Chapter 15

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-15

Kashish aur Kripa neeche jate hai.Sab log Dinner karte hai lekin Kripa aur Kashish ek bhi shabd nahin bolte.

Veena: Abhay bhaisaab kal aa rahi hoon main apni bahu ko apne saath shopping le jane ke liye.

Abhay: Ab aap ko meri izazat lene ki koi zarooorat nahin hai. Aaj se kashish aap ki huyi.

Chetan: Abhay, sagai ke liye aaj se thik 7 din baad ka muharut nikla hai. iska matlab agle saturday ko.(kashish aur Kripa dono ek dusre ko dekhte hai.)

Abhay: bahot achacha hai. Humari aur se aap bephikar rahiye.

Veena: to thik hai hum chalte hai.

Tushar comes and touches abhay's feet.

Abhay: Bhagwaan tum dono ko bahot khushiyaan de. (tushar smiles at kashish but kashish just looks down.)

Chetan: ab chale.

Veena: jee

Raheja left sinha house.

____________________________________________________________ _________________________________________________

Abhay upper apne kamre me jane lagta hai tabhi....

Kashish: Papa muje aap se kuch baat karni hai.

ABhay (smiles) : beta, bahot raat ho gayi hai. Hum log subaah baat karenge.

Kashish (worried) : papa subaah tak bahot dair ho jayegi.

Abhay (worried): sab kuch thik to hai na.

Kashish: papa. main yeh shaadi nahin kar sakti.

Abhay (shocked): Kya kaha tumne? tum yeh shaadi karna nahin chahti. kya main jan sakta hoon ki kya wajah hai.

Kashish: Main kisi aur se pyaar karti hoon aur main nahin chahti ke main tushar se shaadi karke use koi dhoka doon.

Abhay: kaun hai woh aur kya karta hai.

Kashish: uska naam sujal garewal hai aur woh delhi me rehta hai.

Abhay: tum kab use milli.

Kashish: Anjali ke do din pehle jab main Delhi gayi thi tab,

Abhay: tum us do waqt ki mulaqat ko pyaar kehti ho. pyaar ka matlab bhi tum janti ho. kya janti ho tum uske bare me. Kya tumhe pata hai ki kya woh tumse pyaar karta hai.

Kashish: Papa, main nahin janti ki pyaar kya hai lekin haa sujal ke milne ke bad maine shayad pyaar ka matlab jana hai. Aaj jo mera dil dhadkata hai to sirf sujal ke naam. Main use bahot pyaar karti hoon shayad itna ki main khud nahin janti ki main kab use itna pyaar kar bethi. Papa. meri baat man lijiye aur yeh shaadi rukwa dijiye.

Kripa: Papa, Kashish wake hi Sujal se bahot pyaar karti hai.

Abhay: Kripa, tum chup raho. Tum bhi inki baaton me aa gayi. Muje tumse yeh umeed nahin thi. aur kashish tum. chal padi us insaan ke liye jise tum ek baar mili ho. Main aisa kuch nahin hone dunga. Main kisi ko bhi apni beti ki zindagi ke saath nahin khelne doonga. Maine yeh faisa kar liya hai tumhari shaadi hogi to woh sirf tushar se. Maine chetan se vaada kiya hai aur main apne vaade se mukar nahin sakta.

Kashish: To papa maine bhi apne pyaar se vaada kiya tha aur main bhi piche nahin hat sakti kyunki main pyaar me bewafai karna nahin chahti.

Kripa: Papa, yeh baat isse pehle aage badhe. ple papa aap chetan uncle ko phone karke bata do ki yeh shadi nahin ho sakti.

Abhay (gusse se): yeh shaadi to hoke rahegi aur woh bhi kisi bhi halat me.

Kashish (zor se rote huye): main mar jaungi lekin yeh shaadi nahin karungi. Kyunki jab tak is dil ki dhadkane chalegi tab tak is dil me sirf sujal ka naam hoga aur kisis ka nahin.

