Chapter 28

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-28

It is finally day of the engagment.

(in the morning at breakfast table)

Anurag, Prerna, Sujal, Angad aur kavya sabhi breakfast ke liye bethe hai. Anjali un sab ko serve kar rahi hai.

Anurag; Are Anjali beta, hamari dono bahuye dikhai nahin deti kaha hai woh.

Angad: lagta hai sagai ka naam sun ke bhag gayi.

Sujal: shut up angad. Anjali, sab kuch thik to hai na mera matlab Kashish ki tabiyat.

Kavya: dekha anjali abhi se kashish ki itni phikar.

Angad: Sach kaha tumne kyunki tumhe to anjali ki koi phikar hi nahin hai.

Anjali (looking at kavya) : kya kavya yeh sach hai.

Kavya: Anjali tum bhi kya angad ki baat manti ho aur kya main kabhi tumhare bigar reh sakta hoon.

Anjali: thik hai is bar jane deti hoon.

Anurag: ab aap sab log bas karo aur koi jake meri bahu ko bhulake lao.

Prerna: koi zaroorat nahin aur tum log sab breakfast karke kavya ke saath kavya ke ghar ja rahe ho aur sab log aaj sham ko sagaai ke waqt hi aaoge.

Sujal: per kyun mom.

Prerna: Kyunki sagaai ke din Ladka ladki ek dusre se nahin mil sakte.

Anjali: Aur isi liye kashish aur kripa apne kamre me hai. Aaunti aap sab ka breakfast dekh llijiye. main kashish aur kripa ka nasata upper hi bhijwati hoon.

Prerna: thik hai beta, aur suno unhe keh dena ki thodi dair me mehndi wale aa rahe hai to taiyaar rahe.

Anjali breakfast lekar dono ke kamre me jati hai.

Prerna: ab aap logo ko kya hua. Jaldi se karo. muje aur bhi kaam hai. aur kya tum logo ko jana nahin hai.

Sab log breakfast karke apne kamre me se shaam ke kapde lekar kavya ki ghar chale jate hai.

============================================================ ==========================================

Sara din nikal gaya sabhi ka ekdusre ki yaadoin ke sahare. Ab kuch ek ghanta pehle ki baat hai sagai ke.

Kripa aur kashish ek saath taiyaar ho rahi hai tabhi wahaan per anjali aati hai.

Kripa: Anjali kaise lag rahe hai hum.

Anjali: kisi ko meri do pyari si behen ki nazar na lage. bahot hi sundar lag rahi ho.

Kashish (worried); Sab log aa gaye.

Anjali: abhi kuch waqt hai. Kya baat hai kashish tum kuch pareshan lag rahi hai.

Kashish: nahin to.

Kripa: ab hum se bhi jooth bolne lagi.

Kashish: Kuch nahin bas ek ajeeb sa darr lag raha hai.

Anjali: Kya tum is ristey se khush nahin ho. Kya tum nahin chahti ki tum aur sujal ek ho.

Kashish: baat woh nahin hai anjali. Main to bahot khush hoon ki meri sagai us insan se ho rahi hai jo muje bahot pyaar karta hai lekin kabhi kabhi aisa lagta hai ki kya main use utna hi pyaar de paungi.

Anjali: Sujal jaisa saathi milna aisi kismat bahot hi kum logo ki hoti hai. Kashish tum yeh sab is liye keh rahi ho kyunki tumhe khud per se vishvas nahin raha. Per sach to yeh hai ki tum dono sirf ek dusre ke liye bane ho. Kabhi kabhi hum biti huyi zindagi me jakne ki wajaye aanewale kal ko dekhna jyada samajdari ki baat hai kyunki hum gujre huye kal ko nahin badal sakte lekin aanewale kal ko ek haseen yaad me zaroor badal sakte hai. Mera yakeen karo kashish sujal tumhe woh pyaar aur khushiyaan dega ki kabhi kabhi tumhara aanchal chota pad jayega use sambhalte huye. Ab yeh sab kuch chodo aur aaj to khushi ka din hai. aakhir meri do behen ki sagai hai.

Kripa: Anjali aaj papa hote to kitne khush hote.

