Love and Deceit
ETF Office-
Arjun gusse mein apne cabin ka darwaaza bang karte hue andar jaata hai...piche Riya pareshaan hokar uske paas aati hai...
Riya: Sir pls sambhaliye apne aap ko
Arjun: KAISE SAMBHALU!! HAR BAAR!!! HAR BAAR WOH HUMARE HAATH SE NIKAL JAATA HAI!!! aur paani ka glass table par tod deta hai
Riya: Sir...aap...
Arjun(abhi bhi gusse mein): Man Toh Kar Raha Hai Ki...aur us tute hue kaanch par apna haath bang karne waala hai...
Isse pehle Riya apna haath bich mein daalkar chot khud par le leti hai, uske hatheli ke piche kaanch chubta hai, woh wince karti hai
Arjun ka gussa immediately gayab ho jaata hai: Riya ye kya kiya tumne!!!!(uska haath apne haath mein lekar ) dekho khoon behne laga...(fir gussa hokar use daant tha hai ) Whats wrong with you!!!
Riya: aur agar aapko lag jaati toh?
Arjun(irritate hokar): tumse toh kuch kehna hi bekar hai...ruko abhi yaha par
Arjun first aid box nikal kar uski dressing karta hai, woh bandage kar raha hai...
Riya: are itni si chot ke liye itna bada patta?
Arjun use glare karta hai
Riya: aap mujhe aise kyun dekh rahe hai? ek tukda kaanch hi chuba hai...goli nahi lagi
Arjun apna sar disbelief mein hila kar bandage change karta hai
Arjun: ab ise kuch ghante gila mat karna, samjhi ya samjhao?
Riya smile karti hai: ji Dr. Arjun Sir
Arjun use glare karta hai
Riya apni hasi chupati hai...
Dusri taraf Chief ke cabin mein bhi emotional trauma chal raha hai...Rathore khidki ke baahar face karke khada hai, apne emotions control karne ki koshish kar raha hai...Ayesha uske kandhe par haath rakhti hai
Ayesha: are you...are you ok?
Sameer uski taraf turn hota hai: no im not
Ayesha: sab theek ho jayega Sameer, don't worry
Sameer use hug karta hai: ye sab kyun ho raha hai Ayesha? Jab bhi aisa lagta hai ki humne manzil paa li hai tab hum use do kadam aur piche ho jaate hai
Ayesha : is sawaal ka jawaab mere paas nahi hai, par main yeh zaroor jaanti hun ki us manzil tak pahunchne mein, main har kadam aapke saath hun
Sameer use face karta hai: thank you
Ayesha smile karti hai...
Conference room
Shree: yaar ye sab kya ho raha hai?
Liza: seriously, kuch samaj mein nahi aa raha hai? aisa kaise ho sakta hai?
Sakshi: exactly!! Har tarah ka precaution liya tha humne is baar...phir bhi ye sab...aur apna sar rub karti hai
Chotu: koi na koi toh galti hui hai humse isliye ye hua...par kya?
Sab apne hi soch mein hai...tabhi commissioner enter hota hai, use dekhkar sab attention mode mein aa gaye aur salute karte hai
Sab: jai hind Sir!!
Commissioner: jai hind! Rathore aur Arjun kaha hai?
Shree: woh...sir...main bulata hun
Commissioner nod karta hai
Shree dono ko inform karta hai, woh dono bhi commissioner ke aane se choukte hai aur immediately use milne jaate hai
Rathore: Sir aap yaha? Kuch kaam tha?
Commissioner(Gautam) : ha kaam toh tha...par woh kaam tum logo ko karna tha, right?
ETF conscious ho jaati hai
Rathore compose karke bolta hai: Sir hum wahi kar rahe hai
Gautam: kar rahe hote toh aaj tum log khaali haath nahi lautthe!!!
Kisi ke paas koi jawaab nahi
Gautam continue karta hai: I really don't believe this!! Mumbai ki sabse behtareen officers ki team ek baar nahi, do baar nahi balki teen baar chakma kha gayi...thats really great!!!
