Chapter 27

Surya.Ravi Thumbnail

Surya.Ravi

@Surya.Ravi

Hi guys..
Chalo main phir wapas aa gayi meri story ka agla part lekar.. main umeed karthi hoon ki yeh part bhi aap sabbko pasand aaye… & ya this time I wouldn't say sorry for the delayed posts as jab bhi main sorry kehthi hoon sab kehthe hain sorry kehne ki zaroorat nahi…
Chaliye   ab pehle recap par ek nazar daalthe hain…

Recap :-   sujal aur kashish ke beech thoda romance aur phir prem aur sujal ke beech ki baat cheet , phir everybody deciding how to trap piyush..phir sab log India wapas aathe hain   aur phir bhootni ki entry I mean vasu ki entry se sab hairaan hothe hain.... & akshat ke darr…
Ab agge..
          
        "Zindagi ke silsilay --- part 28"

khair phir akshat unke kamre se chala jaatha hain …   then kashish & sujal are sitting on the bed & kashish starts talking about akshat etc etc.. sujal does not reply anything to what all kashish tells.. he just says a ok or ya in between… kashish sees that sujal is not answering properly so she looks up at him…
Kashish dekhthi hain   ki sujal bas usse hi dekhe jaa raha tha…
Kashish :- kya hua sujal aise kyun dekh rahe ho ??
Sujal :- main tho   dekh raha tha ki meri biwi kitni khoobsurat hain…
Kashish smiles & looks at him….
Sujal :- kashish   tumhe yaad hain hum akshat ke aane se pehle kya kar rahe the { he says mischeviously & starts coming towards her }
Kashish { acts innocent }:- nahi tho   mujhe tho kuch yaad nahi aa raha hain.. { she acts as if she is thinking } hum kya kar rahe the ??
Sujal :- achcha ji tho aapko yaad nahi … chalo theek hain ko baat nahii main phir se yaad dila detha hoon.. mujhe koi problem nahi.. { he gives kashish a naughty smile} kashish sees that sujal is coming close to her she jhukifies her nazar & places her head on sujal's chest…
Sujal slowly moves kashish away from him he moves her hair backwards from her face   kisses her on the eyes   gently   then on the cheek.. kashish kisses him on his cheeks hugs him & finally he kisses her on the lips & their lips lock once again…
    
Song in the background :-

" Tumhe hum apne jism-o-jaan mein kuch aise basa lenge………
Tumhe hum apne jism-o-jaan mein kuch aise basa lenge………….
Teri khushboo apne jism ki khushboo bana lenge…………
Khuda se bhi na jo toote………….
Khuda se bhi na jo toote………..
Woh rishta jod lenge hum……….
Agar tum mil jao………….
Zamana chod denge hum………..
Tumhe paa kar zamane bhar se rishta tod denge hum……….
Agar tum mil jao……………….
Zamana chod denge hum…………
Agar tum mil jao…………
Zamana chod denge hum…………."

