Chapter 27

nolee3097 Thumbnail

nolee3097

@nolee3097

All that DharShita drama on the show and unnecessary ShiVi fights are making me immerse into FF!

Apparently it’s conflict season and some conflicts in this chapter too, but it’s necessary! Happy reading! Haven't proof read!


Chapter 27

================================


"Tujhe Mami ke yahan jaane ki koi zaroorat nahi hai, main jaake leke aata hoon tere documents" said Shiva decisively.

"Kya? Shiva, tu kyun jaayega? Tere jaane se baat bigad jaayegi aur waise bhi jab tu aur MaasiMa ek doosre ke saamne aate ho, toh kutte billi ke jaise ladne lagte hai aur mujhe koi tamasha nahi chahiye, iss liye tu nahi aayega mere saath, main akele jaake leke aaongi apne documents" exclaimed Raavi, hoping he’d listen.

"Tu sacch mein mujhse yeh pooch rahi hai ki main kyun jaana chahta hoon, tujhe yaad nahi Mami ke wajah se humaare beech itni dooriyaan aa gayi, yahan tak humaara talaak bhi hua" asked Shiva, annoyed at how unreasonable Raavi is being.

"Main jaanti hoon Shiva, Maasi ne jo kiya woh galat tha, par unhe laga ki woh jo bhi kar rahi meri bhalai ke liye kar rahi hai, main—" started Raavi, desparately attempting again, trying to take a step towards Shiva to reach out to him.

"Bhalai? Mami ke wajah humaare beech itna sab kuch ho gaya, tujhe itni takleef hui, phir bhi tu yeh keh rahi hai, tujhse yeh umeed nahi thi Raavi" snapped Shiva, backing away.

"Kehna kya chahta hai tu Shiva, saaf saaf bol na" said Raavi, annoyed at Shiva’s outburst.

"Yahi ki Mami aur Anita ke wajah se humaare pariwar ne bohut dukh saha hai, main unhe aur kuch karne ka mauka nahi dena chahta" said Shiva angrily.

"Haan par woh mera pariwar hai Shiva, maanti hoon woh galat hai, par unke galtiyon ke wajah main yeh toh nahi bhool sakti na ki unhone bachpan se leke aaj tak mujhe apni beti jaise paal poske bada kiya hai, aur main toh sirf kuch documents hi toh lene jaa rahi, iss ka itna bada issue kyun bana raha hai" explained Raavi calmly.

"Mami bohut chaalu hai Raavi, woh tujhe kuch na bol ke behkaane ki koshish karegi" said Shiva.

"Haan Raavi toh dobi hai, woh itni asaani se behek jaayegi, yahin kehna chahta hai na tu" snapped Raavi.

"Raavi, mere kehena ka woh matlab nahi tha, main bas nahi chahta ki humaare beech dobara misunderstanding ho" exclaimed Shiva worried.

"Shiva, hum dono ke beech misunderstanding Maasi ne laane ki koshish zaroor ki thi, par usse humaare beech aane humne diya tha, hum ek doosre pe bharosa hi nahi kar paaye the, par iss baar aisa kuch nahi hoga, nahi hoga na?" asked Raavi innocently.

"Nahi hoga, main humaare beech kisi ko aane hi nahi doonga, par main Mami ke ghar tujhe chodne aaonga aur bahar tera wait bhi karoonga, main iss baar kuch nahi sununga" said Shiva, giving his final word in the matter.

——————At Mami’s place——————

Both Shiva and Raavi were standing in front of Prafulla’s house. Raavi nervous about going in and Shiva worried about Raavi. She finally took a deep breathe and walked towards the door and rang the bell. Anita opened the door and shrieked in surprise, "Raavi tu?" while Raavi’s face grimaced.

"Main bas apne kuch cheezein lene aayi hoon" ignoring her and walking in.

As Raavi walked in, she heard two people having a loud argument. She could hear someone yelling, "Prafulla, tune yeh sab kyun kiya, tumhari wajah se meri beti aaj yahan nahi reh rahi hai" only to be revealed to be her Mausapaa. 

"Arrey aap samjte kyun nahi, maine meri beti ki bhalai ke liye yeh sab kiya" answered Prafulla.

"Uski bhalai ke liye usse dhoke se divorce papers sign karwaaye aur uska ghar ujaad diya!?" shouted Jagat in anger.

"Mausapaa?" called out Raavi making both their heads turn.

"Oh Mhara Bhogilal, Raavi tu ghar wapas aa gayi" cried her Maasima, rushing towards Raavi and pulling her into a tight hug, while Raavi didn’t reciprocate.

