Chapter 48

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-48

Aaj kashish aur sujal ko wapis aaye huye do hafte ho gaye the.........dono ki zindagi sach mano to kisi jannat se kam nahin thi...........zindagi ke har mod pe khushi hi khushi bhikhri padi hai............Shayad kashish khushi ko samette huye sab kuch bhul gayi thi.............waise hi Angad aur kripa bhi apni alag si duniya me bahot khush the........

it is 8'o clock in the morning...........

(in Sujal and kashish's bedroom)

Kashish taiyaar hoke neeche Kripa aur Prerna ke saath breakfast bana rahi hai..........aur Sujal upper apne kamre me office ke liye taiyaar ho raha hai..........Kashish sujal ko breakfast ke liye upper apne kamre me bulane ke liye aati hai..............kashish aake dekhti hai to sujal do tie ko leke confuss hota hai.........

Kashish sujal ko dekhi hi ja rahi thi.........

sujal kashish ko do tie haath me leke dekhta hai.......

Sujal: aise muskura kyun rahi ho..........

kashish: tumhari haalat pe...........bacho ki tarah confuss ho......lekin bahot hi cute lag rahe ho............

Sujal: ab muskurana bandh karo aur aake meri madad karo...........

Sujal (putting his hands on her waist): ab jaldi karo na.......muje dair ho rahi hai.....

Kashish (putting tie around his neck): itna bhi nahin kar sakte mere bina.........pata nahin kal kya hoga jab main nahin rahungi........

Sujal : kya matlab tum kaha ja rahi ho.......

Kashish (tieing the knot): jab main hamesha ke liye is duniya se chali jaungi tab kya karonge.......

Sujal (pulls her close); is baahoin se tumhe jane dunga tab na..........

Kashish: mera bas chale to main meri zindagi ki her ek sans tumhari baahoin me guzaru..............is baahoin me muje jo sukun milta hai..........woh aur kahi nahin...........

Sujal: sach me kashish main bhi tumhe itna pyaar karna chahta hoon ki ek din tum mujse tang aa jaogi........

Kashish: aisa kabhi nahin hoga........main her pal tumhare pyaar ko mehsoos karna chahti hoon........kya mera saath isi tarah donge na....

Sujal: agar aise hi muje pyaar karti rahogi to main office kaise jaunga.......

Kashish(hugs him): tum aur tumhari shararat kabhi baj nahin aaoge.........ab chalo neeche mama aur papa hamara intazar kar rahe honge........

Sujal: chalo.........

************************************************************ **********************

(at the dining table)

sab log breakfast kar rahe hai.........

Prerna: Kashish.........kya tumhari Anjali se koi baat huyi..........

Kashish: nahin mama.............do din pehle baat huyi thi lekin kya koi kaam tha........

Prerna: nahin to bas aise hi..........uski tabiyat to thik hai na.........

Kripa: mama aap fikar mat karo meri kal subaah baat huyi thi..............doctor ke yahaa se hi aayi thi..........sab kuch normal hai............

Prerna; bhagwan ka shukar hai ki ab sab kuch thik ho jaye uski delivary tak.........

Anurag; Waise main aap logo ko kehna bhul gaya............aaj sham ko hum sab ko Mr. kapoor ke yahaan ek party me jana hai...........to aap log thik saat baje taiyaar rehna..........

Sujal: kaun Mr. Kapoor,,,,,,,,,,

Anurag: hai mere ek dost...........

Angad: aaj se pehle kabhi nahin suna.........

Anurag: woh is liye kyunki aaj se pehle woh log banglore me rehte the.........pichle hafte hi yahaan shift huye hai............

prerna; aap log kab tak aa jayenge........

Anurag: hum log 6 baje se pehle aa jayenge phir saath me hi chalege.......

Kashish: papa yeh party kis khushi me hai........

Anurag: woh apne naye ghar aur naye office ke liye hai..........

Kripa: thik hai papa hum log taiyaar rahenge.........

Anurag: thik hai to hum log chalte hai.............bye....

sujal: bye..........

Angad: bye...........girlfriends.........

Kashish, prerna aur kripa: Angaddddddddddd...........................

