Chapter 57

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-57

Sujal aur Kashish andar aate hai.............Kashish jab kapde badal ke bahar aati hai to dekhti hai ki Sujal so gaya hai..............Kashish uske pass jakar so jati hai.............Kashish Sujal ki aur dekhti hai phir dusri aur dekhke apne aanshu nahi rok pati............Sujal Kashish ke rone ki aawaz se kashish ko apni aur karta hai.........

Sujal: Kashish..........tum ro kyun rahi ho..........

Kashish (hugs him tight): Sujal.............pata nahi..........darr lagta hai.........tumse durr hone ka..........

Sujal (takes her in his arms): Kashish tum to meri himmat ho ab...........agar tum aise darr jaogi to mera kya hoga..............

Kashish: lekin her waqt kyun mere saath aisa hota hai...........kyun muje zindagi ke her mod pe kasauti deni hoti hai............main dekhti hoon ki sab log kitni sukoon ki zindagi jite hai.........Angad aur Kripa ko hi lelo........humari zindagi me hi aisa kyun............tumhe yaad hai jab hum pehli bar mile the ..........

Sujal: us pal ko main kaise bhul sakta hoon..............maine kabhi socha bhi nahi tha ki us din main apni zindagi se mila hoon........

Kashish: yakeen to muje bhi nahi tha...........lekin jab tumse durr wapas apne ghar ja rahi thi tab aisa laga ki koi apna piche chut raha hai.............

Sujal: hum hamesha milke bhi bichdte rahe...........yeh taqdeer ka anokha khel hai................woh hamesha hume milata raha lekin asal main woh upperwala chahta hi nahi tha ki hum mile.........lekin woh tumhare pyaar ke aage hamesha juk jata hai.............kashish maine kabhi nahin socha tha ki koi muje deewano ki tarah chahega.............

Kashish: Tumse milne ke bad main apne aap me puri ho gayi..........maine zindagi me hamesha jo chaha woh muje mila hai.............maine hamesha se tumhare naam ka sindoor manga tha aur woh muje mil gaya.............tumhare bache ki maa banne ke khawab dekha tha aur woh bhi tumne pura ker diya............

Sujal: Tum to aise keh rahi ho jaise sab kuch maine kiya................

Kashish (hits him on his arm): sujal.........tum bhi na...........bahot maza aata hai na muje ched ne me...........

Sujal: bahot hi janti ho kyun............kyunki tum bahot hi achchi lagti ho sharmate huye............aur jab tumhe hasna aata ho aur tum use sharm se rokke rakhti ho tab tumhari aankhein dekhne layak hoti hai...........jab bhi tum subah apni aankhein kholke kuch bhi dekhne se pehle muje dekhkar jab muskurati ho tab tum bahot hi khubsurat lagti ho.............

Kashish: tum to muje mujse bhi behtar jante ho.............

Sujal: tum bhi to muje mujse jyada pehchanti ho.................

Kashish: kyunki humme ek dusre ki parchai basti hai..................

Sujal: I love u kashish...........

Kashish: I love u Sujal............

Kashish sujal ke khandhe pe sir rakh ke so jati hai.........

************************************************************ *************

Agli subah Kashish naha ke jab washroom se bahar nikalti hai........

to dekhti hai ki Sujal abhi bhi soya hua hota hai............

Kashish(apne aap se): ab main kamzor nahi ban sakti...........muje ab yeh jung kisi bhi haal me jitna hai........apne liye......sujal ke liye.......hamare is ristey ke liye...........hamare aanewale bache ke liye.........

Kashish Sujal ke pass jake bethti hai......

Kashish (runs her fingers in his hair): Sujal........utho.......

Sujal (puts his head in her lap): kashish thodi dair aur..........

Kashish: dekho subah ke naav bajne ko aaye hai..........ab to utho......

Sujal: Kashish kitne dino bad aise sukoon se neend aayi hai..........phir bata nahi aise kabhi aaye ya na.......

Kashish: aisa nahi kehte........aaj keh diya to keh diya........aainda kabhi nahi........

Sujal: sach to yahi hai.......

Kashish: Nahi sujal.......main aisa nahi manti.........hume kisi aakhir se pahuchne se pehle uske anth ke bare nahi sochna chahiye.....tum ab yeh sab chodo....yaad hai na hume tumhare doctor se milne jana hai..........

