Originally posted by: sanabmw
Part 1 51
Part 2 52
Part 3 55
Part 4 63
Part 5 69
Part 6 72
Part 7 75
Part 8 77
Part 9 78
Part 10 79
Par 11 80
Part 12
Azlan pov
Azlan:Azka ki aakho me jo mujhe abhi nazar aaya kya wo sach tha ya mera wahem..? Kya me azka ke dil me apni jagah bana paya hu..ya aaj bhi me wahi hu jaha aaj se 5 saal pehle tha..ye 5 saal ki duriya me 5 dino me nahi teh kar sakta.me janta hu aur waise bhi jaisa mera behaviour tha past main ,me azka se ye expect kar hi nahi sakta ke wo mujhe…
Tabhi Kanwal aur Khalid Azka se milne aate hai.wo enter hote hai aur unko Azlan drawing room me nazar aata hai.azlan unhe dekhkar unke paas jata hai.
Azlan: Asalam alaikum Aap log aaye na.
Khalid: Walekum assalam
Kanwal bahot ajeeb sa mehsoos karti hai as usual azlan ki ye new side use still digest nahi ho rahi.
Azlan:bhabhi aaye na bethe.
Kanwal:wo Azka kaisi hai ab?
Azlan:jee Allah ka bahot sukar hai.
Kanwal:wo kamre me hai.
Azlan:aap bethe me use lekar aata hu.
Kanwal:AAP..nahi nahi .me aati hu.
Azlan door pehle knock karta hai.
Azka:aa jaye.
Azlan:aap jaye me bahar hi hu Khalid Bhai ke paas.
Kanwal again shocked hoti hai.wo room me jati hai.
Azka: ASALAM ALAIKUM bhabhi.
Kanwal: walekum assalam mashaallah aaj to bahot fresh nazar aa rahi hai.
Azka:accha bas abhi change kiya.bacche nahi aaye?
Kanwal:nahi bas me aur Khalid hai.
Azka:wo waha bahar akele bethe hai.aap chale mujhe lekar unke paas.
Kanwal:nahi wo azlan saab hai unke paas.
Azka ye sunkar khush hoti hai.
Azka:accha
Kanwal:ha wo khud mujhe bole ke me tumhre paas aa jau wo Khalid ke paas bethte hai.
Azka:chale acchi baat hai.
After sometime Azlan room me azka ko bahar lene ke liye aata hai.use Kanwal ki awaaz aati hai to wo wahi ruk jata hai.
Kanwal:Khalid bahot pareshan the Tera sunkar.wo Amma ka bhi itna hi khyaal rakhte hai.
Azka:aap bahot lucky hai bhabhi.me jab bhi aap dono ko ek saath dekhti hu dil khush ho jata hai.itna pyaar karne wala shohar naseeb walo ko milta hai.
Azlan ye sab sun raha hai.use azka ki baat me uska dard mehsoos hota hai
Kanwal:azka tu yahi hai kal se.
Azka:jee kal se yahi hu.
Kanwal:Aur azlan saab
Azka:aaahh bhabhi wo ..wo bhi.
Kanwal: kyaa tere saath ek hi kamre me?
Azka:jee
Kanwal:sote kaha hai?
Azka:bhabhi ye kaisa sawaal hai ?
Kanwal:Azka mera wo matlab nahi tha.par Azka unke liye ye koi badi baat nahi hogi par tere liye hai.
Azka:kya matlab hai is baat se?
Kanwal:azka wo to tujhe talaq dekar apni purani zindagi me wapas chale jayege Mard hai .par Tera kya..Teri zindagi bhi to hai..kal ko teri shadi honi hai.agar tere hone wale shohar ko tujh par ya tere qirdaar ko lekar Shaq hua to.
Azlan ko ye sunkar bahot bura lagta hai.wo Azka ke jawaab ka wait kar Raha hai.
