Chapter 51

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-51

Aaj Anurag ke chale jane ko pura ek mahina ho gaya hai.........Sujal aur Angad office ko sambhalne me itne busy ho gaye hai ki kabhi kabhi to raat ko gayarah baje ke bad aate hai.........Jaise kisi ko is ghar ki khushiyon ko nazar lag gayi...........kisi ke pass ek dusre se baat karne ki fursat hi nahin.........agar koi inhe ab mile to koi yakeen hi nahin kar sakta ki yeh wahi log hai jo hamesha muskurana jante the.......koi ek dusre se kaam ke alawa aur koi baat nahi karta.......

(in Kashish and Sujal's bedroom)

Sujal office ke liye taiyaar ho raha tha jab kashish waha pe aati hai.........

Kashish: Sujal ......aaj office se jaldi aa jana........

Sujal : Kyun koi khas baat hai.......

Kashish : aaj kal tumhare pass mere liye to time hi nahin.......

Sujal; saaf saaf kaho kya kaam hai...

Kashish: tumhare pass mere pass bethkar baatein karne ki to furshad hi nahin..........

Sujal: kashish.....muje dair ho rahi hai..........tumhe jo kehna hai jaldi kaho.......

Kashish: Aaj sham ko mama ko leke doctor ke pass jane hai.........routine check up ke liye...........ho sake to ghar pe jaldi aa jana.....

Sujal: thik hai........main chalta hoon..........bye

Kashish: bye........lunch time pe kar lena.........

************************************************************ ***************************

(in the hall)

Prerna sofe pe beth ke newspaper padh rahi thi jab Kripa aur Kashish office ke liye nikalte hai.....

Kripa: mama hum chalte hai.......

Kashish: mama aap sham ko taiyaar rehna aapki aaj doctor ki apoinment hai.......

Prerna: Lekin tumhari to aaj bahot important meeting hai....

Kashish: koi baat nahin........kripa sambhal legi........kyun kripa.........

Kripa: mama aap phikar mat kariye......main sab kuch dekh lungi......

Kashish: Mama aap se badhkar hamare liye aur kuch nahin..........

Prerna; Bahot kismatwali hoon jo tum jaisi bahuye mili hai muje............

Kripa: achcha ab hum chalte hai lekin khana time pe kha lena aur dopahar ko thodi dair aaram bhi kar lena.........bye mama

Kashish: bye..........

Prerna: bye beta..........sambhalke jana..........

************************************************************ ***************************

(In Garewal Industries)

Angad: Sujal yeh hamare naye project ki file hai........ise ek baar padh lena........

Sujal: tumne padh liya mere liye kafi hai........

Angad: kisi pe bandh aakhon se yakeen nahin karte chahe woh kitne hamare apne ho........

Sujal: main kuch nahin janta tumne padh liya mere liye kafi hai.........ab bata sign kaha karna hai........

Angad: yahaan.....

Sujal (signs it): sun aaj sham ko main ghar jaldi ja raha hoon.........Mama ko doctor ke pass lejana hai.......

Angad: thik hai tu befikar ja........office ko main sambhal lunga.........

Sujal: thanks

Angad: not a problem......

************************************************************ ***************************

It is six o' clock in the evening...........kashish and prerna are waiting for sujal.....

Kashish: Mama.......sham ke paanch baje aane ko kaha tha ........yeh dekho che baj gaye hai...........sujal abhi tak nahin aaya.......

Prerna: tune use kaha to tha.

Kashish: mama.........maine aaj subah hi yaad dilaya tha aur maine use lunch pe bhi phone kiya tha..........

Prerna: kashish..........tu to janti hai ki woh kitna busy hai aaj kal.........

Kashish: mama.........busy to main bhi hoon........lekin aakhir parivar to parivar hota hai na...........aap se hi shikha hai ki parivar pehle baki sab bad me........

Prerna: ab tu shant hoja............aur ab chal hum hi akele chale jate hai........

Kashish: aap thik keh rahi hai.........

Kashish aur prerna hospital ke liye nikal jate hai..........

************************************************************ ***************************

(In Kashish aur sujal's bedroom)

Raat ke dus baj gaye hai aur kashish sujal ka intazar kar rahi hai...........jab sujal kamre me aata hai.........