Ab hum agle subah ki baatein karthe hain.. sujal bohat jaldi uth jaatha hain.. woh   kashish   ko dekhtha hain jo ke uski arm par soyi hui thi.. sujal usse dekhkar smile kartha hain aur usse ek idea soojtha hain.. woh dhere se uth jaatha hain aur fresh hokar kamre    se bahar chala jaatha hain…
Kuch dher baad kashish utthi hain tho dekhthi hain ki sujal kamre mein nahi hain.. woh   sochthi hain ki sujal neeche hoga.. phir kashish ready hone jaathi hain.. jab woh washroom se bahar aathi hain tho woh dekhthi hain ki sujal uske saamne khada hain with a tray in his hand & a smile on his face .. kashish yeh dekhkar bohat confused ho jaathi hain.Tab sujal apne haath mein liye tray ko table pe rakh detha hain.. {sujal ke kamre ek khone mein ek chota sa glass table hain   nicely carved a table for two} ..aur phir sujal kashish ke pass jaakar uska waist pakadtha hain aur kehtha hain :- good morning my dear wife.. { sujal rubs his tip of his nose on kashish's cheeks }
Kashish surprise hokar kabhie us table ko dekhthi thi tho kabhi sujal ko aur woh   sujal se kehthi hain :- sujal yeh sab kya hain…. {she says pointing out to the table }
Sujal kashish ko dekhtha hain aur kehtha hain :- kash maine tumse good morning kaha…aur tum ho ki mujhe wish hi nahi kar rahi ho kya zamana aa gaya hain..…. { he says innocently & makes a sad face}
Kashish :- achcha baba ghalthi ho gayi { she holds her ears } chalo main ab tumhe ab wish kar dethi hoon     good morning.. ab yeh batao yeh kya hain ??
Sujal :- jaan yeh tumhara nashtha hain… { he starts pulling her close to himself } socha aaj aapke liye hum nhastha banaye..
Kashish :- woh kyun bhala ??
Sujal :- jaan maine soch aap humare liye roz nhastha banathi ho tho mujhe laga ki aaj mujhe tumhare liye nhastha banana chahiye.. aur tumhe bhi tho patah chalna chahiye ki sujal garewal kitna achcha cook hain..
Kashish :- sujal tum khud ki tariff karna band karo nhastha kaise bana hain yeh baat mujhe decide karne do.      
sujal pulls her more closer    & tries to kiss   her……
kashish says :- sujal yeh kya kar rahe ho.. { she moves her face away }
sujal { smiles & says } :- kashish main kya kar raha hoon main tho bas apni biwi ko good morning kiss de raha hoon… { sujal once again gets kashish close to himself & kisses her on the either side of her cheeks }
then sujal holds kashish's hand & takes her to the table.. he makes her sit & then makes himself comfortable on the chair right in front of her..
sujal :- chalo kashish ab tum mujhe kha ke batao kaisa bana hain.. { he has made sandwich & omelet }
kashish just looks at him & smiles then tastes the food… { sujal keeps looking at her waiting for her response }
kashish :- sujal yeh kya hain
sujal:- kyun kya hua ???
kashish :- yeh tho bilkul bhi achcha nahi bana hain ..
{she makes a face }
sujal ka chehra jis mein ab thak khushi chayi hui thi ab uspe ek udassi ka shikan aa jaatha hain .. sujal ka chehra uthar jaatha hain….
Kashish sujal ko aise nahi dekh   paathi aur has dethi hain sujal confuse hokar uski   taraf dekhtha hain..
Kashish hits sujal lightly on the fore head & says :- are bhudhujii khana bohat achcha bana hain.. main tho bas aise hi mazaak kar rahi thi tumhe sathane ke liye… sujal tum bhi na…. kashish phir hasna shuru kar dethi hain..
Sujal kashish ko hastha hua dekh woh bhi hastha   hain…
tab kashish kehthi hain :- sujal yeh kya tum has rahe ho ?? tumhe ghussa nahi aaya ki maine….
Sujal :- {cuts her in between } kash tumhari kissi bhi baat ka mujhe kabhi bura nahi lag saktha….
Kashish :- sujal tum ek kaam karo kal se roz mere liye tum nhastha banaya karo….
Sujal :- anything for you my dearest wife.. bhanda aapki khidmat mein hazir hain…
Sujal then very sweetly kashish ka haath pakad letha hain aur kashish ke haath par kiss kartha hain..
Phir dono apna nhastha   hasi mazaak     mein khatam karthe hain… after the breakfast    kashish starts to walk from there but then sujal catches her hand & pushes her to the wall…
Kashish :- ab kya chahiye sujal..….
Sujal :- woh   kashish main soch raha tha ki tumhare priyy pati dev joh   ki main hoon    ne tumhare liye I mean apni priy patni ke liye   itne pyaar se nhastha banaya aur tum ab in return   kya de rahi ho apne pati dev ko { he says mischievously }
Kashish :- oh.. tho kya chahiye   tumhe oh sorry I mean mere pyaare priyy pati dev appko kya chahiye   { she touches his face   & then she starts giggling}..
Sujal :- zyada kuch nahi bas ek kiss mil jaatha tho…
Kashish :- nahi sujal , ab tum hatho mujhe bohat saare kaam karne hain.. { she tries to go past him }
Sujal :- kash yeh kya maine tumhare liye nhastha banaya aur tum mujhe ek kiss nahi de sakthi .. jao   main tumse baat nahi karoonga… sujal leaves kashish   out of his grip & turns to the other side sulking.. he starts to go out of the room when kashish holds his hand..
Kashish :- oh tho mere pyaare pati dev ko mujhse naraaz   hona bhi aatha hain haan.. { this time she goes close to him } sujal apna mooh pher letha hain.. kashish turns his face towards herself   & then kisses him on the forehead …
Kashish :- ab khush..
Sujal :- { smiles } bohat….{ he then says } main tho naraaz hone ka natak kar raha tha main jaantha tha tum khud mere pass aaogi..
Kashish :- achcha ji tho yeh baat hain , iska matlab yeh ki   tumne tho cheating ki hain… jao ab main tumse nahi baat karoongi… { woh   aise behave karthi hain ki ab woh sujal se naraaz hain..}
Sujal :- are my dearest wife is mein cheating wali kya baat hain main tho bas tumhe   tumse achcha jaantha hoon.. he winks at kashish & then kashish says…
Kashish :- sujal main kuch bhi bardhast kar sakthi hoon har dukh har takleef   har toofan ka saamna kar sakthi hoon par mujhe har ek kadam par tumhara saath chahiye aur tum kabhi mujhse   naraaz mat hona main tumhari naraazgi she nahi paugii main   jeethe hee mar jaaoogi sujal.. { she clings on to his shirt   & her   eyes get teary }
Sujal :- shhhhh….. { places his hand on her lips wipes off the tears } main tumse kabhi naraaz nahi ho saktha kashish.. bhala koi apni zindigi se naraaz reh kar kaise jeeyega…aur khabardaar joh agli baar marne ki baat ki tho mujhse bura koi nahi hoga.. agar tumhe kuch ho gaya tho main kaise jee pauga… kashish bas sujal ko dekhthi hi reh jaathi hain..   then sujal very cutely
says :- kyun kashish kya main ghalat hoon   hum dono ki zindagi ek dusare ke saansein chalne se hi tho chalthi hain na..
kashish just keeps staring at him & thinking what kind of a person sujal is .. when sujal disturbs her thoughts & says :- bolo kashish kya main ghalat hoon { he catches hold of her shoulder }
kashish   sweetly apna sar hilathi hain in a manner of telling that no he is right..
sujal & kashish look at each other with love
over – flowing   in their eyes…sujal then kashish ko sofa pe bithatha hain & comes down on his knees.. kashish usse dekhthi hain aur usse samaj nahi aatha ki sujal kya kar raha hain… sujal   then removes something for his pocket he talks her leg aur kashish ke pairo mein woh   badi hi sundar si neatly made payal pehanna tha hain..
kashish { surprise hothi hain } :- sujal yeh kya hain ??
sujal { usse dekhkhar kehtha hain } :- kashish yeh tumhare liye ek chota sa tofha.. { he smiles at kashish }
kashish { smile karthi hain apne payal ko dekhthi hain aur kehthi hain } :- bohat khoobsurat hain sujal .. thanku.. par sujal ab iski   kya zaroorat thi…
sujal get's up..& starts talking…
sujal :- kashish dekho ab agle kuch din shayad hum dono ek dusare se durr rahe , khafa rahenge , kyunke humme aaj se humara naatak shuru karna hain aur piyush ko yakeen dilana hain ki hum dono alag hone wale hain.. tho kyunke main tumhare saath har pal nahi reh pauga yeh payal tumhe mere hone ka ehsaas dilayegi ki main har pal tumhare saath hoon tumhare kareeb hoon…aur haan kashish jab bhi tumhari yeh payal chan chan awaaz karegi tho soch lena ki main tumhe yaad kar raha hoon…
kashish :- par sujal yeh payal tho har waqt awaaz karthi hain na..
sujal :- haan tho sahi hain na main har pal joh tumhe yaad kartha hoon..
kashish :- sujal kya tumhe lagtha hain hum piyush ko dhoka de payenge.. mujhe ek ajeeb sa darr lag raha hain…
sujal kashish ko dekhtha hain makes her stand catches her shoulder & then says…
sujal :- kashish    jab tum mere saath hothi ho tho har cheez mumkin ho jaathi hain tum meri taakat ho kashish.. aur   jab thak tum mere saath hothi ho tho mujhe kissi bhi cheez ka koi darr nahi.. {then sujal looks at her intensely & says } tum mere saath   ho na kashish…
kashish just looks at him nods her head touches his face with her hands goes forward & hugs him…
     
