Part 5
Dev : Kanika, clients ke saath meeting kaa kya huwa ?
Kanika didn't responded.
Dev : Are you hearing me ? Tumse pooch Raha hun kuch.
Kanika: Dev!! I am sorry clients aaj aa nahi rahe hein..Mein inform karna hi bhool gayi..
Dev : Kya ??
Kanika: I am sorry.
Dev ; Tum theek ho ?
Kanika: To be frank theek nahi hun. Yogesh ne joh kiya uske baad kaise mein apna mukh dikhati tumhein aur Vidhi ko ?.
Dev : Kanika, tumhein guilt feel hone kee koyi zarurat nahi hein..But still I can understand. Ek kaam karo tum aaj half-day leave lo..
Kanika: Par Dev !! Mujhe nahin chahiye, I mean mein...
Dev : Aaj kisi bhi work pe focus nahi thi.. Sangeeta ne jab coffee rakhi tab tumne usse piya hi nahi..Aisa pehli baar huwa hein aur upar se tumne project ke liye approval bhi nahi kee. I guess you are not able to focus. Thoda break lo, rest Karo..Aur zyada socho mat. Jaise hi tumhein theek Lage waapis aana.
Kanika: Dev !! Life mein chahe kuch bhi ho jaaye iska asar professional life pe kabhi hona chahiye..But mein bhi ek insan hun.... Tumne mujhe samjha mere liye yeh bahut badi baat hein..
Dev : Mein sirf boss nahi hoon, tumhare friend bhi hoon Kanika. I am concerned for my friend.
Kanika: Dev !!! Yogesh ko pata nahi kya ho gaya kee tumhein Aur Vidhi ko nuksan pahunchane nikal pade.... But chinta mat karo Dev, mein kal tak apna mind refresh karke aa jawungi....I don't care what he does now. Anyways mein jaa rahi hoon.
Dev : Take care Kanika.
And when the office hours got finished Dev came near Vidhi..
Dev : Chale Vidhi, classes bhi toh jaana hein.
Vidhi: Dev, woh pairon ke muscles pe cramps aayi hein. Aisa tabhi hota Hein jab mujhe mujhe..
Dev ; Batawo Naa
Vidhi: Yeh ladkiyon waali baat hein. Mein toh woh laana bhi bhool gayi. Kya karun mein?
Dev ; Mein bas das minute mein aata hun.
Vidhi : Lekin Dev
Dev : Yahan baithi raho.
After 10 minutes Dev came with a packet and said : Yeh lo Vidhi .. Vidhi's eyes were filled with tears.
Dev : Kya huwa ?
Vidhi : Woh yeh seat aur meri dress ke back side puri tarah se geele ho gaye....Mein !!
Dev cupped her face and wiped her tears.
Dev : Vidhi , iss mein rone waali baat kya hein ? Actually hamare office mein bahut saari ladies naukri karte hein ... Periods toh natural process hein . Iss office mein naa menstrual cups aur sanitary pads provide karne kee facilities nahi rakhe hein abb tak..But iss incident ne mujhe woh seekh dee. Don't worry, iss mein dress bhi hein aur sanitary pads bhi hein....Mein tumhein leke jaata hun washroom tak.
Vidhi: Aap kaise ??
Dev ; Kyun ??
Vidhi: Iss Time pe toh mein ghar mein Paapa ke saamne nahin jaati , zyada tar kamre mein bitati hun .
Dev : Dekho, meri bhi ek behan hein aur tumhari iss problem ke baare mein mujhe pata hein.... Chitra ke liye bhi mein khud sanitary pads laaya hun toh kya apni biwi ke liye nahin laa sakte?
Dev kissed her forehead and slowly held her hands and took her to washroom..
Dev : Jaake change kar lo....Mein hoon Naa.
Vidhi nodded her head and went inside.
Meanwhile Dev took the piece of cloth and started cleaning the seat and chair at which Vidhi was sitting....Vidhi was surprised to see Dev doing it.
Vidhi: Dev !! Aap yeh kya saaf kar rahe the ? Yeh galat hein.
Dev : Kya galat hein, wahan blood stains pade the toh clean Kiya.
Vidhi : Par woh mere.....Aap !!
