bloomie thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Anniversary 10 Thumbnail + 8
Posted: 7 years ago
#1

Hello, mujhe achanak se ek idea aaya usually hum humesha arjun aur riya dono ki personality ko typically rakhte hai as in arjun is the strong one  and kuch had tak riya the weaker one lekin agar iska ulta ho toh... maine aisa kuch hi kiya hain jisme riya ko arjun ki nahi arjun ko riya ki zaroorat padti hai. saare characters almost same hi hain thode changes hain sirf. ek hai ki arjun ka past toh hai lekin with a twist aur woh Etf ka hissa nahi hai...so plz leave ur reviews. aur haan mujhe pata hai mere os zaroorat se zyada lambe hote hain rather ts hote hain isliye is baar maine parts main divide karke use officially ts kardiya hai... lekin fir bhi zyada kuch fayda nahi hua.

Love (IN)JUSTICE

Night time. A lonely place ek admi jhadiyon ke piche baith kar saamne admiyon ki photos kheench raha hai tabhi achanak kuch gaadiyaan waha aati kuch log guns ke saath bahar aate hain :"IT'S A RAID!!!!"

saamne ke saare admi idhar udhar bhagne lagte hain.

jhaadi ke peeche waala admi bhi chauk jaata hain mv "shit, yeh log kahase aagaye"

woh bhi wahase bhagne ki koshish karta hain lekin jaise hi woh us jagah se bahar nikalne waala hota hai tab end moment pe use piche ek gunshot ki awaaz sunai deti aur

ek ladki ki awaaz :STOP! or ill shoot!!! Hands up

woh admi haath upar karke khada ho jata hain.

woh ladki apne earpiece main: yaha ek aur hain ise lekar jaao. us admi se: Turn around

woh admi mudta hain. uske paas hathiyaar nahi hain ye dekhkar ladki bhi apni gun andar rakhti hai. mauke ka fayda uthakar woh admi use push karke bhagne ki koshish karta hai lekin woh ladki zyada fast hain woh apna pair beech me dalkar use gira deti hain jisse use chot lagti hai us admi ki toh choti cheekh nikal jaati hai.

ladki: tumne soch bhi kaise liya ki tum bhag jaoge?

tabhi ek pahelwaan jaisa admi waha aata.

ladki: Chotu ise bhi uthalo aur Etf office le aao.

admi: nahi mujhe jaane do maine kuch nahi kiya

ladki: toh aadhi raat ko drug dealers ke adde pe sightseeing karne aaye ho? tumne kya kiya hai aur kya nahi woh hum tay karenge tum nahi. kehkar woh chali jaati hai

Chotu use uthata hain.

woh admi: AAH! dheere mere pair main moch aa gayi hain.

Chotu: shukar maanao ki sirf moch hai warna Riya ma'am maarti hai toh 206 hadiyaan 412 ban jaati hain.

woh admi shock se use dekhta rehta hain...

ETF Office

Interrogation room ke andar woh admi hain ek officer ke saath. bahar Ayesha aur Chotu dekh rahe hain woh admi ek ghante se maar kha raha hain lekin kuch nahi bol raha. Riya waha aati hain.

ek baar andar dekhkar: kuch mila iske paas?

Chotu: ha ek drug ka chota packet mila hain, shayad client hain lekin kuch bol nahi raha.

Ayesha: par ma'am Liza ne blood test kiya uske khoon mein kisi bhi tarah ki koi nashili cheez ke traces nahi mile.

Riya: hmmm, aur woh camera?

Ayesha: Shree check kar raha hai. peeche dekhkar: lo agaya.

Shree: ma'am bahut ajeebsi cheez pata chali hain kehkar use laptop main pics dikhata hain.

Riya uska laptop lekar room ke andar jaati waha woh officer use firse maarne waala hota hain.

Riya: ruko Sameer.

woh ruk jaata hain.

Riya light me aakar: tum jaao main dekhti hun.

