Chapter 22

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-22

(in Anjali's Office)

kavya enters and sees that anjali is worring about something.

Kavya: hey Anjali kahan kho gayi.

Anjali: kahin bhi to nahin. Tum batao tumhari meeting kaisi rahi.

Kavya: meeting to achchi thi lekin tum kuch pareshan lag rahi ho. Kya baat hai kashish ko lekar pareshan ho.

Anjali: haa kavya main sujal aur kashish ko lekar pareshan hoon. Kya sujal hamari kashish ke liye thik to hai na.


Kavya; jahan tak main jitna sujal aur angad ko janta hoon dono bahot hi achche parivar se hai aur bahot hi saaf dil ke hai dono. Aur jahan tak baat sujal ki hai to is haalat me kashish ko dekhkar woh use chodke ja sakta hai. Hum sab himmat har chuke the lekin sujal, use abhi umeed hai. Anjali, sukh me sabhi saath dete hai lekin dukh me aur woh bhi bina kisi ristey ke saath dena bahot hi himmatwala kaam hai.

Anjali: thanks kavya tum ne meri muskeli dur kar di. Ab jaise hi kashish ko hosh aata hai main foran uski shaadi sujal se kar dungi.

Kavya: waise anjali tumhara kripa ke bare me kya khayal hai. mera matlab Angad.

Anjali: ladka to achcha hai lekin kya hamari kripa se woh haa karega.

Kavya and anjali both laughed.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><<><><> <><><><><><><>> <><>>

Let's check on angad and kripa.

Angad: to kripa kya irada hai kaha se shuru karna hai.

Kripa: pata nahin ki ab main dubara boutique khol pau ya nahin aur phir main kashish ko akele chodna nahin chahti.

Angad: Kripa agar tum phir se KnK boutique khologi to sab se jyada kashish ko khushi hogi aur muje lagta hai is baar to tumhe bahot hi aage badhna hai kashish ke liye.

Kripa: thank you so much angad muje sahi raah dikhane ke liye. Lekin ab to hume kuch nayi jagah dekhni hogi boutique ke liye.

Angad: tum pareshan mat ho main hoon naa tumhare saath.

Kripa bas angad ki aur dekhti hi reh jati hai.

Angad(breaks slience): kripa, chale.

Kripa(comes to her sense): kaha

Angad(smiles): Shop dekhne;

Kripa just noddes her head and angad drives off.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><<><><> <><><><><><><>> <><>>

Ab bahot ho gaya dusro ke bare me chalo dekhte hai hamara sujal kya kar raha hai.

Sujal doctor ke office me dakhil hota hai.

Doctor: are sujal tum andar aao. betho kuch kam tha.

Sujal: Doctor kashish kab tak thik ho jayegi. Mera matlab ab main use aur is tarah nahin dekh sakta.

Doctor: woh perfectly thik hai. jaise ki woh gehri neend me so rahi hai. jaise hi woh is se bahar aaye aap kisi bhi waqt use ghar le ja sakte hai.

Sujal: Kya hum kashish ko ghar shift nahin kar sakte.

Doctor: Anjali ne bhi kaha tha lekin kabhi kabhi kashish coma me bhi thik tarah se breath nahin kar pati is liye hume use under observation me rakha hai.

Nurse bahot hi teji se andar aati hai.

Nurse (thik tarah saanshein bhi nahin le pati) : doctor woh room no 306 ke patient ki halat bigad ti ja rahi hai.

Sujal: Oh my God kashish.

Sab log kashish ke room ke aur bhagte hai.

Doctor: sujal tum bahar hi ruko. aur muje lagta hai ki tumhe baki ke gharwale ko khabar de deni chahiye.

Sujal: kya matlab hai aap ka.

Doctor kuch kahe usse pehle nurse andar se chikhti hai .

Nurse: Doctor hurry up ple.

Sujal Angad ko phone karke foran hospital aane ko kehta hai. Aur kripa anjali ko phone lagake use hospital pahunchne ko kehti hai. thodi dair baad sab log hospital pahunch jate hai.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><<><><> <><><><><><><>> <><>>

AnjalI; Sujal kya hua. Kashish kaisi hai.

Sujal (worried) : pata nahin kabse doctor andar hai. Pata nahin kya hoga.

Kavya; kuch nahin hoga kashish ko himmat rakho.

Kripa: iske alawa hum kar bhi kya sakte hai.

Angad: upperwale pe bharosha rakho kripa. sab kuch thik hoga

Doctor kashish ke room se bahar aata hai.

Sujal (worried): kaisi hai kashish. sab thik to hai naa.

Anjali: aap kuch bolte kyun nahin.

