Angry young woman ke andar Rakesh 1.0 ki bhatakti hui aatma ghusi hui hai jiss se Rakesh 2.0 bhi darr gaya aur samaan pack karne laga.
Sam aa gaya ek gift lekar taaki Rakesh 1.0 ki beti ke andar kuchh sense daal sake aur dolls ke through jahaan main ghar ghar kheli wali N ko samjhana pada aur bola ki CC & M ko kya jawab denge. N boli main khushi se nahi balki isliye jaa rahi hun kyunki Mumbai hamesha yaad dilata rahega hamare 40000/- doob gaye. ( aur Ahmedabad mein jaise sab swagat karne ko tayyar hain, Khair Ahmedabad toh jaane wale nahi the, pata tha kyunki set jo nahi raha)
Rakesh 2.0 ko pata hai bhatakti hui Rakesh 1.0 ki aatma kaise behave karegi aur bola N nahi jaane wali ( jaise maine suicide attempts kiye the chilla chilla ke sabko jama karke, iraada toh nahi tha bass tamasha karna tha waise hi)
Phir TanAdi ke scene, T ke liye Gauri aunty ka pyar aur KZ ke liye bhi then kisi ki wife ke liye gift dekh ke boli mera Adi seedha hai koi phansa na le ( yeh sab 1000 epis ki planning wala part tha ab dekhte hai 500 epis mein kaise niptate hain)
Sam ne aake baat sambhal li aur bola dolls ke saath yeh bhi gift N ke liye laaya tha jiss mein toy train hai, ek station ko Ahmedabad naam dunga toh N khushh ho jaayegi. Gauri ki jaan mein jaan aayi ki.
Phir Sam ne Adi ko bola woh show main nahi kar raha bahot lambi kahani hai isliye tu audition dede. ( lambi kahani short mein ki Arunaji ko Ahmedabad ka Tom Cruise nahi Mumbai ka Johnny Debb chahiye jiss ne real mein saanvli ladki se shaadi ki ho kyunki story bhi real hai)
Raat mein Samaina ki baat band hai toh N Rakesh 2.0 ko boli morning mein utha dena kyunki epi complete karna hai ( aur Sam ke saamne chit pe likh ke diya mujhe subah utha dena kyunki baat band hai na aur next morning dekha toh side mein chit thi subah ke 6.00 baj gaye hain uth jao)
N 8:00 baje uthi. Rakesh ne ishaare se bata diya ki handwriting dekh ke pehchan lo kisne likha hai episode, Sam aa gaya naashta leke, ( likh bhi daala aur breakfast bhi bana diya, lagta hai Mt.Abu ke baad aaj phir ugte sooraj ko dekha hai)
Arunaji ke office mein N VO kitna phekti hai be, boli un dinon ek chocolate aur chhota sa gift diya aur jhagda khatam ( kahan beta, SSP walon ne jo 2.5 quintal chocolate khareede the 1000 epis ke liye uss mein se 0.5 quintal dene pade Sam ko tab jaa ke maani)
Saamne ke saamne Karan Arjun ko Sam ne chocolate dene ka bola aur unhone N ko ishaare se bataya ki kisne diye hain, love is blind you know and sometimes lovers too.
Arunaji aa gayi aur Sam ki shayeri dekhi.
aapki hansi se hamari zindagi judi hai
Mat karna kabhi inhe honton se duur
aapki hansi se hamari zindagi judi hai
( na kaafiya mil raha na hi sher Sam ki style ka hai isliye shayad Arunaji ne padhke na sunaya)
Phir N ko boli tum dono ki jodi as a writer bahot achchi hai aur likhne se acting aur bhi achchi ho jaayegi. N ka nonsatisfactory solo aur Samaina ka duet performance dekh chuki Arunaji ne bakhubi Sam ko convince kar daala ki he is not a good actor.
( Shopkeeper: Aaiyiye Arunaji aapka saara saaman tayyar.
Yeh bhi aur woh bhi.
Magar aapne toh ek hi writer ko sign kiya tha.
Jab utne hi paison mein do writers mile toh koi ek kyun le.
Waah Arunaji Waah, maan gaye!
Kise?
Aapki paarkhi nazar aur HR skills donon ko.)
Chalo someone praised Sam for his hidden talent.
N ne formal handshake karke Sam ko partner banaya aur N VO ka Samaina as partners pe lecture.
Ghar pe Samaina scenes on BG chahat nadiya ( aur Samaina gender change ka mirror game khelte huye, N ka Sam ko tikli mangalsutra aur Sam ka N ko French cut, bhojbhuri cut etc etc)
Samaina Mumbai ki pehli baarish mein bhutta khate huye aur Sam VO talking abt Mumbai ki baarish ke kisse.
Later, Samaina in bedroom aur bole yeh hamare show ka kamaal hai ( lagta hai ab se count down shuru aur show matlab YUD)
Sam ko meetha khana hai aur meetha matlab bache huye 2 Quintal chocolate nahi, na hi gulab Jamun balki woh jo audience dekhna chahte hain.
N ke dhakke se almari se marriage certificate gir gaya aur N ne dekh liya.
Precap... Sam kaanch ki chudiyan le aaya ( bcos everything that chamak is sone ki chudiyan and everything that khanak is kaanch ki chudiyan)
comment:
p_commentcount