Chapter 33
Part-33
It is 9:00 AM in Sinha house.
Sujal neeche breakfast ke liye aata hai lekin woh Kashish ko nahin dekhta.
Sujal: raghukaka.....
Kaka: jee beta...kuch chahiye.
Sujal: kashish kahan hai.
Kaka: woh to subaah subaah hi Boutique ke liye nikal gayi. Keh rahi thi ki sham ko dair ho jayegi to uska khane pe intazar na kare.
Sujal: thik hai aap jaiye..main kashish se baat kar loonga.
Tringg......tringg........
Sujal: haa papa kaho...kuch kaam tha..
Anurag: woh beta tum jo kal meeting ke liye gaye the usi silsile me baat karni hai.
Sujal: papa meeting to achchi thi aur woh log bhi kafi achche lage. Phir bhi ek bar is deal ko karne se pehle hume ek bar un logo ki market me value dekh leni chahiye. Kahi bad me koi pareshani na ho.
Anurag: tum thik keh rahe ho.
Sujal: thik hai to main aaj hi us company ki puri history ki chanbin karke aapko phone karta hoon.
Anurag: ok beta bye....apna khayal rakhna.
Sujal: bye papa.
Sujal business ke kaam ke silsile me nikal jata hai.
************************************************************ ************************************************************ *(back to delhi)
Kripa apne room me Sujal ka phone try karti hai lekin SUjal ka phone kam ke silsile me mute pe hota hai. Kripa kashish ka phone try karti hai lekin kashish phone hi nahin uthati. Kripa ko ek dum se kashish ki chinta hone lagti hai aur isi baat ko leke woh Anjali ko phone karti hai.
Anjali: hi! kripa kaisi ho....shaadi ke baad to tum bhul hi gayi apni badi behen ko.
Kripa: nahin aisi koi baat nahin..woh naya mahol hai is liye adjust karne me thoda time lag gaya..
Anjali: tum kuch pareshan lag rahi ho. kuch kaam tha.
Kripa: woh main kab se sujal aur kashish ka phone try kar rahi hoon lekin dono uthate hi nahin.
Anjali: tu chinta na kar main abhi use milne jati hoon.
Kripa: jake muje phone kar dena taki main chinta na karoo.
ANjali: Kripa tu tenstion na le. kuch nahin hua hoga. achacha ab main rakhti hoon. apna khyal rakhna bye..
Kripa: bye anjali.
************************************************************ ************************************************************ *
Anjali kashish ke office me pahonch jati hai.
Kashish apni chair pe beti kuch gehri soch me khoyi huyi si bethi hai.
Anjali: Hi! kashish kaisi ho.
Kashish: aree anjali tum...tum kab aayi.
Anjali: yeh baat chodo aur yeh batao sujal kahan hai.
Kashish: sujal........woh .......main.....
Anjali: woh main main woh kya keh rahi hai,......kaha hai sujal..
Kashish: woh kisi kaam se bahar gaya hai.
Knockkkkkkk..........knockkkkkkkk.....
Kashish: come in..
Sonia: mam yeh flowers aap ke liye hai.
Kashish: mere liye
(takes flowers).....thik hai tum jao..Anjali: kisne bheje hai.
Kashish: abhi dekhti hoon.
Kashish takes a letter and reads it and tears comes into her eyes.
" Kashish,,,,Kal raat jo hua uske liye main bahot sharminda hoon lekin ple tum iske liye apne aap ko kasoorwad mat samjo...main janta hoon ki kahi na kahi maine tumhara dil dukhaya hai lekin yakeen karo main aisa kabhi nahin chahta.....agar tum wahe hi mujse naraz ho to I am sorry....ple muje maaf kar dena.........tumhara sujal..."
Anjali: kiska hai.
Kashish: Sujal ka...
Anjali: how romantic.......janti ho kashish hum teen behen me se tum sab se lucky ho kyunki pyaar karna koi sujal se sikhe.....
Kashish: tumne bataya nahin ki tum yahaan per kaise..