Doctor: aap sabke liye ek khush khabri hai. kashish coma me se bahar nikal gayi hai. woh ab bilkul thik hai.

Sujal: kya hum kashish se mil sakte hai.

Doctor: abhi to maine use control me lene ke liye injection diya hai lekin do teen ghante baad woh hosh me aa jayegi.

Kripa: kya hum use dekh sakte hai.

Doctor: kyun nahin. aap uske kamre me uske hosh aane tak uska intzaar kar sakte hai.

Angad: thank you doctor.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><<><><> <><><><><><><>> <><>>

Sab log kashish ke kamre me uska intazaar kar rahe hai uske hosh me aane ka.

Teen ghante guzar chuke hai.

Kashish dheere se apni aankh kholke apne haath se apne sir ko pakadi hai.

Kashish: aahh...............

Sujal jo khidki se bahar dekh raha tha aur uske pass me kripa khadi hai aur wahi pass me sofe pe angad aur kavya bethe hai aur anjali jo ki kashish ke pass bethi hai.

Anjali (khushi se): sujal jaldi aao kashish ko hosh aa gaya.

Sab log daudte huye kashish ke pass aate hai.

Kashish bethne ki koshish karti hai aur anjali uski madad karti hai.

Kashish (sab logo ki aur dekhkar): Main yahan kab se hoon.

Anjali: Kashish tum pichle.....per anjali kuch kahe uske ke pehle hi

Kashish : kaun kashish.

Everyone was shocked specialy sujal. Sujal ke aankhon se aanshu behne lagte hai.

Anjali: Kashish tum meri behen.

Kashish: main kisi kashish ko nahin janti aur nahi main aap sab ko. kaun hai aap log aur aap mere kamre me kya kar rahe hai.

Kavya comes and try to sit next to he.

Kashish (gusse me): mere pass mat aana. maine kaha naa muje akela chod do.

Anjali (gusse se) : enough kashish. enough is enough. Ab tum sunogi main bolungi. Tum kashish ho meri choti behen aur main anjali tumhari badi behen. (Pointing at everyone) Yeh kavya hai mera pati. yeh kripa hai tumhari behen, tumhari business partner, yeh hai Angad tumhara dost. (anjali sujal ki nazdig jake sujal ka haath pakad ke use kashish ke pass le jata hai) Aur kashish tum ise nahin pehchanti sujal. tumhara sujal. Tumhara pyaar, Jiske biger tum ek pal bhi nahin reh sakti. Tum ise bhul gayi.

Kashish (apna sir pakad ke chikhne lagti hai): Haa....haa...haa. main sab ko bhul gayi hoon. tumne suna sabko. yahan tak ki main khud nahin janti ki main kaun hoon. Main aap sab ke haath jodti hoon muje kuch samay ke liye akela chod de.

Sujal to jaise us par pahad tut gaya ho ki uski kashish use nahin janti. apne sujal ko nahin pehchanti.

Kripa: Yahaan per sab log tumhare apne hai. aur hum main se koi yahaan se nahin jayega. pichle do mahine se yeh aas lagaye bethe hai ki kab tum hosh me aao.

kashish bahot zor se rone lagti hai.

Sujal: Kripa, ab hum me se koi kuch nahin kahega. Kashish tum akela rehna chahti ho to raho lekin kam se kam tum ple ro mat. Kyunki main tumhare aankhon me aanshu nahin dekh sakta. Hum chalte hai lekin kuch dair ke liye lekin main tumhe kabhi chodke nahin ja sakta.

Yeh kehkar sab log room se bahir chale jate hai.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><<><><> <><><><><><><>> <><>>

(outside room)

Sujal bench pe beta ro raha hai.

Anjali: Sujal main tumhare dard ka andaza bhi nahin laga sakti lekin ab hum sabko ek hokar kashish ko sambhalna hai. Agar tum is tarah tut jaoge to kashish to tutke bikhr jayegi. Tumhe is waqt himmat rakhni hogi. kya tum hamara saath nahin donge.

Sujal: Kashish ke liye main kuch bhi kar sakta hoon lekin main uski aankhon me aanshu nahin dekh sakta.

Anjali: Yahi to main chahti hoon sujal ki tum kashish ki khushiyaan use wapas lotao. vaada karo sujal tum mujse ki tum kashish ko kabhi nahin chodke jaonge.

Sujal: main vaada karta hoon ki jeete ji main kabhi kashish ka saath nahin chodunga.

Angad: Yeh tum log kya muh latkake beth gaye. aaj to hum sab ko khush hona chahiye ki kashish kam se kam coma me se to bahir aa gayi.

