Kasauli mai jab Akshara ne mooh tod jawab diya tha Abhimanyu ko tab he abhir ka sach batana chahiye tha aise bhi woh law ka padhai isi din ke liye toh kar rahi hai because woh khud bhi bahot acche se janti hai ki she can’t hide abhir’s paternity truth for entire life.
Agar kasauli mai Akshara ne Abhimanyu ko abhir uska beta hai yeh baat bata diya hota toh kya Abhimanyu ruhi ke liye shaddi karta?!
Abhimanyu ne bhai ki beti ko pita jaise pyar diya bahot accha kiya lekin uska apna Ansh bhi iss dunia mai aa chuka hai yeh jaana bhi uska haqq tha.
Sach bahar aane ka raasta bana he lega lekin tab sab kuch zyada messy ho jayega.
Neil ka death ek taraf aur baa-bete ka sach dusri taraf Akshara ko rakhna chahiye tha.
Kal ko jab abhir uska apna beta hai yeh baat Abhimanyu ko pata chalega tab ofcourse uska bhi mann karega apne bete ke sath life spend karne ka and woh back off karna chahega shaddi se lekin tab public Abhimanyu ko he gaaliya degi ki dekho kaise ruhi ke feelings ke sath khela Abhimanyu ne! Sab iss baat ko ignore karege ki Akshara ne abhir ka sach nahi bataya tha tab Abhimanyu ne yeh faisla liya tha. And ofcourse jab apna baccha iss dunia mai ho tab kaunse parent nahi chahege apne bete ke sath zindgi bitana?
Apna baccha kisko pyara nahi hota !
Ex-husband chahe kaisa bhi kamina ho, ex-wife ke sath uska ek baccha hai itna jaana toh uske liye bhi banta hai.
Akshara ke 6 saal pehle kiye hue 4-5 calls ka koi vazan nahi hai jab iss baat ko big picture mai dekhe.
Khud law ka padhai kar rahi hai issi darr se ki kabhi na kabhi sach bahar ayega toh behen yeh bhi soch lo na ki jab tumhare bete ko court choice dega , dono parents court mai fight karoge tab child psychology par kya asar hoga! Tumko kya yeh lagta hai ki iss baat ko bacche ka asli baap bahot lightly le kar or uska koi baccha bhi hai dunia mai iss ko mazak mai le kar chod dega!!!
0