************************************************************ **********************

It is 6:30 in the evening........Prerna, kashish aur kripa teeno Anurag, sujal aur angad ka intzaar kar rahi thi......

kripa: mama...........sade che baj gaye aur yeh log abhi tak nahin aaye.........

Kashish: maine cell phone pe bhi try kiya aur office me bhi lekin koi phone utha hi nahin raha................pata nahin kaha hoge yeh log......

Prerna (worried): kuch nahin sab kuch thik hi hoga..........tum pareshan mat ho........

Kripa: mama........aap hume pareshan hone ko nahin kehti lekin khud kitna pareshan ho rahi hai.............aap ple beth jaiye.........

Jab teeno andar aate hai.........

Prerna; kaha reh gaye the aap log........kab se hum aap logo ko contact karne ki koshish kar rahe hai.......lekin aap logo ko koi fikar hi nahin........

Kripa: kam se kam ek phone hi kar dete ki aaj aap log late aanewale hai.........

Kashish: jane do na is baar.........main jimedari leti hhon ki aainda yeh log aisi galti nahin karegi...........(looking at guys) ..........sahi kaha na........

Angad: ya mom.........ple........

Sujal: sorry mom..........is baar jane do na........

Anurag: kya.......prerna.........ab bache hai..........jane bhi do aur chalo chalna nahin hai kya.........

Prerna: is baar aap sab log kashish ki waje se bach gaye......lekin aaida nahin..........ab jao aur jake taiyaar ho jao...............

************************************************************ **********************

After some time they reached the party.............the party is looking like page 3 party..........anurag went on the stage and

Anurag: Ledies and gentleman..........may i have your attention ple...........Kashish, kripa ple come to the stage .........

Kashish aur kripa dono stage pe jate hai.......

Anurag (giving them keys): yeh chabiyaan tumhare KnK fashion boutique and magazine ki ...................

Kashish and kripa are surprized to hear this great news.......

kashish: papa yeh sab.......

Anurag; yeh meri taraf se meri betiyon ke liye ek chota sa tofa..........pasand aaya mera tohfa.....

Kripa: pasand............yeh to hamesha se hum chahte the ki hamari ek own fashion line ho hamari fashion magazine ho...............thank you papa............

Anurag: betiyaan apne pita se thanks nahin balke gale lagti hai........

kashish aur kripa dono anurag ke gale lagti hai........

************************************************************ **********************

After some time........

Kashish aur sujal dono khade hokar baat kar rahe the.....

Sujal: to ab Mrs. Kashish Sujal Garewal bhi apna khud ka business karegi...........good........lekin shayad ab meri value ghar me kam ho jayegi ab........

Kashish; kyun.......

Sujal: ab se pehle smart businessman me hi tha ghar me ab tum jo aa gayi ho.......

Kashish: sab kuch tum se hi to shikha hai........

Sujal: sab kuch to nahin........

Kashish: kya matlab........

Sujal: abhi bhi tumhe sujal garewal ke romance karne ka tarekaa jo shikhna hai........

Kashish: tumne shikh liya yahi kafi hai............main chalti hoon....

Sujal: ruko to kaha ja rahi ho.......

Kashish: kripa ke pass..........

************************************************************ **********************

Angad: to Mrs. kashish garewal furshad mil gayi aap ko apne pati dev se........

Kashish: aisi bat nayi hai.......

Angad: woh to main janta hoon ki kya baat hai...

Kashish; kripa..........tumhare pati se jitna namumkin hai..........

Kripa: janti hoon........angad ko mere alawa aur koi zel bhi nahin sakta........

Sujal: yeh baat hai to thik hai le jata hoon main mere dost ko........

Kashish; hamara yeh matlab nahin tha...........

Sujal: janta hoon..........ab to aap log hamare sir pe chad jayegi........

Angad: just like page 3 celebrities........

Kripa: woh to hum hai hi.....

Kashish: nahin hum log kitne bhi success ho lekin hum hamesha hamari pehchan apne pati ke naam se pasand karegi.........

Angad: that is so sweet...........shikho kuch apni jethani se........

Tringg...........tringg...........

Angad: hello..........

Angad (worried): thik hai main aata hoon........