Abahy (shouted) : to main bhi tumhara baap hoon. Agar tumne yeh shaadi se inkar kiya to tum mera mara hua muh dekhogi. aur abhay yeh kehkar chala jata hai.

Kashish: papa ple suniye to.(woh zameen pe apne khutno pe bethkar zor zor se rone lagti hai.)

Kripa (kashish ke khandhe pe hath rakhkar): chalo kashish apne kamre me.

____________________________________________________________ _________________________________________________ _____

(Kashish in her room)

kashish bed ke pass bethi bethi ro rahi hai.

Tabhi woh khadi hokar khidaki ke pass jati hai. Woh khidaki se dekhti hai to bahar baris ho rahi hai. aur bijali itni zor se aawaz kar rahi hai jaise ki koi toofan chal raha ho.

Kashish apne table ke pass jakar apni dairy likhne bethti hai.

Kashish (in her diary) : Zindagi bhi ajeeb hai. Ek taraf papa hai to dusri aur mera Pyaar. Muj jaisi badnasseb is duniya main koi nahin hogi jise pyaar ke sapne to dekhne mile lekin sapno ko haqeeqat ka roop dene ka moka nahin mila. aaj muje faisa karna hai apne pyaar aur apne beti hone ke farz ke beech. Agar main apne pyaar ka saath doon to main khudgarz kahelaungi ki 23 saal tak beti hone ke farz nibhaye lekin ek hi pal main beti ne apne pita ka sir sharm se juka diya. aur agar main papa ka saath doon to apne pyaar ko kho dungi jo mere jine ka sahara hai. Kabhi koi dil dhadkan ke bina nahin reh sakta is tarah yeh kashish bhi to apne sujal ke bina nahin reh sakti. Main kya karoon apni jaan bhi nahin de sakti kyunki muje maloom hai ki sujal meri bewafai ko seh sakta hai lekin meri maut ko nahin. hey! bagwan muje kis dorahe pe lake khada kar diya hai tune. kyun kiya tune mere saath . Akhir kyun.................

____________________________________________________________ _________________________________________________ ______________

(lets back check in Singapore)

Sujal bhi apni khidki ke pass khada hai aur bahar zoro ki baris ho rahi hai. Angad Sujal ke room me aata hai.

Angad: Are...Sujal abhi tak soya nahin. Kya baat hai tum kuch pareshan lag rahe ho.

Sujal: Angad, tu dekh raha hai bahar zoro ki baris ho rahi hai. yeh kahi naa kahin hume aanewale toofan se wakef karna chahta hai.

Angad: Toofan kaisa toofan.

Sujal: Pata nahin lekin aisa lag raha hai hamari zindagi me koi bhayanak toofan aanewala hai. Pata nahin kyun aaj aisa lag raha hai ki kashish kisi musibat me hai. Aisa lag raha hai ki woh muje bula rahi hai.

Angad: aisa waise kuch nahin hai. aur woh to use kuch miss kar raha hai is bahar romantic baris ki waje se.

Sujal: Come on yaar.. i am serious.

Angad: Kuch nahin hoga tumhari kashish ko. Tumhe barosha hai naa tumhare pyaar per. tumhari Kashish per.

Sujal: Muje kashish pe khud se jyada bharosa hai.

Angad: Ab yeh emotional drama chod aur jake soja kal hume jaldi office jana hai yaad hai na kal share holders ki meeting hai.

Sujal: Yaad hai muje. Ab tu bhi jake soja. Good night.

Angad: Good night.

____________________________________________________________ _____________________________________________

(It is bright morning in sinha house)

Kashish: Papa, Kripa jaldi aao. Brekefast ke liye dair ho rahi hai.

Kripa: Kashish, tum thik to hona na.

Kashish (try to be normal): muje kya hua hai. Aur yeh papa bhi na kaha reh gaye.

Kripa: kashish kisse jooth bol rahi ho. mujse ya apne aap se.

Kashish: kisi se bhi to nahin. Teri baatoin me Papa ki chai lana bhul hi gayi.

