Altunia Dialogues - Page 6

Created

Last reply

Replies

75

Views

72.4k

Users

13

Likes

135

Frequent Posters

Tooba_Hcian thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#51
Omg ..while writing this scene.. i was crying ...Sir (writer) you really killed this moment by giving such a fab script to us :)
Tooba_Hcian thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#52
A= Ama zaroor miyaan yahan humare dil mein shoole dehak rahe hain ...or tum ho k bout bun kar humein ghor rahe ho? tumhein pta bhi hai... sadion se taras rahi thi ye mulakat...or aik lamhe se raat mein khatam hogai... or shezadi k sath bitai us raat mein... na jane hum ny kitni sadiyan gee lein...kitne khwab bun liye...kitni dastanain sun lein...
A= mudah ye hai zarooon miyan k shezadi razia ye nikah us budhe k sath humein manzoor nhi hai...
A= us budhe ko shezadi razia ki majboori ka faida hum nhi uthane dain ge... ye nikah humein rokna hoga...
A= hum uska qatal kar dain ge...
A= to phir kia karien ...bas ye nikah nhi hosakta...
A= Salah doge to kuch dair tak zinda raho ge... or salah nhi doge to abhi mar dalein ge...to jub dono suraton mein marna hi hai ...to behter hoga k salah de kar marooo...
A= acha??? or faqeer hojaien...chimta le kar qalandaron ki tarahan nachne lag jaien ...are humare dua mangne se koi karishma thori hojae ga...tum kb se darweesh hogae...?
A= yad hai yad hai...per wo dua shezadi ny mangi thi...wo bht pak dil hain...humari dua...malik k kano tak nhi pohnche gi zaroor miyaan
A= per marien ge 10 jootee ginein k Aik...
Tooba_Hcian thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#53
A= suntein hain her cheez miljati hai dua se...ek din tujhe b mang kar dekhain ge khuda se...ap ke lye yeh bhi azma kar dekh lete hain mohtarma!!!
(razia comes in front of her)
R= wo mirza ...hum...hum keh rahe thy k jo bhi hua us raat ko...
A= kiun...kuch aisa wesa hogya kia mohtarma!!! ary hum kisi ko mun dekhane k qabil nhi rahein ge...
R= maskari mut kijiyeee...hum us raat...wo batien ..uski baat karahe hain hum...
A= ye baton ki hi to batien hain mohtarma!! ye batien na hon to humari or apki mohabbat ki dastan kon likhe ga...
R= na koi dastan hogi .. na koi sunne wala...na koi sunnane wala...khawaboon ki duniyan yun nhi sajai jati mirza...haqiqat ka aina kuch or hi tasweer dekha jata hai...behter yehi hoga k ap hum se dooor chale jaiye...
A= yehi to muskil hai mohtarma!! k hum apke pass ae hi kahan hain...jo door chale jaien...
R= ye sub kar k ap humari muskil or barha rahe hain mirza!! humari bas aik guzarish hai ap se...k humara nikah parhe jane tak ..door rahie hum se...
A= theek hai muhtarma!! apka hukam sir ankhon per... Alvida
R= mutlab ap such mein chale jaien ge...
A= to ap to ye hi chahti hain nawww.. to hum ja rahe hain...ap ki duniya ..apki .. mehfil ... or apki mohb...nah mohbbat nhi mohtarma!... hum apni mohabbat apne sath le kar wapis ja rahe hain... hum such mein ja rahe hain mohtarma!! ALVIDA ( and leaves to go) hum such mein ja rahe hain mohtarma!!! per jane ka ghum humein nhi ... per ghum is baat ka nhi .. ghum to is baat ka hai humare jane k bad ap sataien gi kisee.. ( and leaves the place)
( razia runs to the direction where Altunia goes and suddenly he appears infront of her )
A= smiles ... dekhein mohtarma jhooot ap bolti nhi...or such ap bol nhi saktien ...to yun sair per to ja nhi rahe hongi aap? kahan jarahien thi aise budhawas?
R= hum to.. hum to bas ye dekh rahe thy k bala tali ya nahi...
A= hum apko pehle b keh chuke hain mohtarma!!! ye bala apke gale par gai hai abh...
R= bhar mein jaiye aap...humari bala se...
A= maula mere maula... humein se mohabaat or humein se larai...