Sameer nod karke chala jaata hain baharse sabke saath andar dekhta hain. idhar woh admi Riya ko dekhkar ek pal ke liya dekhta hi rehta hain. uske baal khule hain black skinny jeans white top aur skin tight black leather jacket cop se zyada koi biker model lag rahi thi.

Riya: naam kya hai tumhara?

woh admi trance se baahar aata hain lekin jawaab nahi deta hain.

Riya laptop kholkar use dikhaate hue: ye photographs tumne kyon kheenche?

woh admi photos dekhta hain lekin phir bhi jawab nahi deta hain

Riya: dekho chup rehne se kuch haasil nahi hone waala hain, na tumhe na hume. tumhare paasse drugs ka packet mila hain aur tumhara waha hona, kaafi sabut hain 5 saal tak jail jaane ke liye.

woh admi use shock se dekhta hain

Riya: so let's try again...tumhara naame kya hain?

Admi: Arjun...

Riya: ma ne kabhi baap ka naam nahi bataya? (arjun use glare karta hai) ...pura naam batao!!!

Arjun(chidan se): Arjun...Suryakant Rawte

Riya: kaam kya karte ho?

Arjun: India 24 news channel ka editor-in-chief aur owner hu.

Riya: crime scene par kya kar rahe the?

Arjun: mujhe info mili thi ki waha ek deal hone waali hain isliye pata karne gaya tha.

Riya(sarcastically): Wow! matlab tumhe itni badi aur wanted gang ke khilaf info mili aur police ko batane se zyada tumhe apne channel ke liye breaking news lena zaroori laga, maanna padega

Arjun (gusse se): kis police ko baat kar rahi ho tum ? woh jisse apni duty se zyada paiso se pyaar hain? aur rahi baat news ki toh maine ye sab channel ki TRP ke liye nahi APNI ROSHNI KO INSAAF DILAANE KE LIYE KIYA HAIN SAMJHI.

bahar

Chotu: Roshni? uske ghar me bijli ki problem hain toh drug gang ka kya lena dena?

Sab log use dekhte hain

Chotu: kya hua?

Rathore apna sar hilakar waapis andar dhyaan deta hain. Shree uski peeth par haath rakhkar : kuch nahi bhai dimag mat laga jo woh bol raha hain sun

andar

Riya (calmly): saare policewaale ek jaise nahi hote anyways Roshni kaun hai?

Arjun(emotionally) : meri ...meri wife. unlogone uska murder karwa diya (apne aansu chupate hue) they killed her...

ye sunkar Riya aur baakhi sabko bhi bura lagta hain. Riya paani ka glass uske aage karti hain. Arjun use pi leta hai aur thoda shaant hota hai. kuch pal bad

Riya: kyon?

Arjun: Roshni bhi India 24 ki ek crime reporter thi mere saath...woh ek case par kaam kar rahi thi, ek saal pehle...

Flashback

Ek room me Arjun aur Roshni chain se so rahe the ki achanak ek phone bajne lagta hain. Roshni ki aankh khulti hain aur woh phone uthathi hain.

Roshni: hello?

dusri taraf kibaat sunkar Roshni achanak se excite hokar seedhe baith jaati hai : KYA sach?

is wajah se arjun ki aankh bhi khul jaati hai use baat karte dekh firse aankh band kar leta hai.

Roshni: ya ok main abhi aati hun tum wahi ruko bye. phone kathi hai

yeh sunkar Arjun jhatke se uth jaata hai.

Arjun: kaha jaa rahi ho?

Roshni uththe hue: maine tumse kaha tha na main ek bade case par work kar rahi hu usi ke liye lead mili hain.

Arjun : lekin Rosh raat ke ek baj rahe kal subah bhi toh jaa sakti ho na?

Roshni : nahi Arjun nahi jaa sakti late ho jayega mera abhi jaana bahot zaroori hai.

Arjun: theek hai toh main bhi aunga

Roshni: bilcul nahi..

