Chapter 6

nisha1984 Thumbnail

Nisha

@nisha1984

PART- 3

 

Recap: saare cadets discipline se classes attend karte hai aur koi shararat nahi karte. Faculty ki ek meeting hoti hai jahan pe rajveer dr. ritu mishra ko receive karne jaane ke liye ready ho jaata hai. Aalekh & Huda saari baatein chup kar sun lete hai aur baaki charo ko batate hai.

 

NOW:

Another day went smoothly with classes, learning and discipline. Everything was perfect. It was Friday night so cadets didn't have to follow any preferable timing for dinner as there were no classes on Saturday morning. Our six cadets came last for the dinner and our four favorite teachers and suriji were present in the mess.

 

Cadets came, took their dinner plates and sat quietly on a table near raj, abhi & others. They were all eating silently. Raj smelled something fishy and so did abhi.

 

Abhi: so cadets, aap log kaafi dair se aaj dinner pea aye.

 

Aalekh: apun ne koi rule to nahi toda na sir waise bhi aaj Friday hai.

 

Abhi- nahi bilkul nahi, who to aap log bilkul shaant hai is liye.

 

Huda- who meri mummyji kehti hai na khana khate waqt baate nahi karni chahiye, and who kya hai na sir, huda apni mummyji ki bahut respect karta hai is liye unki koi baat nahi taalta.

 

Raj- very good, so she is your role model.

 

Huda- aisa hi samaj lijiye, mein unhi ke wajah se yahan pe hoon.

 

Nandini- kya matlab?

 

Huda told them about loosing bet with his mummyji and reason of coming to KMA.

 

Everybody laughed on this. Then dr. shalini asked everybody to say why they were in KMA if they don't have any problem sharing with teachers.

 

Aalekh- sharing karne mein apun ko kya problem ho sakti hai. Apun ko apne ma-bap ne do choice di ki tujhe kaun si jail mein rehna hai ghar ya KMA. To apun socha ki pichle 22 saal se ghar wali jail mein reh raha hai ab KMA try kar lete hai.

 

Raj- ye jail nahi hai, cadet aalekh.

 

Riya- jail se kuch kam bhi nahi hai. waise bhi mein to yahan teen saal apni sazaa katne aayee hoon, then she told her story.

 

Abhi- iska matlab ye hua ki aap ko yahan apni zimmedari sikhne bheja gaya hai.

 

Pooja- mein to apne raanze ki talash mein aaye hoon?

 

Nandini- kya matlab?

 

Pooja told her story about rohit, and every teacher was amused as these all were here for some reason except one and that was to become a true solider.

 

Raj- to aap mein se kisi ke paas yahan hone ki koi khaas wajah nahi hai. He was looking constantly at naina all this time as he wanted to know why she was here.

 

Aditya- hai na, hum soldier ban ne aaye hai jo hamara aur hamare parents ka sapna hai.

 

Raj – good, koi to hai yahan jo kisi sachchi wajah se yahan par na to koi majboori se. He was saying but he still was looking @ naina.  He wanted to ask her but he didn't.

 

Abhi- cadet naina, sab ne apne yahan aane ki wajah batayee, lekin aap ne nahi. Agar koi personal reason hai to mat bataye lekin agar share karna chahe to…………………………….

 

Naina- nahi sir aisi koi baat nahi, kya karoon in logo ki tarah mere paas kehne ke liye kuch nahi.

 

Suriji – oy putarr….hum kuch samje nahi.

 

Naina- who kya hai na suriji, jaise ki rajveer sir ne kaha ki sab ke paas KMA mein hone ki koi khaas wajah nahi hai. Lekin mera ye manna hai ki zindagi mein kuch sahi karne ke liye sahi wajah ki zaroorat nahi hoti. Kabhi  kabhi koi aam wajah ya koi itefaaq hum ko zindagi ki sab se sahi manzil tak pahuncha deti hai. To hum sab ki wajah chahe jo bhi koi fark nahi padta kyonki manzil to ek hai na.

 

Abhi- fantastic answer cadet naina, maan gaye aap ki zindagi ko dekhne ki philosophy ko kyon guys?

 

Nandini- absolutely.

 

Everybody had great time and all teachers and cadets leave after dinner. Raj & abhi were playing golf where all cadets are executing their plan.

 

(Now the scene is going to shift back and forth to cadets and raj & abhi)

 

In golf room

 

Abhi- tumhe kya lagta hai raj? Kya ye cadets such mein itne serious and disciplined hai?

 

Raj- bilkul nahi, ye to toofan ke aane ke pehle ki shaanti hai.

 

At the same time, in some another room

 

Aalekh- tere ko kya lagta hai naina, ye log apun ke chote se natak se phas jayenge.

 

Naina- bilkul nahi, cap. Rajveer aur abhimanu ke chehre par saaf saaf likha tha ki unhe hamare irado par shak hai.

 

In golf room

 

Raj- mujhe naina ke chehre se lagta hai tha ye kuch bahut bada plan karne wale hai.

 

Abhi- lekin kya?

 

Raj- yahi to hum ko janna hai.

 

At same time, in other room

 

Huda- lekin kya unhe ye pata lagega?

 

Naina- yahi to hume pata nahi chalne dena hai.

 

(Huda & riya went in some room and messed around with stuff in there, while pooja and aditya gathered ropes and other stuff and recorded some voices. Naina and aalekh got various things from mess and naina took some items from aalekh and went to rajveer's room)

 

Aalekh- bole to yeh sab kis liye?

 

Naina- for back up.

 

Aalekh- lekin back up ka zaroorat nahi padega, huda aur riya ne saara intezaam rakha hai.

 

Naina- captain rajveer is smart and that's why we need some back up.

Then they both picked lock and went in rajveer's room and sat up timer and everything and went to sleep.

 

In the Saturday morning, rajveer left to pick up dr. mishra, and everybody else went where they were supposed to go. All six cadets had fun in games room until 2:00 in afternoon, and then they went to their rooms.

 

At the airport:

Rajveer was waiting for Dr. Mishra. And a very beautiful charming lady in a pink sari came with some luggage. She came to rajveer as rajveer had a board saying KMA.

Lady: hello, are u from KMA?

Rajveer was mesmerized by her beauty and he was lost for seconds but he answered yes.

Lady: I am Dr. ritu mishra.

Rajveer: Hello, I am captain rajveer singh shekhawat.

Ritu: wow mujhe nahi pata tha ki mujhe koi captain receive karne aayege?

Rajveer: aur mujhe nahi pata tha ki aap itni khoobsurat hongi.

Ritu: Jee………..

Raj: you are looking very pretty dr. (waise ye raj bhi na flirt acha kar le ta hai)

Ritu: Thanks for compliment. Waise KMA mein har koi aap ki tarah hai?

Raj- Hamari tarah to ek bas hum hi hai.

Ritu- kaafi hai, chale

Raj- chaliye.

 

Then they left to come to the academy.

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (2)

hey great going pl continue soon

17 years ago

hey very good part...........lets see wat is going on naina's mind...............

17 years ago

Top