As Prafulla let Raavi go, Jagat turned to Raavi with both anger and worry saying, "Raavi, tune apne Mausapaa ko ek pal main paraya kar diya, itni badi baat ho gayi aur tune mujhe batana zaroori nahi samjha, teri Maasimaa ne galat kiya toh kya hua, tu mere paas toh aa sakti thi na, aise ghar chod ke kyun gayi"

"Mausapaa, main—" rushed to hug him while in tears, "I am sorry Mausapaa, mujhe kuch samajh mein nahi aa raha tha ki main kya karoon, maasi ne jo kiya uske baad main iss ghar mein nahi reh sakti thi"

"Shaanth ho jaa, teri bhi galti nahi hai, mujhe hi pata karna chahiye tha, maine tujhe apni beti maana, aur main pita ka farz nahi adaa kar paaya, mujhe maaf kar de meri bacchi" said Jagat, patting her on the back guiltily. 

"Aap kyun sorry bol rahe ho, aap ki koi galti nahi hai, aur waise bhi main ek dum acche se reh rahi hoon, college bhi jaa rahi hoon, acche se padhai bhi kar rahi hoon, Hardik Bhai aur baaki sab Pandya Pariwar waalon mera accha se khayal rakha, main bilkul theek hoon" assured Raavi.

"Aur Shiva uss ne tere saath itna bura bartaav kiya, mujhe Shiva se yeh umeed nahi thi, main usse abhi jaake baat karta hoon” said Jagat fuming at the thought of Shiva.

"Mausapa, Shiva aur mere beech jo hua usse hum sambhal lenge, aap chinta mat karo, Shiva ko iss baat bohut pachtaava hai, woh aage aisa kabhi nahi karega” said Raavi firm in her belief.

"Aye Raavi, tu abhi bhi uss jangli ki tarafdaari kar rahi hai, uss ne tujhe ghar se nikala phir bhi, tu pagal ho gayi hai kya bhai” cried Prafulla in surprise.

"Maasimaa, aap Shiva ki insult mat kar, jo kuch bhi hua, woh hum aapas mein suljha lenge, aap beech mein naa hi bolo toh accha hai, agar mere liye kuch accha nahi soch sakte, toh at least bura toh mat socho” Raavi pleaded with her Maasi tearfully.

"Waise, tu achanak se yahan kaise" asked Jagat inquisitively.

"Woh mere college ke exams khatam hone ke baad, mujhe job ke liye apply karna hai, aur uske kuch documents yahan ghar pe the, toh bas usse lene aayi hoon” explained Raavi wiping her tears.

"Ehh Raavi, tu yahan wapas rehne nahi aayi hai, dekh Raavi, maine jo kuch bhi kiya, teri bhalai soch ke kiya, mujhe aisa nahi karna chahiye tha, pann tu kisi aur ke ghar mein kab tak rahegi, ghar wapas aa jaa” said Prafulla desparately.

"Raavi beta, main maanta hoon ki Prafulla ne jo kiya woh galat tha, par yeh toh tera ghar hai naa, tujhe kahin aur rehne ki kya zaroorat hai, ab toh main bhi aa gaya hoon, toh tu wapas laut jaa” begged Jagat.

"Mausapaa, Maasi aur Anita di ne jo kiya uske baad main yahan kaise reh sakti hoon” said Raavi  looking at her Maasimaa and Anita Di in disgust.

"Dekh beta, ghar chod ke jaana kabhi koi solution nahi hota, jitna yeh Prafulla, mera aur Anita ka ghar hai, utna hi iss ghar pe tera bhi haq hai, tu bachpan se iss ghar mein pali badi hai, tu apne ghar mein rehna nahi chahti” said Jagat trying to reason with her.

"Tujhe abhi faisla karne ki zaroorat nahi, jo bhi maine kahan uss baare mein soch le, phir hi apna faisla sunana” he added when he saw Raavi contemplate in confusion.

She nodded in agreement, went silently to her room to grab her documents folder and walked out of the house still in tears. Shiva had been pacing around waiting for Raavi’s return and the fact that she had not returned for quite sometime worried him. He wondered what was taking her so long, didn’t she just have to grab some documents and get back? As his thoughts started converging, he spotted Raavi coming out of the house, teary eyed and lost.

Rushing to Raavi and holding her in his arms gently, Shiva asked "Raavi, tu ro rahi hai? Tu mujhe bata kisne rulaaya tujhe? Mami ne kuch kahan? Main abhi jaake uss Maami ki—“ ready to go into the house.

"Shiva, Maasi ne kuch nahi kaha, Mausapaa wapas aaye hai aur woh chahte hai ki main Hardik bhai ke ghar ko chod ke wapas apne ghar mein aajaaon” said Raavi and Shiva’s face froze in shock, his hold on her loosened.

===========================

Should Raavi go back to stay at Mami’s? What do you think will be Shiva’s reaction?


Also, How was Mama's entry? smiley36 Thought Raavi could use the support!

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (0)

Top