Arjun:  par itni raat ko tum akeli kaise jaogi? nahi main tumhare saath aaunga

Roshni : oho pehli baar thodi jaa rahi hu main tum fikar mat karo main bus yun gayi aur yun aayi. kehkar uske cheek par kiss karti aur main door ki taraf jaati hai

Arjun: ruko ..

Roshni: kya hua?

Arjun: agar zaroorat pade toh phone karna aur apna khyal rakhna aur jaldi aana aur...

Roshni: adarniya patidev jab tak aap mujhe jaane nahi denge main waapis kaise aaungi?

Arjun ko pata hain woh nahi manegi : fine jaao main wait kar raha hu

Roshni smile dekar chali jaati hain. Arjun uska wait karte hue ghar mein idhar udhar ghum raha hai. kuch der baad woh window ke paas baith jaata hain aur road ki taraf dekhte hue uski aankh lag jaati hain. kuch ghante baad woh phone ki ghanti ki awaaz se uthta hai.

Arjun mv"are ye kya 4 baj gaye?!? Rosh aayi kyun nahi?"sochte hue phone uthata hain : yes?

Dusri taraf : kya main Arjun Rawte se baat kar raha hu?

Arjun : ji kahiye?

Dusri taraf: main kailash nagar police station se Inspector Rakesh Kamat bol raha hu. aapki wife ka accident ho gaya hai

Arjun (shock): kya bakwas hai yeh...

Inspector: ye sach hai aap plz jald se jald D-Mart mall ke pass waale signal par aajayiye aur laash ki pehchan kijiye

Arjun ko apne kaano par vishwas nahi hota: LAASH!!! WHAT THE HELL DO YOU MEAN BY LAASH!!! lekin phone kat chuka hai. HELLOO HELLOO INSPECTOR!!!!

Arjun mv" nahi aisa nahi ho sakta Roshni..."

woh immediately gaadi bhagake waha pahunchta hai. waha woh dekhta hain ki ek taxi ka buri tarah se accident hua hai sab jagah kaanch ke tukde hain. police evidence collect kar rahi hai aur ek taraf do sheets par do laashe. ek driver ki aur dusri...

Arjun: ROSHNIII !!!!!!!!!!!

wahake police waale uski cheekh sunkar uski taraf dekhte hain woh uski taraf bhagta hain. lekin do teen havaldar use peeche se pakad lete hain aur use Roshni ko chune nahi dete. woh cheekh raha hai chilla raha hai apne aap ko chudakar aage jaane ki koshish karta hai lekin nakamyab hota hai. end main bas wahi ghutno par baithke Roshni ka naam lete hue rone lagta hain. 

Police Station

Rakesh: Mr. Arjun ye ek normal road accident ka case lag raha hai open and shut. hume lagta hain ki woh taxi kisi truck ya lorry jaise heavy vehicle se takra gayi. humari puch tach jaari hai lekin itni der raat ko kisi kuch dekhna thoda mushkil hai...

Arjun ka haal abhi bhi bahut bura hain lekin use gussa aata hai: aap kehna kya chahte hain us accident mein meri biwi maari gayi aur aap keh rahe hain ki aap gunehgar ko saza nahi dilwa sakte?!?!?!?!

Rakesh: dekhiye mera kehna ka matlab woh nahi tha . main bas keh raha hu ki pakde jaane ki umeed kam hain par hum apni taraf se puri koshish karenge unhe pakadne ki.

Arjun (gehri saans leta hain) : main (cracked voice) Roshni ki ... Roshni ko ghar kab le jaa sakta hun?

Rakesh: hume formality ke liye post mortem karwana hoga kal tak aap unki laash le ja sakte hain. Hum aapko phone karke inform kardenge

Arjun nod karta hain aur ghar jaata hain. lekin ghar ke andar aate hain hi use Roshni ki yaadein aur bhi zyada sataane lagti hain.woh uski potrait ke paas jata hain

Arjun: tumne kaha tha na jaldi aaogi toh fir kyon humesha ke liye mujhe chodkar chali gayi...jawab do... bolo na. kehte hue tut jaata hain

Flashback ends

Riya: toh tumhe lagta hain ki woh accident hua nahi karwaya gaya tha?

