Chapter 65
Part-65
Us party wali raat ko aaj pure do hafte ho gaye hai.........ab bhi Kashish ka jee ghabra raha hota hai lekin woh kisi ko batati nahi............sabhi log Dinner karke hall me bethe huye hote hai........
Angad: Kal holi hai........aur kal ka kya program hai.........
Kripa: holi hai ......diwali to nahi ki hum phatake phode...........budhu hum rango se khelenge..........
Anjali: lekin is bar main aur Kashish nahi khelenge......
Charu: lekin aap logo ke bina maja bhi nahi aayega.......
Akshat: thodi si holi Bhabhi ple....
Prerna: nahi.........yeh log thik keh rahe hai.........Anjali ko Khushi ka khayal aur Kashish is halat me holi nahi khel sakti.....
Kavya: hum log sirf ek dusre pe shagun ka rang lagayenge.......
Kashish: lekin hum pura din karenge kya............yeh to hum sab ki pehli holi hai ek saath aur hum ise khel bhi nahi sakte.........
Sujal: mere pass ek tarika hai..........kal hum sab log Picnic pe chalte hai..........waha hum log sab holi bhi khel lenge aur sabki ek saath outing bhi ho jayegi.........
Angad: that's a great idea.........to thik hai hum log subah thik aath baje niklenge.......
Kripa: aur tum aath baje uth ke taiyaar ho jaoge.....
Charu: sach kaha Bhabhi aapne.........yeh log kabhi hum se pehle uth hi nahi sakte......kitna sote hai.....
Sab log hasne lagte hai.........
Akshat: charu tumhe main dekh lunga......
Angad: main....main.........hum aath nahi nauv baje niklenge........
Prerna: yeh ladka kabhi nahi sudharega.....
Sujal: mama........kabhi bandar gulate khana bhulata hai.......nahi na to........
Angad: tumne muje bandar kaha.........
Sujal: yeh to achcha hua ki tum khud samaj gaye........
Angad: main tumhe nahi chodunga........
Sujal: pehle pakad ke to dekh......
Angad Sujal ke piche bhagne lagta hai.........Sujal Kashish ke piche chup jata hai.........aur anagd use pakdne ki koshish karta hai.......
Kashish: Sujal chodo muje.....
Sujal: nahi Kashish.........nahi to yeh Angad muje pakad lega.......
Angad: aaj main tuje nahi chodunga.....
Kashish: tum dono bich me muje kyun la rahe ho...........aah..........Sujal.......
Kashish sofe pe beth jati hai.....
Sujal: Kashish tum thik to ho............
Angad: Kashish....main doctor ko phone karta hoon........
Kashish: uski koi zaroorat nahi......main to majak kar rahi thi.....main to sirf aap dono ko rok rahi thi......
Kripa: achcha maza sikhaya hai...........
Anjali: ab raat kafi ho gayi hai aur Subaah jaldi nikalna hai................agar yeh sab waqt pe taiyaar hoge to......
Angad: uda lo hasi jitni chahe...........kisi din aap sab ki main udaunga.......
Prerna: ab baatein bahot ho gayi...........chalo chal ke so jao......
Sabhi log ek dusre ko Good-night kehke chale jate hai.........
************************************************************ ******************
Subaah subaah Anjali, Kashish, Kripa aur Charu sab log taiyaar hoke bahar nikalte hai ..........
Charu: Bhabhi........aap logo ne Akshat ko kahi dekha.......
Kripa: nahi to......jab main uthi to Angad bhi gayab tha..........
Kashish: yahi baat mere saath bhi huyi.........jab main uthi to Sujal bhi mere pass me nahi tha.......
Anjali: kamal hai........jab main uthi to Kavya bhi nahi tha..........yeh ho kya raha hai.......
Kashish: yeh sab aakhir kar kya rahe honge......
Kripa: hamare bina yeh ek kadam bhi nahi utha sakte .........yahi kahi garden me hoge.........