Song in the background :-

" jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye..
Tum dena saath mera o humnawaah……..
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye …..
Tum dena saath mera o humnawaah…….
Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva……
Tum dena saath mera o humnawaah….
Tum dena saath mera o humnawaah ………
Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath……….
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath……
Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath……….
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath…….
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye…….
Tum dena saath mera o humnawaah………
Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva….
Tum dena saath mera o humnawaah ……….
Wafadaari ki vo rasmein nibhayenge hum tum kasmein……
Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apne bas mein …….
Wafadaari ki vo rasmein nibhayenge hum tum kasmein …
Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apne bas mein…..

Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye …….
Tum dena saath mera o humnawaah………
Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva…..
Tum dena saath mera o humnawaah…….
Dil ko mere hua yakeen hum pehle bhi mile kahin…….
Silsila ye sadiyon ka koi aaj ki baat nahin……..
Dil ko mere hua yakeen hum pehle bhi mile kahin…….
Silsila ye sadiyon ka koi aaj ki baat nahin……..
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye…….
Tum dena saath mera o humnawaah……..
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye…..
Tum dena saath mera o humnawaah…….
Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva……..
Tum dena saath mera o humnawaah…….. .
Tum dena saath mera o humnawaah….."

Sujal & kashish are in each other embrace remembering all the good happy moments of their life.. woh   dono apni sapno ke duniyaan mein khoye hue hain     when kavya , akshat & rishi enter the room…Woh   theeno room mein enter hothe hi   apne aankhon par haath rakh lethe hain..