Arjun (apne aansu pochkar): haan, Roshni mujhe kabhi apne kaam ke baare mein ya informers ke baare main nahi batati thi maine bhi kabhi use force nahi kiya. uska kaam karne ka apna hi tarika tha. 4 mahine pehle jab maine uska cupboard khola toh mujhe kuch papers mile purane cases ke drug smuggling aur human trafficking ke. mujhe tab ehsaas hua ki uska us case ke lead par jaana aur usi  waqt uska accident hona koi itefaaq nahi hai. maine office mein uski saari cheezein check ki lekin mujhe kuch nahi mila . isliye jitna kuch tha woh lekar main Inspector Rakesh ke paas waapis gaya. lekin usne meri madad nahi ki woh kehne laga ki main apne biwi ke pyaar me pagal ho gaya hun aur sadme mein hun. maine use samjhaane ki bahut koshish ki lekin woh nahi mana aur chala gaya tab waha ke ek havaldar ne mujhe bataya ki mere kuch karne ka koi fayda nahi hai us case ko dabane ke liye Rakesh ko 50 lakh mile the woh kisi bhi haal me apna muh nahi kholega. mera shak yakeen mein badal gaya aur...

Riya: aur tumne gusse me aakar khud taikikat karna shuru kar diya.

Arjun: haan

Riya: aur kya pata chala tume?

Arjun: zyada kuch nahi bas itna ki yeh gang sirf desh mehi nahi videsh mein bhi faila hua hai. yaha tak ki interpol bhi iske piche hain aur iske head koi sikandar hain.

Riya: hmmm not bad ..for a journalist. Shree zara pata karo yeh sach bol raha hai ya jhut.

Arjun (shocked): tumhe mujpar bharosa nahi hai.

Riya (as a matter of factly voice): tumne bhagne ki koshish ki thi

Arjun use unbelievable look deta hai. kuch pal bad Shree ki awaaz aati hain speakers me : ma'am woh sach keh raha hai.

Riya use uthne ka ishara karti hain aur dono bahar aate hain.

Riya: tum fikar mat karo tumhari biwi ko insaaf hum dilwayenge. ek kaam karo tum Roshni ka number hume dedo uski call details se zaroor kuch na kuch pata chalega. Shree..

Shree nod karta hain: mere saath aao

Arjun uske saath chala jaata hain

Riya: come on guys pack up, go home and get to bed.

Ayesha: ma'am bed tak pahunche tab tak waapis aane ka time ho jaayega

Riya: yahi rehna chahti hai toh mujhe koi problem nahi hai Dindayal (night watchman) ki duty thodi kam ho jayegi.

Ayesha ( ghabrakar ): nahi, nahi agar main ghar nahi gayi toh meri maa meri job chudwa degi.

sab haste hain aur ghar jaane ke liye nikalte hain. last mein Arjun , Sameer aur Riya lift ka intezaar karte hain .lift aati hain toh teeno andar jaate hain.

Sameer: are yaar main toh bhul hi gaya, Ri Sunday ko tujhe mere saath aana hain Ayesha ke ghar.

Riya: jhagda ho gaya tum dono ka?

Sameer: nahi toh kyon?

Riya : toh fir mujhe beech me kabab ki haddi kyun banana chahte ho?

Sameer: very funny Ri main tujhe isliye bula raha hu kyunki humare parents milne waale humari shaadi tay karne ke liye

Riya ( badi smile dete hue) : are waah kya baat hain lekin tujhe meri kya zaroorat hain

Sameer: are yaar samjha kar ek toh love maariage upar se inter caste agar koi gadbad ho gayi toh?  maasa aur babasa  tujhe pasand karte hain aur Ayesha ke parents bhi koi problem hui toh tu sambhal sakti haina aur mujhe bhi support rahega apne best friend ke liye itna nahi karegi tu ...