Anjali: papa aur mama jahan per bhi hai wahaan se hume dekh rahe hai aur woh apni teeno beti ke liye bahot hi khush hai. Agar hum khush hai to woh bhi khush hai. Kyunki maa baap ki khushi bachcho ki khushi se hoti hai.

Prerna enters.

Prerna: Sach kaha anjali ne ki hamari asli khushi tumse hai.

Anjali: aaunti agar kabhi galti se bhi in dono se koi bhul ho jaye to inhe maaf kar dijiye.

Prerna: bahu nahin beti banane ja rahi hoon. Muje hamesha se beti chahiye thi lekin dekho aaj bhagwan ne muje ek nahin teen beti di hai. Haa anjali aaj se tu bhi meri beti ki tarah hi hai.

Anjali: Aaunti main kya kahu muje to kuch samaj hi nahin aata. aaj main bahot hi khush hoon.

Prerna: Abhi abhi beti mana hai tumhe aur abhi bhi tum muje Aaunti kehti ho. Agar main inki mom ho sakti hoon to tumhari kyun nahin.

Anjali (aankhon se aanshu girne lage) : Mom............

Prerna: ab yeh rona bandh karo aur kya apni mom ke gale nahin lagogi.

Sab log ek saath ek family hug karte hai.

============================================================ ==========================================

(let's check neeche kya ho raha hai)

Sujal aur Angad dono ek khone me khade kab se upper ki tarah dekh rahe hai. Tabhi piche se Kavya aata hai.

Kavya: Kya ho raha hai.

Sujal: kuch bhi to nahin.

Kavya: Humse mat chupao. kabhi hum bhi us mod se gujre the.

Angad: Kitni dair aur lagaye gi yeh log.

Kavya: sabr kar mere bhai....sabr ka fal meetha hota hai.

Angad: Pehle fal chakhe to khara ki meetha hai ya khatta.

Sujal; Ab to fal khatta ho ya meetha puri zindagi sambhalna hai. Kyun kavya.

Kavya (laughs) : Ya bro.....per kabhi kabhi yeh fal kadwa bhi nikalta hai.

Sujal: bulao anjali ko.

Angad: uski koi zaroorat nahin woh dekho aa rahi hai.

Kavya: shaitan ka naam liya aur shaitan haazir.

Angad; woh bhi do aur shaitan ke saath. kyun sujal...

Sujal koi jawab nahin deta kyunki woh to kashish ko dekhne me kahi khoya hua hai.

============================================================ ==========================================

Anjali kashish aur kripa dono ko stage ke pass lejake khadi hai aur kavya bhi sujal aur kashish ko lekar jata hai.

Kavya: Ladies and gentleman, as you all know, today we all are gather for the two engagments of my two beautiful sister in laws with my 2 handasome friends. Here we go.so ple enjoy the rest of the night.

Pehle angad aur kripa ki sagai hoti hai.

Angad kripa ko ring pehnane hi jata hai ki Kripa apna haath aage nahin karti.

Angad: comeon kripa.

Anjali: yeh kya kripa haath aage karo.

Kripa: main kyun karoo.

Angad: haath pakad ke pehna dunga.

Kripa: itni hi himmat he to jo chahe karo.

Angad Kripa ka hath zor se sab ke samne pakad ke use ring pehna deta hai.

Kavya: yeh kabhi nahin sudharega.

Anurag: Ab Kripa aa gayi hai to lagta hai sudhar jaye.

Kripa aur angad prerna aur anurag ka aashirwad lete hai aur phir woh log baki dusro ke gale lagte hai.

Prerna: are aise hi baatein karte rahoge ki mere dusre bete ki bhi sagai karoge.

Angad; Mom ab iski zaroorat nahin. meri ho gayi na.

Anurag: kam se kam aaj ke din to yeh mazak rehne de.

Sujal: agar yeh mazak karna chod de to us din kayamat aajayegi.

Angad: kayamat to ab gale me latak gayi hai.

Kripa: kya kaha.

Angad; kuch bhi to nahin.

Anjali: mom chale sujal aur kashish ki bhi sagai kar dete hai.

Prerna: chale sujal.

============================================================ ==========================================

Prerna sujal ko Aur anjali kashish ko stage ke upper lejate hai.