Edited by Tooba_Hcian - 9 years ago
overactor thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#54
r; ishq ka rang bhi ajeeb he miyan, jb aap ate the peeche hamare, wafa ka hamen saleeka na aya, aur jab aashiqui ka khumar hum pe aya, to aap begane ho chale

a; rang chadta he ishq ka, khoon e jigar hone pe, qatl kr k hamara, hamen hi sunate hen afsane hamare

r; afsane dhund lete hen qirdaar apne apne, chalo chehron k aine me dhund len, chere apne apne

a; ab to aaina bhi hamen soorat apni dikhata nhi, aur aapkse siwa koi aur nazar ata nhi

r; ishq hi dard, ishq hi dawa bhi, aapse arz he, ishq ka marz hai

overactor thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#55
A ; Aaina main kya dekkhun aur kis kadar dekkhun..ki aata hai mere saamne koi aur chehra shayad !!
R; Deedar ki talab liye dhoondtey hain wo humein aaino mein...dekkhana hai jo humein toh pehle wo nigaahein toh maang !!

A; Bas tu hi tu nazar aata hai humein,mera aaina bhi tu,meri nazar bhi tu,aqs hoon main tera...tere begair main nahi,mere begair nahi tu !!

R; aainon ki foj lagaye chehron ko qaid kiya he

A; Ye ada hai ya shikaayat aapki...ye aapka deedar hua ya koi saza mili he hamen
Edited by overactor - 9 years ago
Tooba_Hcian thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#56
Arrey fiqr humein ...iss baat ki nahi hai...ki shaadi mein pehle billi kaun marega
Leyo...kaazi ji dubley kyun shehar doobne ka andesha...Zaroon
Arrey karodon ke aansu hain miyaan,karodon k,agar aankhon se dus-pandrah heerey bhi jhad gaye toh poori saltanat hi nilaam ho jaayegi
arrey tum kya jaano...unn boondon ki keemat...samdar mein tapak jaayein toh khaara paani bhi meeta ho jaaye
Aaina main kya dekkhun aur kis kadar dekkhun..ki aata hai mere saamne koi aur chehra shayad

exoLarmy thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#57

Originally posted by: overactor

tujhe ye shoq abhi hi chadna tha re, i have his collection written but wo copy me pak me chod aayi😭

khair ye lo for now

Hunar Dikkhayenge toh Jaan se jaayenge...Jaan bachegi toh Hunar ka Khaayenge

Jinke Ghar Pe ameeri ke darrkhat lagtey hain unke ayyeb bhi duniya ko hunar Lagtey hai

Dilli ke ameerzaadhon se nahi milta mirza..innki badaulat hi to hum gareeb huye hain !!

Mirza boley toh Aafat Na Boley toh Aafat..Mirza chup rahe toh bawaal...Mirza kuch kare Toh sawaal

Inkaar ki Lazzat iqraar mein Kahan..Badhta hai IShq mera Unki Na..na..Se...

Ye bhi koi "Sharafat' huyi...wahi toh...ye Sharafat bhi ajeeb cheez hai...iss mein Shar ( burai) bhi hai Aur Aafat bhi

Mai-Khaane ka din jab Kharaab aaya...Kulhhad mein Sharaab aayi...Patton Mein Kabab aaya..

Laga Huya Hai Wahi Parron Ki Numaaish mein..Jo kehta tha Kabhi Uddna Mujhe Pasand Nahi

Khwaab aasmaani..
Baatein zaafraani...
Dil keh raha dil se...
Hone de ek nadaani!

Wafa jo na ki toh jafa bhi na kijiye ...ki jeene ki tamanna mein ab marra bhi na jaaye

Bahut guroor hai tujhe apne pe aye sirfirey toofan...par humein ...bhi dariya paar karne ki zid hai


Oh the way he talks!
darkwarrior200 thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#58
Humse bhaag kar kahan jayegi sultana ? Jahan jaayegi Mirza ko wahin payengi. Hamari qaid se nikalna aapke liye ab namumkin hai. Mohobbat jitni shiddat se nibhayi hai, nafrat bhi Mirza ussi ada se nibhayega.


this just had to be here
darkwarrior200 thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#59
aapke ziddipane se hum acchi tarah se waqif hai

agar unhe zidd hai humein aazmane kii
toh humein bhi zidd hai unki zidd ko aazmane kii

AlZian thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#60
Ishq aata hai dabe paav dill me salika kaha hai ishe dustak dene ka...

khamosh padi apke pazeeb se mirza ne baat ki hai.. sasein bhi khanakti hai shayad dilli walo ka kehna hai shezadi ke kamare me saaz bajhte hai...

Dekhiye ye sama hai suhaana mausam bhi hai kuch rumaana... dill keh raha dill se na kijiyega koi naadani...
Top