Koi Sham Ghar Bhi Raha Karo
Wo Ghazal Ki Sacchi Kitaab Hai
Usay Chupkay Chupkay Parha Karo
Mujhay Ishtehaar Si Lagti Hain
Ye Mohabbaton Ki Kahaniyaan
Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo
Jo Suna Nahi Wo Kaha Karo
Abhi Raah Main Kayi Mod Hain
Koi Ayega, Koi Jayega
Tumhay Jisnay Dil Se Bhula Diya
Usay Bhoolnay Ki Dua Karo
Koi Haath Bhi Na Milayega
Jo Galay Milogay Tapaak Se
Ye Naye Mijaaz Ka Shehr Hai
Zara Faaslon Se Mila Karo
Ye Khiza Ki Zard Si Shaal Main
Jo Udaas Ped Ke Paas Hai
Ye Tumharay Ghar Ki Bahaar Hai
Isay Ansuon Se Hara Karo...!!!