Sujal: Kashish...........maine tumhe kal bhi bataya tha ki unse milne se ab koi faiyda nahin.................

Kashish naraz hoke khidaki ke pass khadi ho jati hai.......

Sujal: kashish.......

Kashish: ple.........kam se kam mere dil ko tasli ho jayegi..........aur phir tumne meri aur hamare bache ki kasam khai thi ki tum wohi karonge jo hum kahenge............ple le chalo na muje........

Sujal: thik hai............main taiyaar hone ke bad tumhe le chalta hoon.................

Kashish: thik hai main tumhare kapde nikalti hoon............

************************************************************ *************

Sujal jab washroom se bahar aata hai dekhta hi Kashish ne uske liye suit aur tie nikal ke rakha hai.........Sujal suit pehnne ke baad tie ko haath me lekar

Sujal: Kashish................kashish............

Kashish (comes from downstairs): Kya hai..........

Sujal: yeh tie kaun bandhega...........

Kashish ;uffo...........sujal itna bhi nahi kar sakte...........jab main yaha nahi thi tab kya karte the.............

Sujal: tab main tie hi nahi pehnta tha..........

Kashish : kya................sach.........

Sujal: kyun.........yakeen nahi hota.......

Kashish: nahi main to sirf soch rahi hoon ki Sujal Garewal bina tie ke office gaya........

Sujal : kaha tha na maine ki tie bandhna aur nikalna tumhara kaam hai..............

Kashish (tie the knot): aur kuch kaam nahi hai muje jo main tumhare yeh tie sambhalne ka kaam karoon.............

Sujal (kashish ki aankhoin me dekhkar): ab kuch aur din tak hi tumhe yeh kaam karna hoga..........

Kashish (realised): Sujal.........mera woh matlab nahi tha............aur tum jante ho ki main kabhi aisa soch bhi nahi sakti.............

Sujal: janta hoon........main to aise hi keh raha tha...........chale dair ho rahi hai...........

Kashish; hmmmmmm.................

************************************************************ *************

Sujal aur Kashish doctor ki office me bethe huye hote hai............jab doctor aata hai..........

Doctor: hello..........Mr. Garewal............aur aap ..........Mrs. Garewal......

Kashish: jee..............main yaha aap se Sujal ke bare me baat karne aayi hoon...........kya koi aisa ilaj nahi jisse hum sujal ki jaan ko bacha sake.........

Doctor: Maine pehle hi Mr. Garewal se kaha tha ki ab bahot dair ho gayi hai lekin abhi bhi hum kuch kar sakte hai...........agar Mr. Garewal ke koi biological person unhe apna bone marrow tranfer kar sake to.........

Kashish: Biological matalb.............Sujal ke parents ........

Doctor: jee haa...........unke parents ho sakte hai ya phir unke bhai behen...........lekin yeh process bahot hi dard bahri hai aur usme dono ki jaan ko khatra ho sakta hai.................

Sujal: main kabhi mom ko isse ke liye nahin keh sakta..........jisme uski jaan ko koi khatra ho...........

Kashish: lekin sujal yeh socho ki agar tumhara operation kamyab hua to............

Doctor: Mrs. Garewal bilkul thik keh rahi hai.............

Kashish: Doctor hum aapko phone karke aapna faisla batayenge...........

Doctor: thik hai lekin aap ke pass waqt bahot kam hai........filhal main aapko yeh dawa likh deta hoon jab bhi Mr.garewal ki halat bahot kharab ho tab yeh unhe de dijiye...............aur aap jitna jaldi ho sake operation ke liye koi faisla kare...........

Sujal; thik hai.......chale kashish

Doctor: take care,,,,,,,,,,

************************************************************ *************

Sujal aur Kashish ghar aate hai..........jaha Prerna, Angad aur Kripa hall me bethkar baatein kar rahe the............

Prerna: are tum log aa gaye.............itni subah subah kaha chale gaye the........aaj pata hai maine Angad aur Kripa ko bhi ghar se nahi jane diya...........aaj hum sab log milke Mandir jayenge .......maine Is bache ke liye pooja rakhwayi hai..........
Kashish: mama aap se kuch mangne aayi hoon..........

Prerna: mang na kya baat hai...........aur kya main kabhi apni beti ko mana kar sakti hoon.......

