A ; ek ladki thi anjani si,
thodi pagli thodi sayani si,
naaq pe uske ghussa tha,
krti apni manmaani thi
R; aur ladka to boht tameez daar, tehzeeb wala samjhdaar hoga
A; ladka tha mast malang,
phirta tha chaman chaman,
ladki bhuli raah,
aur pohonch gai ek jungle,
lomdi, geedar, behdiye,
sab toot pade us ladki pe,
par ladka niqla sher,
uski ek dahaad pr,
hogaye saare jaanwar dher,
phir pohnche wo ek mele me,
mele me bonon ka ek rela tha,
pura ka pura ek jhamela tha,
ladki dhar ladke ka bhes,
chali safar ko door des,
chooze miyan si shaqal se lagti,
mun se puri aag ugalti,
seena taan k phir wo chalti,
tunak tunak kr sbse ladti
r; aur ladka to bht seedha hoga, na kuch bolta hoga na kabhi jhagadta hoga
A; ladka ladki, ladka ladki,
baat baat pe kyun bhadakti
,phir ek din us ladke ko pta chala,
k wo ladki ek raakshas se bht thi darti
r; bht ziada nhi thoda sa darti thi, ziada dinge na maro
A; chalo thodi thodi thi wo darti,
us raakshas se akele kese ladti,
phir ladke ne di taleem use,
haath me phir shamsheer liye,
ladki dushman pe toot padi,
jeet liya usne dar ko,
jeet liya usne jag ko,
aur phir dono me pyaar hua,
aur dono ek hi manzil pr bhad chale,
phir pyar hua iqrar hua,
pr phirse unka taqrar hua,
ladke ko ye pta chala,
ladki na thi aam insaan,
thi wo ek shehzadi,
ek sultanate ki shaan,
r; na thi us shehzadi ko pyaar krne k azaadi,
ishq ke aade a rhe the,
us shehzadi k farz aur imaan
A; ladke ko tha apni mohobbat pe pura aitbaar,
pohonch gaya wo shehzadi ki sultanate,
liye ishq ki faryaad
r; phir ishq unka chadta gya parwana,
badta gya,
chunne laga aasman,
pr saath saath badhti gai unki mushqilen
A; shehzadi ne apne farz k chalte,
krdiya kisi aur se niqaah ka waada
R; phir niqah kr k wo shehzadi chali gai door,
bht door,
aur ladka reh gya akela, tanha,
toot gya uska dil,
toot gye uske khwab,
aur reh gai ek adhoori dastaan
A; ye to bas agaaz tha anjam to abhi baaki he,
wo ladka aur ladki apni mohobbat k khatir lad gye us shehenshah se,
tod dunya ka qaida,
niqal gye wo saath apni mohobbat ke,
door bht door,
jahan na koi pehra tha,
aur na koi ishq ka dushman,
ishq hi ishq tha,
ishq ka rog tha,
ishq ka jog tha,
jogan wo ishq ki,
ramta jogi wo hogya
R; phir un dono ne ek bade se khet me ek choti si kutiya banai
A; jiska naam rakha "ishq ki rubai"
comment:
p_commentcount