Azka:bhabhi mujhe pata hai aap kya kehna chahti hai par sach to yahi hai na ke mere talaq ke baad sabki soch to yahi hogi jo aap bol rahi hai.kaun yaqeen karega ke mere aur Azlan saab ke beach koi rishta nahi tha.
Kanwal:tune kyu kiya azka ye?.kyu apni puri zindagi barbaad kar dee.wo bhi us shakhs ke liye jo ke samjh hi nahi saka ke tune kitni badi qurbani dee he.
Azka:ehsaan the bhabhi utaarne to the na.
Azlan ye sunkar bahot bura mehsoos karta hai.
Azka:chode ye sab.koi aur baat kare.
Kanwal:meri duaa hai azka tujhe ek bahot pyaar karne wala shohar mile..dekhna tujhe milega.
Azka:mujhe meri kismat par yaqeen nahi raha bhabhi.mene ab sab Allah par chod diya hai.
Azlan ko ye sab sunkar accha nahi lagta.use Azka ke dard ka ehsaas hota hai.wo dard jiski wajah wo khud hai.
Kanwal:sab accha hoga dekhna Allah ne tere naseeb me bahot si khushiya likhi hai bas wo tere darwaaze par khadi hai.
Tabhi Azlan darwaaze par knock karta hai.Azka aur kanwal dono use dekhte hai.Azka ekdum se apna face neache kar leti hai she don't want ke azlan use aise kamzor dekhe.
Azlan:Wo Khalid Bhai ne aapse milna tha.
Kanwal:jee me azka ko lekar aati hu
Azlan waha se chala jata hai but uske dil se azka aur kanwal ki baate nahi jaa rahi.Azka Kanwal ke saath bahar aati hai
Azka: Asalam alaikum Khalid Bhai
Khalid: walekum assalam Azka beta kaisi ho?
Azka:bahot behtar.
Khalid: mashaallah bas jaldi jaldi thik ho jao.
Azka:jee ek do din ki baat hai bas.
Khalid:Azlan bahot pareshan hai aapke liye.mene dekha hai iski aakho me.
Azka Azlan ki taraf dekhti hai than Khalid ki taraf aur smile karti hai
Azlan:kaise nahi pareshan hu after all meri zindagi me Mom aur azka ke alawa hai kaun? Aur waise bhi as a husband ye meri duty hai ke me azka ka har tarah se khayaal rakhu.Azka is se bhi jayada deserve karti hai.
Azka ye sab sunkar nervous feel karti hai wo Kanwal ko dekhne lag jati hai.kanwal bhi ye sunkar heran hoti hai.
Khalid:bahot Khushi hui aapse milkar.me sach kahu nikaah ke time dil me darr aaya tha aapse milkar.par ab saare darr dur ho gaye. azka Allah tumhe aur Azlan dono ko bahot khushiya de.
Azlan azka ki taraf dekhta hai aur muskura kar kehta hai.
Azlan:Ameen
Kanwal:chale hum ab chalte hai
Azlan:are aise kaise raat ka khana khaa kar jayiye ga
Kanwal:nahi itna sab to liya humne.bas ab ijazat de
Khalid:Azka kisi din Azlan ko lekar aana humari taraf.
Azka:jee ..
Azlan: inshallah hum bahot jald aayege.
Kanwal aur khalid dono chale jate hai.Azka waha bethi hui Azlan ko hi dekhti rahti hai.
Azlan:aapki bhabhi mashaallah se bahot khush hai apni nayi zindagi me.
Azka:jee Allah ka bahot shukar hai.khalid bhai bahot acche hai.Bhabhi pehle dusri shadi ke liye mana kar rahi thi par Amma ne bilkul sahi faisla liya tha bhabhi ke liye.
Azlan:ha zindagi ke kuch faisle hume pehle galat lagte hai par kuch waqt ke baad hume ehsaas hota hai ke wo humare liye kitne sahi hai.
Azka kuch nahi bolti wo kuch sochne lag jati hai
Azlan:Azka aap bore to nahi ho rahi.
Azka:nahi kyu?