Kashish: Nahi mama...........nahi main aaj aapki beti banke aayi hoon.............nahi aap ki bahu..............aaj main ek aurat banke aap se kuch mangti hoon...........

Prerna: aise behki behki kya baatein kar rahi hai..........jo kehna hai saaf saaf bata........

Kashish: main aapse apne sindoor ki zindagi aur apne khokh me palnewale bache ke pita ki zindagi mangti hoon................kya aap de payegi..........

Prerna; yeh kya bol rahi ho.........

Kashish: mama..........Sujal ko blood cancer hai...........aur aap hi hai jo mere suhaag ko bacha sakti hai........

Prerna (shocked): kya...........tum pagal ho gayi ho...........yeh kaise ho sakta hai......

Kashish: mama yeh sach hai............aap hi ho jo sujal ko bacha sakte ho..........kyunki aap hi ek insaan ho jisse sujal ka khoon se rishta hai...........agar aap apna bone marrow sujak ko de sake to sujal bach sakta hai..............mama main aapke aage apni zindagi mang rahi ho..........kuch to kahiye...........

Prerna: nahi main aisa nahi kar sakti...........

Kashish: aap ker sakti hai...........kyunki aap bhi ek maa hai aur ek maa ke liye apne bache se jyada kuch nahi hota............ek maa hoti hai jo apne bache ke liye khushi khushi apni jaan deti hai aur ek aap hai jo apne bete ki madad bhi karna nahin chahti...........kaise maa hai aap...........aur kyun aap yeh nahi kar sakti..........aap ko muje yeh waje batani hi hogi..........boliye na chup kyun hai aap.........

Prerna: Kyunki ki main sujal ki maa nahi hoon..............nahi sujal mera beta hai..............

Sujal: kya kaha..........

Prerna:haa........Sujal............yeh sach hai ki tum mere bete ho lekin maine tumhe janam nahi diya.............main to kabhi maa hi nahi ban sakti thi is liye maine aur Anurag ne tumhe adopt kiya tha.......

Sujal: aapne mujse itni badi baat chupayi.............

Prerna: tumhare papa hamesha tumhe batana chahte the lekin main hi thi jo use na karti rahi...........aur usi din bhi yahi baat ko leke hamare bich zagda hua aur woh hume chodke chale gaye......

Sujal: muje samaj jana chahiye tha ki Papa kya kehna chahte the.......lekin aapne itna bada sach chupake aapne mere dil ko bahot dhukhaya hai..........kya aapko darr tha ki muje pata chalega to mera pyaar aapke liye kam ho jayega..........itna bhi yakeen nahi tha aapko............

Sujal yeh kehke apne kamre main chala jata hai aur uske piche kashish jane lagti hai.......

Prerna: ruko Kashish..........main tumhari kuch madad kar sakti hoon............

Kashish: kaise.........

Prerna: jab humlog St. Joseph orphan house pahunche to humne dekha ki ek teen saal ka ladka ped ke neche betha ro raha hai jab humne waha ke ek sister se pucha to unhone kaha ki agle din koi aake unke bhai ko koi adopt karke le gaya hai..........isi liye woh ro raha tha...........woh ladka koi aur nahi sujal tha jo apne bhai ke liye ro raha tha.............

Kripa: lekin isse kya madad ho sakti hai.........

Prerna: sujal ka agar kisi se khoon ka rishta hai to sirf uske bhai se.............agar hum sujal ke bhai ko dhund sake to hum apne sujal ko bacha sakte hai..........

Kashish: lekin hum use khojenge kaha.............

Angad; her anathalay me kab kis bache ko kisne adopt kiya uske sare record rakhte hai..........hum kal hi jake uska pata lagate hai..........tum ghabrao mat sab kuch thik ho jayega.........is waqt tum sujal ke pass jao use tumhari zaroorat hai............

Kashish apna sir hilake andar chali jati hai..............

************************************************************ *************

Kashish andar jake Sujal ko dekhti hai jo Khidki se bahar andheri raat me kahi khoya hua hota hai..............

Kashish pehle apne kapde badalke Sujal ke pass jati hai.............

Kashish (sujal ke kandhe pe haath rakhke): Sujal..........

Sujal: Aaj Sujal Garewal ne apni pehchaan aur gurur bhi kho diya............

Kashish: Mere liye tum aaj bhi wahi Sujal ho........kuje koi fark nahi padta ki tum garewal ho ya koi aur.......muje sirf mere sujal se matlab hai..........

