mujhe kuch pata nahi ye sab kya hai :P
or dukh ki baat bhe hai shayed ke ye feelings mujhe os naagin keyliye ati hain jis ki waja se meri ankhon se ansu nikalte hain..
dard itna hota hai ke main smoking start kar deta hoon, or abhe bhe kar raha hoon.
ye naagin reason hai jis ki waja se meri eyes 12 hours tak to red rehti hain dukh se..
ye naagin reason hai jis ki waja se mujhe nend nahi ati..
ye naagin he reason hai jis ki waja se mujhe 2 baar heart attack a chuka hai, wese to 3 baar aya, lekin 2 baar to paka on ke dard dene ke baad aya..
main na samjh nahi pa raha ke main lucky hoon ya unlucky hoon..
lucky is liye keh raha hoon ke on ki waja se meri kismat ko jo 32 chand lage they. looool sorry yahan bhe 32 likh diya,
to jin ki waja se meri kismat achi ban gayi thi wo sab abhe bhe 1 tarhan se mere paas he hai..
or unlucky itna ke jo meri life me eyse hai jese shayed main khud keyliye bhe nahi wohi reason hai mere har pain ka or main on ko 10 minutes tak bhula bhe nahi saka aj ki date tak,!!
main kya kahon khud ko? lucky? ya unlucky...
kya kahon ke mujhe pyaar karna nahi aya tha ya on ko is pyaar ko samjhna nahi aya tha??
kya sochon ke kya main on ke sath ki waja se hum dono ko ek sath nahi la sakta tha ya on ki chotti soch ki waja se ye maan loon ke eysa ho nahi sakta tha?
kya sochon main ke jis ko main ne khud se zeyada pyaar kiya os ne badle ne mera sath tak nahi diya? chalo sath to door ki baat thi summer 2016 tak bhe on se wait nahi ho saka tha,!
kya kahon main dosron se ke kya mere pyaar me eysi koi baat nahi thi ke wo kisi or ka na sochti.. kya kahon ke itna weak tha mera pyaar ke wo naya ashiq le ayi? or reason bhe nahi diya ke kiyon,! on ko shayed khud nahi maloom ke eysa kiyon kiya onhon ne :P
12