Azlan:kyu ke me bore ho Raha hu aap baat hi nahi kar rahi
Azka:sorry me bas kuch nahi aise hi kuch soch rahi thi.
Azlan:kya ?
Azka:kuch nahi.
Azlan kuch nahi bolta wo janta hai ke azka nahi batayegi.
Azlan:chale aaj lunch bahar karte hai.
Azka:hum....
Azlan:ha kyu ?
Azka:nahi mera matlab tha aapki mom aa jaye phir unko bhi saath.
Azlan:unko bahar ka khana abhi allowed nahi hai doctor AZKA AZLAN AHAMAD.
Azlan se ye sunkar Azka use dekhne lag jati hai.but azlan bilkul bhi hesitate nahi hai ye bolkar.
Azlan:ab chale??
Azka node
Azlan:come
Azlan use apna haath deta hai aur phir Azka ko waist se pakad ke chalne lagta hai Azka thoda sa uncomfortable ho rahi hai b/c aaj se pehle kisi ne use aise nahi pakada tha azlan notice this aur wo usse baate karne lag jata hai.
Azlan:aapki favourite ice cream kaunsi hai?
Azka: favourite aise koi bhi nahi hai par ha mujhe PISTA flavour nahi pasand.
Azlan:kyu ?
Azka:bas nahi pasand.
Azlan:accha accha me samjh gaya bas nahi pasand.
Azlan muskurata hai aur azka bhi
Azka:aapne mom ko bata diya ke hum ghar nahi he.
Azlan:nahi kyu?
Azka: nahi wo aise hi mujhe aadat hai suru se kabhi bhi bahar jati thi to Amma ko batakar jana
Azlan:don't worry guard hai na wo bata dega..aur waise bhi aap mere saath hai so wo kyu pareshan hogi.
Next scene
Azlan Azka dono lunch kar rahe hai.Azlan baar baar azka ki taraf dekh raha hai but azka ka face neache hai.
Azlan:Azka can I ask u something?
Azka:jee puche.
Azlan:me aise aapko achanak yaha le aaya aapko bura to nahi laga?
Azka:aap ye sawaal kyu kar rahe hai?
Azlan:i mean to say kahi aisa..i mean.mera aise aapko lunch par Lana pasand na aaya ho
Azka:Azlan saab mere aur aapke beach aajtak jitni bhi mulaqate hui hai us me ,me kai baar aappar gussa Hui hu..naraaz Hui hu ..sharminda Hui hu par uncomfortable kabhi nahi hui.
Azlan:isse ye pata chal raha hai ke aap siwaay khushi ke sabkuch hui hai.
Azlan sad si smile deta hai
Azka:aapko pata hai me jab kabhi aapki personality ko lekar sochti hu to aap mujhe har baar alag nazar aate hai
Azlan:kya matlab me samjha nahi?
Azka:wo ye ke aap ka kuch pata nahi chalta aap kabhi bina baat ke gussa kar jate the to agale hi pal zarurat se jayada caring.
Azlan:dimaag jo kharaab tha
Azka hasti hai.
Azlan:to aapko lagta hai me unpredictable hu?
Azka:me ye kaise bata sakti me aapko janti hi kitna hu.
Azlan ek sec ke liye rukta hai and than azka ki taraf bend hota hai aur uski aakho me dekhkar bolta hai
Azlan:To aap mujhe jaane na kisne roka hai?
Azka ye sunkar use dekhne lag jati hai.aur azlan hasne lag jata hai
Azlan:kya hua?
Azka:kuch nahi aap aise khush Raha kare acche lagte hai.
Azlan:kisko aapko?
Azka:Mariam …..
Azlan confused ho jata hai
Azlan:kaun Mariam?
Azka:wo aunty jo ghar aayi thi mera rishta lekar
Azlan:WO HARRIS Ki mom
Azka:AAHISTAA..….peeche na dekhiyega wo yahi dekh rahi hai.
azlan:me kyu dekhuga usko?