Sujal: angad sab kuch thik to hai......

Angad (tears in his eyes): Sujal...........mumbai se vasuji ka phone tha............Dad is no more...........muje abhi nikalna hoga.......

Sujal: ruko hum sab log chalte hai.......

Angad: thik hai.........main Kripa aur kashish ko leke ghar jata hoon...........tum Mama aur papa ko leke ghar pahoncho..........

Sujal: thik hai........

************************************************************ **********************

After some time everyone reaches at Mumbai at Khanna house where Vasu and her daughter archi is waiting for them.........the rituals take place.........evertything was done...............angad was sitting in his dad's room.........try to remember his relation with his dad...........when vasu and archi came..........

Vasu; To wapas kab ja rahe ho hamari zindagi se........

Angad; abhi dad ko gaye huye ek din bhi nahin hua ki aap........

Vasu: achchi tarah se main samajti hoon tumhe.........jab tumhara baap zinda tha to kabhi nahin aaye lekin uske jane ke baad inki jayedat ke liye.........lekin mera naam bhi vasu hai.......main yeh kabhi hone nahin dungi.........Tum is ghar ke bete kabhi the hi nahin.

Angad; just shut up..........main yahaan aapko lagta hai paiso ke liye aaya hoon........muje kya zaroorat hai aap ke paiso ki..........main yahaan sirf apne dad ki aakhri ichcha puri karne aaya hoon.........

Angad ki chilane ki aawaz sunke sab log kamre me duadke aate hai.......

prerna: kya hua sab kuch thik to hai.........

vasu: sab kuch thik nahin hai tabhi to......

Sujal: kya matlab ......

vasu; main achchi tarah se janti hoon aap sab ko........sab jaidaat ke liye.......

Prerna: enough is enough..........tumhe kya lagta hai hum yahaan sab paiso ke liye aaye hai............kya kami hai hume...........hum sab yahaan insaniyat ke nate aaye hai,.........aur kya kaha tumne angad ko woh is ghar ka beta nahin.....to thik hai.........aaj se Angad........angad Khanna nahin balke.............Angad Garewal ki naam se jana jayega............jis tarah Devaki ka beta krishna yashoda ke naam se jana jata hai waise hi aaj se angad mere bete ki naam se jana jayega..........

Vasu: agar aisa hi hai to le jao apne bete ko apne saath.........

Prerna: Sujal, Angad.......delhi wapas jane ki taiyaariyaan karo........

Sujal: jee mom.........

************************************************************ **********************

After some time everyone went to the Nanda house..........

Anjali: aap log is tarah sab log......

Prerna tells her everything........

AnjalI: oh.........I am so sorry angad............i dont know what to say.......

Angad: it is ok.............main thik hoon.......

Kashish: tumhari tabiyat ab kaisi hai..........

Anjali: just parfact.............thodi si morning sickness hai lekin main thik hoon aur kavya bhi to hai........

Prerna: agar kuch kaam ho to batana.......

Anjali; kehne ki zaroorat hai......

Kripa: mama...........sujal ne abhi bataya ..........kal subaah ki hamari flights hai..........

Anjali: thik hai.........pehle hum sab saath me dinner karte hai phir baad me aap aaram kar lena......

Kashish: aur kavya nahin aaya......

Anjali: nahin woh aaj uski ek client ke saath meeting hai......is liye dair ho jayegi......

Kripa: main khana lagati hoon........

After the dinner everyone went to their room without saying anything.........

************************************************************ **********************

(in sujal-kashish's bedroom)

Kashish: sujal.........aisa kyun hota hai jaisa humne kabhi socha bhi nahin..........pata nahin is waqt angad ko kaisa mehsoos hota hoga.......

Sujal; main janta hoon ki is waqt anagd ko kiski zaroorat hai.......

Kashish: kiski........

Sujal: main abhi aata hoon..........

kashish: kaha ja rahe ho.........lekin it was too late.......

(in kripa-angad room)

Knockkkkkkkk.............knockkkkkkkk..........

Kripa (opens the door): sujal tum itni raat ko......

Sujal; kripa angad hai....

Kripa: hai lekin kab se main baat karne ki koshish kerti hoon lekin kuch kehta hi nahin.........

