Chapter 29

Surya.Ravi Thumbnail

Surya.Ravi

@Surya.Ravi

Hi guys…
Chalo guys I'am back with the last part of zindagi ke silsilay I hope aap sabko yeh part pasand aaye.. & I even hope that aapko   meri story padkar ekta kapoor ke boring draggy soaps na yaad aaye ho….this part will   be very big it is a treat to all of my fanfic readers.. this part is dedicated to each one of you who   reads    my story..

Pehle recap dekhthe hain :- sujal kashish milkar piyush ke saamne naatak kar rahe hain.. kashish ko patah chaltha hain ki piyush sujal ko maarna chahtha hain kashish answers maya's call on piyush's cell.. then sujal kashish decide their plan.. phir they decide ki engagement ke din vasu aur piyush ka   bhanda phodenge….
Ab agge…

                            
" Zindagi ke silsilay -- part 30 "


The Engagement Day :-
veena is all busy with her work kabhi kabhi kaam karthe karthe uski ankhein bhar aathi hain sujal ko yaad karke… yeh baat vasu dekhthi hain aur woh veena ke pass aathi hain…..      
Vasu :- kya baat hain veena ?? yeh aasoon kyun ??
Veena :- woh bas mujhe sujal ki yaad aagayi…
Vasu :- waise maan gaye tumko veena abhi tumhare ladle bete sujal ki maut ko ek haftha bhi nahi hua aur tum apne dusre beto ki engagement party throw kar rahi ho..{ vasu taunts }
veena :- vasu yeh sujal ki ichcha thi… main bas sujal ki baat mann rahi hoon……
vasu :- aur tum kaise jaanthi ho ki yeh sujal ki ichchaa thi…
veena :- kyunke usne marne se pehle yeh baat kashish ko batayi hain..
vasu :- veena mujhe lagtha hain tumhari bahu ne tumse jhoot kaha hain..
veena:- kya matlab hain tumhara vasu……..
vasu :- veena tum bohat bholi ho tum jaanthi ho kashish aur piyush jab hospital pohanchche tho sujal already mar chukka tha usne kashish se koi baat nahi ki.. baaki ab kya karna hain tum hi jaano tum khud samajdhaar ho...
vasu leaves putting veena in confusion & raising a eyebrow at kashish…….
Veena enters kashish's room & she is shocked to see kashish wearing a red saree.. & happily doing her
make-up..
veena :- kashish
kashish :- are mumma aayiye na…..koi kaam tha aapko..
veena:- kashish tumne mujhe tumse yeh umeed nahi thi..
kashish looks at her confused…& says :- main kuch samjhi nahi mumma…….
veena :- { continues } tumne mujhse jhoot bola ki sujal in sabki engagement jald se jald karwana chahtha hain.. tumne mujhse jhoot bola kashish
kashish { tries to intervent & says } :- mumma aisi baat nahi hain aap plz meri baat suniye…..
veena { ghusse mein kehthi hain } :- kashish mujhe kuch nahi sunna hain.. aur aaj pehli baar main mere faisle par pachtha rahi hoon main yeh soch rahi hoon ki kyun main ne tumhe mere ghar ki bahu banaya… tumhe dekhkar tho koi nahi kahega ki tumhare pati ki maut pichle hafthe hui hain… tum tho itni khush ho ab tho mujhe shak ho raha hain ki kahiin sujal ki maut   mein tumhara tho haath nahi……..
kashish ke face black & white ho jaatha hain uske upar dhamake hothe hain   bijliyaan girthi hain……
tab hi cg calls veena down telling her mehmaan aane shuru ho gaye..
kashish :- mumma please mumma ek baar   meri baat tho sun lijiye…
veena :- { shows her hand & strictly says } bas mujhe kuch nahi sunna……
veena leaves…
kashish breakdown near the bed & starts crying.. she remembers sujal calling her while she was going to get ready…
kashish apni cup board mein padi saari sadiyaan bed par padi hui thi aur kashish wahaan tehar   kar poori saadiyan ulta seedha kar rahi thi.. she is very irritated when her mobile rings…..     
sujal :- hiii jaan..
kashish :- haan sujal bolo..
sujal:- kya kar rahi thi..
kashish:- main bas soch rahi thi ki aaj shaam mein kya pehnu kuch samaj hiii nahi aa raha hain…..{ she sulks cutely }
sujal smiles at her cuteness & then says :- dekho kashish aaj main chahtha hoon ki tum bohat khoobsurat lago.. aaj main chahtha hoon tum Mrs. Sujal Garewal lago sabse zyada khoobsurat…samjhi….
Kashish :- haan baba samaj gayi ab tum phone rakhho aur mujhe taiyaar hone do…….
Kashish phir   sujal ki baatein sochthi hain ki he wants her to be like Mrs. Sujal Garewal.. she smiles & then decides on wearing    a red saree as she knows sujal likes her a lot in   red…
Phir back to reality kashish is still crying aur veena ki baatein uske kanno mein goonj rahi thi usse reh rehkar veena ki yeh baat yaad aa rahi thi :- mujhe shak ho raha hain ki kahiin sujal ki maut   mein tumhara tho haath nahi…….. mujhe shak ho raha hain ki kahiin sujal ki maut   mein tumhara tho haath nahi……..
Kashish sisak sisak kar rone lagthi hain..…….
Kashish thodi dher isi haalat mein hothi hain is beech sujal bar baar   kashish ka number dial karne ki koshish kartha rehtha hain par kashish sujal ka call nahi utathi sujal is baat se confused ho jaatha hain…. Kashish phir yeh decide karthi hain ki woh   neeche party mein jaake veena se baat karegi.. kashish   then apna make up theek karke neeche jaathi hain.. wahaan woh   dekhthi hain ki mahaan aa chuke hain.. the party is going on.. sabke dil mein ek hi baat hothi hain ki itni jaldi yeh engagement kyun kar rahe hain jabki sujal ko mare hue lagbhag   ek hi haftha   hua hain…
Kashish veena ko dekhthi hain joh ek khone mein khadi hui thi… kashish veena ke pass jaathi hain aur khadi hothi hain..Veena usse dekhkar stare karthi woh   bhi bade ghusse se….
Kashish :- mumma aap please meri baat suniye…
Veena :- kashish mujhe tumse kuch nahi sunna….
Kashish :- mumma please..
Veena :- nahi kashish main tumhari koi baat nahi sunna chahthi.. tum mujhe kya samjhana chahthi ho kashish main tumse kuch baat bhi nahi karna chahthi..…
Kashish:- mumma main sach keh rahi hoon.. sujal hi aisa chahtha tha..
Veena :- { shows her hand} bas kashish tumhe joh karna tha tum woh   kar chuki ho.. tum jaanthi ho kashish aaj mujhe aisa lag raha hain ki meri zindagi ki sabse   badi ghalthi yeh thi ki maine tumhe sujal ke liye pasand kiya.. maine tumhe is ghar ki bahu banaya yeh thi meri sabse badi ghalthi.. main aaj us pal ko khos rahi hoon jab maine yeh faisla kiya ki tum mere sujal ke liye achchi biwi banogi ek ideal wife banogi.. par kitni ghalat thi main.. aaj tumhari wajah se mera beta mere pass nahi hain sirf tumhari wajah se…
Kashish ke aankhon mein aasoon bhar aathe hain par woh apne assuo ko behne nahi dethi   apne andar hi daba dethi hain..
Kashish :- mumma…..
Veena :- kashish tum mujhe mumma mat bulao tum mujhe mumma bulane ka haq kho chuki ho…. Tum jaanthi ho kashish kaash mere bete ke maut ke pehle hi main tumhari asliyat   jaan paathi.. agar maine tumhara asli chehra pehchaanna hotha tho mere bete ko tumhare saath jeethe jee narkh mein tho jeena nahi hotha…
Kashish ke aankhon se aasoon behne lagtha hain woh
foran usse pohanch lethi hain taaki koi uske aasoon dekh na paye..
kashish:- mumma please mumma   meri baat bas ek baar sunligiye… mumma please…{ kashish gives her a pleading look }
veena :- { she looks all around & then says } dekho kashish yahaan pe itne saare log hain aur main nahi chahthi ki tumhari wajah se meri family ki bhadnami ho.. tumhe joh karna tha woh tum kar chuki ho aur ab tum yahaan koi scene create nahi karna… { veena starts to leave   but she comes back and says } kashish shayad aaj ki raat tumhare liye is ghar mein akhri raat ho.. kal tum yahaan nahi rahogi.. yeh wadaa hain mera tumse….
Veena wahaan se chali jaathi hain aur kashish ko bohat bura lagtha hain..but she can't even express her feeling kyunke woh party mein thi…kashish ko reh rehkar veena ki baatein yaad aa rahi hothi hain…. woh inhi sab baton ke bare mein sochthi rehthi   hain..
ab party aur zoro shoro se shuru ho jaathi hain… aur kashish ke ghar wale bhi aa jathe hain the girls are looking really very pretty… the guys are already present at the party   all looking very dashing… kashish greets her parents & sisters then just stands in a corner totally lost in her own world……prem has not come yet…then kashish goes out..
piyush enters the party hall he sees that kashish is not to be seen anywhere so he decides to go & check in the garden   if she is there….piyush sees that   kashish is standing at a corner he   walks towards her.. he goes to her but the realizes that kashish is lost somewhere.. he clicks his fingers in front of her & kashish comes out of her thoughts…
piyush:- kashish…
kashish :- haan piyush…
piyush :- kin khayalo ki duniyaan mein khoyi hui ho kashish…..
kashish :- kahiin nahi piyush bas aise hi kuch soch rahi thi…
piyush:- kashish kahiin tum sujal ke khayalo mein tho nahi khoyi hui thi na… { he says this sarcastically & starts laughing }
kashish { just looks at him & thinks } :- haan piyush main sujal ke bare mein hi soch rahi thi.. aur main yeh bhi soch rahi thi ki tumne humari zindagi kitni mushkhil    bana di hain.. bas kuch dher aur piyush tum hasne ke kya bolna ke liye bhi qabil nahi rahoge.. yeh mera tumse wadaa hain piyush rahega wadaa hain tumse…{ kashish thinks all this seeing piyush face & then she tells piyush..}
kashish:- are nahi piyush main sujal ko yaad kyun karoongi.. uske liye tho mere dil mein   sirf aur sirf   nafrat hain …
yeh baat veena peeche se sunthi hain..
piyush :- veena aunty…….{ shocked }
kashish turns around & is shocked to see veena standing there…
veena walks over to them & then says to kashish :- tum jaanthi ho kashish main tumse yahaan maafi maang ne aayi thi.. maine socha ki shayad main apne bete khone ka   ilzaam bina wajah tum par laga rahi hoon.. par kashish is baar bhi tumne mujhe ghalat saabit kar hi diya.. tum mere bete se nafrat karthi ho aur main sochthi thi ki tum usse pyaar karthi ho tum uske liye kissi bhi hadh thak jaa sakthi ho.. par tum..chee… mujhe ghin aa rahi hain apne aap par kyunke maine tumhe chuna meri bete ke liye.. tumne uski zindagi barbaad kar ke rakh di hain aur ab tho mujhe tum par shak   ho raha hain kahiin tumne apni zindagi   apni azaadi ke liye tumne   sujal se uski saansein tho nahi cheen li…
kashish :- mummaaaaaa……..
{ veena just comes forward &   slaps kashish hard bechari kashish…}
then veena says :- kashish bas aaj raat ki party ho jaye phir tumse main baat karoongi… kashish yeh tumne achcha nahi kiya… tumne joh kaam kiya hain main uske liye tumhe kabhi maaf nahi karoongi… aaj tumhe ek maa ki bad dua lagi hain aur ek maa ki hye kabhi zaya nahi jaathi….{ veena leaves the place   & goes back to the party…….
kashish is too shell shocked to even utter a word… she comes out of   her thoughts & sees that piyush is standing in front of her & having a   wicked smile on her face…
kashish :- kya hua piyush ?? muskura kyun rahe ho ?? agar mumma ne andar jaake kuch bhi bol diya tho hum phas jayenge…
piyush :- na na na kashish [ he shows his finger in a no direction] hum nahi sirf tum phasogi..[he points his finger at her]
kashish :- { confused } kya matlab hain tumhara kashish..
piyush :- sorry kashish par maine tumhe double cross kiya hain…
kashish :- kya keh rahe ho tum piyush ??? tumhe kya ho gaya hain..