Charu: lekin yeh kitchen me se kaisi aawaze aa rahi hai..........lagta hai Mama ne Breakfast banana shuru kar diya......
Anjali; chalo chal ke uski madad karte hai...........
************************************************************ ******************
Anjali, Kashish, Kripa aur Charu sab log neeche dinning table ke pass aate hai jaha pe charo ne milke Subaah ka breakfast aur Picnic ka saraa saman taiyaar hota hai.........
Kashish: yeh sab kya hai.........tum logo ne yeh nasta banaya hai.............
Sujal: kal tumhi ne to kaha tha ki hum kuch nahi karte........
Anjali: lekin in sab karke kya matlab hai.....
Kavya: yahi ki hume bhi khana banana aata hai.........hum log bhi woh kaam kar sakte hai jo aap log......
Charu: Bhabhi kahi main sapna to nahi dekh rahi........
Akshat: kya matlab hai........
Charu: tum aur woh bhi kitchen me...........tumhe to kitchen ka k bhi maloom nahi.........
Akshat: sab janta hoon me..........
Angad: kripa tum kaha ja rahi ho.....
Kripa: bahar dekhne ki Suraj aaj kis aur se nikala hai........
Angad: very funny........
Kashish: ab tum dono ladna bandh karo .......aur yeh mama kaha reh gayi.........
Sujal: woh Mandir gayi hai........aaj holi hai na is liye............
Kashish: aur mama ka nasta.....
Sujal: woh khake gayi.........
Kavya: ab aap log dekhte hi rahenge ki khana shuru bhi karenge......
Anjali: ab tumne banaya hai to chakhna to padega.........
sab log breakfast karte hai........
Anjali: aaj se pehle maine itna achcha nasta nahi kiya........
Kashish: kyunki inme hamare pati ka pyaar mila hua tha.......
Kripa
(comes from the kitchen): Kashish agli bar tumhe jab bhi aisa khana khane ka mann hona to tum Spice Cafe me phone karke order kar dena.....Kashish: kya.....
Charu: haa bhabhi........yeh raha bill.......
Kashish: Sujal ......muje tumse yeh umed nahi thi.,,,,,,,,,,,
Sujal: bhool ho gayi.........maff kar do......
AnjalI; itna bada jooth.......
Kavya: Anjali............ab aisa bhi kaun sa bada jooth hai.......
Kashish: humne socha aap logo ne kitne pyaar se banaya hoga........
Sujal: humne banaya to tha lekin sara jal gaya.......
Angad: aur jala hua khana to aap log nahi khate...........
Akshat: ab dubara kabhi aisi galti nahi hogi......
Kashish: hume kuch nahi sunna.......chalo Anjali........
Anjali, Kashish, Charu aur Kripa sab log bahar chale jate hai.......
Sujal: humne yeh achcha nahi kiya.........kitna bura man gaye woh log..........
Akshat: ab hum kya kare.........
Angad: mafi mangte hai......
Kavya: woh kaise.......
Sujal: kuch sochne de....
Sujal: soch liya...main janta hoon kaise mafi mangni............woh bhool humne ki hai to mafi to magni hogi na.........
Prerna: kis baat ki mafi mangi ja rahi......
Sujal: kuch nahi........achcha hua aap aa gayi..............ab chale...........dair ho rahi hai........
Angad: chalo .........
************************************************************ ******************
Sab log bahar jate hai jaha pe do badi car hoti hai........
Sujal: chalo kashish.......
Kashish: jee nahi.......aap sab log dusri car me aa rahe hai........is car me hum sirf ladkiyaan jayegi.........
Sujal: Kashish ab itna gussa bhi thik nahi.....
Kashish: woh tumhe pehle sochna chahiye tha..........ab mujse dur rehna hi tumhari saza hai..........
Sujal: kashish......man jaona.......
Kashish: nahi.....main ja rahi hoon..........chalo Mama.......
Sujal: Kashish.......
Kashish: bye.........
************************************************************ ******************
Sujal, Angad, Kavya aur Akshat dusri car me hote hai......
