Chapter 60
Part- 60
Sujal aur Kashish Sinha house to laut te hai lekin is dauran Kashish kahi kho gayi........kashish ki jaisi sari umeed tut gayi ho.........use pata nahi ki woh kya kare...........zindagi ka her ek lamha use kamzor hota dikhai deta hai..........samunder ki reth ki tarah waqt uske haath se nikalta jaa raha hai aur woh kuch bhi nahi kar sakti..........lekin abhi bhi uska dil yeh manne ko taiyaar hi nahi tha ki Sujal usse dur ho raha hai........
(In Kashish's room)
Kashish kuch kahe bina hi apne room me chali jati hai........jaise ki uski duniya hi khatam ho gayi ho......woh kehte hai na musibat me sare raste bandh dikhai dete hai waise hi Kashish ko kuch samaj nahi aa raha ki woh kya kare............Sujal Kashish ko is tarah kaise dekh sakta tha ......kashish ka samna karne ke liye uske pass shayad himmat kum pad gayi..........Sujal ghar ke andar jane ke liye taiyyar nahi tha........
Pyaar Hai Ya Saja, Aai Mere Dil Bata (Kashish was thinking in her room that what just happened to her life)
Tootata Kyon Nahi Dard Ka Silsila
Is Pyaar Mein Hon Kaise Kaise Imntihaan (Sujal doesn't want to face Kashish as he know she has broken down.)
Ye Pyaar Likhe Kaisi Kaisi Dastaan (She doesnt know what to do with her love for sujal)
Ya Rabba De De Koi Jaan Bhi Agar (sujal was lost about how kashish is going to handle herself after his death)
Dilbar Pe Ho Na, Dilbar Pe Ho Na Koi Asar
Kaisa Hai Safar Wafa Ki Manjil Ka (Kashish is so frustreted and she doesnt know where to start from)
Na Hai Koi Hal Dilon Ki Mushkil Ka
Dhadkan Dhadkan Bikhri Ranjishein (Suajl was thinking how he wants to spend his rest of life with kashish)
Saansein Saansein Tooti Bandishein
Kahi To Har Lamha Honton Pe Fariyaad Hai (in middle of night sujal comes to the room and finds kashish is sleeping)
Kisi Ki Duniya Chaahat Mein Barbaad Hai (when sujal came and by his fregance, kashish opens her eyes)
Ya Rabba De De Koi Jaan Bhi Agar (Kashish sees sujal infront of her)
Dilbar Pe Ho Na, Dilbar Pe Ho Na Koi Asar (Sujal notice that kashish have been crying for so long)
Koi Na Sune Sisakati Aanhon Ko (kashish runs to him and stands right infront of him and puts her hand on his cheek showing how much love and care )
Koi Na Dhare Tadapati Baahon Ko (sujal with lots of questions in his eyes looks at her)
Aadhi Aadhi Puri Khwaishein (Kashish's eyes were saying that she is always going to be with him)
Tooti Footi Sab Farmaaishein (Sujal kiss kashish's hand)
Kahin Shak Hain Kahin Nafrat Ki Deewaar Hai
Kahin Jeet Mein Bhi Shamil Palpal Haar Hain
Ya Rabba De De Koi Jaan Bhi Agar (Kashish cries a lot and hugs sujal so tight because she was afraid of loosing him.)
Dilbar Pe Ho Na, Dilbar Pe Ho Na Koi Asar
Kashish and sujal both went to sleep in each others arms giving support and love to each other.........
************************************************************ ***********************************
(In the morning)
Sujal jab apni aankh kholta hai to Kashish ko apne pass na dekhke woh kuch darr sa jata hai phir woh wash room me jakar dekhta hai lekin Kashish waha bhi nahi hoti.......
Sujal
(to himself):Shayad neeche kitchen me hogi........Sujal
(walking downstairs): Kashish.........Kashish..........Raghukaka: Kashish betiyaa to nahi hai lekin aapko kuch chahiye........
Sujal: Kaka kashish kuch bata ke gayi hai.......mera matlab kaha gayi........