Sujal: kashish tum abhi tak soyi nahin.........

Kashish: Kaise so sakti hoon jab mera pati raat ke dus dus baje tak ghar nahin aata..........Kya karoon mere pati ko to ghar ki phikar nahin is liye muje hi sab kuch sambhalna padta hai........

Sujal: Kya matlab ki main apni jimedariyon se durr bhagta hoon......

Kashish: aisa hi kuch.......

Kashish was about to leave when sujal holds his hand.....

SUjal: matlab kya hai

Kashish: shayad aaj maine tumse ek chota sa kaam kaha tha ki ghar sham ko jaldi aajana hume mama ko doctor ke pass lejana hai.........lekin tum bhul gaye.........

Sujal: oh...........i am so sorry........agli bar aisi galti nahin hogi.........woh aaj ek meeting me main........

Kashish (hath ko chudate huye): Meeting to meri bhi thi lekin hume apna time nikalna padta hai..........maine tumhe mere liye nahin balke mama ke liye kaha tha..........shayad tum bhul gaye hi ki ab mama hamari jimedari hai.........

Sujal: Woh kaam hi kuch itna tha ki........

Kashish: Sujal hum is bare me baat nahi kare to achcha hai.........

Sujal: ple kashish is bar maf kar do............tum chahe to muje saza do.....

Kashish: thik hai........agar kal tumhe yaad rahe to reports le aana.......waise tumhare pass to waqt hi nahin hota mere liye...........

Sujal: kashish tum bat ko kaha se kaha leja rahi ho......

Kashish: main bat ko badha rahi hoon..........sari baat to tum pe shuru hoke tumpe khatam hoti hai................galti tumne ki aur tum keh rahe ho ki main baat ko badhawa de rahi hoon.........

Sujal: Kashish hum subaah bat karenge tum jake so jao...........tum janti nahin ki tum kya bol rahi ho........

Kashish: Tum hara matalb ki main hosh main nahin hoon.........

Sujal: haa.........tum apna dimag kho bethi ho.........

Kashish: Thik hai ab hum subah hi baat karenge..........agar mera dimag thik raha to......

Kashish yeh kehke apni side jake so jati hai..........aur sujal apne kapde leke wash room me chala jata hai................

************************************************************ ***************************

It is pretty good morning but not for Sujal and kashish........

(in their bedroom)

Kashish: Main office ja rahi hoon.........meri aaj ek bahot important meeting hai...........yaad rahe to mama ki reports lani hai............bye

Sujal: kashish.......

Kashish: hmmmm

Sujal: kya hum kal ke bare me baat kar sakte hai.......

Kashish: muje us bare me koi baat nahin karni.........main chalti hoon.......bye

Sujal: bye..........

************************************************************ ***************************

Sujal office se jate pehle hospital jata hai............

Sujal (to the reception girl): Main yahan pe Prerna Garewal ki reports lene aaya hoon.........

R: Jee main abhi dekhti hoon.............

Sujal: thik hai main yaha pe intazar karta hoon..........lekin jaldi kariye ga........

yeh kehte hi sujal ko chakkar aate hai aur woh wahi pe padi chair pe beth jata hai.....

R; Sir aap thik to hai........main abhi doctor ko bulati hoon........

Doctor: Mr. Garewal aap thik to hai.......

Sujal: jee haa .......main bilkul thik hoon..........woh kaam ke silsile me aaj kal akshar main pareshan rehta hoon is liye......

Doctor: koi baat nahin aap mere saath chaliye........main aap ka check up kar deta hoon.........

Sujal: inki koi zaroorat nahin....

Doctor: Jyada se jyada 20 minutes lagenge.......aap ple chaliye.........

Sujal went with the doctor........the doctor examines him ........

Doctor: Mr. Garewal aap sham ko aake apni reports le jayiga............

Sujal: thank you doctor.......

Doctor: you are most welcome........see u in the evening.........

************************************************************ ***************************

(in Kashish's office)

Kripa enters in it with a file .............she sees that kashish is lost somewhere.....

Kripa: kashish........

Kashish: are tum...........koi kaam tha........