Anjali: haa woh to main bhul hi gayi...kripa ka phone aaya tha aur woh kab se tumhara cell try kar rahi hai lekin tum uta hi nahi rahi...kya baat hai kashish koi pareshani hai......sujal ne kuch kaha..
Kashish: are nahin......sujal to mera bahot khyal rakhta hai .....woh to bass kaam ki chakkar me kuch busy hi ho gayi thi aur ab to kripa bhi nahin hai.
Anjali: Kashish hamesha proffesional or personal life ko durr hi rakhna kyunki jab yeh dono mil jayegi to tumhare aur sujal ki khusiyon ko aag laga degi.
Kashish: janti hoon.....anjali main tumse ek baat puchu.
Anjali: Haa.
Kashish: agar kabhi bhi tumhe apni ya kavya ki khushi main se chunna pade to tum kise chunogi.
Anjali: Kavya aur meri khushi alag alag nahin hai. Shaadi ke baad naa main main rahi aur na kavya kavya.....shaadi ke baad hum dono hum ban gaye......is ristey me na to meri khushi dekhi jati na ki kavya ki balke hamari khushi dekhi jati hai.
kashish: lekin phir bhi agar tumhe kisi ek ko chunna ho to.
Anjali: shayad ek patni ke nate mera yeh ferz hai ki main pehle apne pati ki khusiyaan ka khayal rakhu baad me mera.
Kashish: Agar hum jis se pyaar karte hai uski khushiyaan humse durr rehne me hai to.
Anjali: yeh kaisi behki behki baatein kar rahi ho.
Kashish: nahin main to aisi hi jaanna chahti thi.
Anjali: To suno....haa agar kavya ki khushi kabhi bhi mujse durr rehne main hai to main haste haste usse dur ho jaungi kyunki meri khushi kavya se judi huyi hai.....lekin yaad rakho kashish agar yeh pyaar sachcha hai to hum alag alag zindagi to bita sakte hai lekin pyaar ke woh ghav kabhi bhi dil se nahin bhar payenge aur kahin na kahi woh dard hamare sine me kante bankar hume us pyaar ki yaad dilata rahega.....aur agar hum apna pyaar hi na bhul paye to hum khush kaise reh sakenge.
Kashish: thik kaha tumne.
Anjali: kashish aaj yeh ho kya gaya hai tumhe...jab se tumhari sagaai huyi hai tum kuch buji buji si rehti ho..aakhir tumhare dimag me chal kya raha hai.
Kashish: kuch bhi to nahin..
Anjali: Kashish bahot hi kam log hote hai jise uska pyaar milta hai aur tum to apne pyaar ke liye maut se lad gayi to ab kyun yeh fasle badhane ki baat kar rahi ho.
Kashish: yakeen karo Anjali.....aisi koi baat nahin.....
Anjali: thik hai ab main chalti hoon......kavya ko mera koi office me kaam tha....lekin sujal ko leke ghar aana mat bhulana.
Kashish: Jee....jaise hi waqt milega hum log aa jyenge..
Anjali: bye
Kashish; bye...
Kashish
(to herself): hai bhagwan kis uljan me dal diya hai tune muje....kyun main koi faisa nahin le pa rahi....jab bhi main koi faisla lene jati hoon tum koi na koi bahana karke muje mere faisle pe kamzor banane pe maznboor karte ho....kyun....kya gunah kiya hai maine......pehle tumne mujse meri yaadash chin li phir meri khushiyaan .......kyun kiya tumne aisa.......lekin ab main sujal se uski khushiyaan nahin chinne dungi......kabhi nahin.....************************************************************ ************************************************************ *
It is 9:00 pm in sinha house..
Kashish ghar ke andar aati hai aur dekhti hai samne sujal sofe pe bethke uska intazar kar raha hai. Kashish sujal se aankhen nahin mila pa rahi aur isse pehle sujal kuch kahe woh ghar se bahar chali jati hai aur sujal bhi uske piche jata hai.
Kashish waha garden me khadi rone lagti hai
jo sujal dur se dekhta hai.
