Altunia Dialogues - Page 4

Created

Last reply

Replies

75

Views

75.3k

Users

13

Likes

135

Frequent Posters

Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#31

Raaz ko Raaz rehne do yun shor na machooo to koi baat hai
Or sharab khule aam peo or zamane ko na dekhao to koi baat hai

Edited by Tooba_Hcian - 10 years ago
Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#32
A = Agayen Humara Qatal Karna App? Ap jaisa mashooq hoto humen dushmano kia zaroorat Mohtarma??
R = Khudkushi karne ka shoq to apko hai... Hum to yahan apko buchane ae hain ...
A= Aik ashiq ko uska mehbob na mile to jena be koi jena hai Muhtarma?
R = Apki ye hasrat be hum pore kare dete hain
A= Hasrat to Nikah karne ki hai.. boliye Nikah Qabool hai???
R= Fareebion se hum koi rishta nhi rakhte
A= Or Fareeb hum jaisa hassen hoto???
Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#33
R = Haseen Humari jooti se... Humara naam churaiya ? Humari pehchan churai?? Apne apko bare tees mar khan samhajte hain na ap? Kia zaroorat thi yahan pe ane ki?
A= Humara sawal humen se poch rahi hain ? Pehle Dil Churaiya abh humara sawal be chori kari hain ? Are chori kia to kia .. sare aam hum pe talwar chala rahi hain ?? Apko kia zaroorat thi yahan ane ki?
R= Sultan hum hain ap nhi...
A= Malik ne shakal di hai per aqal dene mein thori kanjosi kar gae... are ap samhajti kiun nhi hain ...Mohtarma!!! shezade yasir ki zindagi ka swal hai...shaturkan or rukno deen k pass unke zehar ka Kat hai... or hum sultan bun apne ap ko rukno deen k hawale kr unki zindagi bucha rahe the...
R= islye humen yahan se door bheja na apne ?khurafati dimag... khurafati soch...Are qurban hone ka itna hi shok hai to humare hathon qurban hojaiye...Ashiqon apka name sub se oper lia jae ga...
A= Namumkin hai Mohtarma...hum se ye huq b cheen lia apne...are kia zaroorat thi yahan per ane ki...Akar sub

Gud gobar kar diya..ab dhuaein ka gola phenkiye ( bomb) aur udd lijiye yahan se !!
R= Urh to ap rahe hain...Begani shadi mein Abdullah Dewana???
A= Chalo begani shadi hi sahi...Shadi ki baat zuban per to i ... Matlab Nikah Qabool hai...

R= Apki Qurbani Zaya jae gi...pehle aik nazar zara udhar to dekhain...Nikah k pehle hi Talaq hojae gi...
Edited by Tooba_Hcian - 10 years ago
Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#34
R= Hogai tasali?? Ban gae Ulu app? Shezade yasir ko abh kath ki zaroorat nhi... or na hi apko sultan bunne ki...
A= Abh to nikah hokar rahe ga Mohtarma!!!! shenayan bajien ge...nagme gae jaien ge...hum Barat le kar arahe hain Mohtarma...


...

R= Apke nikah ka mtlab khoob jante hain hum...mout ko gale lagna chahte hain na ap? yehi hain na apka nikah...are kiun apni jaan dene per tule hue hain app?
A= Aj mirza apki hifazat her hal mein kare ga mutarma!!! apke ishq mein is nacheez ki jan b chali jae to ghum nhi...
...

R= Aisa mut kijiye mirzaa... humari guzarish hai apse... ap chale jaie yahan se...
A= Jaien be to kahan jaein mohtarma?? apke khandan ko apki zaroorat hai...apki awam ko apki zaroorat hai...per mirza ka kiyaa? na koi age husne wala... or na koi peeche rone wala...
R= Apke peeche koi hai mirzaa... jo bht roye ga...Humain ap chahye...humein apki zaroorat hai...
A= ye keh kar to apne humare irade or buland kar diye mohtarma!!! abh to apno ki khatir jaan dene main maza hi kuch or hai...
Edited by Tooba_Hcian - 10 years ago
Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#35
Epi # 97

A = Ghori charhane ka waqat agaya hai mohtarma...Abh to keh dijiye K ye nikah apko qabool hai...

...
R = hum bht khudgurz hain na mirza??
A = khabardar shehzadi humari mohtarma ko khudgurz kehne ki jurat mut kijiye ga... Are un se pak saf or begurzi insan is pori duniya mein koi nhi hai...
R= hum apki nhi ... hum zamane ki nazar ki baat karahe hain...Mirza...
A= faqat aik nazar hi to hai jo bas apni hai... to humari mohtarma ko bhi zamane ki nazar se kiun dekhein hum...

A= mohtrama!!! kahan jari hain app?
R= hum se jo gultaian howi hain.. hum unhen theek karne ja rahe hain...
Humara intezar kijiye ga !!!!

RuBaaaaaa thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#36
Just love this dialogue...
Koi naya khitab di jiye
hume,ye besharam khala
badtameez chahajan to
rishtedar hai hamare aas
pas hi rhte hai
Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#37
Epi 98
A= ye mohtarma kahan chali gaien.? ajeeb tarhan se pesh ari hain... itni bujhi bujhi to pehle kabhi na thin...Moda sangeen lagta hai mirza...Sir phirien hain kahien jazbaat mein akar gulat faisla na le lia ho...
A= jane ko to hum jahnum tak chale jaien miyan...per ye to btaoo le kar kahan jao ge? suraral ya mayeke?