Angad: yeh log apne aap ko samjte kya hai........
Akshat: lagta hai apne aap ko raj kumari samajte hai....
Sujal: woh to yeh hai........
Kavya: kya matlab......
Sujal: ab dekho........use sir pe chathaya kisne hai.......humne..........aur woh kyun......
Akshat: kyun....
Sujal: kyunki hum unke bigar nahi reh sakte aur yeh baat woh achchi tarah se jante hai..........isi liye thoda akad rahi hai.......lekin ek baat batau.........yeh log jitna bhi koshish kare humse khafa reh hi nahi sakte........main aap logo se vaada karta hoon ki aaj ghar aane se pehle sab kuch thik hoga........
Angad: promise.........
Sujal: promise..........
************************************************************ ******************
Let's see what is going in other car.........
Charu: aaj to maza aa gaya...........kitna tadap rahe honge bechare........
Kripa: aur unke chehre dekhe the..........kitne uthar gaye the.........
Anjali: Sab se jyada Sujal ka dekhne layak tha.........
Kashish: woh aaya tha mujse mafi mangne lekin maine bhi keh diya ki main tumse baat nahi karnewali............aaj wake me kitne dino bad yeh sab haath me aaye hai........muje to Sujal ki tang khichne me bahot hi maza aa raha hai........
Prerna: yeh kya ho raha hai.......
Kashish: woh Mama aaj jo subah in logo ne nasta banaya tha woh darsal Hotel se aaya tha........
Kripa: aur is liye hum un logo se naraz hone ka natak kar rahe hai.......
Prerna: kuch seroius baatein to nahi.....
Kashish: nahi mama.......yeh to bas chota sa hasi mazak hai...........aap pareshan mat ho......hum bhi dekhte hai ki woh log mafi kaise mangte hai......yeh picnic to zaroor yadgaar rahegi......
Sab log hasne lagte hai.........aakhir kar sab log Picnic site pe pahunch hi jate hai.........
************************************************************ ******************
Prerna Khushi ko leke picnic table pe bethi hoti hai.........Kashish, Anjali, Kripa aur Charu us jagah ko dekh rahe hote hai.........
Sujal: Kashish muje tumse baat karni hai.........
Kashish: lekin muje kuch nahi sunna........
Sujal: tumhe sunni hogi.........
Kashish: Sujal main nahi sunugi........ab mera rasta chodo........
Sujal: pehle kaho maff kiya......
Kashish: kabhi nahi......
Sujal: kaho.....varna main yaha sab ke samne tamasha karunga......
Kashish: tumhe jo karna hai karo........main kuch nahi janti..........chalo Kripa..........
Sab log chale jane lagte hai........
************************************************************ ******************
Angad: Sujal yeh to ja rahe hai......
Kavya: kuch karo........
Akshat: Jaldi Bhaiyaa........
Sujal start to sing..........