piyush :- kashish dekho it's very very simple maine tumhe double cross kiya aur tumhe phasaya hain.. ab tum sujal ka murder case mein jail jaogi.. {kashish in jail just imagine guys….hehehe..lol } aur phir tum mere liye koi problem nahi create kar sakogi… kashish tum mere liye sirf mera mohra thi jiske bal par maine sujal naam ke kaante ko meri zindagi se hamesha ke liye nikal diya…
kashish :- lekin piyush maine tho tumhe apni company mein partner ka post bhi offer kiya tha aur waise bhi   garewls ki poori ki poori business tum hi handle karthe.. tho phir tumne mere saath itna bada dhoka kyun kiya..
piyush :- nahi kashish agar sujal   naa bhi rahe tho saari zimedaari tum par aathi koi mujhe consider bhi nahi kartha.. tho phir maine socha ki mujhe apna mukaam hasil karne ke liye pehle sujal ko aur phir tumhe is ghar se nikaal na hoga.. tho bas isi liye maine jaan bhooj kar tumse poocha ki kya tum sujal ko yaad kar rahi ho kyunke jab main aa raha tha tumse milne tho maine yeh bhi dekha tha ki veena aunty bahar aa rahi hain… aur tum ek aur baat jaanthi ho kashish jab tum yahaan nahi thi I mean jab tum sab Paris mein the tabse mom { he means vasu } veena aunty ko tumhare khilaaf bhadka rahi hain…. Tho ab tumhare din is ghar mein khatam hothe hain kashish….
Kashish:- nahi piyush shayad tum ghalat ho.. main mumma ko mana loongi…
Piyush :- are kashish manane ka tho sawaal hi nahi hotha kyunke ab thak maine apni akhri chaal   tho chalayi hi nahi.. par ab waqt aa gaya hain ki main apni   last & final chaal chalu jisse ki tum totally finish ho jaogi..tum jaanthi ho meri chaal   kya hain mere pass woh video hain jis mein tumne mere saath baithkar sujal ki maut plan ki thi ab main yeh tape saare pariwaar walo ko dikhauga….. { he laughs }
Kashish :- lekin agar tum woh   tape   video sabko dikhaoge tho tum bhi phasoge…
Piyush :- nahi main nahi phasunga phosogi tho tum hi aur   woh   bhi akeli kyunke maine   woh tape tamper kiya hain koi kitna bhi koshish karle lekin mera chehra us mein nahi dikhega….tum kissi ko mooh dikha ne ke layak nahi rahogi aur tumhare pariwaar wale ki haalat tho tum poocho hi mat woh log jeethe jee mar jayenge…..
Kashish :- {screams a bit } kyun piyush kyun ??????
Piyush :- kyunke tumne mujhe tukraya mere pyaar ko tukraya… ab tumhe is baat ki saza milegi…..
Piyush walks off but then comes back & says scarcastically:- by the way all the best…bachcha sakthi ho tho bachalo apne aap ko…
Piyush leaves the place kashish just tries to remain calm & then she calls prem & explains everything to him.. prem says her not to worry & he also tells her that they will reach the place at the right time…… kashish get's back to the party thinking that all should go fine.. the engagement ceremony takes place veena still continues to be rude to kashish… then   after sometime   the party begings in a full swing & all start enjoying.. when suddenly there is an interruption all look on to the stage & sees that piyush is standing there with the mike in his hand… all are wondering what is he going to say…
Piyush :- I'am really sorry for the interruption kya aap sabko is party mein mazaa aa raha hain ?????? { he questions}
All nod in a yes then he continues :- main aap sabko kuch haqueekatho se wakif karwana chahtha hoon is mein bas 10 min lagega.. I hope you don't mind… ab aapko mein ek cd dikhauga joh kuch   logo ke chehre ka asli rang hum sabko dikhayegi…
Piyush then plays the cd.. all start seeing…. us cd ko dekhkar sab hairaan hothe hain cg ,veena , sumeet aur sonia   tho ek dum shocked hothe hain… woh log kashish ko dekhthe hain joh ki ek corner mein khadi hui sab dekh rahi hothi hain…sabke ankhon main kai sawaal hothe hain…
Jab veena kashish ke pass jaathi aur kashish se poochthi hain :- kashish iska matlab mera shak sahi tha… tum hi ne mere bete ko mujhse cheena hain.. { she catches her shoulder & shakes her } bolo kashish bolo….
Kashish :- mumma aisi nahi hain… aap please mujhe ek mouka dejiye explain karna kya ???
Veena :- nahi kashish main tumhe mouka nahi doongi woh   bhi yeh cd dekhne ke baad tho bilkul bhi nahi… tho yeh hain tumhari sachchayi… veena leaves her & starts walking when kashish tries to catch her hand & plead but then veena usse ulta haath thappad maarthi hain… { sab log shocked hothe hain kashish ke aankhon mein aasu bhar aathe hain sujal ke bhai try to intervent but to no use }
Veena :- bas kashish bohat ho chukka…
Ab sonia kashish ke pass aathi hain aur kehthi hain :- kashish yeh sab kya hain.. mujhe yakeen nahi ho raha hain ki tumne yeh sab kiya hain…. Mujhe tho tumhe meri beti kehne se bhi sharam aathi hain tumne apne pati ko maar dala…….
Kashish :- mom nahi please mera yakeen kijiye aisa kuch bhi nahi hain…..
Vasu :- yeh dekho ab explanation tho kuch aise de rahi hain jaise koi ghalthi ki hi nahi hain.. lekin is ne tho koi ghalthi nahi gunaah kiya hain…… veena bhai tumhari tho mein daath   dethi hoon tumhari pasand ki tumhari kashish ki…
Veena :- kashish agar tum aaj humari zindagi mein nahi hothi tho shayad sujal hum sabke beech hotha aur agar aaj sujal zinda bhi hotha tho main apne bete ko tumhare saath kabhie nahi rehne dethi….
Kashish   ke aankhon mein se aasoon aur teezi se ghirne lagtha hain…. Jab veena phir kehthi hain :- nikal jao is ghar se kashish tum is ghar mein rehne ke qabil nahi ho….
Kashish just listens to everything & stands still in that position & keeps staring at veens   when piyush says…
Piyush :- veena aunty aap isse kya baatein kar rahi hain isse tho humein police ke hawale kar dena chahiye..
Piyush grabs kashish arm & then continues says :- isse jisne humse humare sujal ko cheenna hain….
Kashish :-[again pleads] mumma please ek baar meri baat sun lijiye…
[veena apna mooh pher lethi hain ]