Kavya :- chalo rishi , akshat hum chalthe hain.. yeh dono zara busy lagthe hain…
Sujal ,kashish apne sapno ki duniyaan se bahar nikal kar inki aur dekhthe hain..
Rishi :- haan chalo…
akshat :- { cheekily says } haan bhai chalo isse pehle ki sujal humme kamre se bahar phek de…… yeh theeno hasna shuru kar dethe hain aur sujal & kashish feel embarrassed… akshat , kavya aur rishi kamre se bahar jane lagthe hain.. jab sujal unhe rokh tha hain..
sujal :- tum theeno jab yahaan aakar humme disturb kar hi chuke ho tho yeh bhi bata do ki kya kaam hain..
{he makes a irritated face }
kavya :- kuch nahi sujal hum tho bas tum logo ko yaad dilane aaye the ki aaj se humara mission shuru hotha hain..
sujal :- haan humme yaad hain..
rishi :- tho Big b , bhabhi saari taiyaariyaan ho gayi.
Sujal :- haan ho gayi.. ab tho bas khel shuru hone ki dher hain mujhe yakeen hain jeet sirf aur sirf humari hi hogi …. { he says confidently }   
Akshat :- tho kashish all set… natak ke liye tum taiyaar ho kya.. kyunke jab thak humari heroine sahiba poori tarah se taiyaar nahi hothi movie   hit kaise hoga….{he starts giggling }
Kashish :- akshatttt….tujhe yahaan mazaak soojh raha hain aur   mujhe yahaan itni tension ho rahi hain ki main tujhe bata nahi sakthi…..
At this time swayam enters & says :- tension kaisi bhabhie hum sab aapke saath hain na…
Kashish just gives a smile & says :- haan jaanthi hoon tum sab ho mere saath…..
Rishi :- tho chalo ab khel khelne ko taiyaar ho jaye…
Pratham { walks into the room & says}:- haan hum sab khel ke khiladi aur piyush hoga humara football…
Sab hasthe hain aur apna plan discuss karthe hain & then    all of them get to their   work…. Sujal office chala jaatha hain.. kashish ghar par hi hothi hain..
Zara ab nazar shlok aur diya par daalthe hain joh ki college campus mein ek saath baithe hue hothe hain aur baat kar rahe hothe hain....tab wahaan tanisha aathi hain.. Diya usse dekhkar muskhurathi hain par tanisha   does not give her a smile but then she gives her a strange look..
Tanisha :- shlok chalo hum kahii aur chalthe hain.. mera yahaan dum ghut raha hain { she says looking at diya shlok bhi is baat ko observe kartha hain ki tanisha is behaving oddly with diya..}tanisha shlok ka haath pakad lethi hain…
Diya ko wahaan rehna achcha nahi lagtha tho woh shlok se kehthi hain :- shlok main jaa rahi hoon.. bye shlok.. { isse pehle ki shlok usse kuch kehtha diya wahaan se chalne lagthi hain }
Shlok apna haath tanisha ke haath se chudakar diya ke pass jaatha hain aur usse kehtha hain :- rukho diya tum kahii nahii jaa rahi ho.. { tanisha also comes there }
Tanisha :- sholk   chalo agar woh jaana chahthi hain tho jane do na usse kyun rokh rahe ho { she catches his arm}
Shlok :- nahi tanisha.. main diya ko is tarah akela nahi chod saktha woh meri sabse achchi dost hain…
Tanisha { get's angry } :- dekho shlok main tumhare saath kuch waqt guzarna chahthi hoon.. aur main yeh khateyhi bardhast nahi karoogi ki yeh diya { she says pointing to diya } hamesha tumhare saath rahe…. Ab chalo yahaan se { she tries to take him away   from
there } diya ke aankhon mein se aasoon behne lagthe hain…
Shlok { stands there firmly & says } :- nahi tanisha..
Ab tanisha ka ghussa saath ve aasmaan par chad jaatha hain aur woh kehthi hain :- theek hain shlok agar tum aise hi chahthe ho theek hain tum mujhe   bas itna batao ki tum mujh mein aur diya mein kissko choose karthe ho..
Diya { tries to intervent & says } :- shlok   main tum dono ke   beech nahi aana chahthi.. main jaa
Shlok { cuts her & says } :- ek minute diya   kya kaha tumne tanisha.. tum ya diya yeh kya mazaak hain…
Tanisha :- listen shlok   get one thing straight ab tumhari zindagi mein    it is   me or her….it is for you to decide whom you want…..{ she says it very rudely }
Shlok looks at tanisha very sternly & then says :- tanisha   if I have to choose between you & diya then I would choose diya….. { diya who is standing there is shocked as she never expected shlok to choose her & tanisha pe tho bijliyaan   baras thi hain }
Tanisha :- what…….
Shlok :- ya you heard it right it is her for me { he says pointing his hand towards the crying diya }
Tanish :- you will have to pay for this…. Main tum dono ko dekh loongi chodugi nahi main tum dono ko…
Shlok :- tum apni dhamkiyaan apne pass rakhna tumhare kaam aayegi { he says tauntingly }
Tanisha stroms her foot & leaves the places.. shlok just laughs at tanisha's reactions & goes close to diya wipes her tears diya sees him..
Diya :- shlok   tumne yeh kya kar kiya.. tum tanisha se pyaar   karthe ho.. aur tumne mere liye…
Shlok :- diya tum kya mujhe itna khudgarz samajthi ho ki apne pyaar ke liye main apni us dost ka saath chod doon jisne har kadam par mera saath diya……. Aur woh mera pyaar kabhi thi hi nahii…{ he says looking at tanisha who is just walking }
Diya just looks at him..
Shlok { changes the topic & says } :- ab tu chal movie dekhne jaathe hain aur phir ghar chalthe hain..       
Diya :- lekin shlok……
Shlok :- lekin wekin kuch nahi ab chup chaap chalo…
Shlok diya ko wahaan se zabardasti lekar chala jaatha hain…   
Chaliye ab nazar zara kashish pe daalthe hain joh ghar par hain….woh ghar mein tahalthi rehthi hain.. phir woh kuch   dher bahar garden mein jaana ka sochthi hain.. kashish bahar jaathi hain tho woh   dekhthi hain ki piyush aur vasu baat kar rahe hain… kashish stands at a distance from them so that they can't see her but then she can hear them…
Piyush :- mom ab thak tho sab humare plan ke hisaab se chal raha hain.. aur thank God ab thak kissine hum par shak nahi kiya hain…
Vasu :- haan piyush tum sahi keh rahe ho.. ab thak kissi ho hum par shak bhi nahi hua..
Piyush :- aur aap fhikar na kare mom humari is chaal ka patah kissi ko bhi patah nahi chalega kissi bhi keemat par nahi..
Vasu :- tum itne sure kaise ho ?? agar hum phas gaya tho na jane humara kya hoga….
Piyush :- mom is baar haar un garewals ki hogi.. aur dekhiye na aapko yahaan lane ka saara plan tho successful hua na pehle maine aapko ko yahaan bulaya phir woh city hospital ke doctor ko rishwat di ki woh humara saath de   phir aap yahaan aayi aur humne aapki woh   yaaddhast khone ki kahani banayi….ab thak mere saare chaal nakamiyaab jaa rahe the par ab aur nahi.. aap joh hain mere saath..