Sujal
(shocked): kashish kya hua...tum is tarah.... tumhari tabiyat to thik hai na....janta hoon jo kal raat hua is kiye tum sharminda ho lekin mera yakeen karo main khud yeh nahi janta ki kaise.Kashish: Sujal muje is bare me koi baat nahin karni. Ple muje kuch dair ke liye mere haal pe chod do.
Sujal; Kaise chod doon tumhe is tarah tootte huye. kaise dekh loo tumhari in aankhon me aanshu...... kaise.
Kashish: Kaun hote ho tum muje shambhalne wale.
Sujal: Kashish kuch hi dair main hamari shaadi honewali hai.
Kashish: Shaadi honewali hai huyi nahin aur main tumhari mangetar hoon ....tumhari biwi nahin.....
Sujal: kashish yeh tumhe kya ho gaya hai....
Kashish: main to aisi hoon ....shayad tumne muje pehchanne me galti kardi..
Sujal: meri aankhen tumhe pehchanne me dhoka nahin kha sakti aur yeh to tum ho hi nahin.....Kyunki main ne jaana hai tumhe.....tumse pyaar kiya hai....
Kashish: Pehle muje bhi lagta tha ki maine pyaar kiya hai lekin ab aisa lagta hai ki woh sab ek infatuation tha. Kynki ab hamare bich itne fasle bad gaye hai ki ise koi nahin mita sakta.
Sujal: lekin kashish....
kashish:maine kaha na sujal ab hamare bich kuch nahin raha......kuch bhi nahin.....
Kashish roti huyi ghar ke andar chali jati hai aur sujal bhi apni car me bahar se hi kahi chala jata hai.
Sujal
(in the car): Nahin kashish mera pyaar itna kamzor nahin hai ki kuch galat femiyaan hume dur kar de aur main to yahi nahin janta ki aisi kya baat ho gayi hamare beech ke baat hamare ristey tak pahoch gayi. Kashish tumne muje bahot rulaya hai lekin main janta hoon mujse kayi jyada dard to tumhe ho raha hoga. Kya kasoor hai mera kashish yahi ki tumse beimthaan mahobabat karta hoon.Kashish (crying infront of GOD): Hey bhagwan.....muje maff kar dena. ...aaj maine jan bujkar ek aise insaan ka dil toda hai jiska kasoor sirf itna hi hai ki woh mujse pyaar karta hai aur woh bhi bahot.....ab mujme itni shakti nahin rahi ki main use aur tadpata dekh saku.......muje shakti dena bhagwan ki main jo karne ja rahi hoon usme me kamyab hoon......muje sujal ki khushi ke alawa aur kuch nahin chahiye.
Sujal thodi dair baad ghar aakar apne room me chala jata hai bina kashish se baat kiye aur kashish sari raat apne kamre me roti huyi bita deti hai.
************************************************************ ************************************************************ *
Ab subah ho hi jati hai aur Sujal taiyaar hokar neeche aata hai.
Kaka: achcha hua beta tu uth gaya...
SUjal: kyun...kya hua..
Kaka: kashish betiyaan itni tez baris me bahar chali gayi hai aur kaha ki jab sujal uth jaye to use shiv mandir bhej dijiyega.....
Sujal; thik hai kaka aap fikar mat kijiye....main use leke aa raha hoon..
Sujal jaldi jaldi me shiv mandir pahonchta hai aur wahaan jake dekhta hai to kashish tez baris me bahar apni car ke pass khadi hai.
Kashish aur sujal dono ek dusre ko dekhte hai aur kahi na kahi unki aankhon me dher sare sawaal the.
Kashish: achcha hua tum aa gaye kyunki jo baat main karne ja rahi hoon....woh main nahin chahti ki sabhi gharwale ko khabhar ho.
Sujal: Aisi kya baat hai.
Kashish: Sujal, tumne hamesha meri khushiyaan chahi hai na to main aaj tumse meri khusiyaan mangne aayi hoon. Main janti hoon ki tum muje nirash nahin karoge. kyunki aaj pehli bar tumse kuch mangne chahti hoon.