piyush :- nahi kashish tumhe joh karna tha woh tum kar chuki ho tumne is ghar se uska beta cheen liya hain tum ab kisse kya samjhana chahthi ho aur tumhari baato ka ab kissi par koi asar nahi hoga kissi ko bhi tumhari baato par   kabhie yakeen nahi hoga…..[piyush has still grabbed kashish's arm]
ki tab hi achanak door ke pass se awaaz aathi hain :- par sabko meri baaton par tho yakeen hoga na… kyun piyush ?? { he question }
sab peeche mudke dekhthe hain ki yeh kisski awaaz aayi & all are shell – shocked to see our heroji jee haan sujalllllllll…….
Kashish usse dekhthi hain piyush ke grip se apna haath chudathi hain   then she runs & cryingly goes into sujal's arms…. Sujal    caresses her hair slowly    &   tries to calm her down….
Kashish :- { crying mutters } sujal sujal……
Sujal :- kashish shhhhh main hoon na… {sujal ko kashish ko takleef mein dekhkar bohat takleef ho rahi thi aur uske aankh ghusse se bhaare hue the aur woh piyush ko dekhkar stare kartha hain}     
Sab logo ko yakeen nahi ho raha hotha hain ki sujal unke saamne khada hain aur is sab mein piyush ki haalat tho poocho hi mat uske tho pasine choot rahe the…
Ab sujal kashish alag hothe hain aur sujal   kashish ka haath pakadkar usse wahaan lekar jaatha hain jahaan cg , veena , sonia aur sumeet shocked khade the..…….
Veena { sujal ko dekhthi hain aur kehthi }:- sujal tu zinda hain.. { she says this touching his face }
Sujal leaves kashish hand holds veena's hand & then says :- haan mumma main zinda hoon…aur aapke saamne khada hoon….. aur aap jaanthi hain mumma agar main aaj zinda hoon tho iski wajah kaun hain… uski wajaah kashish hain mumma woh kashish jisse aap bolne ka mouka hi nahi de rahi thi… apne yeh    soch bhi kaise   liye mumma ki   joh kashish   sujal ki   zindagi woh sujal ki saansein   usse cheen legi… nahi mumma agar kashish na hothi tho shayad main aapke saamne yun zinda na khada hotha ..
Veena :-    yeh sab tu kya keh raha hain sujal ??
Sujal :- main sahi keh raha hoon mumma…
Veena :- tho iska matlab ki yeh cd ghalat hain ?? nahi sujal main nahi maanthi ki kashish bekasoor hain…..
Sujal:- aapko manna padega mumma kashish bekasoor hain iska jeetha jaagtha sabot main hoon mumma… main yeh nahi kehtha ki yeh cd jhoota hain par yeh bhi tho ho saktha hain ki joh aap sabko dikhaya jaa raha hain woh   poora sach nahi balki aadha sach ho.. aur mumma aadha sach kabhie kissi ko ghalat sabit nahi kartha….
Cg :- kya matlab hain tumhara sujal ???
Sujal :- theek hain main aap sabko samjhatha hoon..{he walks over to piyush puts his hand on his shoulder piyush tho bohat bohat daraa hua hain } tho piyush tum mujhe bata sakthe ho   ki yeh cd tumhare pass kahaan se aayi…. { piyush just keeps staring at sujal when sujal repeats his question is baar zara zor se…}   piyush apne maathe se pasine ko pohanchtha hain aur darthe hue kehtha hain :- sujal woh woh..
Sujal :- woh kya piyush ???????{ he asks sternly }
Piyush :- woh   darasal mere liye   aaj afternoon ek parcel aaya tha ussi mein yeh cd thi……
Sujal :- tho iska matlab tumne yeh cd dupahar mein hi dekh li thi….
Piyush :- haan woh
Sujal [ cuts him ] :- dopahar ko mili thi tho shaam thak ka intezaar kyun kiya piyush……batao mujhe tumhe yeh cd kab mili thi..
Piyush :- [ phirse apna pasina pohanchtha hain aur kehtha hain] nahi mera matlab hain mujhe yeh cd
Sujal :- aaj mili thi ya nahiiiiiiiii…….
Piyush :- haan nahi.. mera matlab tha ki..
Sujal :- tumhara matlab kya hain piyush..
Piyush stands there without giving an answer & then sujal says :- tumhare pass koi jawaab nahi hain piyush iska jawaab ab main tumhe detha hoon… {all look at sujal & sujal starts telling} piyush sach tho yeh hain ki tumhe yeh cd kabhi mili hi nahi us cd mein joh woh dusara insaan hain woh   tum ho…
Piyush par dhamaka hotha hain aur woh kehtha hain :- sujal yeh tum kya keh rahe ho yeh sach nahi hain… main bhala aisa kyun karoonga…
Sujal [coolly says]:- piyush piyush lagtha hain ki tum apne kaam itni aasani se accept nahi karoge.. chalo koi baat nahi shuru se shuru kartha hoon mein.. hum sab ne milke meri maut ka natak racha tha taaki tumhari sachchayi sabke saamne aa jaye , tum jaanthe ho itne dino se kashish joh tumhare saath   tumhare kaamo mein saath de rahi thi woh sab ek natak tha aur tumne kashish pe bharosa kiya aur usse saari asliyat bata di…
Aur hum sab ne milkar yeh tay kiya ki hum tumhe nahi chodenge….
Piyush :- [now starts showing his true colours] lekin woh
hospital mein doctor ka kehna ki tum zinda nahi ho , woh durgs consignment ke mamle mein tumhara phasna , woh   tumhara accident………..
sujal :- sab natak tha piyush sab natak    tum janthe ho piyush tumhari sabse badi ghalthi kya thi tumhari ghalthi yeh thi ki tumne maya ka call attend nahi kiya jabki woh   tumhe batana chahthi ki hum saari sachchayi jaan chuke hain… tumhari dusari ghalthi yeh thi ki tumne drugs ke consignment ki zimedaari kashish ko di thi humne isi baat ka faida utaya aur sab kuch police ko bata diya aur is tarah woh bhi humare natak mein shamil ho gaye..… aur haan akhri baat tumhe kya lagtha hain agar tum doctor ko kareed kar vasu aunty ko dhoke se humare ghar par le aaoge tho kya hum doctor ko paise dekar ek achcha kaam ke liye istemaal nahi kar saktha
ab tho vasu par bhi bijli ghirthi hain aur woh kehthi hain :- yeh sab kya hain sujal tum hum par yeh ilzaam kyun laga rahe ho…
sujal :- are aunty aap tho kaam ha kaan   hi badak rahi hain agar aapko sabot chahiye tho pehle bata dethi.. main aapko sabot dikha detha….    
Piyush:- koi sabot nahi hain tumhare pass.. tum bas mujhe phasane ki koshish kar rahe ho….
Sujal :- sabot chahiye ek min…. { sujal turns towards the door & then says } prem……
Then prem walks in he is catching maya hand & dragging her inside..
Sujal :- kyun piyush maya ko tho pehchaan the ho na.. {he looks at piyush then again continues} lagtha hain tumhe yaad nahi aa raha hain main tumhe yaad   dilatha hoon maya woh shaks hain jisse tumne mujhe aur kashish ko alag karne ke liye bheja tha.. kyun piyush main sahi keh raha hoon na…