Raghukaka: woh jo durr pahadi wale Durga Maa ka jo mandir hai wahi gayi hai........
Sujal : Durga maa ke mandir.......
Raghukaka: Subah subah hi chali gayi........keh rahi thi ki Maa ke mandir jo chal ke jata hai woh khali haath nahi lautta.........
Sujal: lekin Kaka woh to bahot durr hai aur kashish is halat me..........main abhi jake use wapas le aata hoon........
************************************************************ ***********************************
Sujal taiyaar hoke kashish ko lene ke liye nikalta hai.........Sujal pure raste me Kashish ko dhundta hai lekin kashish kahi dikhai hi nahi deti........aakhir me sujal Durga mandir pahonch hi jata hai aur jab dekhta to Mandir kafi uchchai pe hota hai..........
Sujal (
runs and climbing the stairs); yeh Kashish bhi na.......kuch bhi sochti rehti hai.........pagal ho gayi hai........use apna na sahi lekin bache ka bhi zara khayal nahi.........Jab sujal kisi se takrata hai............
Sujal: I am sorry.....
Person turns around and it is not other than Akshat.......
Akshat: Sujalbhaiyaa aap..........is tarah bhagte bhagte kaha ja rahe hai.........
Charu (
interrupts): Akshat chalo .........are aap yaha........Sujal: woh Kashish.........ghar se yaha pedal chal ke aayi hai aur ghar yaha se bahot durr hai........aur phir is halat me uska itni sidiyaa chadna.....
Charu; Is halat me........
Sujal: Kashish maa bannewali hai aur doctor ne use aaram karne ko kaha hai lekin woh meri ek nahi sunti.........use lagta hai yeh sab karne se uski manate puri ho jayegi........lekin use ab yeh swikarna hoga ki sach kya hai.........main aap logo se bad me baat karta hoon filhaal main Kashish ko rokta hoon........
Sujal climbs the stairs along with Akshat and Charu..........jab woh log mandir pahunchte hai to dekhte hai ki Kashish ped ke chakar lagake dhaga bandh rahi hoti hai...........
Sujal: Kashish yeh sab kya ho raha hai......
Lekin Kashish kuch jawaab hi nahi deti...........apne kam me lagi rehti hai jab Panditjee sujal ke pass aate hai.......
Panditjee: aap jante hai ise........
Sujal: Haa .........meri patni hai..............
Panditjee: Bahot kismatwale ho.............bahot hi pyaar karti hai apne sindoor se........jab maine kaha ki is ped pe dhaga bandhne se uski shaadi ka atoot bandhan aur bhi majboot ho jaye to subah se is ped ke chakar lagake dhaga bandh rahi hai.........bina kisi pani ya khaye .........bhagwan unki murade puri kare...........
Jab Kashish apna pura kam karke sujal ke pass aati hai..........
Kashish: Sujal tum yahaan.......
Sujal: tum pehle batao ki tum yahaa kya kar rahi ho.......kaka ne bataya ki tum 7 km chal ke aayi ho........aur phir upper se yeh sidiyaan.......kashish tumhe apne saath ab us masoom ka bhi khayal rakhna hai..........
Kashish: Sujal tumse jyada mere liye aur koi mayne nahin rakhta aur is waqt mere bache ko maa ke saath uske pita ki bhi zaroorat hai..........yeh sab kuch main usi ke liye to kar rahi hoon........
Charu: agar aapko apna khayal na ho to kum se kum us masoom pe to rahem kariye,.......
Kashish: Charu.......agar mere khayal na rakhne se kisi ek ki jaan jati hai to tumhare zidd ke karan yaha pe teen logo ki jaan ja sakti hai.......kyunki Kashish aur uske kokh me palnewala bacha agar jee sakte hai to sirf sujal ke saath warna hum bhi jite ji mar jayenge.........charu abhi soch lo ........tum akshat ko rok ke teen maut ki tum jimedar hogi.........aur ek baat yaad rakhna ki kal mere jagah tum bhi ho sakti ho.......haa main manti hoon ki main swarthi hoon lekin mere swarth ke piche kisi ki jaan bachti hai lekin tumhare swarth ke aage teen logo ki jaan ja rahi hai....Charu ab faisla tumhe karna hai ki tumhe kya sahi lag raha hai aur kya nahi.........agar tumhe lage ki meri baat me zara sa bhi sach hai to yeh mera card hai ek phone kar dena........aur agar tumne phone na kiya to main dubara kabhi tumhe apni sakal nahin dikhaungi..........jate jate sirf itna hi kahungi ki faisla ek aurat banke karna........akshat ki patni banke nahi..........chalo sujal.........