Kripa: kya baat hai .........main pichle kuch din se dekh rahi hoon ki tum pareshan dikh rahi ho..........aur aaj to tumne sujal se thik se baat bhi nahin ki.........

Kashish: aisi koi baat nahin........

Kripa: tum mujse kab jooth bolne lagi......

Kashish: woh kal raat ko maine choti si baat ko bahot badi bana di............i think i am over react................

Kripa: kis bat ko leke........

Kashish: woh kal sujal mere saath mama ko leke doctor ke pass janewale the lekin woh nahin aaya aur main pichle kuch din se main us aadmi ke bare me soch rahi hoon........

Kripa: i think tum kisi aur ka gussa kisi aur pe nikal rahi ho......

Kashish: tum thik keh rahi ho...........main ghar jake sujal se baat karungi..........

Kripa: main to bhul hi gayi thi ki muje tumhare sign chahiye in pe............

Kashish signs and kripa left..........

************************************************************ ***************************

(in doctor's cabin)

Sujal: so..doctor......report aa gayi.........

Doctor: Sujal.......tumhare ghar se koi aa sakta hai......

Sujal: kya baat hai.......sab kuch thik to hai......

Doctor: I am sorry.........lekin kuch bhi thik nahin hai........

Sujal: ple doctor.......muje saaf saaf kahiye ki kya baat hai........

Doctor: I am sorry Mr. Garewal...........aap ko blood cancer hai........aap ke pass samay bahot kam hai hume foran treatment shuru karni hogi.......

Sujal: blood cancer........kaisi treatment..........

Doctor: agar pehle pata chalta to hum radiation therapy ko use kar sakte lekin ab iske liye bahot dair ho gayi............is liye hume bone marrow transfer karna hoga........

Sujal: kiska bone marrow ho sakta hai........

Doctor: Aapki maa ka kyun ki wahi hai jo aapke biological ristey se judi hai lekin yeh process bahot dardbhari ho sakti hai........aur shayad unke liye bhi jaan leva hamla ho sakta hai.........

Sujal: nahin main apne liye apni mama ko is dard se gujarne nahin dunga......

Doctor: lekin aap ke haath se waqt chala ja raha hai.......

Sujal: kitna waqt hai.......

Doctor: kam se kam do mahine aur jyada se jyada char mahine.........bone marrow transplant last option hai hamare pass.......

Sujal: aapne yeh bat kisi ko batai........

Doctor: nahin........lekin aap ko aapke gharwalo se baat karni hogi.........

Sujal: aap ple kuch mat kehna mere gharwalo se khas karke meri wife kashish ko....yeh aapse meri aakhri gujaris hai........

Doctor: main yeh to nahin kahunga ki aap jo kar rahe yeh thik hai lekin main yeh baat kisi ko nahin kahunga............lekin aap ple kal se yaha pe radiation ke liye aa jaiye ga kam se kam hum aapko aur waqt ke liye zinda rakh sakte hai............

Sujal: thik hai ab main chalta hoon.....

Doctor: r u sure ki tum akele sambhal longe.......

Sujal: mere pass waqt bahot kam hai ab nahin sambhal saka to mere parivar ka kya hoga.............muje bahot se kaam pure karne hai..........is liye muje apne aap ko sambhalna hai............

Doctor: be careful...........aur agar kuch bhi taklif ho to muje kisi bhi waqt phone kariye ga......

Sujal: jee. thank you......

Doctor: you welcome.......bye.......

Sujal was driving thinking what doctor says to him........in just a minute his world turned upside down.........he has so little time to do so many things......he doesn't know where to go..........

Sujal apni car ek sumsham sadak pe rokta hai........

sujal (apne aap se): kaise main kashish se kahunga ki main ab sirf uska saath kuch chan lamho tak hi de paunga.........kaise bataunga mama ko ki main bhudhape me uska sahara nahin bannewala.........lekin phir bhi mama ko to angad sambhal lega aur Angad ko kripa........lekin Kashish ko.......uska kya hoga........jo insan mere bigar ek waqt ka khana nahin khati woh puri zindagi mere bigar kya karegi........woh bilkul tut jayegi......kyun bhagwan .......kyun kiya aapne mere saath aisa........yeh to maine suna tha ki aap pyaar karnewale ka imtihan lete ho lekin itna kathin ki koi upay hi nahin hai..........main to jaa raha hoon lekin meri kashish ka kya hoga mere bigar.......woh nahin jii payegi.......woh vaade.......woh kasme ka kya jo maine zindagi bhar nibhane ko khayi thi......ple kashish ho sake to muje maff kar dena lekin hamara safar yahi tak hi tha..........