Piyush :- yeh kaun hain main tho isse jaantha bhi nahi hoon…
Sujal :- theek hain koi baat nahi par tum   in dono ko tho jaanthe hi hoge na.. { sujal calls out} inspector…
The police walks in while having aditya & varun
hand cuffed…. Piyush & vasu are shocked to see this…
sujal :- piyush afsos ki yeh log saari baatein confess kar chuke hain…aur inhone yeh bhi kaha hain ki tum bhi in kaamo mein bhagidhaar ho….. tho ab tumne kya kehna hain piyush.. aur bhi kuch kehna baki hain…
piyush :- { gets very very angry & then shouts } haan yeh sab maine kiya…{veena , cg ,sonia aur sumeet shocked hothe hain } main is ghar ko   barbaad karna chahtha tha tabha karna chahtha tha…tumhe { he points at sujal } apne raasthe se hatana chahtha tha… aur main yeh sab main kar bhi detha agar yeh { he walks towards kashish } beech mein nahi aathi… { piyush kashish ko thappad marne ke liye haath utatha hain jab sujal aake uska haath pakadtha hain uski ankhon mein krodh bara hua tha shayad is pal woh bina kuch soche samjhe piyush ko jaan se bhi maar daaltha}
sujal piyush ka haath pakadtha hain aur usse ek zor daar dhamake daar punch kartha hain aur piyush neeche gir jaatha hain….{are piyush ek hi maar mein gir gaye ab aage kya kya hoga }
phir sujal apna haath piyush ki taraf point karke ghusse   kehtha hain…
sujal:- aisi ghalthi kabhie karne ki sochna bhi mat… agar dubara aisi harkat ki tho main tumhe jaan se maar doonga aur Bhagwaan bhi tumhe nahi bacha payega.…….
sab log bohat hi hairaan boraan pareshaan hothe hain… ab   sujal ke bhai uske pass aakar khade hothe hain.. sabki aankhon mein piyush ke liye ghussa hotha hain…
rishi :- ab tum jail mein sadoge…aur main dekhtha hoon tum bahar kaise nikalthe ho.. tune humare bhai ki zindagi unse cheenna chahi {rishi goes forward & kicks him while pratham & swayam hold him back..}
pratham :- rishi sambhal khudko isse iske kiye ki saza ab milkar hi rahegi…
kavya :- inspector please piyush ko yahaan se jald se jald le jayiye..
akshat :- haan inspector saab le jayiye isse yahaan se warna kahii humse koi anarth na ho jaye….
Vasu { akshat ke pass jaakar kehthi hain } :- akshat tum aisa kaise kar sakthe ho.. akshat piyush tumhara bhai hain.. { akshat vasu ko koi jawaab nahi detha but then he just keeps staring at her }
Ab police aake piyush ko utathi hain aur handcuff   karthi hain aur wahaan se chali jaathi hain yeh kehkar ki agar un sab ki koi zaroorat ho tho woh unhe contact karenge…..{ the police leave with varun , piyush & aditya }
Vasu :- { sees the police taking away piyush & then she again says } akshat please unhe rokho please akshat apni maa ki baat maanlo…..{ she pleads }
akshat:- maa aapko ab yaad aaya   ki   aap meri maa hain lekin sorry to say par main yeh baat bohat pehle bhula chukka hoon.. aap meri maa nahi hain { he points towards veena & then says } yeh meri maa hain…
Vasu :- akshat piyush , varun tumhare bhai hain…. Tum gairo ke liye apno ko kyun takleef de rahe ho….
Akshat :- main unhe apna bhai nahi maantha joh un logo ne boya wahii paya hain.. aur maine gairo ko nahi apno ko chuna hain.. aap kuch bhi kahiye mere liye sabse zyada zaroori mere yeh   do dost hain sujal aur kashish { he points towards them & says} in dono ne har waqt har pal mera saath diya hain aur aaj main inka saath doonga…..
Vasu :- main tum mein se kissi ko bhi nahi chodugi kabhie nahi.. tum logo ne mujhse mere bete cheen liye.. {she   points towards veena , cg & says }
Then akshat holds vasu's arm drags her out when vasu keeps asking :- yeh kya kar rahe ho akshat… akshat..
finally akshat takes her to the door & then just pushes her out & says :- aap is ghar mein rehne ke layak nahi hain.. nikal jayiye aap   aur kabhie lout ke mat aayiye..aur agar aapne is ghar ko nuksaan pohanchane ki koshish ki tho aapko mera saamna karna padega… yeh kehke   akshat wapas andar chala jaatha   aur vasu laachaar bebas wahaan se chali jaathi hain…{ anyway serves her right }
ab andar saari confusion durr ho jaathi hain par abhi veena kashish se nazrein chura rahi hothi hain… sab log khade hue baat kar rahe hothe hain { I mean the youngsters jab swayam kehtha hain..}      
swayam :- yeh ab thak yahaan kya kar rahi hain { he points out straight all look in direction & see that swayam is pointing at maya}
shlok :- lagtha hain ab isse sabak sikhana padega…
rishi:- bilkul sahi….
Prem :- tho chalo hum kiss baat ka intezaar kar rahein hain….
Shlok , prem , swayam & rishi walk towards the place where maya is standing…they stand next to her & then start talking..
Rishi :- prem lagtha hain kuch logo ko beizzat hone ka bhat shouk hotha hain..
Prem:- haan mujhe bhi aisa hi lagtha hain..
Swayam :-   joh log khud hi beizzat hone ke liye aathe hain mujhe lagtha hain humme unka dil nahi thodna chahiye akhir yeh humare mehmaan hain…
Maya looks at them with anger..
Prem :- humme is tarah goorne ki bajah agar tum yahaan se tashreef le jaogi tho tumhare liye achcha hoga…
Rishi :- so just leave……..
Maya gets frustrated stroms her foot & goes out all the guys giggle at her..
Party aise hi chalthi rehthi hain sab log dance kar rahe hothe hain.. sujal kashish veena , cg , sonia aur sumeet ke saath khade hothe hain… jab akshat unke pass aatha hain..
Akshat :- sujal kashish tum dono yahaan kya kar rahe ho dance floor   pe chalo….
Kashish :- nahi aki…
Akshat :- no nahii wahi kuch nahi kash chup chaap chalo.. sujal chalo…….
Sujal & kashish look at each other   jab akshat    phir kehtha hain :- chalo……
Sujal :- {extends his hand out & says } :- may i… {he smiles }
Kashish smiles back at him & gives her hand in his & they head   towards the dance floor……
Sujal   kashish ke waist pe apna haath rakhtha hain while kashish keeps her hands on his shoulders… both just keep looking at each other & start dancing…….   

