Chapter 6
Dusri taraf-
Arjun Riya ko apne cabin mein lekar aata hai.
Arjun: kya baat hai Riya?
Riya use file deti hai: hume ye case mila hai aur investigation ke dauran culprit bhi lekin locha hai.
Arjun uske haath se file lekar dekhne lagta hai: main kuch samjha nahi
Riya: saare sabut Vijay ki taraf ishara karte hai lekin mujhe lagta hai ki yeh sab set up lagta hai.
Arjun: kyun?
Riya: aapki bhaasha mein kuch toh chut raha hai
Arjun smile karta hai: acha? Toh tumhe kya lagta hai?
Riya: mujhe lagta hai uske pati ne nahi balki uske bhai Shekhar ne hi uska khoon kiya aur achese plan karke Vijay ko fasaya hai. Aur ab woh shaam ki flight lekar desh ke baahar jaane waala hai. Mere paas sabut nahi hai, Narvekar sir dusre case mein fase hai, unse kuch kaho toh keh rahe hai ki Vishal sir se baat karo aur meri unke saath nahi jamti aur upar se Taara aur Jai dono Narvekar sir ke saath hai aur Deepak aur Raj meri baat hi nahi maan rahe hai isliye mujhe aapke paas aana pada, ab aap hi batiye main kya karu? Na sabut hai na dhundhne ka waqt, koi toh raasta hoga na Shekhar ko pakadne ke liye
Arjun file side mein rakhkar sochne lagta hai: uska contact toh hoga na tumhare paas?
Riya: ha of course
Arjun: good! Use yaha bulao
Riya: yaha?
Arjun: ha
Riya: ok. Par woh aayega?
Arjun: agar woh doshi hai toh zaroor aayega
Riya: matlab?
Arjun: matlab ye ki agar humne use abhi bulaya aur woh nahi aaya toh zaahir si baat ki shak ki sui uski taraf jaayegi aur uske airport pahunchne se pehle hi woh pakda jaayega ya fir airport par check in karte hi aur ye woh Hargiz nahi chahega, woh bina bahane banaye chup-chap wahi karega jo hum usse karwaana chahte hai.
Riya : par by chance agar woh culprit nahi hua toh bhi toh woh…
Arjun: par woh hai, right?
Riya smile karti hai aur Shekhar ko call karke waha bulati hai.
Riya: woh aa raha hai lekin fir?
Arjun: fir sab kuch mujh par chod do
Riya smile karti hai.
Conference room-
Sakshi ka BP badh raha hai. Arjun abhi tak waapis nahi aaya aur Rathore wahi baitha hai. Koi room ke baahar nahi gaya.
Sakshi: yaar teen ghante ho gaye us ladki ko aaye. Arjun itni der tak kya baat kar raha hai uske saath.
Shree: Sakshi relax! Usne kaha tha na ki use urgent baat karni? Shayad koi problem hogi
Sakshi: problem hoti toh ETF ko batane mein kya issue tha? use sirf ek kyun chahiye? Aur more importantly Arjun kyun chahiye?
Ayesha rolled her eyes: kuch baatein personal bhi…
Sakshi table par haath patakti hai(firmly): Exactly Ayesha! Main bhi wahi keh rahi hun! (whining) par aisi kaunsi personal baat hai jo yeh log teen ghante tak kar rahe hai.
Rathore ab irritate hota hai: Shut up Sakshi! Koi bacha nahi hai woh, apna kaam khud se kar sakta hai aur waise bhi use akele kaam karna pasand aur mujhe uske bina! (firmly) So I’d like to keep it that way!!
Sakshi bhi chid kar chup hoti hai(whispering) : sach mein Arjun ka asar na Sameer par padh raha hai
Liza giggle karke use chup rehne ka ishara karti hai. Achanak darwaaze par knock hota hai. Sabki nazar us taraf jaati hai. Ek authoritative admi apni team ko lead karte hue andar aata hai. Uske saath 4 admi aur ek ladki thi.
Rathore uthkar uske saath handshake karta hai: ACP Sameer Damsingh Rathore, how may I help you?
Admi bhi professionally greet karta hai: ACP Amod Narvekar, Crime Branch, Unit 5
Rathore: ACP Narvekar? Kaafi suna hai maine aapke baare mein
Narvekar: suna maine bhi hai aapke aur aapki team ke baare mein ACP Rathore, (ek admi immediately uske peeche khada hai) ye ACP Vishal second in command aur (gesturing towards the rest) ye meri team
Rathore nods: pleasure! Par aap sab yaha?
Narvekar: ye toh hum bhi jaanna chahte hai ki aisa kya ho gaya ki Arjun ne hume itna vague message bheja….woh apna phone dikhata hai.
Message- Unit 5, ETF office…Now!