Tabhi piyush ka cell bajtha hain..
Piyush answers the call :- hello..
Aditya :- hello piyush
Piyush :- jee uncle kahiye..
Aditya :- wahaan pe sab kuch theek tho hain na…
Piyush :- haan uncle yahaan sab kuch humare plan ke hisaab se jaa raha hain..
Aditya :- aur vasu ???
Piyush :- haan uncle mom bhi theek hain bas mere pass hi khadi hain…
Aditya :- theek hain maine tho bas itna hi kehne ko phone kiya tha ki humara consignment parsu Shimla pohanch jayega aur varun bhi wapas aa raha hain us consignment ke saath..tho tum please varun   se keh dena
ki woh zara sambhal ke rahe……
Piyush :- { get's irritated } haan uncle main jaantha hoon humara consignment Shimla pohanch raha hain aapko mujhe yaad dilane ki zaroorat nahi hain..aur haan main varun se keh doonga ki woh consignment yahaan sahi salamat pohanch na chahiye…..
Aditya :- chalo theek hain piyush main ab phone rakhtha hoon tum apna aur vasu ka khayal rakhna
Piyush call khatam kartha hain..
Vasu :- piyush yeh kaunsi consignment ki baat kar rahe the tum log..
Piyush :- kuch nahi mom humara ek drugs ka consignment varun Shimla laa   raha hain.. ab aap dekhna mom main us sujal ko drugs ke case mein kaise andar karwatha hoon……
Vasu :- hmm..idea tho achcha hain.. par consignment kab aur kahaan aa raha hain ??
Piyush :- mom main aapko baaki saari details baad mein detha hoon… abhi mujhe kuch kaam se jaana hain.. zara in garewals ki barbadi ka intazaam karna hain..
Piyush vasu se yeh baat kehkar wahaan se chala jaatha hain.. yahaan kashish dhari ki dhari khadi reh jaathi hain woh is shock mein hothi hain ki in sab mein varun ka bhi haath hain.. kashish decide karthi hain ki usse sabse pehle yeh baat sujal ko batani chahiye…. Kashish sochthi hain ki woh sujal ko apne kamre mein jaakar call karegi…
Yeh tho hui kashish ki baat zara hum dekhthe hain sujal ke office mein kya haal hain…
Sujal apne cabin mein baithkar kaam karne ki koshish kar raha hain par woh kar nahi paa raha hain.. kashish ke khayal baar baar uske zehan {thoughts} mein aa rahe hain.. woh jahaan   bhi dekhtha hain usse sirf aur sirf kashish   nazar aa rahi thi.. sujal inhi khayalo mein hotha hain jab sujal ka mobile bajtha hain.. sujal dekhtha hain ki uske mobile par kashish ka number flash ho raha hain woh smile kartha hain aur phone utatha hain..
Sujal :-{ woh bohat sweet tarike se kehtha hain } hi jaan…
Kashish :- hi sujal { woh bas ek tension mein hi kehthi hain }
Sujal :- itna ukda ukda hi , lagtha hain tumhara mood off hain..
Kashish :- sujal yeh sab baatein chodo aur mujhe batao
Tum busy ho kya ?? aur kya maine tumhe disturb
kiya ??
{kashish is sitting on the bed & leaning onto the
bed post }
sujal :- haan main busy tho tha…….{ he says casually leaning back on his chair }
kashish :- oh tho iska matlab maine tumhe disturb kiya.. theek hain main tumse baad mein baat karthi hoon….
{she wants to put the phone down when sujal says }
sujal :- { he says cutely } are kashish pehle meri poori baat tho sunlo main busy tha tumhare khayalo mein…
kashish :- { she asks him innocently teasing him }
mere khayalo mein kyun ???
sujal :- { he says flirttingly } are jaan tum aur tumhare khayal mujhe koi kaam karne hi nahi dethe jahaan dekh hoon mujhe bas tum hi tum nazar aathi ho…
kashish :- ab tum flirt karna band karo aur apne files aur kaam pe concentrate karo.. samjhe…
sujal :- { he acts like majnu & says }are wah meri kya biwi hain woh   mere pyaar ko flirting ka naam de rahi hain..kya zamana aa gaya hain.. tumne tho aaj mere dil ko hazaar thukdo mein thod diya..
kashish laughs at his behaviour & says :- ab bas bhi karo sujal…
sujal { get's onto a serious note & says } :- achcha yeh sab chodo aur mujhe batao mujhe call kyun kiya..
kashish :- dekha sujal tumse baat karthe karthe main woh baat bhool hi gayi jiske liye maine tumhe call kiya hain..
sujal :- kya hua kash koi problem hain kya ?? { he asks concernedly }
kashish :- pehle tum mujhe batao yeh varun kahaan gaya hain ??
sujal :- kashish varun tho piyush ke naye established business ke silsilay mein gaya hain.. lekin tum varun ke bare mein kyun pooch rahi ho ???
kashish :- sujal woh actually aaj ------------------------------------------------------------ ------------------------------------------------------------ ------------------------------------------------------------ ------ kashish sujal ko woh saari baatein bathathi hain joh    piyush aur vasu ke beech hui… poori baat khatam hone ke baad sujal kehtha hain :- kashish   ab mujhe lagtha hain ki   tumhe patah hain ki ab   tumhe kya karna hain..
kashish :- haan sujal main jaanthi hoon mujhe ab kya karna hain main bas tumhe saari baatein bata dena chahthi thi…
sujal :- kashish dekho tum ab yeh baat patah lagane ki koshish karo ki kya maya ne piyush se baat ki hain ya nahii.. kyunke hum isi basis par humara plan ko in action la sakthe hain..
kashish :- theek hain sujal… tum apna khayal rakhna aur haan meri khayalo se bahar nikal kar zara apna kaam bhi kar lena.. { she says giggling }     
sujal :- haan haan kar looga.. pehle tum mere khayalo mein aana band karo….. { he says cheekily } then kashish says she will get to work & keeps the phone down.. the next minute kashish cell starts ringing…
kashish :- ab kya hain sujal.. tumne phir call kyun kiya ??
sujal :- woh kya hain na kashish mera time pass nahi ho raha tha… isliye maine tumhe call kiya {sujal starts laughing}
kashish :- sujal dekho mujhe bohat kaam hain ab phone tum rakh rahe ho ya phir main rakhoon…
sujal :- are baba ghussa kyun ho rahi ho..main rakh raha hoon na ……{ ek minute ke pause ke baad sujal kehtha hain } kashishhhhhhhh…………
kashish :- ab kya hain sujal ??
sujal jhat se kashish se I love you kehkar phone rakh detha hain…
kashish sujal ke is bhartaav se surprise hothi hain jab kashish ke cell par ek msg aatha hain joh ki sujal ne bhejha hain :- maine izhaar kiya hain hain tera hain baki thoda sa pyaar hua hain bohat hain baki…. Kashish cell ko dekhkar muskurathi     hain aur kehthi hain :- pagal hain.. {she hits the mobile slightly on her fore head }
wahaan sujal apne kaam par concentrate kar hi nahi paatha woh apni desk par padi uski aur kashish ki shaddi ki tasveer   apne haath   mein lekar   dekhtha hain aur kashish ke picture par kiss kartha hain…