Arjun ko firse gussa aata hai, woh apni fists tight karta hai aur blast honewala hai, lekin Riya uska lightly uska haath pakadti hai, Arjun us par nazar daalta hai
Riya look deti hai "ye sahi waqt nahi hai"
Par commissioner ye dekh leta hai aur taana maarta hai: Riya...apne boyfriend ke saath baadme guftagu karogi toh behtar rahega
Sab is baat se shock hote hai, lekin Riya ka gussa aasmaan chuta hai aur khud hi blast ho jaati hai
Riya: Aapse Kisne Kaha Ki Yeh Mere Boyfriend Hai? Yeh Mere Boyfriend Nahi Hai!! Aur Agar Hai Bhi Toh Kya...Main Inka Haath Pakdu Ya Kuch Bhi Karu!! Ye Humara Personal Maamla Hai...Aap Hote Kaun Hai Beech Mein Bolna Waale!!!!
Gautam: WATCH YOUR TONE MISS MUKHERJEE!!! Ye Mat Bhulo Ki Main Kaun Hun!! Main Kisi Bhi Tarah Ki Indiscipline Nahi Sehan Karunga, Samjhi!! STAY IN YOUR LIMITS!!!
Riya firse kuch bolne wali hai usse pehle Rathore intervene karta hai
Rathore: Sir please...let it be...(Riya ko pehle request look dekar aur fir sternly) Riya control your temper!! Maafi mango!!
Riya sirf Rathore ke kehne par control karti hai : I'm Sorry!!
Woh maafi maang rahi hai ya ehsaan kar rahi hai...pata nahi
Gautam abhi bhi use glare kar raha hai, aur Riya bhi unhe sternly dekh rahi hai
Rathore topic change karta hai: sir...hume ek aur mauka dijiye, main aapse waada karta hun ki is baar...
Gautam : mauka toh tumhe mil hi raha hai Rathore... Aur woh bhi aakhri!!! Agar is baar kuch gadbad hui toh ETF ko is case se hatakar disband kar diya jaayega!!!
Sab shock ho jaate hai
Gautam: AM I CLEAR???
Rathore ek baar team ki taraf glance karta hai aur fir: yes sir!!
Commissioner: good. Aur chala jaata hai
Ayesha: team disband kar denge!! Woh aisa kaise kar sakte hai?
Arjun sigh karke chair par baithta hai: apparently woh kar sakta hai Ayesha, woh commissioner hai
Ayesha(gusse mein) : Riya tum ruk kyun gayi? Thoda aur suna dena chahiye tha na! Samajte kya hai woh khud ko?
Riya: apne boyfriend se pucho...mujhe toh bina baat ka boyfriend thama diya, huh!!
Arjun apni eyebrow raise karta hai: excuse me?
Riya: ha toh nahi hona?
Arjun apna sar disbelief mein hilata hai
Rathore: chup ho jaao yaar sab!!! Aur Ayesha agar mein Riya ko nahi rokta toh woh use suspend kar dete ya fir duty se relieve kar dete, jo yaha par koi bhi nahi chahta
Sakshi: woh sab toh theek hai Sameer, lekin ab aage kya karna hai? agar unhone sach mein hume disband kar diya toh?
Liza: agar? Tumne suna nahi Sakshi? Woh hume 100% disband kar denge
Chotu: are yaar! Tum log aisa mat bolo...pls
Rathore: kar denge...kiya toh nahi, hum firse shuruwat karenge aur is case ki jad tak pahunchenge, yeh humara aakhri mauka ho sakta hai
Team collectively nod karti hai
Rathore: chalo ab sab ghar jaao!!take some rest, Kal subah firse start karenge
Arjun ke ilawa: yes sir!!
Aur sab ghar jaane ke liye nikalte hai, Arjun Riya ko drop karta hai
Riya: thank you sir! Good night. Aur utarti hai
Arjun pichese awaaz lagata hai: Riya!!
Riya mudti hai: ji?
Arjun: tumhe exactly gussa kyun aaya?
Riya: kyunki, unhe koi haq nahi ki meri zindgi mein ghus kar mere actions judge kare
Arjun nod karta hai: fair enough! See you tomorrow
Riya: have a safe journey!!
Arjun nod karta hai: go!!
Riya smile karke ghar ki taraf jaati hai, woh jaanti hai jab tak woh darwaaza Kholkar enter nahi karti tab tak Arjun nahi jaayega...
comment:
p_commentcount