Pehle toh maine BDMS ko bdsm padha
Mera dimag Wahi ghum gaya
🏏IPL 2026: CSK vs DC, 18th Match, MACS, Chennai🏏
🏏IPL 2026: MI vs RCB, 20th Match, Wankhede Stadium, Mumbai🏏
🏏IPL 2026: PBKS vs SRH, 17th Match, New Chandigarh🏏
🏏IPL 2026: LSG vs GT, 19th Match, Ekana Cricket Stadium, Lucknow🏏
Asha Bhosle Passes Away
Ranveer Singh At RSS Headquarters Nagpur
Favourite Songs of Asha Bhosle 💖💙🩷💛💜❤️💖
No China Mentioned In New Maatrubhumi Version
Deepika Owes Ranveer Love Not PR
NASHIK MNC Jihad
Which is your most awaited Summer Bollywood release?
Saif Ali Khan and Kareena Kapoor spotted
Pehle toh maine BDMS ko bdsm padha
Mera dimag Wahi ghum gaya
Long distance me the kya dono
yaar...🤣🤣🤣🤣🤣
tharki dimag ho gaya hai...🤣
haa...ladka apni clg mai tha yaha Rajasthan mai aur ladki gujrat mai thi..Long distance me the kya dono
Yrr koi padhega uske dimag me yahi ayega
haa...ladka apni clg mai tha yaha Rajasthan mai aur ladki gujrat mai thi..
Hmmm
Wait karte hai expert logo ke opinion ka
Mai kuch Confessions karna chahati hu😃
vaise ye baat sach hai...yaha to koi pehle padhega uske dimag mai sabse pehle yahi aayega..🤣🤣
Accha aaj ek badi ajeeb si yaa fir yuu kahu filmy si situation mere saamne aayi hai..... Please aap sab batana ki iske andar kya karna chahiye ab..
Actually mera ek friend hai..uski bahut jaldi engagement hone wali thi.ladki BDMS kar rahi hai..aur hostel mai rehti hai....ladki bahut acchi thi
Matlab she claim that she love him.. Dedh saal se unka relationship hai... Arrange marriage thi vaise.. Par dono acche se ek dusre ko jaante samjhte the..bahut acchi banti thi dono ki...ghumne jaana.. Call pe baatein sab hota tha..aur kafi close the matlab..
Par valentine week mai vo ladki mere friend ko cheat karte paayi gayi...🤪
Pakdi kaise gayi ye bahut interesting baat hai par yaha bahut lambi ho jaayegi vo baat..🤣😛
Aur interesting baat to ye hai ki usne affair sirf 4 din kiya... Aur 4 dino mai hii pakdi gayi...🤣🤣🤣
Pehle to usne victim card khelne ki bhi koshish ki dar ke maare...Par mere friend ne uska hii sach sabko bata diya...
Ab jab sabko pata chal gaya ki ladki ladke ko cheat kar rahi hai..ladki ke ghar walon ko bhi..
To unhone sabse maafi maangi ladki ko ghar le gaye vo..khub maara bhi..
Par ab ladki kehti hai ki usse galti ho gayi... Vo behak gayi thi...pata nahi usne vo sab kyu kiya..vo sab kiye ki maafi maang rahi hai aur keh rahi hai ki usse maaf kar diya jaaye aur ek aur chance diya jaaye..
Par ladke ke ghar walon ko lagta hai ki kya pata ye jhooth bol rahi ho usne pehle bhi ye kiya ho.. Aur agar nahi bhi kiya ho to kya gurantee hai ki aage ye aisa nahi karegi..
Vaise ladki vaisi hai nahi... Usne pehle kabhi ye kiya nahi hai...matalab sources se pata lagaya to yahi baat samne aayi ki ladki sach keh rahi hai.. Usne bas ek hii baar ye kiya hai..
Vaise sabse interesting ye hai ki ladka ladki ko maaf karne ke liye taiyaar hai.. Vo kehta hai ki galti ho jaati hai maaf kar dena chahiye... But ab confused bhi hai ki ek baar trust tut chuka hai.. Dubara karna mushkil hai..🙄
To aap logo ko kya lagta hai ladke ko kya karna chahiye usko ladki ko maaf karke rishta fix kar lena chahiye ya fir iss rishte ko khatam kar dena chahiye..
Galtiyaan to ho sakti hai na kisi se bhi to maaf kar dena chahiye ki kya pata aage jaake bhi ye aisa kare aisa soch ke ye rishta tod dena chahiye..
Ladki ke gharwalon ki bahut buri haalat hai.. Vo to itne sharminda hai..
To aap logo ko kya lagta hai kya karna chahiye..😝
Sorry ye bahut lamba ho gaya par mujhe seriously janna hai kya kahenge aap iss par..😊
Mujhe tag nai kiya😭
Pallavi didi
Mere ghar ke pas Police Chowki hai
Mai apke against FIR likhwane ja rahi hu for mentally harassing me.😊