Sujal: kaha hai woh...........main use baat karta hoon.........

kripa: woh waha bahar balcony me khada hai..........

************************************************************ **********************

(in the balcony)

Angad was standing there facing the sky when sujal put his hand on angad's shoulder.........

Sujal: apne gumm ko akele hi chupana chahte ho.......

Angad: aisa nahin........main to bas kuch waqt akele hi rehna chahta hoon.........

Sujal:lekin main tumhe is haal me nahin dekh sakta.........janta hoon ki tumhare dad ne kabhi tumko apne pass nahin rakha lekin woh tumse bahot pyaar karte the..........

Angad: yeh sab kehne ki baatein hai....

Sujal: maa- baap jitna bhi koshish kare lekin woh apne bete se pyaar karna to nahin chodte......

Angad (breaks down): agar sujal aisa hi hai to......kyun maa ke gujrne ke do mahine baad hi dad us vasuji ko ghar laye............jab main teen saal ka tha jab mom muje apne saath tumhare ghar le gayi to kyun nahin rokha muje...........kyun aaj tak kabhi bhi ek phone tak nahin kiya............pata hai sujal.....main her apne janamdin per unke phone ka intazaar karta lekin kabhi koi phone nahin aata........sujal maa-baap ka pyaar kya hota hai woh maine anuragdad aur prernamom se shikha..............agar aaj unka pyaar mere saath na hota to main shayad zinda na hota............

Sujal: tumne kaise soch liya ki tum paraye ho..........tum to mere chote bhai ki tarah ho..........aaj me keh sakta hoon ki agar main nahin raha to tum is pariaar ko sambhal sakte ho.............angad main hamesha tumhara dost hoon.........ek bhai hoon.............ek aisa saksh jo zindagi ki aakhri safar me tumhare saath rahunga...........

Angad sujal ke gale lagke bahot rota hai aur sujal iuse sambhalme ki koshish karta hai............aakhir me sujal angad ko uske kamre me lejake kripa ko uski dekhrekh karne ko kehta hai.............

************************************************************ **********************

It is morning now..........

Sab log breakfast karne ke liye dining room me aate hai jahaan prerna aur anjali breakfast bana rahe the.............

Kavya (goes to angad): I am so sorry to hear about your dad............Woh kal raat meri ek client ke saath meeting thi is liye dair ho gayi jab main aaya to aap log so gaye the.............lekin tum bilkul bhi akela mat samjana hum sab log tumhare saath hai.......

Prerna(puts her hand on his shoulder): aaj se sujal se pehle main tumhari maa hoon............kabhi bhi apne aap ko is parivaar se dur mat karna........mere parivar ka her ek sadshay ek moti ki tarah hai aur maine in sab moti ko pyaar ke dhaage se bandha hai............main nahin janti ki maine kis tarah se mera yeh parivaar banaya hai lekin main yeh pyaar ki dor kabhi nahin tutne dungi.................isi tarah aap sab ka bhi ferz hai is parivaar ki aur..........yeh parivaar hamara apna hai.........aur is parivaar ko hume apne pyaar se shichna hai............

Angad: aap logo ka pyaar aur vishwas hi to hai jiske sahare me jita hoon...........

Anurag: yehi to hamare parivaar ki khasiyat hai.......

Anjali: agar aap sab ki baatein ho gayi ho to.......mere bete ko bahot bhukh lagi hai.........can we have breakfast.........

Angad: jooth kyun bol rahi ho........aisa kyun nahin kehti ki tumhe bhukh lagi hai........

Sujal; it is good to have our own angad back.........

Angad: always for you............

tringg..........tringg..........

Anurag: hello.........mr. sharma..........maine jis tarah aap ko kaha tha waise kaam ho gaya hai na,,,,,,,,,

Mr. sharma: haa sir...........aap ke lautte hi main apke ghar aajunga.,...

Anurag: thik hai..........hum log dopahar ke ek baje tak pahunch jayenge........

after some time bidding goodbye to everyone they left for delhi..........

************************************************************ **********************

It is 1'o clock now..........

Mr. Sharma just entered the Garewal Mansion........

