wo rakh le kahin apne paas hamain qaid kar ke.💔
kaash hum se koi eysa gunaah ho jaye..
🏏IPL 2026: RCB vs LSG, 23rd Match,Bengalaru 15 Apr 7:30pm IST🏏
🏏IPL 2026: MI vs Punjab, 24th Match, Mumbai, 16th April 7:30pm IST🏏
MEHER's DEATH 15.4
MAIRAs STATEMENT 16.4
Namit Malhotra's nepo connection with Ranbir got him the role of Ram?
Beautiful song; track of the year is here
wo rakh le kahin apne paas hamain qaid kar ke.💔
kaash hum se koi eysa gunaah ho jaye..
mujh main lagta hai ke mujh se zeyada hai woh,
khud se barh kar mujhe rehti hai zaroorat os ki..

har cheez ki ijzat thi in ko.. jo man karta tha ye kartin thin.. in ko maloom tha ache se ansar kabhe mana nahi karega.
main gusse se to baat karta tha but gussa eysa hota tha ke bus thora serious ho ke baat karta tha wo bhe daily nahi, or ager meri baat se ye hurt ho jatin thin to main kuch pal keyliye normal ho jata tha ye soch kar ke in ko dil me dard na ho... main 1 dam pehle jesa ho jata tha.. feel he nahi hone deta tha kuch on ko...
or jab ye beemar hoti thin to main bhool jata tha mujhe in se door rehna hai. main in ki care karta tha. dua karta tha. jab tak ye so nahi jati thin main jata he nahi tha. siraf is liye kiyon ke mujhe in ki health ki fikar thi.. main chahta tha ye meri life se nikal jayein kiyon ke tab meri zid thi ke ye bus khel rahi hai to nikal jaye. lekin main in ko rone nahi deta tha..
tab he to ye haq tha in ko or ye jo man hota tha karti thin.. in ko pata tha mere paas tab raat ke 5 AM ka time hai. phir bhe ye eyse calls kar ke mujhe utha rahi thin. siraf is liye ke main in ki baat maan jaon or in se baat karon pehle ki tarhan,

main eysa kar sakta tha,? kabhe bhe nahi. meri to himat nahi hoi kabhe ke 1 mesg kar ke dekh loon. call to door ki baat hai, dar lagta hai ye hurt karegi, rulayegi. dar jata he nahi dil se ,
main eysa kabhe bhe nahi kar sakta tha,.. raat 3 AM kya main 3 PM pe eysa nahi kar sakta.. main ne eysi zid kya karni meri to req ko bhe wo kuch nahi samjhti.. jab bhe os se main ne ro ro kar kaha ke plz na block karna os ne suna tak nahi meri baat ko.. mere dil pe kya guzarti rahi os ne kabhe soha he nahi.
or dosri taraf main tha jo kabhe kuch kaha he nahi tha is cheez me, in ko ijzat thi jo man kare ye keh sakti thin...or mujh se ye kese baat karti hai kasam se wo sab mujh se read kiya he nahi jata again itna dard hota hai.
main ne in ko life me 1 baar block kiya tha wo bhe 12 hours keyliye just.. mujhe block karne ke baad feel hova ke on ko dukh hoga to nahi karna chhaiye eysa to main ne wapis unblock kar diya tha.
jitna bhe naraz hota tha in se ye kuch bhe keh detin thin wo main sunta bhe tha

ye 6 months eyse he karti rahi thin. meri zid kya puri honi thi ye hain he itni zidi ke jo dil karta tha in ka wesa ye kar leti thin, or mere jese looser in ki zid ke samne kuch bhe nahi, dosre jayein bhar me on ka koi kheyal nahi tha in ko,
ye 6 months eysa karti rahin or main 6 mints bhe nahi kar sakta eysa..
ijzat thi in ko jo man karta tha ye bol saktin thin. kabhe roka nahi tha, or 1 main hoon jis ki inhon ne kabhe baat ko dil se na samjha na suna. onhon ne socha hoga ye bewakoof sa hai mere natak se ullu ban he jayega to wo try karti rahin or main bana bhe ullu..
bohot yaad ata hai wo 6 months ka time. or sochta hoon ager main ne in ki zidd ko ignore kiya hota to aj meri life kitni achi hoti right? or 1 naagin thi jo ye kehti rahi ke main pehle jesi nahi 1 chance de kar to dekho, aj ke baad tum kabhe sad ho kar nahi sowo ge. onhon ne sahi kaha tha. main ne sad ho kar kya sona hai nend ati he nahi...
onhon ne dara he itna diya hai ke main eysi koshish nahi kar saka kabhe. kabhe man kare mesg karne ka to himat nahi hoti,
ye wohi din hai jab inhon ne 1 voice mesg kiya tha jo mera fav ban geya.. main ne wo jitna suna hai in 5 years me trust me itna to koi song bhe nahi suna baar baar.
os voice mesg me sab kuch mila....
wo thori beemar thin or mujhe btaya nahi tha to on ki voice se pata chala tha mujhe to main ne on ko kuch nahi kaha tha. soft ho geya tha 1 dam se,
on ki vocie me 1 ajeeb sa pain hai. jese kisi ko khone ka dar ho wesa,
beemar thin to voice thori change thi or bohot achi lag rahi thi,
1 dam se cute batain kar rahi thi. or is tarhan se ke jese eysa bola tha onhon ne ( ap meri baat sun rahe ho na? ap chale gaye? ap phir se online aao ge na? )
ye sab bolne ka style alag tha, jis tarhan se bola wo main samjha nahi sakta.
or end me wo almost rone he lagi thin. on ki voice se laga eysa,
to main ne baat ki thi phir. socha in ko eyse sad nahi jane dena inhon ne mehnat ki to baat karni chahiye ab mujhe,
main ne bohot baar read kiya hai wo jo 6 months they wo on keyliye itne bhe bure nahi they, main 50% to ache se baat karta tha on se, or baki ka 30% zid karta tha ke nahi main ne koi chance nahi dena nikal jao meri life se, or 20% gussa karta tha ke bus bohot ho geya, or 20% gussa jo tha wo bhe 5% he gussa tha baki ka 15% to serious ho kar baat karta tha..
or khas on ki BD pe to kafi acha laga tha. sara din tang kiya or phir jab ye dekha ke on ko yakeen hai ke ab ansar wish nahi karega to surprise de diya.
jo bhe tha meri zindagi ke khubsurat pal they wo.. eysa lagta hai jese main ne apni zindagi ko jiya he tab tha jab naagin mere sath thin.. itni yadain hain jo kabhe khatam nahi hone wali.. on ko to kuch yaad nahi or main in yadon ko akhri sans tak seene se laga ke rakhon ga❤️
A place to officially discuss our deewangi for our favorite TV shows, reliving ITV era of 2010-2020 and then some web content. For joining the...
This CC is for discussions regarding IB + idhar udhar ki baatein .. Rules: NO Discussion of any other Fandom allowed in This CC in regards to...
Rules for this CC This is a "NO ENTRY" CC. Meaning, don't dare set your foot in here because we WILL NOT allow anyone else into our CC anymore....
12