Originally posted by: Anu_02
hospital inka dusra Ghar h is ph k makers ka bada kaand karo or hospital jaao
Ghum mein Sai nd Virat hospital mein hi rehte they zyadatar second home tha unka itne kaand hotey they 😆
Lekin ek farak h jab bhi ML hospital jata tha to uska blame FL p lagta or jab FL jaati to ML ko koi kuch nahi bolta tha...
Khair maine kal bola tha ki hospital mein koi na koi to jaayega or dekho aaj precap aa gaya
Angad ka number already lag chuka tha to kisi or ka number lagna tha to sahiba ka laga diya
Waise agar accident karwake bhejte to zyada logic banta ye organ dene wala bas comdey banke reh gaya😂😂🤣🤣
Or doctor bolta h aapki medical condition theek nahi h matalb ye ki sahiba ko bhi chot aayegi simran bachao task mein
Or dekho simran ka baap ya koi or samane nahi aaya jo uski original family h usmein se kisi k sath match nahi kiya or shaiba k sath match kar gaya what a joke🤣🤣🤣😂😂warna aise hi koi bhi organ nahi de sakta jab tak match na ho or jiski medical condition theek nahi ho usko allow nahi hota organ donate karna
Sab bakwaas bina sir pair ka dikha rahey h
Ghum mein to har hospital scene mein Virat ka blood group badal jata tha 😂😂😂🤣🤣..
Virat k blood group itni baar change karke bataya ki sabka sir ghum Gaya ki duniya k sabhi blood group Virat k paas hi h chalta phirta blood bank 🤣🤣😂😂
Kabhi Virat ka blood group AB+ to kabhi O+ kabhi B+ to kabhi kuch or🤣🤣