Kashish kitchen me jakar apne aanshu chupane ki koshish karti hai lekin tabhi kripa wahan aati hai.

Kripa: Kitne din tak tum apne aanshu humse chupaogi.

Kashish: Main kaha ro rahi hoon woh bas aankh me kuch chala gaya tha.

Kripa: jab jooth bolna na aaye to bolna nahin chahiye. khas karke khud ke saath.

Kashish: Main kaha jooth bol rahi hoon.

Kripa: to sach sach batana meri aankhon me aankhen dalkar ki kya tum sujal ke pyaar ko bhula paungi.

Kashish kuch kahe usse pehle hi abhay...

Abhay: kashish meri chai.

Kashish (apne aanshu punchti hai): Aai papa. kashish left with tea.

Kripa (to herself) : kashish, main bhi tumhari behen hoon, main tumse kabhi tumhara pyaar chin ne nahin dungi.

(at breakfast table)

Kashish (smiles): Papa, aap aaj ghar hi hai na woh Veen aaunti aa rahi hai na to.

Abhay: Haa lekin tum....

kashish: Main taiyaar hoon is shaadi ke liye.

Abhay: main bahot khush hoon tumhare aur tushar ke liye.

Kripa: Mere hote huye yeh shaadi kabhi nahin hogi. Main tushar ko sab sach bata dungi ki tum kis dabav me aakar yeh shaadi kar rahi ho.

Kashish: tum aisa kuch nahin karogi. Tushar se shadi karne ka yeh faisa mera khud ka hai. Aur agar tumne kuch kiya to tumhe meri kasam hai samji. Papa shayad thik hi keh rahe the ki do mulaqt ko pyaar nahin kehte aur tushar achacha ladka hai. Muje pasand karta hai to usme galat kya hai.

Kripa: Kya tum usse pyar karti ho.

Kashish: Pyaar ka kya hai.

Kripa: zindagi jine ke liye pyaar ka hona zaroori hai.

Kashish: Zindagi jine ke liye pyaar ka nahin apno ka saath zaroori hai.

Kripa: tu kuch bhi kehle lekin teri yeh aankhen jooth nahin bol sakti aur yeh chikk chikh ke keh rahi hai ki tu sujal se pyaar karti hai.

Kashish (gusse se): Ab ek shabd bhi aage mat bolna. Meri shaadi tushar se ho rahi hai aur hoke rahegi.

Tringggggggggg.....................tring.................... ...................

Abhay: Hello kaun bol raha hai.

Anjali: hello. papa main anjali. Kaise hai aap sab log.

Abhay: main bilkul thik hoon aap log dono sahi se pahoch gaye.

Anjali; Jee papa, kya wahan kashish aur kripa hai. kya unse baat kar sakti ho.

ABhay: yeh lo kashish se baat karo.

Kashish: Hi anjali, kaisi ho aur kavya kaisa hai.

Anjali: hum sab thik hai. tu bata tu kaise hai. papa se baat ki.

Kashish: Main ek dum thik hoon. yeh le kripa se baat kar

Anjali: Sun to per use kuch kahe usse pehle woh phone kripa ko deti hai.

Kashish (phone pe hath rakh ke) : Anjali ko kuch pata nahin chalna chahiye. main nahin chahti ki woh pareshan ho apne honeymoon pe.

Kripa: hi anjali. kaisi ho. aur kavya kaha hai.

Anjali: hum thik hai woh kavya wash room me hai.

Kripa: apna khyal rakhna aur phone karti rehna. Bye.

Anjali: bye. apna aur kashish ka khayal rakhna;

____________________________________________________________ _________________________________________________ __________________________

Veena aur tushar sinha house me andar aate hai.

Veena: kisse baatein ho rahi thi.

Abhay: woh anjali ka phone tha.

Veena: kaisi hai woh.

ABhay: Bus apne honeymoon pe gayi huyi hai.

Veena; achcha hai. waise hamari bahu kaha hai.