Song in the background :-         & ; ;nbs p; 

" Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se…….
Humko Pyaar Hai Sirf Tumse………..
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se……..
Humko Pyaar Hai Sirf Tumse…….
Ab Yeh Pyaar Na Hoga Phir Humse……..
Yeah Yeah Yeah Yeah……
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se……..
Humko Pyaar Hai Sirf Tumse……….
{ sujal kashish just keep staring at each other }
Log Kehte Hain Paagal Hoon Main Yeh Bhi Na Jaanu……
Dil Lutaya Hai Maine Ab Kisi Ki Na Maanu……..
Chain Dekar Ke Maine Bechainiya Yeh Li Hain…….
Neende Udakar Ke Maine Tumse Wafaye Ki Hain…..
{kashish remembers the moments jab woh   sujal ke pyaar ke liye tadpi }
Kasam Ki Kasam Hain Kasam Se…...
Jee Rahe The Hum Tere Dum Se………
Ab Yeh Pyaar Na Hoga Phir Humse…….
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se……..
Humko Pyaar Hain Sirf Tumse……..
Kuch Ishaaron Mein Tumne Humse Jo Yeh Kahan Hain…..
Ab Yakin Aa Raha Hai Tumko Bhi Kuch Hua Hain……
{ sujal kashish ko dekhtha hain joh khayalo mein khoyi hui hain woh apni aankhon ke ishare se usse poochtha hain hain ki kya hua }
Kyon Tumko Dekhte Hain Kya Dil Mein Sochte Hain….
Toofan Jo Uth Raha Hai Hum Usko Rokte Hain……
{kashish just looks at him ki uske bina kuch kaise sujal sab kuch samaj letha hain }
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se………
Yeh Milan Hai Sanam Ka Sanam Se………
{ kashish goes into sujal arms he holds her gently }
Ab Yeh Pyaar Na Hoga Phir Humse……..
Yeah Yeah Yeah Yeah…….
Kasam Ki Kasam……..
Haan Kasam Yeh Kasam……..
Di Kasam Le Kasam……..
Haan Kasam Kasam…….
Kasam Kasam……..
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se……
Humko Pyaar Hai Sirf Tumse……
Ab Yeh Pyaar Na Hoga Phir Humse…."
{they both think about the time jab woh   ek hue the and then sujal tightens his grip on kashish's waist…}