Sujal ring ko apne hath me leta hai.

Sujal (to himself): Aaj ek is ring ke pehnane se hum ek ho jayenge.

Angad; kya sochta hi rahega ki use pehnayega bhi.

Sujal kashish ki aur dekhkar muskurata hai.

Kashish bhi sujal ki aur dekhti hi jati hai.

Phir sujal kashish ko ring pehnane jane hi wala tha ki.

kavya: Itni jaldi har man gaye.

Kripa: Har to pehle hi gaya hai hamari kashish ko dekhkar. Kyun sach kaha na sujal

Sujal smiles and noddes his head aur sharmate huye woh kashish ko ring pehna deta hai.

Anjali: Chalo kashish tum bhi yeh ring pehna do.

Kashish (to herself) : Shayad tum thik kehti ho anjali muje pura hakk hai zindagi me age badhne ka aur phir mere saath sujal hai to phir muje kis baat ka darr.

Kashish Sujal ki aur apni palke jukakar khadi hoti hai hath me ring leke.

Kripa: kashish kya tum bhi itni sharma rahi ho jaise pehli bar sujal ko dekh rahi ho.

Kashish apna sir neeche karke muskurane lagti hai.

Angad: sab log tumhari tarah nahin hote.

Kripa: shut up anagd. Aur Kashish pehna de sujal ko ring isse pehle yeh kisi ko aur ko pasand karle.

Sujal: Is zindagi main to sirf ek hi hai aur woh hai kashish aur shayad is janam ke bad me har janam me kashish ko hi bhagawan se mangunga. Kyun kashish.

kashish bina kuch kahe sujal ko ring pehna deti hai.

Kashish aur sujal bado ka aashirwad lete hai aur phir sab log gale milte hai.

============================================================ ==========================================

Kashish, Sujal, Kripa, Angad, Anjali sabhi log baatein kar rahe the ki achanak kahi se koi gane ki aawaz aati hai.

ho kisne yeh bandhi dori

Anjali: Oh my god, kavya.

Kripa: Wow kavya aur woh bhi gana.

Anjali: ise main abhi dikhati hoon.

dekha na socha na maanga (Kavya Anjali ke pass aakar use apne saath dance floor pe le jata hai)

jholi mein aan padi (Anjali kavya ko gusse se dekhti hai)

dekha na socha na manga (kavya apne kan pakadta hai)

doli mein aan chadi (Anjali uske kan se hath chudake zor se pair pe lat marke chali jati hai.)

na to dundha hai

na to paya hai( Anjali aage aage chalti hai)

na to khoya tha (kavya uske pichche use manate huyi sakle karta hai)

na bhoolaya hai

phir kisne bandhi yeh dori (Kavya Anjali ka dupatta pakad leta hai)

haye kaise kaisi ram milaaye jodi (anjali kavya ke gal pe halki si zapad lagati hai aur wahase chali jati hai)

ho kaise kaisi ram milaaye jodi (yeh dekhke sab log bahot hi muskurate hai)

 

aree tambe jaise hogi koi laali (kavya Sujal aur angad ke pass lejake use dance floor pe lata hai)

ya gehun jaise gori (Kavya anjali ki aur aake uske gal pe kiss karta hai aur anjali sharmake prerna ke piche chup jati hai)

aur kagaz jaise kori lala ( Angad kripa ki aur aage badhata hai aur kripa yeh dekhkar sharmane lagti hai)

baat kare to phool jhenge lala (Angad pholon ke thal se kitne sare phool le kar kripa ki aur jake uske pair ke neeche rakh deta hai aur kripa ko dance floor pe bhejta hai)

ke phool nahi to moti (Sujal kashish ke pass aakar use pyaar se apna haath aage karta hai aur kashish apna haath use de deti hai)

aur moti ek katori rozana (sujal kashish ke forehead ko kiss karta hai aur anjali aur kripa aake use apne saath lejati hai.)