Abhay: abhi to yahan thi shayad kitchen me hogi. Kripa, jake use bhulake lao. Are aap log khade kyun hai bethiye. aur tushar beta tum batao ki kaisa chal raha hai.

Tushar: bas sab kuch thik hai. Tushar ki aankhen kashish ko dhund rahi thi.

Kripa: kashish woh bahar veena aunti aur tushar aaye hai.

Kashish: Thik hai main chalti hoon tum is chai ka dhyaan rakhna unke liye hai.

Kripa: kashish tune soch liya hai na ki tum kya karne ja rahi ho.

Kashish: haa. maine soch liya hai.

Kashish: namaste aaunti, (bends down to take blessings) Tushar use dekhte hi rehta hai.

Veena: jeeti raho. Aur aaj se tu muje aaunti nahin balke mama bhulaugii.

kashish: Jee mama.

kripa bahar sabke liye chai lati hai. sab chai pite hai.

Veena: achcha bahisaab hum log nikhlte hai. kafi sari shopping karni hai. chale Kashish;

Kashish: jee mama.

veena: Kripa tum bhi chalo naa.

Kripa: nahin muje boutique main kaam hai. aur waise bhi shaadi kashish ki hai. Aur yeh kehkar woh gusse se tushar ko dekhkar apna purse lekar chali jati hai.

Veena: ise kya hua.

Abhay (try to hide): kuch nahin woh anjali chali gayi aur ab Kashish. to use apne akelepan ke baare me soch ke gussa hai.

Veena: Abhi woh bachchi hai. Dheere dheere samaj jayegi.

Veena, tushar and kashish left for shopping.

____________________________________________________________ _________________________________________________ ______________

(in the shopping mall)

Veena: chalo jakar saare dekhte hai.

Kashish: jee. Tushar is just following them everywhere.

Veena: Suno kuch achchi si saare dikhna meri bahu ke liye.

Shopper: Ek minute madam. Main kahi koi galti nahin kar raha to aap hi hai na woh designer Kashish sinha.

Kashish: haa! main hi hoon Kashish sinha.

Shopper: Madam maaf kijiye lekin aapke layak yahan koi saare nahin hai. Aur waise hi aapko kya zaroorat hai aap to khud hi apne kapde aaj tak design karti hai.

Tushar: tum baatein bahot karte ho. Ab jaldi se yeh log jo keh rahe hai woh use dikhao.

Veena: nahin tushar, yeh bilkul thik keh rahe hai. Kashish ko kuch nahin pasand aayega. isse achcha hai ki hum Jewellery jake dekhe.

They all head to jewellery department.

Veena: Yeh wala achcha hai. kashish tumhe pasand hai.

kashish: aap ko pasand hai to muje bhi pasand hai.

Veena; Lekin ek baar try to karke dekh.

Kashish aaine ke samne try karti hai lekin use aisa mehsoos hota ki piche sujal kada hai aur woh zor se piche mudti hai to wahaan tushar khada hota hai.

Tushar: kya hua darr gayi.

Kashish: nahin to.

Tushar; yeh necklace tumpe bahot achcha lagta hai.

Kashish: thanks

Tushar; apno se thanks nahin kehte.

Kashish: excuse me main abhi aati hoon.

Kashish jaldi se waha se chali jati hai washrooom ki aur lekin beech me kashish ka dupatta sales floor pe rakhi choodiyaan me fas jata hai.

Kashish bahot koshish kar rahi hai apna dupatta nikalne ki lekin nikal ne ka naam hi nahin.

Shopper: lagta hai mam koi chahta hai ki aap yeh choodiyaan le. Dekho na woh bhi aap ke dupatte ko chodne ka naam hi nahin lete.

Sujal: Sach hi to keh rahe hai. main hi to chahta hoon ki tum yeh choodiyaan pehno jiski khanak ke aawaz me tum tak pahonch saku.

Shopper. Kaha kho gayi aap.

Kashish: kahin nahin, aap yeh sari choodiyaan pack kar dijiye.