Song in the background :-

Sujal :- { woh kashish ke saath apni pehli mulaqat sochtha hain }
Hm hm hm, hm hm hm hm, hm hm, mm mm hm hm hm……
Kashish:- { she thinks about the first time she met sujal }
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi …….
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi ………
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi …….
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi ………
Hum to dil de hi chuke, ohooooo…..
Hum to dil de hi chuke, bas teri haan hai baaqi…….
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi………
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi ……..
Mm, mm mm mm mm mm……….
Sujal:- { he thinks about the time jab woh dost bane}
Mm hm, hm mm hm hm hm……
Kashish:- { she thinks about the tume jab woh aur sujal pehli baar barish mein bheegthe hain }
Kaunsa mod aaya zindagi ke safar mein……
Bas gaya tu hi tu ab to meri nazar mein …….
Sujal:- { he thinks about the time jab woh hospital mein tha aur kashish ne uska khayal rakha..}
Dil ki har ek dhadkan tujhko pehchaanti hain……
Meri chaahat hai ab kya, tu nahin jaanti hain…
kashish :- { kashish thinks about the time jab sujal usse apne pyaar ka izhaar kartha hain }
Main tujhe jaan gayi, ohooooooooo………
Tujhko pehchaan gayi, phir bhi teri haan hai baaqi……..
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi………..
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi …..
Aaj yeh kya hua hai, dil nahin mera bas mein………..
Is liye sochti hoon tod doon saari rasmein………….
Sujal:- {he thinks about their engagement}
Umr bhar ke liye tu aa mera saath de de……
Tera ho jaaoonga main, haathon mein haath de de……….
Kashish:- { she remembers the time jab sujal ne uska haath pakda jab woh log picnic ko gaye the }
Haathon mein haath sahi, hooooooooooo………
Tu mere saath sahi, phir bhi teri haan hai baaqi……..
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi……….
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi………
Sujal:- {he thinks about the time jab kashish ne apne pyaar ka ikraar kiya ..}
Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi……."