 

ghodi pe chaahe na aaye (Anjali kavya ke pass aakar use pyaar se gale lagti hai)

khwaabon ka resham udaaye (Kripa Angad ke pass jakar use uske haath ko pakad ke pyaar se chumti hai)

aisa kahin se bulaaye mujhe to mein aankhon mein rakhun use ( Kashish sujal ke pass aake use dekhti hai aur phir kashish apni palke zuka deti ahi aur sujal uski aankhon ko chumta hai)

 

ho kisne yeh bandhi doori (anurag aur prerna stage pe aate hai aur sabhi log wahaan pe aate hai)

ho kaise kaisi ram milaye jodi (kavya aur anjali kahi apni duniya me khoye huye dance kar rahe hai)

haye kaise kaisi ram milaaye jodi (angad aur kripa ek dusre ke saath dance karte hai lekin abhi bhi ladte zagte huye)

ho kaise kaisi ram milaaye jodi ( Sujal aur kashish ek dusre ki itne kareeb the ki ek dusre ko mehsoos kar sakte hai aur woh dono to apni sapno ki duniya me kahi khoye huye the ki achanak)

============================================================ ==========================================

Raghukaka: Kashish beti, tumhara phone hai.

kashish: kis ka hai.

Raghukaka: Pata nahin beti.

Kashish: unse kahiye ga ki main bad me baat karti hoon.

Sujal: kisi ka zaroori hoga. tum jake ek bar dekh to lo. main yahaan tumhara intzaar karta hoon.

kashish: thik hai. chaliye kaka.

Kashish Phone ko utathi hai.

Kashish: hello, main kashish bol rahi hoon aur aap.

Guy: Aap ko sirf aapki sagai aur aapko naye ristey ke liye mubarak dene ke liye phone kiya tha.

Kashish: thanks per aap hai kaun.

Kashish use kuch puche usse pehle hi usne phone rakh diya. Kashish caller ID me dekhti hai to uspe likha hai " Tushar Raheja".

Kashish( TO herself): Yeh kaun ho sakta hai. Jo muje janta hai aur yeh bhi ki meri sagai hai. Jahaan tak main janti hoon tabhi yahaan per sabko invite kiya gaya hai jise hum jante hai. Aur agar woh dost hai to usne apna naam kyun nahin bataya. kuch to hai jo yeh sab log mujse chupa rahe hai. us din woh shop me phir is tarah yeh phone.

Kashish: suniye kaka. Yeh Tushar Raheja kaun hai.

Raghukaka (shocked) : Kaun hai. main to nahin janta.

Kashish: agar aap nahin jante to itna chok kyun gaye yeh naam sun kar.

Raghukaka: nahin to beti, Tum kyun puch rahi ho. jao wahaan pe Sujal beta tumhara intzaar kar raha hoga.

Kashish: Phir bhi kaun hai.

Raghukaka: hoga koi tumhara fan ya tumhara ko business me.

Kashish (worried) : thik hai aap jaiye main jati hoon.

============================================================ ==========================================

Kashish sujal ki aur jane lagti hai ki woh do aurat jo baatein kar rahi hai wahaan achanak ruk jati hai.

Lady 1: Muje to bichare sujal pe taras aata hai. kaisi ladki se shaadi kar raha hai jise khud nahin pata ki woh kaun hai.

Lady 2: Khud khush nahin hai woh kya apne pati ya gharwale ko khush rakhegi.

Lady 1: Pata hai na phichli bar kya tamasha hua tha.

Lady 2: haa shayad aaj Sinha saab hote to bichare.

Lady 1: Bhai kya kare beti ki kismat hi aisi hai.

Lady 2: main to kabhi bhi apne bete ke liye aisi bahu nahin chahungi.

Lady 1: Main bhi nahin. isse achcha mera beta kunwara rahe. dekha nahin bechara sujal kaise har waqt pareshan rehta hai kashish ke liye.

Lady 2: Ab yeh pareshani to zindagi bhar uske gale me pad gayi hai.

Lady 1: kehte hai yeh pyaar hai. per muje to lagta hai us bechare ki majboori hai.

Lady 2 achanak kashish ko dekhti hai aur chup ho jati hai.

Lady 1: kya hua itni chup kyun ho.

Lady 2: Woh dekh kashish sun rahi hai.

Lady 1: Thik hi hai. akhir jo sachchi hai woh hi to sun rahi hai.

============================================================ ==========================================

Kashish wahaan se chali jati hai lekin uske aankhon me aanshu the.