Sujal: tumhare liye to main kuch bhi kar sakta hoon.
Kashish: To ple tum meri zindagi se chale jao....hamesha hamesha ke liye...kabhi dubara mud ke mat dekhna........
Sujal
(shocked) : Yeh kya keh rahi ho tum.....i am sorry kashish lekin main yeh nahin kar paunga...tumse durr rehna me soch bhi nahin sakta....kashish tum mujse aur kuch bhi mang lo lekin tumse durr rehna......nahin kashish yeh mujse nahin hoga.Kashish (gusse se): thik hai....Mat jao meri zindagi se ....main hi chali jati hoon...tumhari zindagi se...hamesha ke liye......
Sujal (gusse se); Tumhe kya lagta hai main tumhe itni aasani se jane dunga...kabhi nahin..kyunki hamare beech ek rista ban gaya hai,....aur us ristey ko na tum tod sakti ho na main kyunki woh rista hamare dil ka hai aur yeh upperwale ne banaya hai......
Kashish: kis ristey ki baat kar rahe ho tum ... Dil ke ristey itne kamzor hote hi ki ek toofan ke aahat se bhi toot jate hai aur rahi baat sagaai ke ristey ki ....is anguthi ki......(she removes the ring and puts it into his palm)........yeh lo aaj yeh rishta bhi tut gaya......shayad ab hamare beech koi rishta nahin jo hume rok sake......shayad yeh hamari aakhri mulaqat ho....aur kabhi bhi hum koi mod pe mil jaye to hum apne raste badal denge.
(kashish mud ke waha se jane lagti hai)
Sujal: Kashish.....
Kashish mud ke sujal ko dekhti hai.
Sujal : dekha kashish.....aaj bhi tum mere ek bulave pe wahi ki wahi khadi ho jati ho.......Tum mere ek bulave se ek kadam aage nahin badha sakti zindagi me kya aage badhogi.
Kashish: maine zindagi me aage badhana shikh liya hai.......na muje pehle kisi ke sahare ki zaroorat thi na ab...
Sujal : dekhte hai waqt aane pe.....
Sujal waha se chala jata hai
Kashish wahi pe khadi sujal ki aur dekhkar rone lagti hai.
************************************************************ ************************************************************ *
Sham ka waqt ho jata hai.
Kashish apne ghar me bethi hai ek dum se chup chap. Sujal tab se leke ab tak ek cafe me betha hota hai.
Sujal (
writes a letter): Kashish aaj jo tumne manga hai woh shayad mujse meri zindagi se badhakar tumne mujse mang liya...lekin fikar na karo aisa hi hoga jaisa tum chahto ho lekin mere liye tumhe yeh aakhri kaam karna hoga. (he closed the envelope)Sujal kashish ke ghar ke samne jata hai. wahape kuch bachche bahar cricket khel rahe hai.
Sujal : Suno beta...mera ek kam karoge.....yeh letter tumhe kashish di ko dena hai.......yaad rahe kisse.....
B: kashish di ko na.
Sujal: haa beta....thank you..
Woh bachcha Sinha house ki bell bajata hai aur kashish darwaza kholti hai.
Sujal use durr se dekh raha hai lekin kashish is baat se anjaan hai.
Kashish: haa beta...bolo kya baat hai...
B: jee aap Kashish di hai.
Kashish: haa main hi kashish hoon. lekin tum.....
B: woh aapko yeh letter dena tha.
Kashish (
takes a letter) : suno yeh letter kisne.........per usse pehle woh bachcha waha se chala jata hai.....Kashish aaspass dekhti hai lekin waha pe koi khada nahin hota.Kashish
(envelope kholte huye) : Yeh letter kiska ho sakta hai......zaroor sujal ka hi hoga......pata nahin kyun woh meri baat ko nahin samjta.Kashish (reads letter):
" Kashish......jaisa tum chahti ho waisi hoga.....muje yeh to maloom nahin ki mera kasoor kya hai lekin shayad mere pyaar me hi koi kami reh gayi hogi........main hamesha ke liye tumhari zindagi se durr ja raha hoon lekin ek aakhari baar main tumhe airport pe milna chahta hoon......meri flight kal subah dus baje ki hai..........tum ne mujse bahot kuch mang liya.....main to sirf tumhe aakhari baar dekhna chahta hoon..........main janta hoon ki tum zaroor aaongi.......aaongi na kashish............tumhara sujal......"