o meri jaan na lele ke meri jaan teri ada, teri ada
(Sujal Kashish ki saree ka pallu pakad leta hai)jaan jala na tujhe pe deewana main hoon fida
(Kashish gusse me Sujal Ko dekhti hai)gusstakhi maaf karde, abb to insaaf karde
(Sujal Kashish ke samne Apne gutno pe beth jata hai)apna dil saaf karde, kehna to maan le
(Sujal apne kan pakadta hai aur Kashish dusri aur dekhne lagte hai)ho ho jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de (
Angad Kripa ke samne beth jata hai)jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(Kavya bhi Anjali ke samne)jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(Akshat bhi Charu ke samne lekin sab ladkiyan waha se chali jati hai)gussa tera jhootha, jhoothi moothi berukhi hai
(Sujal Kashish ko phool deta hai lekin Kashish muh pher leti hai)jaanu main to jaanu, teri naa mein ashiqui hai
(Sujal woh phool phekne wala tha lekin Kashish use rokti hai)aye sanaam na kar sitam, tujhko khuda ka vasta
(Kashish woh phool gusse me pass me bethi ek bachi ko de deti hai)gustaakhi maaf karde, abb to insaaf karde
(Sujal Kashish ke samne uth bess karta hai)apna dil saaf karde, kehna to maan le (
lekin kashish uski taraf dekhti bhi nahi)ho ho jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(Kavya bhi aise karta hai)jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(akshat bhi)jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(Angad bhi lekin phir se ladkiyaan jane lagti hai)tanha na kategi zindgani jaanle tu
(Sujal Kashish ka haath pakad ke use apni aur khichta hai)meri bhi zarurat tujhko hogi maanle tu
(Kashish Sujal ke pair pe apna pair zor se marke chali jati hai)mar ke bhi na chodunda teri baahien tera raasta
(Sujal phir bhi Kashish ka haath pakad ke rokta hai)ghustaakhi maaf karde, abb to insaaf karde
(Sujal Kashish ke samne haath jodke apni palke zuka deta hai)apna dil saaf karde, kehna to maan le
(Kashish waha se chali jati hai)ho ho jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(Angad bhi Kripa ke samne aise karta hai lekin woh bhi chali jati hai)jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(Kavya bhi Anjali ke samne aise karta hai lekin woh bhi chali jati hai)jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de
(Akshta bhi Charu ke samne aise karta hai lekin woh bhi chali jati hai)************************************************************ ******************
Sujal, Angad, Kavya aur Akshat mayus hoke dusri aur muh modke jane lagte hai...........Kashish, Anjali, Kripa aur Charu ke saath ja rahi thi jab woh piche mud ke Sujal ko dekhti hai ...........Kashish jake piche se Sujal ka haath pakadti hai......
tum hi meri jaan ho tum hi armaan ho
(Kashish Sujal ka haath pakad ke use apne aur karti hai)tum hi dhadkanon mein ho sanam
(Kashish Sujal ka haath apne dil pe rakhti hai)dil ka yeh iraada hain
(Kashish ke aankh se aanshu behte hai)tumse mera vaada hain
(Kashish sujal ke haath ko kiss karti hai)jeena marna tere sang hai sanam
(Kashish Sujal ke gale lag jati hai)************************************************************ ******************
Sujal: Kashish.......tumne muje maff kiya.......
Kashish: Sujal.......tumne soch bhi kaise liya ki main tumse naraz ho sakti hoon........kya kabhi main apne aap se naraz ho sakti hoon......nahi na.......aur tum aur main alag kaha hai...........nahi Sujal main kabhi tumse khafa ho hi nahi sakti.......
Sujal: to phir yeh sab...
Kashish: woh main thoda sa majak kar rahi thi.........agar tumhe bura laga ho to I am Sorry.....
Sujal: abhi abhi to tumne kaha ki hum kabhi ek dusre se naraz nahi ho sakte to...........
Kashish: Lekin aaj ke baad kabhi mujse jooth mat bolna.......kyunki tumhe jooth bolna hi nahi aata.........main to usi waqt samaj gayi thi jab mere naste me jyada mirchi thi.......kyunki tum jante ho ki doctor ne muje abhi Mirchi khane se mana kiya hai........aur tumse achcha mera khayal kaun rakh sakta hai......
Sujal: to tumne kuch kaha kyun nahi.....
Kashish: kyunki tumne kitne pyaar se mere liye khana order kiya tha.....main tumhara dil rakhna chahti thi........
Sujal: aur iske liye tumne tikha khana bhi kha liya........
Kashish: haa......
Sujal: i love you Kashish........
Kashish: I love you too Sujal...........
Kashish aur Sujal ek dusre ke gale lagte hai......
************************************************************ ******************
Angad: excuse me..........
Sujal: kya hai.....
Angad: tune apna mamla to kar liya.......ab hum sab ka kya..........
Akshat: Bhabhi unse kaho na ki hume bhi maff kar de..........ple Bhabhi.......
Anjali: Kripa.....maine bhi Kavya ko maff kar diya ab tum bhi........
Kripa: nahi anjali..
