Chapter 2
Part- 2
Anjali: Tumhari baaton baaton me papa ke liye chai lana hi bhul gayi. Tum log jaldi karo ab.
Kripa: Papa, aate nahin aa gaye.
Abhay: Kya baat hai aaj meri betiyaa subaah subaah badi khush lag rahi hai.
Kashish: Haa papa hume aaj sab se pehla contract mila hai. aaj 11 baje clients ke saath meeting hai agar yeh deal hogayi to hume hamare pehle assignment ke liye 1 lakh rupees milenge.
Abhay: Main bahot khush hoon. tum dono ke liye jo tum apni khud ki pehchan banane ja rahe ho.
Kashish: jee papa.
Anjali: Apni pehchan banane me tum dono itni aage mat jana ki kabhi tum aaine me dekho to khud ko na pehchan sako.
Kripa: Kya Anjali, aisa kabhi ho sakta hai. aap hai na hume khichne ke liye.
Abhay: Ab yeh bas mahine bhar ki mehman hai. Dekhna samay itni jald chala jayega aur kal Kavya iski doli leke khada hoga.
Kashish: Papa, Anjali kahin bhi rahe lekin hamare Dil se dur nahin reh sakti.
Anjali: Meri baat ka bura mat manana lekin dil pe had se jyada aitbaar karna achcha nahin hota kyunki jab Dil tutta hai to tutne ki aawaz bhi nahin aati.
Abhay: Kashish beta Anjali bilkul thik keh rahi hai.
Kashish: Koshish karungi.
Kripa: Anjali aaj sham se office se laut te samay hamare boutiqe pe aana tumhare shaadi ke jode ke kuch maine aur kashish ne scatch banaye hai.
Anjali: Koshish karungi waise to aaj muje bahot kam hai.
Abhay: Kam ke alava bhi bahot kuch hota hai. Tum aaj jaldi chali jana main aur Kavya dekh lenge.
Anjali: Jee papa.
Kashish: Papa hum chalte hai aashirwad dijiye and she bends down.
Abhay: Sada shukhi raho. tuje teri kamayabi mile.
Anjali: Kripa.....
Kripa: Aa rahi hoon. Papa muje bhi.
Abhay: jja meri beti, tuje bhi kamyabi mile.
Anjali: best of luck to both of u
Kripa and Kashish: Bye..........
( in Car)
Kripa: kya kar rahi hai kashish. jaldi chala naa. Aisa lag raha hai ki cycle wala bhi humse tej ja raha hai.
Kashish: tuje jana hai cycle pe. nahin naa. to chup chap beth.
Kripa: Ok
Kashish (after few seconds): Ab kuch bolti kyun nahin.
Kripa; tune to chup rehne ko kaha.
Kashish: shut up kripa. ab jaldi se mere purse se woh file nikal aur muje sari details bata to thik se. tu janti hai muje koi bhi kam adhura pasand nahin hai.
Kripa: Haa meri maa. Yeh kisi Prachi shah ki wedding dress ka contract hai. Lagta hai iska baap bahot paise wala hai ya use bahot chahta hai.
Kashish: Kyun
Kripa: Price range 1 lakh se 2 lakh tak hai. Lagta hai bahot paise wale ki beti hogi. shayad milna hi hoga.
Kashish: Kripa, ple unke samne tum apna attitude nahin dikhana.
Kripa: Main aur attitude.
Kashish: Sorry kaha naa. ab chal boutique aa gaya.
( in Boutique)
Kashish and Kripa were sitting in their office. when someone enters in the cabin.
Kripa: Hi! Piyush. Tum yahaan. mera matlab itni subaah
Piyush: Haa. woh muje is mahine ke magazine ke liye aapse kuch discuss karna tha.
Kashish: Discuss karne ki koi zarrorat nahin hai. Yeh lo file isme article bhi hai aur photographs bhi lekin yaad hai hamari deal.
Piyush: Haa yaad jai ki tumhari photo magazine me nahin aani chahiye. Lekin meri yeh baat samaj me nahin aati ki kyun tum logo ke samne nahin aana chahti.
kashish: Muje apni private life jyada pasand hai. main ek aam insaan ki tarah jina chahti hoon.
kripa: Dont worry Piyush. tum nahin samjoge yeh ladki wali baat hai.
Piyush: thik hai main chalta hoon. jaise hi magazine taiyaar ho jayegi sbse pehli copy aapko bhijva doonga.
Kashish: Bye Piyush take care.
kripa: Bye......
Piyush ( kashish ki aur dekh ke): tum bhi apna khayal rakhna. and he left the cabin.
Kripa: tu kyun nahin dekh sakti jo main dekh rahi hoon.
Kashish: main janti hoon lekin mujse yeh nahin hoga.
Kripa: per kyun woh tumse bahot pyaar karta hai.
Kashish: Lekin mere dil me aisi koi feelings nahin hai piyush ke liye. Aur main janti hoon ki koi to hai jo mera besabri se intazaar kar raha hai.
Kripa: kab tak tu uska intazaar karti rahegi jise tu janti bhi nahin.
Kashish: apni puri zindagi.
End of part 2
Comments (13)
really nice.. hope piyush won't be a kanta in the way of kashish and sujal whenever that happens.. can't wait to meet angad and sujal and kavya too.. continue soooonn
17 years ago
thanks for commenting. really appriciate your support.
17 years ago
thanks for commenting on my writing skills. i really appriciate your support. ple keep reading.
17 years ago
thanks for reading. i really appriciate your support. ya kashish's character is going to more interstring and romantic and practical here so keep reading.
17 years ago
thanks for reading and appriciate your support. keep reading.
17 years ago
thanks for reading and i really appriciate your support. keep reading
17 years ago
thanks for reading and liking my story. i really appriciate you for your support. these are my favorite jodies that i put to gahter. keep reading.
17 years ago
thanks for reading. i really appriciate your support. keep reading.
17 years ago
thanks for commenting. i really appriciate your support. keep reading.
17 years ago
wow it was fantastic . can't wait for sujal's entry. continue soon.
17 years ago