Sujal & kashish kuch dher ke liye bas ek dusare ke bare mein sochthe rehthe hain phir apne kaamo mein lag jaathe hain..
Kashish ko patah chaltha hain ki   piyush ghar par nahi hainn aur who farm house gaya hain.. kashish decide karthi hain ki woh piyush se farm house mein jaakar milegi… kashish goes to the farm house.. she goes inside.. piyush usse dekhtha hain aur shock hotha hain..
Piyush:- tum yahaan kya kar rahi ho Mrs. Sujal garewal..
Kashish :- piyush main tumse milne aayi hoon aur haan main yahaan befizool ki baatein nahi karne aayi…
Piyush :- tho bolo Mrs. Sujal garewal aapko aaj mujhse kya kaam pad gaya…
Kashish {acts like getting angry}:- stop it piyush.. mujhe baar baar Mrs. Sujal garewal bolna band karo nafrat hogayi hain mujhe usse.. nafrat karthi hoon main sujal se..
Piyush ko yeh baat sunkar jhatka lagtha hain par woh khush bhi bohat hotha hain lekin aise naatak kartha hain ki woh sujal ke liye care kartha hain..
Piyush {having fake concern}:- kashish tum yeh kya keh rahi ho sujal tumhara pati hain.. aur tum uske   bare mein aisa kaise keh sakthi ho…
Kashish :- piyush main sujal se apne saare rishthe thod na chahthi hoon   main us insaan se koi rishtha nahi rakhna chahthi jisne meri zindagi barbaad kar di hain jisse meri koi qadar hi nahi hain..
Piyush :- tum aisa kyun keh rahi ho ?? tum tho sujal se pyaar karthi ho na…
Kashish :- pyaar woh insaan mere pyaar ke layak nahi hain.. main sirf usse nafrat karthi hoon….
Piyush :- lekin kyun ???
Kashish :- sujal ke ateet ke wajah se..
Piyush :- sujal ka ateet….
Kashish :- haan piyush sujal ka ateet maya ki wajah se...
Piyush :- kashish ab in sab mein maya kahaan se aa gayi…
Kashish :- maya hi tho hain saari fasaad ki jhad piyush…
Piyush:- main samjha nahi ??
Kashish:- piyush jab hum sab Paris gaye the..wahaan sujal ka saamna us maya se hua.. aur sujal ko apna pehla pyaar yaad aa gaya aur woh mujhe bhool gaya mujhe bhool gaya piyush…. {kashish get's fake tears in her eyes }
Piyush sochtha hain shayad   maya ne mujhe call isliye kiya tha kyunke woh   mujhe batana chahthi ki humara plan kamiyaab hua.. piyush apni soch se bahar nikal kar kashish se poochtha hain…….    
Piyush :- lekin kashish tum ab yeh sab mujhe kyun bata rahi ho ???
Kashish :- piyush main tumhe aaj yeh sab isliye batana   rahi hoon kyunke mujhe lagtha hain maine shuru se hi tumhe samajne main ghalthi ki hain.. piyush maine tumhare pyaar ko tukraya kyunke main sujal se pyaar karne lagi thi par ab mere dil mein uske liye koi feelings nahi hain sujal ke liye mere saare jazbaat mar chukhein hain   aur iska sabot yeh hain kashish piyush ko divorce papers dikhathi hain jispe sujal ke sign rehthe hain....{actually   kashish shows those divorce papers joh sujal ne apne accident se pehle sign kiya tha } sujal ne mujhse talaak maanga hain.. woh apni azzadi chahtha hain woh apne pehle pyaar ke pass us maya ke pass loutna chahtha hain… { piyush divorce papers ko apne haath mein lekar examine kartha hain he sees that papers mein sujal ke sign hain par kashish ke nahi }
Piyush :- kashish sujal ne tho papers par sign kar diya hain par tumne sign kyun nahi kiya… { he asks doubtedly }
Kashish :- tumhe kya lagtha hain piyush main sujal ko uski azaadi itni aasani se de doongi.. kabhie nahii.. main sujal ko ussi tarah uske pyaar ke liye tadapthe dekhna chahthi hoon jis tarah usne mujhe tadpaya hain.. piyush     
main aaj tumhare pass is umeed se aayi hoon ki tum mera saath doge.. main tumse dosti ka haath milane aayi hoon piyush..
piyush :- mujhse dosti ka haath ??
kashish :- haan piyush main chahthi hoon ki tum meri madat karo sujal aur un garewals ko barbaad karne mein , main nahi chahthi ki un logo ki zindagi mein koi bhi khushi aaye main unke saare khushiyo ko unse cheen lena chahthi hoon.. { she says all this in a typical kmolika style }
piyush :- aur tumhe lagtha hain main tumhara saath doonga..
kashish :- dekho piyush main jaanthi hoon tum bhi un garewals ko barbaad karna chahthe ho… aur agar tum mujhse haath milathe ho tho faida tumhara hi hain..
piyush :- mera kya faida hoga agar main tumhara saath doonga tho....
kashish :- dekho piyush hum dono milkar un garewals ko humare raasthe se hatayenge aur phir    poora ka poora garewal empire par tumhara control hoga kissi ko bhi hakh nahi hoga tumse sawaal karne ka…aur haan piyush ek aur baat tumhe mere business mein 50% ka share holder bana doongi agar tumhe yeh deal manzoor hain tho theek hain warna main yeh sab akele bhi karsakthi hoon..
piyush does not give an answer & just keeps looking at her { may be thinking are main bhool gayi piyush ka tho dimaak hi nahi hain tho woh kaise sochega…..hehe..lol } when kashish again speaks up :- piyush lagtha hain tumhe mere saath deal karne mein dilchaspi nahi hain chalo koi baat nahi main akele hi kar loongi…. kashish starts to walk towards the door yahaan piyush sochtha hain :- soch kya raha hain piyush haath milale kashish se isse achcha mouka nahi milega un garewals aur us sujal ko neechcha dikhane ke liye…. kashish reaches the door when she hears piyush calling out her name
piyush :- kashish..
kashish turns around & sees piyush.. piyush walks near her..
piyush :- kashish mujhe tumhara deal manzoor hain main tumhari madat karooga….
Kashish :- yeh tho bohat achchi baat hain piyush.. aaj se hum dono partners..
Kashish   apna haath agge karthi hain   aur piyush se haath milathi hain…
At this point dono ke dimaak main alag alag baatein   aathi hain..
Piyush's mind :- kashish shayad tumhare hisaab se hum partners hain.. lekin tum mere liye sirf ek use & throw material , ek zariya ho jisse main garewals ko sadak par la saktha hoon , you are nothing but a scape goat in my hands { piyush has a wicked smile on his face }   
Kashish's mind :- piyush tumhara anth ab zyada durr nahi , tum jitna udna chahthe ho ud lo kyunke shayad   tumhe dubara mouka mile ya na mile.. ab tum dekhna piyush tumhara kya haal hotha hain.. tum us har ek pal ko khoso ge jabse tumne mere parivaar ko nuksaan pohanchane ka socha hain aur woh din bohat jald aayega piyush yeh mera wadaa hain tumse.. {kashish   just gives piyush a confident look }
Kashish then leaves the place & goes home…
Ab screen ke do hisse hothe hain ek mein kashish apne kamre mein hothi hain aur dusare mein piyush farmhouse mein hotha hain..
Piyush calls vasu :- mom mubarak ho humme humara mohra mil gaya hain jisske sahare hum garewals ko barbaad kar sakthe hain..ab unhe koi nahi bacha saktha { he gives a villainous laugh }
Kashish calls sujal :- sujal humara pehla kadam qamiyaab hua… ab   us piyush ki haar durr nahi hain sujal durr nahi hain… { she smiles triumptantly & confidently }             
   