Sujal:Kashish......muje dukh is baat ka nahi ki mama papa mere sage maa-baap nahi........dukh hai to is baat ka ki itne saaloin ke bad bhi main unka vishwas jeet na saka......

Kashish: Nahi Sujal aisi baat nahi hai..........main mama ko samaj sakti hoon........ek maa ko apne bete ko dene se jyada kya darr ho sakta hai.......agar tum unke nazare se dekhoge to galat nahi hai..........

Sujal: tum thik keh rahi ho........maine shayad mama ko hi dukh pahuncha diya.........

Kashish: woh maa hai woh tumhe kabhi galat nahi samjegi..........

Sujal: lekin ....main papa ki baat ko bhi kabhi nahi samaj paya......aakhri waqt me papa jo kehna chahte the woh keh nahi paye........aaj kahi na kahi unke maut ka jimedar khud ko samajta hoon main.....'

Kashish: yeh kehke tum papa ki aatma ko taklef pahuncha rahe ho.......papa yeh kabhi nahi seh sakte ki tum apne aap ko aise jimedar mano.......

Sujal: kashish aaj main har gaya.......khud se ..

Sujal yeh kehke neeche bethke rone lagta hai.........

Kashish(sits next to him): Sujal...........tum is tarah tut gaye to mera kya hoga...........

Sujal: Kashish........main apne bache ko to dekh sakunga na.............

Kashish: kaisi baat kar rahe ho..........zaroor dekhoge tum uska chehara............

Sujal: Kashish........ab zindagi piche chutti dikh rahi hai............

Kashish: Nahi Sujal.........abhi maine apni himmat nahi hari..........

Sujal: Kashish.........ple muje apne se durr mat hone dena............

Kashish (hugs him tight): kya main tumhe kabhi apne aap se alag hone de sakti hoon..........nahi sujal.........pyaar karti hoon main tumse........zindagi ho tum mere.........samje tum ........kuch nahi hoga tumhe.......

Sujal kashish ke god me apna sir rakh ke kashish ka haath pakad ke so jata hai...........kashish sujal ke baaloin ko sehlane lagti hai...........thodi dair bad sujal wahi pe so jata hai..........aur kashish ke aankh se aanshu girte hai............

 

goodkashish39636.7799189815

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (4)

really nice part keep it up yaar the emotions were so well described luved them aurr i hope k sujal ka woh bhai mil jaye aur sujal theek ho ajye bechara iak to bemari upar se garewal na hone ka gham bhi per itsok kashish is there wid him na woh usko kabhi tutne nahi degi i knw

16 years ago

wonderful part!!!!!!!! so i guess only one last hope now... i really hope Sujal's biological brother is found soon...!!!! and btw can u plz send me the vid of the pics at the end of the part...??

16 years ago

kyun hua aisa. whyyyyy??? why????? always with sujal kashish this all happens .baar baar takleefon ka samna,maut ka saamna unhe hi karna padta hai.pehele kashish ki halat aur abb sujal ki .okkkk....they have to live their life in peace now . sujal has to get better any how . kashish plzzzzzzzzz........usse thik kar do na yaar .i can't see them dying every second . abb baat sirf kashish ki nahi hai uss bache ki bhi hai joh kashish ke andar paal raha hai .joh kuch bhi aage hoga uska aasar kashish paar hi nahi balki sabse zyada hone wale bache paar hi hoga .sujal ko bachao yaar it's a request . aur agar nahi toh phir yehi acha hai ki sujal aur kashish ka bacha iss duniya mein na aaye . because i can't see a baby without his/her dad. jab aisa hota hai na toh bohot takleef hoti hai .i really know this all and have seen such cases in my life . issiliye i want ki sujal kaise bhi karke bach jaye .baar baar mushkiley unhe nahi milni chaiye .i know ki sujal aur kashish iss toofan ko paar karke rahege .they have too in any case .sujal ka woh bhai jaror milega aur usse bone marrow dena hi hoga .the part was well written but really sad and disappointing .it was great !!!continue soon yaar plzzzzzzzzzzzz..........can't wait any longer.bye.takecare.

16 years ago


very nice..all the emotions are extremely well-portrayed... do post the next part soon..me waiting for it eagerly... sun_42339412.0797569444

16 years ago

Top