Azka:par wo aapko hi dekh rahi hai seriously
Azka hasti hai ye bolkar aur azlan usko ghoorne lagta hai.
Mariam:Hey azka kaisi ho aap?
Azka: Asalam alaikum me thik aap kaisi hai?
Mariam:sab thik hai aap log bhi lunch karne aye hai.
Azka:jee
Mariam:well us din jo kuch bhi hua i m really really sorry par sach me hume nahi pata tha.
Azlan:it's ok misunderstanding thi aap logo ki clear kar dee mene
Mariam:aap ko tab bahot gussa aa gaya tha.
Azlan: ofcourse meri biwi ke liye koi rishta lekar aayega to me uska ISTAQBAAL to nahi karuga.
Azka Azlan ko dekhne lag jati hai,aur Mariam ko bhi.
Mariam:ok than have a nice day Allah hafiz.
Azka: Allah hafiz.
Mariam waha se chali jati hai.
Azka:waise aap rude hue bina bhi bat kar sakte the.
Azlan:R U serious ?
Azka:wo aapse kitne pyaar se baat kar rahi thi.
Azlan:Aur aapko usse koi problem nahi hui.
Azka:mujhe kyu problem hogi?
Azlan kuch der ke liye azka ko dekhta rahta hai.Azka pehle kuch nahi bolti but phir Azlan ka aise dekhte rahne se wo apni aakhe jhuka leti hai.Azlan still use dekh raha hai aur phir wo Mariam ko awaaz deta hai.
Azlan:Mariam
Azka Apna face upar kar ke azlan ki taraf dekhti hai.Azlan Azka ko dekhte hue apni chair se uthta hai aur Mariam ke paas jata hai.azka wahi bethi hui hai.Azlan Mariam se baate kar raha hai aur uska dyan azka par hi hai.Azka ko distance hone ki wajah se pata nahi chal raha ke wo kya baat kar rahe.
Azlan:aapki job ka kya bana?.
Mariam:wo bas Interviews diye hai ek do jagah but kuch samjh nahi aa raha.
Azlan:good all the best.
Azlan smile karta hai and Mariam bhi
Azlan:koi bhi kaam ho aap batana
Mariam: Awww thank you so much Azlan.
Azka dekh rahi hai ke Azlan smile karte hue baat kar raha hai.wo unki side nahi dekhna chahti but phir bhi kuch kuch der baad wo wahi dekh rahi hai.azlan notice this and he smirk
Azlan:ok take care
Wo waha se wapas aa jata hai aur Aise behave karta hai jaise wo bahot khush hai
Azka:kya hua?
Azlan:nothing u r right Mariam bahot sweet hai.me aise hi rude baat kar raha tha.
Azka kuch nahi bolti aur chupchaap khana khane lag jati hai.Azlan azka ko aise dekhkar enjoy karta hai.
After lunch both are in car Azka notice karti hai ke Azlan ghar ki taraf nahi jaa raha
Azka:hum ghar jaa rahe hai?
Azlan:nahi
Azka:kyu?
Azlan:bore ho gayi hai mere saath
Azka:aisi baat nahi hai.
Azka window ki taraf dekhne lag jati hai.azlan samjh jata hai ke wo baat nahi karna chahti.after a minute
Azka:aap Mariam se kya baat kar rahe the?
Azlan(with smile):as kuch khaas nahi kyu?
Azka:nahi aise hi bas.
Azlan:aapko mera usse baat karna accha nahi laga?
Azka:nahi to aisa nahi hai.mujhe kyu bura lagega aap jisse marzi baat kare.
Azlan:ha wahi to aapko kyu problem hogi
Azka:matlab?
Azlan:matlab phir kabhi!!! abhi mene ice cream khani hai
Azlan stop the car
Azlan:chale aaye.
Azka:mujhe bhi aana hai?
Azlan:haa to kya me akela ice cream khata hua accha laguga.
Azka:nahi mera matlab tha ke aap jo marzi le aaye.