Kashish (to herself): Kya yeh sach hai ki main kabhi bhi sujal ki khushi ki wajah nahin ban sakti. Kya main itni buti hoon jo koi muje apni bahu banana pasand nahin karega. Kya sujal ka pyaar mere liye majbori hai. Nahin aisa nahin ho sakta. maine dekha hai sujal ki aankhon main mere liye kitna pyaar hai. Aur main ....main bhi to usse pyaar karti hoon.

Sujal (worried): kashish tum thik to ho. kitni dair lagadi.

Kashish: Haa main thik hoon.

Sujal (worried): kashish kya baat hai tumhari aankhon me aanshu.

Kashish (to herself): shayad unhone sahi hi kaha main khushiyaan nahin balke sirf pareshani aur dukh hi de sakti hoon.

Sujal: Kya baat hai kashish tum ro kyun rahi ho.

Kashish (wipes her tears) : kuch nahin woh bas khushi ke aanshu.

Sujal ; Khushi ke hai to thik hai warna main in aankhon me aanshu nahin dekh sakta.

Kashish: kyun karte ho itna pyaar. main tumhare pyaar ke layak nahin hoon.

Sujal: tumhare pyaar ke layak main nahin hoon kyunki abhi bhi tumhare aankhon me aanshu hai. Kashish janti ho main sab kuch seh sakta hoon lekin yeh aanshu nahin.

Kashish: Per kahi na kahi yeh aanshu mere jeevan ka hissa hai.

Sujal: to phir aaj se hum nayi zindagi shuru karenge jisme sirf pyaar ho, khushi ho, aur hamara saath aur kuch nahin. I love you kashish.

Kashish: I love you too,

Sujal and kashish hugs. aur is tarah yeh din bhi khatam ho jata hai.

 

I hope you guys enjoyed today in honor of our friend's engagments.

If you guys want me to post everyday new part, then i want to get my comments fast. so it is all depend on you that what all you want. if you want me to put next part quickly, then i need more and more comments.

thanks

love

kashish

goodkashish39636.7304050926

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (8)

hey kashish amazinggggg part yaar . i am glad finally itne parshaniyon ke baad they get engaged aur aik doosre ke saath hai . paar yeh log, god i hate that two ladies . din bhar gossiping hi karti reheti hai shayad . how dare they to say like this about kashish . mein hoti toh do thapad marti thi unhe . idiot's . lekin sujal is sooooo sweet and caring . kitne ache se kashish ko handle karta hai . he is the best man yaar really . continue soon yaar plzzzzz.....can't wait any longer.bye.takecare.

17 years ago

Gr8 part... loved there engagement scene but these ladies its not her fault that she had accidnet nd lost her memeory hope this tushaar is not gonna be a problem cont soon

17 years ago

kya zarooraat thi us tushar pagal ko phone karne ki ....aur wo do ladies....jiski party mein aayi hain use hi bura keh rahi hain i hope nothing comes in between them now... nice part.. cont soon!

17 years ago

ya aurtain bhi na gossips say baz nahia ingiiii ...i just hate these kind of ppl ....seriouslyyy newayz kya part tha yar ...ik dum mastttttttttttttttt ...buhat maza aya. ..ya angad kabhi na sudhrey gaaaaaaa .....par yar what will kashsih do now?? ...i mean kab pata lagay ga usko...aur ye robort ko bech main anay ki kya zarurat thi ...Sk ko ik sath dekh nahi paraha hai kya ...ye jelousy ho rahi hai ki...amna ko rajeev legaya ..maiin nahinn.. neway i want u to post a new part every dayyyyyyyyyyyyy ..if possiblee cont soon rajeev rox

17 years ago

awesome part cont soon pls

17 years ago

awesome part...........i wanna kill those foolosh ladies who were talking nonsense!!

17 years ago

wowwwww i luved the new twist of adding tushar.. i hope everything becumss gud but then thats life!! great partt! Pooja

17 years ago

awesome part kashish....i fell to kick that 2 ladies... i was an excelent part yaar....love the engagemet part..plz continue soon yaar...cant wait to read more ...ab unki jaldi say shaadi karva do.. bhumi

17 years ago

Top