A= Ishq kia hoto jano lutf kia hai urne ka...kabhi zameen asman lage... to kabhi asman lage hai dhuan...
A= ashiq to usi din marjate hain... jis din muhabat kia karte hain... faqat ye to jism hai jo phirta hai begana sa jeene ki hasrat mein ... or ye jism ko marna ko hi hai... to yun ulta latke latke maut ka intezar to nhi kare ga mirza... nah
A = ashiq hain sultan yaldoz ... to ashiq ki maut shayirana hoto maza hai...
A= bara naik khyal hai apka... bari fikar hai apko shezadi ki nhi?? manna pare ga sultan yaldoz ... beinteha ishq hai apko shezadi se... per apki is ishq ki khatir kia ap ny humein pora aik hafta humein ulta latkane ka socha tha?

Edited by Tooba_Hcian - 10 years ago
Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#38
A= Nafrat ... bas nafrat karna humein nhi ata Khatoon...

...
A= nikah karne ja rhein hain ap? or humein btaya b nhi ?...
R= aisa nhi tha mirza... hum dhond rahe the apko...per ap kahien nazar hi nhi ae humein ...
A= nazar kaise ate mohtarma ...ulta jo latke howe they..
R= ulta latke they ? Mtlab? kiun?
A= agwah kar k le gae they apke shohar...
R= such keh rahe ho mirza... tumhein ulta latka dia tha...
A= are eman se keh rahe hain... or nechy itne bare burtan mein kholta huwa tezab...mano agar gire to hadian tak gal jaien ...
R= Ya Allah... phir?
A= Phir kya?...phir rasi dheere dheere nechy ki taraf sirakna shoro hui... or sath hi shoro howi unki ghatia shaiyrian ... abh kia baat kahein ap ke shohar ki...
R= abhi humare shohar howe nhi hain wo ...
A= han han wohi... hone wale shohar... per aik bat kahein mohtarma... bht hi ghutiyan kisam ki shayari karte hain wo...
R= to ap kia ulte latake latke unki ghutiya shayarian sun rahe they...
A= nhi nhi nhi... hum b kahan chup rehne wale they... hum ne do teen chipka dein... zabardast wali...
R= ulta latke latke ?
A= are or nhi to kia? are hum se bare ashiq to nhi hain wo...
R= han han theek hai... phir kia hua... age...
A= are age kia hona tha... maut kar dar dekha rahe the hmein... to hum ne b keh dia...are ashiq hain... maut be zara shayrana andaz mein hone chahye ...abh ulta latke latke maut ka intezar to nhi karte na hum... is lye hum ne (winks) wo rasi kat di..
R= kia??? bawale hogae hain kia? agar tezab mein gir jate to?
A= apke shohar humein girne dete tab nah?
R= hum ne kaha na wo humare shohar nhi hain...
A= han han wohi hone wale shohar... wo humein itne asani marne nhi dete ...shayad aik ashq k lye maut se badtar saza soch rakhi thi unhon ne...yahan apke hathon mein mehndi lagane k lye ..manna pare ga mohtarma... shakar se pedal zaroor nazar ate hain ... per dimag hai buddhe mein...
R= humare hone wale shohar hain wo zara tameez se naam lejiye unka..


Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#39
A= ap larkian b had karti hian ... abh gadhe ko gadha na bulaein to kia kahein mohtarma?
chalie ap hi bta dijiye kis nam se bulaien unhein...buraon??? nhii...shakal uski kajo ki kathi ki tarhan hai...or sir pe taaj pehnne k bad lagta hai jaise barfi pe kisi ne chandi ka waraq charha dia ho... acha theek hai... acha safeed rasgula theek rahe ga...nai...m to ate ki bori? mohtarma acha hai apko jaleebian passand hain warna kia hota apka?
R= sssh chup b karo mirza... koi sun le ga...
A= safeed rasgula? nai nai nai...aate ki bori thek rahe ga...phate dhodh ka paneer.? ya phir...phirneee ...han... phirnee jaisi shakal hai... us khoosat ki ...
R= chup karo mirzaa... aik to khudkushi karne jarahe the...oper se maskari b karahe ho...
A= are apki wo phirnee humein marne nhi deti... itna to hum achi tarhan se jante they...
R= waah ... bari achi tarahn se jante hain ap to unhen... itni achi tarhan se to hum b nhi pehchne aik kam kiun ni karte ... ap humare sath daheej mein ghazni kiun nhi chalte...
A= mirza to jane ko tyar hai... mohtarma...per kia ap humein apne sath la chalien ge?
Tooba_Hcian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#40
rahi baat beizzat hone ki toh..mohtarma...bandagi se wo mujhe milta nahi..aashiqi se milega mujhko khuda mera
Ek aadat si ban gayi hai tu...aur aadat mirza ki jaldi badalti nahi...
Aashiqi ho ya bandagi..Be-dilli se toh ibdeta na karo !!
Aap ka bahut-2 shukriya Fateema...agar mirza ke paas koi saltanat hoti toh aaj wo bhi aap ke naam kar dete
apne mirza ki baat maaniye aur apni aankhon ke gehre samandar mein inn motiyon ko band kar lijiye

Ye moti badey beshkeemati hain mohatrama..inhein yun zameen pe na girne dein ..toot ke bhikar jaayenge

aap ko taiyaar bhi hum hi kar dete hain...nahi toh bewajah mehendi kharaab ho jaayegi aur jalebiyon ka zaayak zabaan se jaata rahega

yaadon mein aqs bana leti hai humara..aur mirza saamne toh nazrein churati hain goya

Husn pe surma ka pehra laga diya humne...ab koi nazar daaka nahi daal saktey humaari shehzaadi par
Afsaane dhoondtey hain kirdaar apne apne , chalo chehron ke aainey mein dhoond lein chehre apne-apne !!
Thikaana Kabr hai Tera Ibadat kuch toh kar, kehtey hain khaali haath kisi ke Ghar jaaya nahi kartey

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".