Riya: acha baba theek hain aa jaungi main khush, itna drama mat kar

Sameer: thats like a good girl . kehkar uske cheeks pull karta hain.

Riya: SAM!!!

dono hasne lagte hain. Idhar Arjun Riya ko hanste hue dekhkar ek pal kho jaata hai

Arjun mv" kaun kahega ki kuch pal pehle ye mera ek criminal ki tarah interrogation kar rahi thi...wait, what?" woh apna muh fer leta hain.

woh teeno bhi nikalte hain. Riya drive kar rahi hoti hai tab office ke paas hi road par Arjun raste pe chalta hua dikhai deta hai use. woh horn bajaati hai lekin Arjun nahi sunta. woh apni gaadi uske thode aage lakar rok deti  hai.

Riya: oh mister horn sunaai nahi deta?

Arjun: rasta khaali hai jaana hai toh side se jaa sakti ho

Riya: mujhe pata hai dikhai de raha main yeh keh rahi thi ki tume yaha taxi nahi milegi, baitho main chod deti hu

Arjun: nahi mai chala jaunga tumhe takleef lene ki zaroorat nahi hai

Riya: maine yeh nahi kaha ki main tumhe chod du? maine kaha ki baitho chod deti hu.

Arjun sigh karke passenger seat ki taraf jaata hai.

Riya (mutter): huh pata nahi kya problem hoti hai in mardo aurton ki madad lene se duniya bhar ka ego lekar ghumte rehte hain.

Arjun : mujhe sunaai de raha hai

Riya: thats great matlab tumhare kaan kaam kar rahe hain

Arjun mv "uff ladki hai ke kya hai" : chale?

Riya : tumhe mai koi antaryami lag rahi hu?

Arjun : kya matlab?

Riya(annoyed) : address toh batao

Arjun: oh...haa.

woh address batata hain. Riya sar hilakar gaadi shuru karti hai. uska ghar aata hai. Arjun jaa raha hota hai tab Riya use pichese awaaz lagati hai. Arjun mudta hai.

Riya use ek card dete hue : yeh lo isme mera number hai agar tumhe koi aur khabar mile toh mujhe inform karna khud mat chale jaana

Arjun card lekar use dekhta hai 'ETF Chief - ACP Riya Mukherjee'. Riya jaane ke liye gaadi start karti hai.

Arjun : Riya (woh use dekhti hai) Thank you...meri madad karne ke liye

Riya: Your welcome, apni dressing karwa lena. kehkar nikal jaati hai.

acha laga?

Edited by bloomie - 7 years ago

Created

Last reply

Replies

60

Views

27875

Users

22

Likes

241

Frequent Posters

etfr thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#2
wow..new way
oye hoye riya...
superb concept
amazing part
nicely written..
thanks for PM
continue it plz..
u r going good
manasvi.. thumbnail
Anniversary 8 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#3
Amazing start
Just loved it role reversal
Riya rough n tough n etf chief 
Arjun reporter n want to avange his roshni death
Aww arjun ko mara 
Arjun lost in riya n riya offer him lift
Update soon
Thanks for pm
Mariaakanksha thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#4
Super duper amazing start.. lovely... Riya ETF ki chief.. bahut mazaayega.. par muje PM nahi mila.. ðŸ˜­.. continue soon.. agli baar PM karna muje.. 
Vishakha.. thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#5
woah...role reversal...nice...
do continue soon..
thanx for pm
spatika thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#6
awesome update.
role reversal is nice..
I liked it.
continue soon
.
hijabEfajr thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#7
wow lovely concept dear. i loved it conti fast
cuteariya thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 5
Posted: 7 years ago
#8
wow what a interesting update
yippee I love this riya rough & tough but same time lovely girl 😃
she is ETF chief 🥳
poor arjun want to avenge his his wife death 😭
now riya going to help him with ETF team 😃
continue plz
rinku95 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#9
Amazing
Continue soon
rosamale thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
#10
I love it. now waiting for next part