Dev held her hand.
Vidhi : Aise time pe aap mujhe chooyiye mat..Ghar mein naa Maa alag soti hein. Aur mujhe bhi batayi gayi hein kee aise dinon mein bed pe nahi so sakte , aur Paapa aur Maa ko nahi choo sakte. Apavitra maana jaata hein.
Dev : Vidhi, mein kisi tradition yaa parampara ke against bol raha hun Aisa mat socho..Par ek baar zarur kahunga kee yeh koyi gunaah nahi hein. Aur chupane kee, darne kee zarurat nahi hein....Hum saath mein soyenge aur bed pe zarur so sakte hein , uss time physical intimacy ke level husband and wife ke beech mein naa ho Kyunki aise karne se dard aurat ko hoti hein, mard ko nahin.... Mujhe itna knowledge toh hein Vidhi. Tum bed pe mere saath sone se Apavitra nahin ho jawogi ..Aise sochna mat kabhi bhi ....Vidhi !! Phir bhi tumhein lagta hein kee tum comfortable nahi ho toh tum bed use karo aur mein sofa mein so jawunga.
Vidhi burst out in tears and hugged him tightly
Vidhi : Aap itne acche kyun hein Dev ! Mere liye kitna kuch karoge aap !!
Dev : Puri zindagi mein joh kuch bhi mein kar sakta hun naa woh sab karunga mein tumhare liye. Chalo aaj classes nahi jaayenge kyunki tumhein bahut dard ho rahe hein naa... Ghar chalte hein.
Vidhi nodded her head.
Dev and Vidhi reached home and Dev made Vidhi to lie down at the bed.
Dev : Tumhein kuch chahiye , medicines, hot water ?
Vidhi : Mujhe bas aap chahiye.
Dev and Vidhi looked intensely...
Dev slowly started applying balm at her legs . Vidhi looked Dev and smiled.
Dev : Abb kaisa hein dard ?
Vidhi: Pehle se thode Kam huye..
Dev sat beside her and waved her forehead with his hand..
Dev : Abb acche se so jawo..Vidhi.
Vidhi lie down at Dev's lap.
Vidhi: Iss se zyada best pillow mujhe kabhi nahi milegi.
Dev waved her forehead and slowly she fell to deep sleep and Dev adjusted pillows for her and lie beside her..
After one week
Satyawati: Dev Baalghar ke matron kaa phone aaya tha.. Kabse funds nahi mil rahe hein. Bacchon kee fees bharni hein.
Dev : Mein toh itna busy ho gaya kee wahan jaane kaa time mil nahi Raha....Aaj bahut kaam hein.
Chitra : Mein jawun Bhai ??
Satyawati: Chitra tum
Chitra : Mein bhi toh M.Com padi hun aur kab se aise khaali baithi hun.....Agar trust ke funding aur expenditure dekhne ke kaam mujhe milenge toh mein bahut khush ho jawungi..Vikram bhi toh abroad pe hein..Amy Mausi bhi office jaati hein...Ghar mein kab tak akeli baithungi bhai ?
Dev : Chitra agar tum woh sab handle karogi toh mere thode tension Kam ho jaayenge.
Satyawati: Iss Ghar mein waisi bhi paramparayein todi jaa rahi hein..Priya aur Vidhi naukri kar rahe hein, Vidhi ke pass uske pati ke liye waqt nahi hein
Phir bhi maine dakkal nahin dee..Par Chitra ko koyi haq nahi hein Raichand trust aur uss se jude Baalghar kee responsibilities dekhne kee..Yeh ghar se parayi ho chuki hein aur joh bhi Dena thaa woh sab shaadi mein hum ne isse di..
Chitra : Maa, aap yeh kya keh rahi hein ? Mein bas Bhai ke thode help karna chahti hoon..
Satyawati: Tum pehle apne ghar ko sambhalo Chitra....Dev iss kaam ke liye kisi ko bhi bhejega.
Chitra: Aap aur aapki soch !! Aap abhi tak badli nahi Maa. Mujhe yahan aana hi nahi chahiye thi
To be continued πππππ
Next one will be long chapter as my health is not well not able to give a long chapter. Please read and drop your views..