Shopper: saari ki saari.

Kashish: haa. koi hai jise mere haath me choodiyon ka hona pasand hai.

Shopper gives her choodiyaan and kashish left.

Tushar: mama kashish kaha hai.

Veena: Abhi to yahi thi.Yeh lo woh aa rahi hai.

Veena: are kaha reh gayi thi tum.

kashish: woh kuch nahin kuch yaad aa gaya tha to lene gayi thi.

Tushar: ab aap logo ki shooping khtam huyi ho to hum ghar chale.

Veena; haa beta. lekin ab is shopping ki aadat dal de.

Tushar (blushed) : Kya mama aap bhi.

Veena: chalo abhi kashish ko bhi drop karna hai.

Tushar and veena droppes kashish home.

____________________________________________________________ _________________________________________________ _________________

Kashish apne room me jati hai to dekhti hai ki Kripa wahan beti hai.

Kripa: to kya shopping ki hai tumne tushar ke saath zara main bhi to dekhoo.

Kashish use apni sari shopping begs deti hai aur kripa ek ke baad ek kholti hai.

Kripa: kashish yeh to sari choodiyaan ki begs hai.

kashish: haa to wahin to maine shopping ki hai.

Kripa: to iska matlab tum abhi bhi sujal ko bhuli nahin.

kashish: kya kabhi koi saansein lena bhulta hai to phir main kaise sujal ko.

Kripa; main janti thi ki tum yeh zabrdasti se shaadi kar rahi ho.

Kashish( came back to her senses) : Nahin to main use kab ka bhula chuki. Aur yeh shaadi main apni marzi se kar rahi hoon.

Kripa: Kitna jooth bologi, abhi do minute pehle tumne khud kaha ki tum sujal ko bhuli nahin aur yeh choodiyaan is baat ka gawaah hai.

kashish (roti huyi): chup kar tu bhagwan ke liye chup kar. Main is baar kamzor hona nahin chahti. bahot muskil se maine apne aap ko smabhala hai. Agar is baar main tooti to nahin sambhal puungi. aur woh roti huyi wash room me chali jati hai.

Kripa (to her self): Yeh hi to main chahti ho ki tum tum tut jao taki yeh shaadi na ho. aur main tumhe her pal tumhe tumhare pyaar ka ehsaas karati rahungi. Muje khud pe pura bharosa hai ki main apne kaam me zaroor kamyab hogi aur yeh mera vaada hai.

goodkashish39636.6746527778

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (14)

awesome part goodkashish !!!!!!!!!!!!!!!!!.......i can't believe that abhay is not supportting kashish in her love ...and says that she has to marry tushar coz his the right person for her ...how can he say that....he doesn't even know sujal ....poor kashsih she's all tensed now...in one hand is her dad ...and the other her love and life ...she doesn't know whom she should go with .....on the other hand sujal is also feeling that something wrong is going on...and kashish need him more than anything .....in the morning kashish inform everyone that she going to marry thushar by herself.....n try to forget sujal ......veena, kashish and trushar goes to shopping where kashish is imagining sujal every where .....kripa ask kashish what did she bought ...she shows her the shopping bags where kripa oly saw churias ..(sujal ka pyaar ).......kripa promise herself that she going to reunite kashish and sujal becouse she can't see kashish like that....and knows that kashish decitions is going to ruin her life ........yaar why thusharr had to come between sujal and kashish .....sujal come back soon plzzzzzzzzzzzzzz .............continue soon plzzzzzzzzzzzzzz.........can't wait for the next part !!!!!!!

17 years ago



thanks for reading my ff. i know tushar is kind of irrating but believe me i hate him as well as you guys. ple continue reading.