Kashish: Main janti hoon ki tum aisa kyun kar rahe ho.....kyunki tumhe pata hai ki main tumhe jate huye nahin dekh paungi....aur tumhe lagta hai ki main tumhe rok lungi.....lekin sorry sujal me aaungi to zaroor lekin tumhe hamesha ke liye alvida karne kyunki yeh tumhare liye achcha hai.
************************************************************ ************************************************************ *
Bewafa Hum Nahin Hai
Bewafa Tum Nahin Hai
Apni Kismat Shyad Gum Bhi Kuch Kam Nahi Hai.
Jo Lakeeron Me Likha Hai Woh Milay Ga Jeewan Me.
Hum Kabhi Bandh Na Sakeingay Khushiyon Kay Bandhan me
Jo Hua Maine Kiya Hai..
Kyun Hai Tu Khud Se Khafa Kehti Hai Zindagani.
Rab Ne Chaha Jo Hua Hai Hoga Woh Sathi
Thoda sa Pyaar Hua Tha Kuch bhi Nahin baki.
Thoda sa Pyaar Hua Tha Kuch bhi Nahin baki..........
Comments (7)
i gt hint seeing da topic...tht sumthng wrong is comng up...n feel so sad...both gt seprated... ..this kashish na..h dumb shez..why shez leavng him...4 no reason... ..hop she gts brain soon...n then see da love 4 him in sujal's eyes...h can she be bad 4 him...widout him...its so evident...he will nt live...n even she can't... ..do cont soon....will be waitng eagerly...wht will happen when they will meet..4 last time...
17 years ago
Hey yaar....yeh kya...they separated...can' bear it yaar....muje sujal ki daya aa rhi hia...bchara kitna ro raha tha....hai..yaar...and the pics made it seem tht...an episode is running on ...cool yaar...from where do u get soo many pics yaar??
17 years ago
ya kashish bhi naaaa ...main uski jagah hoti to kabhi nahi chorti sujal ko tanhaa ...but am sure sh ill stop him just lye she did ni kth .....well hope sooooooo cont soon rajeev rox
17 years ago
great partt i hopee sujala dn akashish get back together soon but whats the point in the story iff they're together soo sonn naa? lol gudd jobb kashish! Pooja
17 years ago
OHHHHH my god this cant be..i cant bear this seperation..poor sujal..plz kahsish let them be together....
17 years ago
awesome kashish ab yeh kya hogaya how could she do something like this sujal hopefully she realize her mistake sooncan't wait 4 teh next part cont soon
17 years ago
that was a real fantastic part kashish .with exclusive pics too . the part was really good .but it was a very big shock for me .god!!! i don't understand this kashish at all . kya chahati hai yeh, ki sabb usse chodke chale jaye . has she gone nuts .i mean sujal loves her so much that now he is also ready to leave her and go away from her life just the way she want . lekin i think yeh sabb karke woh sujalko marr rahi hai . she is killing him every moment by doing such thing .how can she do like this yaar . poor sujal,he is not at all wrong but still he is facing problems because of kashish . mujhe toh lagta hai that abb sub kashish se naraz hoge, like everyone, prerna,kripa and anjali for sure and everyone ki usne sujal ke pyaar ko thukraya,andthey r right,naraz hona hi chahiye aise ladki se . she is so stubborn . khud bhi dard mein dubb rahi hai aur baki sabb ko duba rahi hai . specially sujal . gosh!!! i just wish ki unki yeh problem jald se jald durr ho and kashish better understand him and get some thinking power . the part and pics were great . also the part was very sad and full of emotions which made it excellent . continue soon yaar plzzzzzz....can't wait any longer.bye.takecare.
17 years ago