Rathore: Arjun ne? you mean Rawte ne? (confused) par woh aap sabko yaha kyun bulayega?
Narvekar: pata hota toh yaha par definitely nahi hota, maine toh socha tha usse peeche chut gaya hai mera
Rathore sigh karta hai: trust me I want that feeling
Jai: par sir…Arjun sir hai kaha?
Koi kuch kahe isse pehle Sakshi blast hoti hai
Sakshi: Us Ladki Ke Saath!
Narvekar: ladki? (use ek vague idea aata hai) kaha hai woh dono?
Rathore: pata nahi…Shree!!
Shree: yes sir, main…main dekhta hun
Shree silently baahar chala jaata hai.
Rathore: I’m so sorry for the inconvenience
Narvekar: please, don’t be. Mujhe toh ab lagne laga hai ki asli baat kuch aur hi hai shayad yahi line mujhe aapse kehni padegi.
Dono smile karte hai. Shree almost immediately andar aata hai.
Shree: sir, woh dono toh nahi dikhe par Varsha (desk employee) keh rahi thi ki Arjun sir ne use kaha ki hume kehne ko ki agar koi unse kahe ki woh kaha hai toh woh humse kahe ki unhone aisa kaha hai ki (sab uski baaton se confuse hote hai) hume kahe ki sabko interrogation room mein jaana hai
Narvekar: may we?
Rathore: definitely, mv “pata nahi ab kaunsi khichdi paka raha hai yeh admi”
ETF aur Unit 5 dono interrogation room ki taraf jaate hai. Waha baahar Riya idhar se udhar chal rahi hai. Arjun shaanti se ek chair par baithkar earphones mein gaane sun raha hai. Inke aane ki aahat sunkar Arjun uthta hai aur Riya immediately uske peeche chup kar peek karti hai. Yeh dekhkar sab aur confuse hote hai. Sakshi Riya ko Arjun ke itne paas dekhkar apni haath ki pencil ko itna tightly grip karti hai ki woh do hisso mein tut jaati hai.
Vishal(shocked): Riya?!?! Tum?!?! Tumhari toh tabiyat kharaab thi na? tumne ghar jaane ke liye leave li thi toh fir tum yaha kya kar rahi ho?
Riya(complaining) : dekha Narvekar sir, maine inke muh par jhut bola aur ye pakad nahi paaye
Sab aur bhi confuse hote hai. Woh Narvekar ko sir keh rahi thi matlab woh bhi unit ka hissa thi?
Rathore: Rawte ye sab kya ho raha hai?
Amod: aur hume yaha kyun bulaya?
Arjun: ye baat tum apni chahiti junior se kyun nahi puchte Narvekar?
Riya shock hokar Arjun ko gusse mein whisper karti hai: mujhe bali ka bakra banna hota toh aapke peeche kyun chupti?
Arjun use dekhkar apni eyebrow raise karta hai, Riya use innocently dekhti hai aur bachao mujhe ka look deti hai. Woh sigh karta hai.
Arjun (Vishal ko dekhkar): kya naam hai tumhara?
Vishal(arrogantly): ACP Vishal Mehra
Arjun firse Narvekar par apna focus change karta hai: tumhare saath communication nahi ho raha tha aur Vishal uski baat sun raha tha. uski investigation flawed thi, Riya ko khooni ke baare mein baare mein pata tha use pakadna chahti thi. (room ke andar gesture karke) ye tumhara khooni hai aur (ek CD dekar) ye tumhara confession.
Amod use ghurte hue CD leta hai aur Raj ko pass karta hai.
Amod: Deepak arrest karo ise
Deepak nod karta hai aur Jai ke saath milkar Shekhar ko le jaata hai jo 2nd degree mein hi aadha behosh ho gaya hai.
Amod(smiling): good job Riya!
Riya(cheerfully): thank you Sir!
Amod: saza aaj se shuru karogi ya kal se?
Riya(shocked): saza? Kis baat ki saza? I solved the damn case!
Amod: par tumne protocol toda hai
Riya: Kaunsa Protocol?
Amod: number ek apne senior se jhut bola, number do, jhut bol kar leave li aur number teen, technically off duty hokar ek on the file case ke suspect ki bina authority ke interrogation karna so…if you count all of that. Teen mahine!
Riya(shocked): SUSPENSION?!?!?!
Amod(sternly): record writing
Riya(relieved): ha woh main kar sakti hun
Amod: bina field work ke
Riya ka muh firse khul jaata hai: Amod Sir …Ye Toh Torture Hai Sir!!!!
Amod: you chose it..chalo ab ghar jao, mentally prepare hokar aana kal
Riya Arjun ki taraf glance karti hai aur fir Amod ki taraf aur fir Arjun ke peeche se baahar aakar dejectedly chalne lagti hai. Taara aur Raj use accompany karte hai.