17 years ago

WOWWWWWWWWWWWW KYA PART THA !!! BUT THIS ABHAY. KYA HAR WAQT VAADA SUNATE REHETA HAI . I THINK KASHISH SHOULD RUN AWAY CAUSE I CAN'T SEE HER LIKE THAT AT ALL [ . AUR YEH TUSHAR . I HATE HIM SO MUCH. PURA ROBOT HAI.DIKHTA NAHI KYA THAT KASHISH IS KINDA SAD AND NOT TAKING INTEREST IN ANY OF THESE THINGS . KOI AUR HOTA TOH PEHELE I SAMAJ JATA . STUPID . YAAR PLZ........... KUCH KARO NA. KRIPA'S IDEA IS VERY NICE . USSE KUCH KARVAO OTHERWISE EVERYTHING WILL MESS UP IN KASHISH'S LIFE . CONTINUE SOON PLZ... CAN'T WAIT ANY LONGER.BYE.TAKECARE.

17 years ago


i love you guys when you call tushar robot. thanks for liking my part. ple continue reading my ff and post comments.

17 years ago


I know but he is just behaving like typical indian father. i know i hate him too as well as tushar. thanks for reading my ff. ple continue reading and post comments.

17 years ago

[QUOTE=togepe30][QUOTE=goodkashish]
Part-15
Kashish aur Kripa neeche jate hai.Sab log Dinner karte hai lekin Kripa aur Kashish ek bhi shabd nahin bolte.
bechare kya bolenge....muft me ek langur ke gale baand diya hai kashish ko......
Veena: Abhay bhaisaab kal aa rahi hoon main apni bahu ko apne saath shopping le jane ke liye.
Kyun tumhe ghar me aur koi kaam nahi hai kya.....huh!! chup chaap ghar pe baitho aunty...iss umr me yun time paas nahi karte.........yaar veena hi mili thi tushar ki mom banne ke liye......i liked her as sujal ki mom........bechari ki burai karne me acha nahi lag raha......but sujal ki dhinchak mom prerna is too cool
Abhay: Ab aap ko meri izazat lene ki koi zarooorat nahin hai. Aaj se kashish aap ki huyi.
Wo sirf sujal ki hai.......tum time pas mat karo professor uncle
Chetan: Abhay, sagai ke liye aaj se thik 7 din baad ka muharut nikla hai. iska matlab agle saturday ko.(kashish aur Kripa dono ek dusre ko dekhte hai.)
Haan haan 7 din baad kyun, abhi hi karwa do.....huh!! atleast 2 months ka time to diya hota, tumhare robot bete ko jhelne ke liye prepare karne ke liye............mom galat cast ki but daddy bilkul sahi cast kiya hai.........he is very khoosat...pakka tushar ke dad
Abhay: bahot achacha hai. Humari aur se aap bephikar rahiye.
Veena: to thik hai hum chalte hai.
Plz jaldi jao..bye!! wapis mat ana!
Tushar comes and touches abhay's feet.
huh!! Nautanki
Abhay: Bhagwaan tum dono ko bahot khushiyaan de. (tushar smiles at kashish but kashish just looks down.)
Chetan: ab chale.
Veena: jee
Raheja left sinha house.
" Phew".thank god.......chale to gaye
____________________________________________________________ _________________________________________________
Abhay upper apne kamre me jane lagta hai tabhi....
Kashish: Papa muje aap se kuch baat karni hai.
ABhay (smiles) : beta, bahot raat ho gayi hai. Hum log subaah baat karenge.
Kashish (worried) : papa subaah tak bahot dair ho jayegi.
Abhay (worried): sab kuch t

17 years ago

[QUOTE=me2kool]


dhavni tumnay to dilki bat likh di
yar sujal hero ki entry kab maray gaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa

i hope wo jaldi aye aur lay jaye apn juliet koo



rajeev rox
[/QUOTE]

Hey friends.....just stick with me and i promise in next 5 parts sujal will take his main entry. so ple continue read my ff.

17 years ago



thanks you so much. ple continue reading.

17 years ago


Thank you so much for reading my ff. i am also with kripa. i know everyone hates tushar but believe me in next 3 parts he wiil be out from kashish's life.

17 years ago

ya plz us robot ko khatam kar do!!! newayz gud part!

17 years ago

Top