Anurag: ho gaya jaisa maine kaha tha.......

Mr. sharma: jee..........bus inpe Angad sir aur Sujal sir ke signutures chahiye.......

Sujal: hamare signutures kyun.........

Anurag: maine apni power of attorney tum dono ke naam kardi hai..........aaj se garewal compines ke tum dono barabar ke hissedar ho..........50%each..........Aur angad yeh rahe tumhare papers .........jispe likha hai ki aaj ke baad tum anurag aur prerna garewal ke bete ke naam se jane jaoge..........agar tumhe koi aitraaz na ho..........

Angad: aitraaz muje kya ho sakta hai lekin is per sujal ka jyada hakk banta hai..........

Sujal: Angad...........maine tumhe apna bhai kehne ke liye nahin banaya tha..........mere bhi koi jimedari hai apne chote bhai ki tarah.......mujse jyada khushi kise hogi ki mera bhai khush ho........mera parivar khush ho...........

Angad: main garewal banne ke papers pe sign karne ko taiyaar hoon lekin main yeh 50 % ka hissa nahin le sakta..........

Prerna: agar tum hamare bete hote to kya tum mana karte..........aur tum to hamesha apne prerna mom ki baat mante ho to aaj kyun nahin.........

Angad: lekin phir bhi.......

Sujal: lekin sare parivar ki khushi isme hi hai angad.........ple sign kardo.........

Dono sign karte hai.........

Sujal (goes to kashish): Kashish maine yeh sab faisle bina tumhe pooche kar liye...........tumhe koi aitraaz to nahin.........

Kashish: sujal..........i feel proud ki tum mere pati ho.........aaj main bahot khush hoon jo tumne angad ke liye kiya hai............aaj tumhare jagah koi aur hota to woh bhi kabhi yeh nahin karta..............aaj main bahot khush hoon ki tum mere ho..........mere apne sujal..............i love you sujal.......

Sujal hugs her and everything went back to normal.............

 

goodkashish39636.7568402778

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (7)

plz continue......i chk this link everyday to see updates

17 years ago

no yaar...ofcourse not...dont stop t...we love it.....plz plz plz post your next part...

17 years ago

hey kashish just caught up with the part. sorry yaar was really busy this week. the part was as usual sweet and adorable .kashish and sujal both rock .aur anurag kya sasur hai yaar .kitna sochta hao apne bahuon ke barre mein .he is one father-in-law eho every girl expects for .arrrggggggggg...... this vasu kya aurat hai yeh . aik bete ko apne pita ke yadon mein jeene bhi nahi deti .i hate her yaar seriously .but prerna she is just toooooo goooooodddddd..........kitne kum log aise hote hai joh dusron ke bete ko apna beta kehete hai and also anurag buisness ke 50%sujalaur 50%angad ko deta hai .they have so much understanding .and the way sujal asks kashish was so humble and he is so generous .woh usse puchta hai ki usse bura toh nahi laga and she says no .wowwwwwwwww.....it's like this family has so much trust,faith and love on each other . their family bonding is really strong .hey kashish and plzzzzzzzzz..............it's my special request yaar that don't stop writing the parts.i really like reading your stories .plzzzzzzzz......update the next part soon .really excited to know how kashish's birthday will be celebrated and all .the part was great !!!continue soon yaar plz............can't wait any longer.bye.takecare.

17 years ago

hi! people i think most of the people leave this story..........ple tell me if you got bored of it...........i already write down the next part.......but if you dont comment on first one then i am not putting the latest one..... the hint for next one............ kashish's birthday thanks

17 years ago

very NIce part i hoep i sujal ka yeh faisal sahi ho kahin angad sujal k trust ko glaat na use kare

17 years ago

AWESOME yaar ....i am so happy that you updated at last, i was dying to read more of your story.....and now i am telling you what i felt abotu story, it was rockign as always...i am happy that angad is now part of GARAWELS...and sujal is just a sweetheart...i cant belive that they love each other a lol...i hope they always love each other like this ...and this vasu what dies she think abotu herself, i know one day she is going to come to him...

17 years ago

fabulous part this tussar he'z becoming a pain can't when sujal deals wid him cont soon

17 years ago

Top