
16 years ago
superb part............kashsih halke halke tek ho rhi hai ..................lekin yeh tushar ko tu mein mardalo je katha hai ...............har jaga guss jata hai lekin kashish ne bhi kia jawab dia hai.............kay woh sirf aur sirf sujal ki hai............... but plz sujal ko kahi se bhi wapis le aao plz
16 years ago
amazing part i really liked the way u described kashish's emotions and also the way she expressed her love 4 sujal it was beautifully written.i hope kashish finds out the truth behind sujals accident and gives tushar, swayam and rishi their punishment. cant wait 2 read the next part hope kashish fullfills all of sujals wishes
16 years ago
This is very sad. Pls get sujal back cant see kash like this and expose tushar, swayam and rishi soon. PLs i want sujal back. He has to be there somewhre get him back sooon
16 years ago
Sujal ko wapis le aao....kahi se bhi
16 years ago
nice part... ...but relli sad......
16 years ago
i still cant belive that sujal died! man...just like ekta...but i am feeling m ore bad!
16 years ago