phir yeh gana khatam hotha hain sujal kashish separate & then leave the dance floor… they both walk to different corners of the hall talking to different people lekin kissi aur se baat karthe hue bhi unki nighahein sirf aur sirf ek dusare par hi tikii hui thi… woh dono baat tho kissi aur se kar rahe the par har pal unka dil sirf ek dusare ko dhoondtha tha……phir sujal kashish start moving around the hall aur phir woh dono ek dusare ke saamne aakar khade ho jaathe hain.. woh dono kuch bol hi nahi paathe unki aankhein unki dil ki haalat bayaan kar rahi thi…..
at that time announcement hothi hain ki sab log   phir se dance floor par aa jaye aur us shaam ki last dance mein shamil ho……..   
sujal kashish ek dusare k dekhthe hain par un mein se koi bhi ek dusare ko dance ke liye nahi poochtha…….
Phir song play hotha hain……..

Song in the background :-

" Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana…………
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……..
{ sujal kashish bas ek dusare ko dekhthe hi rehthe hain }
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana………
{kashish starts to walk past sujal when sujal catches her hand }
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……..
{pulls her back to himself }
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……
{ holds her hand & takes her to the dance floor }
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……..
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……..
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana…..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……..
Oh oh oh oh, mm mm mm…..
{sujal kashish remember those moments jab unhone pyaar mein judaaii sahi hain & they both hug each other tightly }
Ab zindagi ka maqsad hai bas tumhaara saath………
Ek baar keh do tum bhi, haathon mein leke haath…….
Oh oh oh……..
Ab zindagi ka maqsad hai bas tumhaara saath……….
Lo keh diya yeh tumse, haathon mein leke haath………
Hum tum, tum hum banke rahe humraaz humsafar……
Shikwa kare na koi ek duje se umr bhar………
Pyaar hamaara ho aise ke dekhe yeh zamaana……….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……
{they both clasp their fingers tightly}
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……..
Kehta hai pal pal tumse……….
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……….
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana………..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana………..
Na main tumhe sataaoon, na tum mujhe sataao……….
Main tumko samajh jaaoon, tum mujhko samajh jaao……..
Na main tumhe sataaoon, na tum mujhe sataao…………
Main tumko samajh jaaoon, tum mujhko samajh jaao……..
Chaahat hi pooja ho mann mandir ho jaaneman……..
Ek duje ke bin ek pal bhi lagta nahin ho mann…….
Phir to jeevan ban jaayega pyaar ka taraana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana…..
{ kashish bas sujal ko dekhthi hain aur uski aankhein bhar aathi hain sujal quickly wipes off her tears & then kisses on her forehead & they both hug…}
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana…………
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……….
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana……..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana…..
{the song comes to an end & sujal kashish who are hugging each other move away from each other }
khair phir party khatam ho jaathi hain sab apne apne ghar ke liye nikal padthe hain sonia kashish se apne behaviour ke liye maafi maangthi hain par kashish baat ko taaal dethi hain….
Phir sab apne apne kamro mein chale jaathe hain… sujal kashish apne kamre mein baite hue hothe hain.. kashish is sitting   bon the bed having her face in her palm.. she is just looking down may be thinking about something….
Sujal sees her lost in thoughts so to divert her attention he says :- lagtha hain kashish tumhe mere aane ki khushi   nahi hain…
Kashish looks up & stares at him & says :- aisi koi baat nahi sujal.. tum aisa kyun sochthe ho….
Sujal :- woh isliye kyunke tumhare chehre par mujhse milne ki koi khushi hi nahi hain.. { he sulks like a kid & turns his face }
Kashish   walks over to him takes his   face in her hands & then says :- aisi koi baat nahi hain sujal.. main tho   bus..
Sujal :- aisi hi baat hain kashish dekho na main tumhare aankhon ko pad saktha hoon aur in mein is pal kai sawaal hain… {actually kashish ko veena ki baatein yaad aathi rehthi hain she thinks shayad veena sahi hain sujal uske saath khush nahi rahega…}   
Sujal { sees that she is again lost in thoughts so he
says}:- dekha main sahi keh raha tha tum phir khayalo mein kho gayi….
Kashish :- nahi sujal main bas yahii soch rahi thi kiii…
{before kashish could continue peeche se ek awaaz aathi hain }
veena :- kashish….
Kahish aur sujal dono mudke dekhthe hain…
Veena comes to them & says :- sujal main bohat khush hoon ki tu zinda hain.. tu nahi jaantha tere bina yeh ek haftha hum sab ne kaise kaata hain..
Sujal hugs veena…
Veena then starts to go out but then comes back stands in front of kashish & then says :- kashish main jaanthi hoon maine joh kiya hain woh ghalat kiya main yeh bhi jaanthi hoon ki main maafi ki haqdaar nahi hoon {jab patah hain tho kyun maafi maang rahi ho…lol } lekin phir bhi main tumse maafi maangna chahthi hoon ho sake   tho mujhe maaf kar dena…
{ veena kashish ke saamne apna haath jhodthi hain }
kashish foran veena ka haath pakad lethi hain aur kehthi hain :- nahi mumma aap mujhse badi hain aap mujhse maafi maange yeh mujhe khatayi kabool nahi hain.. aapne joh kuch bhi kaha woh apne bete ke liye kaha.. aapne mujhe is ghar ki bahu nahi beti mana tha na tho mujhe daant ne ka aapko sabse zyada adhikaar hain agar aapko lagtha hain ki main ghalat hoon tho aapko poora hakh hain mujhe tokhne ka.. aur please mujhse maafi mat magiye…
veena :- nahi kashish aaj agar mera beta mere pass zinda khada hain tho yeh sirf tumhari wajah se hain.. aur maine tumhe ghalat samjha tumhe kya kuch nahi keh diya… main tho tumhare maafi ke bhi qabil nahi hoon..
kashish :- mumma phir wohi baat maine aapse kaha na aapka hakh hain mujh par.. mumma main ab aapse   keh dethi hoon main ab thak tho aapse naraaz nahi hui lekin agar aapne ek baar phir mujhse maafi maangi tho main zaroor naraaz ho jaugi..{kashish turns her face to the other side like a kid }
veena :- are nahi tum aisa nahi karna achcha theek hain main nahi maangthi tujhse maafi..
kashish turns back smiles & says :- yeh hui meri mumma jaisi baat…
veena & kashish hug….jab sujal kehtha hain..
sujal:- are wah aap dono tho mujhe bhool hi gaye.. mumma mujhe lagtha hain aapko aapke bete se zyada apni bahu ki padi hain {he makes a face }
kashish starts giggling at sujal…
sujal :- { daantne ke andaaz mein kehtha hain par pyaar se ab tum kyun has rahi ho ???
veena :- tu usse daant na band kar aur kyun na ho yeh meri bahu thodi na hain yeh tho meri pyaari si beti hain…
sujal:- { sulks } aur main kya hoon…
veena :- ab aise mooh   banana band kar aur yahaan aa..
sujal smiles goes to veena phir veena sujal kashish ko ek saath gale lagathi hain..
phir veena sujal ke kaan kheechthi hain aur kehthi
hain :- chal maafi maang kashish se.. tune isse daanta kyun….   
phir sujal sharathi andaaz mein kehtha hain :- mumma
{apne kaan chudathe hue kehtha hain } main kahaan daant raha tha main tho bas pyaar kar raha tha….
Kashish sujal ki baatein sunkar Sharma jaathi hain sujal kashish ko dekhtha hain & winks at her   and she starts blushing…veena sees them & smile & then says to sujal :- chal hat badmaash…{she hits him on his arm]
Sujal :- mumma…….{he feels embarrassed as kashish is there laughing }
Veena:- haan haan jaanthi hoon tu ab bada ho chukka hain aur tujhe apni biwi ke saamne maar khane mein sharam aathi hain…
Sujal :- nahi mumma aisi koi baat nahi hain..
Veena:- haan haan main sab jaathi hoon.. ab tum dono aaraam karo main chalthi hoon…
Then veena leaves the place sujal goes & closes the door.. & turns around & then gives kashish a mischevious look… kashish sees the look he is giving her & says :- aise kya dekh rahe ho….
Sujal usse jawaab nahi detha balki uski taraf aage badne lagtha hain…
Sujal kashish ke pass pohanch jaatha hain & kashish starts moving back until she hits the wall behind….
Kashish :- sujal kya hain ??
Sujal :- bohat hasi aa rahi thi na mujh par.. ab haso.. {he starts moving closer to her }
Kashish :- sujal…….please chodo mujhe main tho bas mazaak kar rahi thi…
Sujal :- haan tum mazzak kar rahi thi par main tho ab romance kar raha hoon.. he winks at kashish , kashish Sharma jaathi aur sujal ko tightly hug karthi hain…
Sujal :- kashish tum jaanthi ho jab tum Sharma thi ho tho tum bohat bohat khoobsurat lagthi ho…
Kashish aur blush karthi hain aur sujal ko aur tightly hug karthi hain…
{ then they separate & keep looking at each other}
kashish :- I missed you sujal…
Sujal :- { takes her face in his palm & then says } I missed   you too…
Sujal then slowly kisses kashish on the fore head on the both sides of the cheeks he touches her neck with his gentle hands moves her hair back   and then his lips touch her neck…& then   finally he came near her face aur un dono ke hoth mile…

