Originally posted by: Sonali.
I had written this poem long back during my college days... But After reading Neha's poem "Knowing Death" I just recollected it... So posting it here... Sorry for Off topic stuff... If it is not allowed let me know... I will Delete it..
Maut ka Anubhav
Maut ka Anubhav kaisa hota hoga?
Zindagi ko alvida kehna kya itna asaan hoga?
Zindagi sirf khushiyon se bhari nahi hain!
Dukhon ke saayon se bhi zindagi ghiri hain!
Phir kyon hume jeene ka itna moh hota hoga?
Maut ka Anubhav kaisa hota hoga?
Zindagi ko alvida kehna kya itna asaan hoga?
Ved kehte hain aatma hain amar!
Phir kyon reh jaate hain hum rishton mein ulajkar
Rishton ka yeh bandhan kya maut tak saath nibhata hoga?
Maut ka Anubhav kaisa hota hoga?
Zindagi ko alvida kehna kya itna asaan hoga?
Maut ke baad kya hain koi nahi jaanta!
Par kai adbhoot baaton ko man hain manta!
Kya iss liye insaan Maut se itna Katrata hoga?
Maut ka Anubhav kaisa hota hoga?
Zindagi ko alvida kehna kya itna asaan hoga?
62