Kavya: Angad bilkul sahi keh raha hai. jis tarah woh coma me se bahar aayi usi tarah uski yaadash bhi aa jayegi. Kyun kripa sahi kaha naa.

Kripa (wipes off her tears aur haste huye): Bilkul thik kaha.

tabhi wahan pe doctor aata hai.

Doctor: I am so sorry. muje pata chala ki kashish ki yaadash chali gayi. lekin don't worry. woh bahot jald thik ho jayegi. Jiske pass sujal jisa pyaar ho anjlai aur kripa jaisi behene ho use to thik hona hi hai. Main aap se itna hi keh sakta hoon ki woh is waqt mentally bahot hi kamzor hai. aap logo ko uska bahot hi khayal rakhna hoga. use her waqt uski pichli zindagi ki yaad dilana hoga. Lekin yaad rahe use koi pareshani wali baat ka pata na chale. Aap chahe to use abhi isi waqt ghar leja sakte hai.

kavya: thank you doctor.

doctor left.

Anjali: Sujal, main chahti hoon ki tum log hamare ghar pe shift ho jao taki tum kashish ki her pal uske saath reh sako.

Sujal: lekin woh to muje.

Kripa: ple sujal mana mat karna, Muje aap logo ki bahot zaroorat hai.

Sujal: thik hai.

Angad: main chalta hoon hotel se saman lane.

Kripa: ruko main bhi tumhare saath chalti hoon.

Kavya: Sujal, yeh lo meri gari ki chabiyaan, tum kashish ko lekar ghar jao, main aur anjali hospital ki formalities puri kar ke aate hai.

Sujal: jaisa aap log thik samje.

anjali: shmbhal ke jaana.

Sujal: jee.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><<><><> <><><><><><><>> <><>>

Sujal kashish ke room me aata hai.

Sujal: chale kashish. ghar jana hai.

Kashish; I am sorry.

Sujal: hamare beech kabhi is shabd ki jagah hi nahin hai. (yeh kehte hi sujal wahan se chala hi ja raha hai ki)

kashish: suno.

Sujal: Ghar chele dair ho rahi hai aur tumhe aaram ki zaroorat hai.

kashish just nodded her head.

they left for the house.

goodkashish39636.7040277778

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (11)

Awe! i hope you get better soon!

17 years ago

hey goodkashish !!!....sorry i haven't comment in a long time ....i caught up with the story today .....your story is rocking yaar ........sujal is trying his best to bring his kashish back .....but the good think is that his effort are paying off coz she resdonding ,....so kavya know's sujal and angad, coz he used to study in the same university ..... .....so sweet of angad of helping kripa is reopening the store ....i think someone is falling for kripa n vs ....don't you?.......kripa gives sujal kashish dariy in which she explain what was she going truogh at that moment .....but the most common think was "i love u sujal "....that so sweet ....i can't belive that kashish has gain her concious ....but she doesn't remmember anything ....she lost her memory .....poor sujal he's going to though a difficult time ....but he's supporting kashish in everything....n will wait for her no matter what ......hope kashish ...remmember everything soon ........continue soon pllzzzzzzzzzzzzzz....goodkashish your story rock'sssssss.........can't wait

17 years ago



i am so sorry but i didnt get time. i was kind of little bit sick. but i am feeling better. i will update in 2 or 3 hour. thanks for takinf apecial interest. thanks

17 years ago

hey continue soon yaar plzzz.......

17 years ago

wow yar shukar hai usko hosh aya par ye kya yad dasht ......aur wo sujal ko bhi nahi pehchantii i hope wo jaldi thek hojaye cont soon rajeev rox

17 years ago

kya amazing twist tha yaar... kashish ko kuchh yaad nahi hai ab....wt will sujal do now?? hope he is able to make situation better...and we r gonna c love bet kripa n angad soon!

17 years ago

HEy Wht a twist...yeh yadaasht ka kya chakkar hai...tum toh shock pe shock de rahi ho...pehle comma ...ab yadaasht...cont soon

17 years ago

awwwwwwwwww poor Sujal!!!Vry sad...plzzzzzzz make it alright again..

17 years ago

oh no she looses her memory . bechari . first she was in coma and now she can't even remember herself. poor girl .i really feel bad for her . pata nahi joh log ache hote hai unke saath hameshe bura kyun hota hai . it must be very tough for sujal shayad yeh inn doni ka imtehan ki ghadi hai . ek aur kasautii ko paar karna hoga sujal aur kashish ko apne rishte ko kareeb lane . very nice part and again wonderful pics . continue soon yaar plzz...can't wait any longer.bye.takecare.

17 years ago

Wow! Good twist! Keep going!

17 years ago

Top