Kashish: Kripa.....Charu......yeh log apni galti man rahe hai na......aur dil se mangi huyi mafi ko hum na kaise kar sakte hai......hai na.....agar tum log meri baat nahi manoge to main tum dono se naraz ho jaungi.......
Kripa: thik hai........is bar sirf tumhare kehne pe....
Charu: agli bar aisi galti yeh log karenge na to hum inhe kabhi maff nahi karenge.....
Sujal: aur inki jimedari main leta hoon.......aainda se hum log kabhi aap logo se jooth nahi bolenge.........main aap logo se vaada karta hoon ki hamari is hasti khelti zindagi ko kabhi tutne nahi dunga............
Kashish: aur iski jimedari me leti hoon............kyunki Sujal kabhi apne vaade se mukarta nahi........
Anjali: chalo aap sab....Mama hamara intzaar kar rahi hai........
************************************************************ ******************
Sab log lunch lene ke baad bethe hote hai.........
Angad: ab kya kare.......
Akshat: let's play Antakshari.......
Kripa: great idea....
Charu: Nahi..........aaj Kashishbhabhi hume apni Prem kahani sunayenge..........
Kashish: Nahi charu aaj nahi........phir kisi din....
Akshat: nahi bhabhi.....aaj hi .......aaj kitna achcha moka hai sab log yaha hai.......sunaiyena......humne aapki prem kahani ke kafi kisse sune hai.....lekin aaj suru se bataiyena.....
Kashish: main kaise.........aap log Sujal se kahiye......
Sujal: main nahi bata paunga......Kashish tum hi bata do......kyunki main bhi aaj sunna chahta hoon.........
Kashish: thik hai........lekin sirf tumhare liye.........
Angad: oye hoye......main mar jawa...........
************************************************************ ******************
Kashish: to suno..........meri kahani shayad bahot si aam ladkiyon ki tarah hogi lekin ise khaas banaya hai ek khaas insaan ne...........thik hai pehle se shuru karti hoon...........
"Main Mumbai ki rehnewali thi......bachpan se hi main pyaar me bahot yakeen karti thi.......main bhi sapne dekhti thi.......mere sapne me bhi ek rajkumar aata tha.......jo mera haath thamna chahta tha.....phir main badi hoti gayi aur badi hone ke saath saath pyaar pe mera yakeen aur bhi gehra hota gaya.......jaise mera dusra naam hi Mahobbat ho..........bahot hi kam umar me maine bahot kuch pa liya tha.......khud ka business......ek naam.....ek shuharat........lekin phir bhi main bahot hi tanha thi........jab muje kaam ke silsile me Delhi aana hua.........Sujal hi wahi tha jo muje airport pick up karne aaya tha.........pata nahi lekin pehli hi nazar me muje laga ki yahi hai woh jiska muje intzaar tha.......pata nahi lekin Sujal ki aur main khichti chali gayi........Prachi ki shaadi ke darmiyaan bhi hum bahot nazdig aa gaye the........aur yeh sab ek din ki baat hai......jab sham ko Sujal muje airport chodne aaye tab muje ehsaas hua ki main kisi apne ko piche chod ke ja rahi hoon.......main us waqt to samaj na payi lekin Sujal ke jane ke bad muje ehsaah hua ki yeh pyaar hi hai........kisi ne sach kaha ki ek pal me bhi pyaar ho sakta hai........lekin jab wapas ghar pahunchi to Papa ne meri Shaadi us Tushar ke saath tai kar di thi.........main bahot royi lekin papa ne meri ek nahi suni........mere pass aur koi rasta nahi tha........Mere pass Sujal ko contact karne ka bhi koi number nahi tha.......maine tushar se shaadi karne ko haa kar di.......lekin yeh Kripa, Anjali aur Kavya ne milke is shaadi ko rok diya........us din meri aur tushar ki mangni pe maine sabko bata diya ki main Sujal se pyaar karti hoon........bahot bhala bura kaha papa ne........main us waqt ghar chod ke chali gayi........main bahot hi khush thi kyunki main vapas Delhi ja rahi thi lekin..........."