Song in the background :-

" Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain…….
Jaane kya bole mann dole sunke badan………
Dhadkan bani zubaan………
Baahon ke darmiyaan………
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain……
Jaane kya bole mann dole sunke badan…..
Dhadkan bani zubaan……..
Baahon ke darmiyaan……
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi……
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi…….
Mujhse keh rahi hai ki badhne de bekhudi……..
Mil yoon ki daud jaayein nas nas mein bijliyaan……….
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain……..
Jaane kya bole mann dole sunke badan…….
Dhadkan bani zubaan………
Baahon ke darmiyaan…….. "

they have a long kiss then they moved away kashish was still blushing & she could not have eye contact with sujal.. while sujal kept on looking at her intently…
Kashish    could not stand his gaze anymore & hugged him again.. sujal was just running down his hand on her back…
Sujal :- ab hum dono ko duniyaan ki koi bhi takat alag nahi kar sakthi… main tumse wadaa kartha hoon kashish ki main marthe dum thak tumhara    saath doonga   zindagi   ke har ek pal mein main tumhare saath rahoonga…..     
Kashish :- main bhi tumse wadaa karthi hoon sujal main tumhare har khadam par tumhara saath doongi kabhi bhi zindagi ke rahhon mein tumhe akela nahi chodugi….
Sujal kashish separate… kashish apna haath sujal ke haatho mein dethi hain aur dono ek saath kehthe
hain:- wadaa kartha hain hum ek dusare se chahe zindagi kitni hi kyun na karwat le le hum ek dusare ke saath kabhi na chodenge chahe yeh zindagi humne kitne hi silsilay kyun na dikh ye par hum ek dusare par se apna vishwaas kabhi nahi khoyenge…wadaa
phir sujal kashish dheere se utatha hain aur bed par le jaatha hain…he makes her lie down & sleeps next to her… both keep looking at each other not moving their gaze away.. then sujal holds kashish's hand pulls her closer to himself   & they both kiss……