Sujal aur kashish waha se chale jate hai..........
************************************************************ ***********************************
Akshat: Woh bilkul thik hi keh rahe the.......hume kisi ki zindagi bachane ka adhikar hai lekin kisi ki zindagi lena hamare haath me nahi........tum muje rok ke kitna bada paap kar rahi ho.........tum ek aisi jaan ko mar rahi ho jisne abhi tak is duniya me janam nahi liya........jab woh bacha bada hoga aur unhe pata chalega ki hum uske pita ko bacha sakte the to kya us bache se apni nazar tum mila paogi......socho kal ko tum maa banogi kya tum apne samne apne bache aur uske pita ko marte dekh paogi.........hum to kashishjee ke dil ka haal samaj sakte hai lekin uske liye ek ek pal bahri hai...........charu jo bhi faisla lo woh bahot hi soch samaj ke karna...........waise main tumhare khilaf jaa sakta hoon lekin shaadi karte waqt tumhare her faisle ka saath dene ka vachan liya tha..........tum pooja karke aao main tumhara yahee pe intzaar karta hoon..........
Charu jake pooja karne lagti hai lekin abhi bhi akshat ke labzo ne use pareshan karke rakha tha.............
Comments (7)
nice part..good going..indeed very interesting...keep up the good work going... do post the next part soon.. me waiting for it eagerly... sun_42339488.2450578704
16 years ago
pls cont the fic eagerly waiting for the next update. It is one of my fav fics. pls cont soon
16 years ago
superb part con't soon charu plz sujal ko bacha lo!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
16 years ago
wowwwwww awesome part kashish !!!!!!!!!!!!.....kashish 7km akele chal kegae mandir sujal ke liye, wo bhi is halat me !!!...really admire her spirit ! ..........bechare sujal bhi pareshaan hogaya kashish ke na hone pe .......they get so worried if any of them is missing for even a second , yaar kuch karo they can't be seperated ...!!!!! hate that charu , why can't she put herself in kashish place ??? then she will understand what she's going trough !!!...........agree wt nikki she's not the one giving her marrow bone 2 sujal !..... akshat is will to , he can go against her wish , but he's just not going coz of the promise he took while getting married to her !!!.......she's lucky that he's even considering her desicion in this !!! ........................i really admire kashish yaar.......the dialouges you wrote for her were awesome , u can feel that whatever she's saying is true n she's willing to do so !!!!!!!!!!!! akshat is also trying to make charu understand.....................plzzzz god give charu some brain ! ...........great going yaar !!!!!!!!!!!..........can't wait for the next part !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!.........waitting eagerly........... ...........
16 years ago
hey awesome part kashish . wowwwwwwwwwww.......7km chal ke gayi woh and that too in this condition . maana padega she has that spirit yaar . paar thik hi toh hai na kyunki jisse aap itna pyaar karte hai uske liye kuch bhi kar sakte hai and that's what she is doing . hey lekin yeh charu ko kaab akal ayegi .uffff!!! samajti kyun nahi yeh . i mean uska operation thodi horaha hai aur jiska horaha hai woh toh raazi hai na toh yeh kyun nahi maan jaati .hmmmmm........bohot bura lagta hai yaar kashish ko iss halat mein dekhkaar . i wish ki jaldi se charu maan jaaye iss saab ke liye . the part was great !!!continue soon yaar plzzzzzzzzzzzz........................can't wait any longer.bye.takecare.
16 years ago
wonderful part its great that u contd.
16 years ago
hey lovely part hope charu manjaye aur sujal bach jaye. cont soon
16 years ago