Akshat: lekin kya.......
Kashish: yaha se Sujal aap logo ko batayega............
Sujal: thik hai........main sunata hoon ki kya hua.........
" Kashish ko airport pe dekhte hi muje laga ki yahi woh ladki hai jo muje sambhal sakti hai.....jo mere liye banai gayi hai......jaise jaise main Kashish ko janne laga waise woh muje achchi lagne lagi.........muje bhi usi baat ka ehsaas tab hua jab main Kashish ko chodne airport gaya........aisa laga ki meri zindagi mujse dur ja rahi ho.......phir kaam ke silsile me muje aur Angad ko Singapore jana pada teen mahino ke liye........lekin us daurran bhi kashish ke liye mera pyaar badhta gaya......jab main wapas aaya to Mama ko yeh baat ka pata chala aur usne zid ki ke main Kashish ko bahu banake ghar lau.........main aur Angad Kashish ko dhundhne ke liye Mumbai aaye......jaha hume pata chala ki Kashish ne apna boutique bech diya hai..........hum kashish ke gahr gaye jaha hume pata chala ki sab log Hospital gaye hai.........jab hospital jake dekha to meri zindagi ka woh sabse kamzor lamha tha......kyunki meri kashish mere samne coma me thi.....ha us din Delhi aate waqt unka accidant ho gaya tha.......mere chute hi Kashish coma me se to bahar aa gayi lekin unki yaadash chali gayi thi........."
Charu: phir kya hua........
Kashish: aage main batati hoon.......
" main yahaan tak ki apna naam bhool gayi thi to Sujal ko to main kaise yaad karti.......maine Sujal ko bahot rulaya bhi hai......lekin dheere dheere hum dost banne lage........dost se woh kab muje achcha lagne laga yeh main khud nahi janti thi......phir bhi muje kuch yaad nahi tha......meri aur Sujal ki magni huyi.........Sujal mere liye bahot hi pareshan rehta tha..........jab muje ehsaah hua ki main sujal pe ek boj ke siva kuch nahi hoon......maine tai kar liya tha ki main Sujal ki zindagi se chali jaungi......maine sujal se apni mangni tod di aur Sujal ko hamesha ke liye mujse dur jane ko kaha............"
Akshat: aur bhaiyaa aap chale aaye......
Sujal: aise kaise chala jata........
" haa main kashish ko chod ke ja raha tha lekin main ek bar Kashish ko milna chahta tha........airport pe........main janta tha ki woh zaroor aayegi aur woh aayi bhi............lekin phir bhi usne muje roka nahi.......jab main andar chala gaya........tab kashish ko sab kuch yaad aa gaya.......lekin main kabhi gaya hi nahi tha.....kyunki mere pass to ticket hi nahi tha..........woh pehli bar tha jab humne ek dusre se apne pyaar ka ishaar kiya...phir kya hum dono ki shaadi ho gayi.........aur..."
Charu: aur aap log ki zindagi khushiyon se bhar gayi.....
Kashish: nahi Charu.......jaha khushi hoti hai wahi dard bhi hote hai..........
" haa Sujal se shaadi karke muje jaise jannat naseeb ho gaya tha..........bahot khush thi main Sujal ke saath........phir Papa ke chale jane ke baad.....Sujal office me busy rehne laga........hum dono me duriyaan badhti gayi........bina waje hum ek dusre pe gussa ho jate.......aur ek din......"
Akshat: aur ek din kya......
Sujal: woh din meri zindagi ka sabse manhoos din tha.......
"us din muje Blood cancer ki khabar huyi..........meri zindagi jaise ek din main hi khatam ho gayi.......main marne se nahi darta tha lekin kashish se dur hone se darta tha.......main kashish se apni duri banne laga..........aur ek din maine Kashish ko ghar se aur meri zindagi se nikal jane ko kaha......bina kashish ko kuch sune......maine use ghar se nikal diya......."