Chaliye guys yahaan khatam hothi hain zindagi ke silsilay part 28.. isse zyada mujhse likha nahi jayega… mujhe umeed hain ki aap sabhi ko yeh part achcha laga ho , I hope is part ne aap logo ko zyada pakaya nahi..lekin is part ne mujhe zaroor thoda sa pakaya hain.. I'am   sorry is part mein I know sujal ,kashish ke bare mein maine thoda hi likha hain woh kya hain na mujhe apni story zara equally balance karni thi tho isliye....
Guys I know   ki yeh part main   dher se post kar rahi hoon… ab aap please apne comments dene mein dher mat kejiyega …… main koshish karoongi ki agla part main jald se jald post karoon..
This part is decidated to my two best friend's shrutu & adi…
I'll be waiting for your comments & complimemts…..

Take care…
Byeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

Love
Surya…

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (20)

hey jyothi wait for 5mins me will continue.........

18 years ago

hey suri when r u goin to cont

18 years ago

iman dear bohat bohat shukriya.. tum dont worry ab piyush aur vasu ki maut aa rahi hain shayad next part mein hi.... me will surely continue son..........

18 years ago

Tooo goood Suri yaar ..!!! lash ...!!! Bas Ab us Piyush aur us ki fuzool mom ka kuch kero..!!! aur haan Sujal Kashish ko alag mat kerna ..... Zabardast part tha....... Continuee Soon i m waiting Eagerly..!!!

18 years ago

parvathi thanks a lot dear.. me will surely try & continue soon...

18 years ago

very cute part surya now cont soon

18 years ago

farah dear thanku soo much for ur comments... farah tum fhikar not ab team milkar us foot ball ke itne goals maregi ki foot ball out off shape ho jayega....... yaa me surely will continue soon.....

18 years ago

...chak de phateyyy......wah wah..ultra romantic part..hehehe.....sujal ko khana bhi acha pakata hai...aur kashish plans ache pakati hai...lol...keep it up...hope the team kicks teh football out soon ..ab plzzzzzzzzzzz jaldhi continue karnaaa

18 years ago

haan shrutu dearest tu meri inspiration hain aur main teri inspiration hoon par teri story mujhe meri story se bhi zyada pasand hain.........

18 years ago

thanku so much jasmine dear.. u know i write the story only keepinh Rajeev & Aamna in my mind.......

18 years ago

Top