Song in the background :-

" Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand…
Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand…….
Uljhi uljhi saanson ki aawaaz hai pasand…….
Moti luta rahi hai saawan ki badliyaan………
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain……
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain…….
Jaane kya bole mann dole sunke badan……..
Dhadkan bani zubaan………..
Baahon ke darmiyaan ………..."
Phir aage kya hotha hain yeh main nahi jaanthi…        & ; ;nbs p; { screen blurred }
Waqt beeth tha chala gaya…is baat ko hue hue poore ek saal   bheet   gaya.. yeh ek saal sujal kashish ke zindagi ka sabse haseen   saal tha… is ek saal mein sujal ke bhaiyo ki shaddi ho gayi thi.. piyush ko apne kiye ki saza mil chuki thi woh jail mein sadh raha tha… vasu bina koi umeed   ke Shimla se chali gayi.. aur maya ne bohat koshish ki sujal kashish ke rishthe ko thodne ki par    har baar uska waar khali gaya agar woh sujal kashish ko chot pohanchane ki koshish karthi tho uska asar sirf aur sirf ussi par hua is baat se tang aakar maya sujal kashish ki zindagi se hamesha hamesha ke liye chali gayi… is ek saal mein sujal kashish ki zindagi mein hazaro mushkhile aayi par un dono ne kabhie haalat ke saamne haar nahi mani balki woh   dono ek dusare ka saath dethe hue ek dusare ka haath thamein   hue aage badthe gaye unhone kabhi peeche mudke un andhero ko nahi dekha joh unki ateet ka hissa tha.. sujal ke bhaiyon ki zindagi bhi hasi khushi kat rahi thi.. sab ek saath rehkar bohat khush the… prem sneha , shlok diya ko ek dusare ke liye pyaar ka ehsaas ho gaya tha… in logo ko milane mein sujal kashish ka haath tha do pyaar bhaare dilo ne dusare pyaar karne wale dilo ko mila diya… aaj ke din sneha prem , shlok diya ki shaddi thi..
tho scene kuch aisa hain.. sujal kashish ke kamre mein..
sujal is standing outside his room.. he is wearing a black colour sherwani which has sliver work on it   has put on his rolex watch has geled his hair…{ looking
dashing , cute , adorable , handsome as usual }is calling out for kashish who is not letting him come inside the room…
sujal :- kashish aur kitni dher yaar humme mandap mein pohanchna hain…
andar se kashish ki awaaz aathi hain :- theek hain sujal ab andar aa jao…
sujal walks into the room he sees kashish almost ready & sitting in front of the mirror looking extremely beautiful.. sujal just can't take his eyes of her… kashish is wearing a purple saree with embroidery all over the saree.. she has worn long earings , a diamond necklace matching bangles on both her hands….sujal is just observing her beauty when kashish calls out his
name :- sujal..
sujal :- { comes out of his thoughts & says } haan..
kashish :- sujal zara tum meri madat kar doge yeh dori bhadne mein.. { she points towards her back }
sujal :- haan haan zaroor……sujal kashish ke kareeb jaatha hain uski dori bhaandtha hain aur usse kiss kartha hain….
Kashish stands up & turns towards him & says :- sujalll.. kuch tho sharam karo…
Sujal :- { holds her waist } are sharam kaisi tum meri biwi ho my lawfully wedded wife….
Kashish:- sujal ab tho tum   bohat jald papa ban jaoge is   baat ka tho khayal rakho..besharam ho gaye ho aur din par par din aur zyada hothe jaa rahe ho… { she hits him on his chest }
{ yes guys kashish is 6 months pregnant}     
sujal :- are papa banne wala hoon iska matlab no romance.. tum fhikar mat karo meri beti humme disturb nahi karegi jab hum romance karenge…{ he winks at her }
kashish:- achchaji beti… beta kyun nahi ho saktha….
Sujal :- main chahtha hoon ki humari ek beti ho joh tumhari tarah sweet ho…..
Kashish:- aur main chahthi hoon ki mera ek pyaara sa beta ho bilkul tumhari tarah bhudhu…..{ she ruffles his hair with her hands }
Sujal kashish argue sweetly ki unhe ek beta hoga ya beti isi khati meeti argument ke beech veena aake unhe leke jaathi hain kyunke shaadi pe jaanne ka waqt ho raha tha…
Shaddi ho jaathi hain…sab bohat khush hothe hain aur dukhi bhi kyunke sneha ko ab apne ghar se ek dusare ghar mein jana tha apne bhaiyo mom dad se durr lekin sab khush bhi the kyunke woh sab jaanthe the ki prem bohat achcha ladka hain aur woh   sneha ko hamesha khush rakhega……
Phir waqt beetha hue theen mahine guzar gaye… sujal aur uska pariwaar hospital   mein tha & kashish operation theatre mein thi… sujal bohat pareshaan rehtha hain… tab wahaan doctor   operation   khatam karke aatha hain aur sujal ke pass jaake   kehtha hain :- congratulations Mr.garewal   aapko twins hue hain ek ladka ek ladki…
Sujal yeh baat sunkar khush hotha hain par kashish ke bare mein ab bhi usse thodi tension hothi hain aur woh doctor se poochtha hain:- doctor kashish..
Doctor:- aapki wife bhi bilkul theek hain.. aap chaho tho unse mil sakthe hain lekin bhari bhari…
Sujal aur sab bohat khush hothe hain sabse pehle sujal andar bhaagtha hain..
Kashish usse dekhthi hain aur smile karthi hain sujal pehle apne bachcho ko dekhtha hain aur phir kashish ke pass atha hain dono ki aankhon mein assoon hothe hain sujal kashish ke pass baiththa hain uska haath pakadtha hain aur kehtha hain :- thanks aaj tumne mujhe meri zindagi ka sabse haseen tofha diya hain.. thanks… sujal then kisses her on the forehead aur phir sab kashish se aake milthe hain….
Then after two days kashish is discharged from the hospital.. bachcho ka naam karan ki vidhi dhoom dhaam se ki jaathi hain… kashish bete ka naam rakhthi hain   saransh aur sujal beti ka naam rakhtha hain khushi…
Iske baad zindagi aage badthi gayi   sujal ,kashish ,khushi aur saransh sabke saath hasi khushi jeene lage….
Ab sujal aur kashish ki zindagi hain kuch is tarah..


" ajeeb   hain yeh zindagi ki raahein…
jaane kiss modh pe le jayegi yeh dourahein..
har dard har ghum se guzar chuki hain ....
kaanto mein bhi kali ki khusboo mili hain…
andheron mein bhi ujale ki kiran dikhi hain…..
ab na jane aur kya rang dikhayegi yeh zindagi….
ajeeb hain yeh zindagi ki raahein….
Jane ab humme kiss modh par le jayengi yeh zindagi ke silsilay …."   {plz  tell  me  how  are  these  lines  i  have  written them } 


                                         " THE END "

Well guys yahaan khatam hotha hain zindagi ke silsilay main ab yeh nahi keh sakthi ki aap apne sawaalo ke jawaab jaanne ke liye   agla part ka intezaar kariye…. This fanfic of mine ends here me will start a new fanfic soon…

I hope meri poori story aur yeh part aap sabko pasand aaya hoga….please apne comments aur compliments zaroor   likhkhe bhejna… main intezaar karoongi..
Well guys main aap sabko bata doon mera naya fanfic ka naam hoga "Dil Se Dil Thak "……..
aap log intezaar kijiye Dil Se Dil thak ka   tab thak ke liye

take care…….
Byeeeeeeeeeeeeeeee
Love all of you for the support u have given me……

Love
Surya… Embarrassed    
sun_42338881.4694675926

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

Comments (25)

thanku so much....i;am glad you like it...

15 years ago

Hi aap ka ye ff to bohot hi accha tha.Mujhe bohot pasand aaya kaafi different story thi.

15 years ago

kashish dear i have finished this fanfic....

16 years ago

ple continue karo na.........ab aur intzaar nahi hota.....ab tum bahot rula rahi ho........

16 years ago

thankz i forgot so thts y i asked.

17 years ago

[QUOTE=barbiekhalil]i read ur whole story it wuz like da bezt !!!
i juz like de partz wen s-k hug it jus makes me like sujal even more!
i even started crying in de middle once again! nice! [/QUOTE]thanks so much for your comments.... & my other stories name is dil se dil thak............

17 years ago

and how cum theres: everywhere?

17 years ago

i read ur whole story it wuz like da bezt !!! i juz like de partz wen s-k hug it jus makes me like sujal even more! i even started crying in de middle once again! nice!

17 years ago

maine apni nayi story post kar di R.S...

18 years ago

suri will be w8ing 2 read ur new story

18 years ago

Top