Amod unke jaana ka wait karta hai par Riya darwaaze se mudti hai.
Riya: Arjun sir!!
Arjun use dekhta hai
Riya: thank you so much! Bye!! Baad mein milenge!
Arjun sabke saamne hai isliye reply nahi karta hai. Riya bhi samajkar chali jaati hai. Riya ka baad mein milenge sabko andar se confuse karta hai.
Ab Amod ka gussa baahar aata hai.
Amod: ACP Arjun Rawte! Ek Baat Kaan Khol Kar Sun Lo! Agar Tum Dobara Riya Ke Aaspaas Bhi Dikhe Toh Main Tumhara Woh Hashar Karunga Ki Tum Sapne Mein Bhi Nahi Soch Sakte!! Pehli Aur Aakhri Baar Warning De Raha Hun!!
Arjun bored look deta hai: aur kuch?
Amod bas use glare karta hai. Arjun bina kuch kahe waha se chala jaata hai. Rathore disbelief mein sar hilata hai. Dono ek saath ek dusre ko apologise karte hai.
Narvekar/Rathore: I’m so sorry
Fir dono muskurate hai.
Narvekar: maine kaha tha na, shayad woh line mujhe hi bolni pade
Rathore: nahi please rehne dijiye, let’s just think of it as a nightmare that goes by the name of Arjun Rawte
Narvekar: good idea
Dono handshake karte hai.
Rathore: pleasure to meet you, umeed karta hu agli baar ise better situation mein milenge
Narvekar: pleasure is all mine
Narvekar aur Vishal bhi fir nikal jaate hai. Baakhi sab conference room ki taraf jaate hai.
Rathore: uff! Pata nahi kya karu main is admi ka? Kab peecha chutega isse mera?
Us raat-
Riya Arjun se phone par baat kar rahi hai.
Riya:…aur fir Amod sir ne dho daala Vishal sir ko. Mujhe itna acha laga ki pucho mat!
Arjun: par tum toh ghar chali gayi thi na toh phir…
Riya: are woh hum sabko pata tha ki Narvekar sir Vishal sir par bhadkenge kyunki sabko pata hai ki unhe aise maamlo mein laparwahi bilcul nahi pasand aur upar se unhone meri baat nahi suni na toh thoda zyaada, toh Jai ne office jaate hai chupke se mujhe video call kiya. Meri toh itni hasi nikal rahi thi ki mujhe apna phone mute karna pada is dar se ki kahi unhe pata na chal jaaye
Arjun: par ek baat mere samaj mein nahi aayi, ye Vishal toh humesha tumhe impress karne ke chakkar mein hota hai toh phir aaj usne tumhari baat kyun nahi maani?
Riya: ab woh sab mujhe nahi pata, I don’t care ki woh kya karte hai par ek minute! Maine toh kabhi aapko nahi bataya ki Vishal sir mere saath flirt karte rehte hai toh aapko kaise pata?
Arjun: shakal dekhi thi uski? Jab tum mere peeche khadi thi? Aisa lag raha tha jaise woh mera khoon kar dega….Narvekar kuch kehta nahi hai usse?
Riya hasne lagti hai: nahi yaar, aisa nahi hai. woh sirf flirt karte rehte haina aur Amod sir ko pata hai ki agar woh line ke aage aaye toh main uski laash bicha dungi. Unhone toh mujhe help bhi offer karke rakhi hai
Arjun: kaisi help?
Riya: Vishal sir ki body ko chupa kar destroy karne ki
Arjun(haste hue): ye acha hai, tumhara Chief tumhare chakkar mein criminal banne ko taiyaar ho gaya hai
Riya: ab kya kare? Riya ka jadoo hai
Arjun use tease karta hai: ha aisa jadoo jo ab teen mahine ke liye sirf record writing karega
Riya: Arjun sir!!!! ekto mujhe saza mil hai upar se aap mazaak kar rahe ho? Aapko pata hai main kitni upset hun?
Arjun: acha? Toh bolo, aisa kya karu jisse madam ka mood theek ho jaaye?
Riya(sochte hue): umm…ha! Sing for me
Arjun(flushed): What?!!?
Riya: ha…gaiye na please, please, please, pleeaaassee!!! Aapki awaaz bahot achi hai!!
Arjun: no way Riya
Riya: par…
Arjun: bye good night!
Isse pehle ki Riya use manane ki koshish kare, Arjun call kaat deta hai.
Riya: are yaar! (woh phone bed par chod deti hai) ye Arjun sir itna sharmaate kyun hai? kitni achi awaaz hai unki. Pata nahi kab sunne ko milegi firse?......................................
Comments (1)
Loved the update, full of Ariya. They r so cute. Poor Riya got punishment of doing mostly paperwork. Uff why Sameer n other cheif hate Arjun, poor Arjun.
2 years ago