Charu: aur aap Bhabhi chali gayi........
Kashish: kya karti.......Sujal ka kaha kaise na manti.........
" us din me bahot khush thi .........sujal ka ghar aane ka intzaar kar rahi thi.......main use apne honewale bache ke bare me batana chahti thi.....lekin Sujal ne aate hi mujse zagda karna shuru kiya aur main kuch kahoon usse pehle muje nikal jane ko kaha..........haa main nikal aayi kyunki main sujal ke samne rehkar uske dard ka karan nahi banna chahti thi.........bahot gussa bhi aata tha muje........bahot royi thi main........bahot hi tanha mehsoos kar rahi thi.........jab muje Sujal ki sabse jyada zaroorat thi to woh mere saath nahi tha...."
Akshat: bhaiyaa aap.......
Sujal: agar kashish ka yeh haal tha to Sujal usse bhi jyada roya hai.......
" Maine kashish ko durr kiya tha to sirf is liye kyunki woh meri maut bardasat nahi kar sakti.........woh yeh kabhi dekh nahi pati......is liye maine kashish ko jaan bujke apne aap se durr kar diya........lekin kabhi aisa nahi laga ki Kashish mere saath nahi......kyunki her waqt woh mere khayalon me rehti thi........jab Kripa aur Angad ne muje ehsaas karaya ji Kashish se chupake main kitni badi galti kar raha hoon.........main Kashish ko lene jab Mumbai pahuncha tab muje pata chala ki Kashish Maa bannewali hai..........lekin Doctor ne muje mana kiya tha kisi pareshani jaisi baat kashish ko batane se......."
Charu: aur aapne Bhabhi se kuch nahi kaha.........
Kashish: nahi.....kuch nahi kaha..........
" Kaha to sirf itna ki main tumhe lene aaya hoon.......lekin usi din maine Sujal aur Angad ki baatein sun li........us raat ko main kabhi nahi bhool sakti.....ek hi pal me mere samne mera yeh aasiyana tut raha tha.......jo meri jine ki wajah hai woh mujse dur ho rahi thi..............Sujal ne muje bahot samjaya lekin maine haar nahi mani.........bahot dhundhne ke baad muje tum logo ka pata chala.........maine Sujal se vaada kiya tha ki woh mujse bhi pehle hamare bache ka chehra dekhega........aur dekho......aaj maine apna vaada nibha diya........"
************************************************************ ******************
Kashish: bas yahi hai meri aur Sujal ki ek choti si prem kahani..........
Charu: yeh sunke mere aankh me aanshu aa gaye........kitni dardbhari kahani hai.......kitna pyaar hai aap dono me...........kitna atoot vishwas hai aap dono me........sab sach hi kehte hai ki aap log ek dusre me jite ho........muje abhi bhi yakeen nahi hota ki aap dono ke saath itna sab kuch hua......
Kripa: aur is baat ke hum sab gawaah hai.........
Sujal: shayad.......is dard ne hi kahi na kahi hamare ristey ko majboot kiya hai.........aaj main zinda hoon to sirf aur sirf Kashish ki waje se.......
Kashish: nahi......Sujal yeh tumhara pyaar hai jo muje yeh sab.......agar main agle saat janam bhi loon tab bhi muje tumse jyada pyaar karnewala koi nahi mil sakta...........main her janam me sirf aur sirf tumhari banugi........
Sujal: tum meri thi.....meri ho.....aur meri hi rahogi........
Kashish: haa Sujal..............agar Sujal ka dusra naam kashish hai to Kashish ka dusra naam bhi Sujal hai........
Akshat: sach me..........koi yeh do naam juda nahi kar sakta..........yeh naam hamesha ek saath hi liya jayega..........
"KASHISH-SUJAL"
Comments (4)
fantastic........i love the love btwn them
16 years ago
that was too good...very well written..simply superb... nice.... do continue soon....
16 years ago
LOVELY PART YAR!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
16 years ago
wow.......nice part !! Continue soon !!
16 years ago