Azlan:aur meri pasand aapko acchi nahi lagi to
Azka:koi baat nahi me adjust kar lugi
Azlan:jaise abhi kar rahi hai.
Dono ek dusre ko dekhte hai.Azlan kuch nahi bolta aur chala jata hai
After sometime
Azlan:here u go me Chocolate Chip for u and brownie with coffee and vannila for me.
Azlan azka ko dono icecream deta hai aur drive karne lag jata hai.
Azka:aap kahi gaadi rok de na, drive karte hue ice cream kaise khayege?
Azlan:kyu aap hai na aap khila de apne haatho se
Azka ye sunkar azlan ko dekhne lag jati hai with wide eyes Azlan hasne lag jata hai
Azlan:relax me mazaq kar raha tha.bas kuch der meri ice cream pakad to sakti hai na.
Azka kuch nahi bolti aur azlan drive karne lag jata hai.after sometime azlan gaadi rokta hai aur azka ko waha lekar aata hai jaha usne Shanaya ko shaadi ka bola tha
Azka:ye kaunsi jagah hai?
Azlan:hum hamesha yaha aaya karte the
Azka:Hum???
Azlan:Shanaya aur me.
Azka kuch nahi bolti wo dekhti hai ke azlan kuch soch raha hai.wo samjh nahi paati wo kya soch raha hai.sayad wo udas hai ya phir kuch aur baat hai.wo janna chahti hai ke azlan kya soch raha hai
Azlan:aapko koi problem to nahi hogi na .i mean bas thodi si walk hai
Azka:aap hai na saath phir kaisi problem
Azlan ye sunkar azka ki aakho me dekhne lag jata hai.he feel happy.azlan azka ke saath us jagah aata hai aur azka ko bithata hai.dono ice cream khaa rahe hai.
Azlan:ice cream kaisi lagi..?
Azka:bahot acchi.aapko ye pasand hai?
Azlan:nahi
Azka:par aapne to kaha tha ke aapko jo pasand hai wo khilayege.
Azlan:ha kaha tha but mujhe laga aapko pasand na aayi to.i don't want ke aap mere saath adjust kare.
Azka Azlan ki taraf dekhti hai.
Azka:aur aisa kyu laga aapko?
Azlan:pata nahi may be aapko meri choice na pasand aati. mujhe laga aap mere saath comfortable nahi hai
Azka:aisa aapko isliye laga kyu ke me ice cream parlor nahi aayi ?
Azlan kuch nahi bolta azka use dekhkar smile karti hai.
Azka:agar me aapke saath comfortable nahi hoti to yaha bhi nahi aati.jab ke yaha dur dur tak hum dono ke alawa koi nahi hai.mujhe bas jayada logo me Jane ki aadat nahi hai mujhe nahi pasand sab mujhe dekhe aur...
Azka ruk jati hai.
Azlan:aur ???
Azka:aap mujhe aise haath pakad kar le jate to log aur jayada dekhne lag jate.
Azlan hasne lag jata hai.
Azlan: seriously Azka...aap is wajah se nahi aayi.aap mujhe bol sakti thi.
Azka:mujhe Darr laga pata nahi aap kya sochte
Azlan:aapke darr ki wajah se aapne itni acchi ice cream khane ka chance Gawaa diya.
Azlan phir se hasne lag jata hai azka use kuch der dekhti rahti hai.aur phir wo uske haath se uski ice cream le leti hai.
Azka:jee nahi me abhi bhi khaa sakti hu.ye dekhe
Azka azlan ki ice cream taste karti hai.azlan ne socha nahi tha ke azka aise uski ice cream taste karegi.he was surprised plus happy.
Azka:hhmmmmm ye to bahot tasty hai.chale aap ye saari mujhe de de.
Azlan:Azka
Azka:kya…ap ye meri wali lele.
Azlan happily take it her ice cream aur wo khane lagta hai.wo soch raha hai ke usne kuch to azka ke dil me jagah banayi hai.
End of part 12
Do comments