Kashish (apne aap se): kafi raat hogayi hai aur sujal abhi tak nahin aaya......pata nahin kaha reh gaya.........kahi woh mujse naraz to nahin.......aisa karti hoon ki main unhe phone karti hoon.......

Kashish: Hello........sujal...........kaha ho.......kab se pareshan hoon main........kya tum abhi bhi mujse naraz ho..........ha manti hoon ki maine kuch jyada hi keh diya tha.........i am sorry sujal lekin ple ghar aa jao......main tumhari narazgi seh longi lekin yeh duri mujse bardast nahin hogi....ple sujal........

Sujal (apne aap pe control karke): Kashish......main bilkul thik hoon.......bas kuch dair me ghar aata hoon..........tum pareshan mat hona aur tum so jana.........bye

Kashish: bye....

Sujal (apne aap se): Kashish yeh kuch pal ki duri seh nahin sakti woh kya puri zindagi mujse durr ho payegi........nahin woh kabhi nahin dekh payegi muje is dard me........muje kashish ko apne aap se durr karna hoga........kyunki ab yeh kuch fasle hi kashish ko himat dege apni zindagi mere bigar bitane me.........muje maff karna kashish lekin yeh main jan bujkar kar raha hoon.............

goodkashish39636.7684375

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (11)

Omg pls don't do this with my sujal,liked the part plssssss cont. soon

17 years ago

nooooooooo wayyyyyyyyyy sujal has blood cancer .but....but how can this happen .i mean aisa toh kuch pehele tha hi nahi na and ohhhhhhhhh godddddddd.....kashish ka kya hoga .shit..... everything is going worst day by day . arrrrgggggggg......... and now this sujal is upto making kashish away from him .how can he do this . i mean he can't understand or what that she can't get away from him at all . u know i wish ki sab ulta ho . like in when sujal will do something to bring distance between them kashish uske aur kareeb aani chahiye .hey yaar kashish..... plzzzzz.........do something .i mean what the hell how can this all happen with them .i wish sab kuch jaldi thik ho jaye aur dono kabhi bhi seperate na ho .the part was great !!!continue soon yaar plzzzzzzz.........can't wait any longer.bye.takecare.

17 years ago

pls cont soon just cant wait

17 years ago

yeh kya ho gaya. . feeling sad for sujal and kash. pls sujal o kuch mat hone dena. Pls kash aur sujal ko close le aao. I thin sujal is fine perhaps this is done b the person who is calling kash and he bribed the doc. a wonderful part but sad.

17 years ago

yeh kya go gaya .Pls next part jaldi post karna

17 years ago

omg, yeh kya ho gaya!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!! plz... just do something to make him alrite!!!!!!! plzzzzzzz mujhe sujal ko khona nahi hai!!!!!! plz continue soon!!!!!!

17 years ago

noooooooooooooooooooo plzzzzzzzzz kuch karo........usse theek karo .....kashish ka kya hoga.......

17 years ago

awesome part kashish!!!!!............sujal n kashish not spending time wt each other as before ..........they have changed after anurag's death or too busy ........can't believe that sujal has blood cancer ....that can't be possible yaar .....he's going to keep distance from kashish n hurt her n more himself like that ...........plzzzzzzzzzzzz do something plzzzzzzzz.................can't wwait

17 years ago

Omg blood cancer didn't they went thru enough already now he's gonna distance her frm him well he should know that it is much more painful for kashish than learning abt his cancer hope they get thru this somehow cont soon can't wait 4 the next part

17 years ago

NOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOO! you are kidding right....sujal cannot die....no he cannot....i am so sad yaar why is all this tragedy happening...first anu..and now sujal...noway...prena is brokenad n now kash will be broken too and that before his dying, god he is going to hurt kash...so she can go away from him.....plz yaar...chnage the story... ami_princess39364.8353935185

17 years ago

Top