Originally posted by: Prit_007
Wah. Kya baat hai bahut acha mauka mila hai mujhe apni pehchan Pooja se karane ka aur Buaji ko ek baar aur khush karne ka.
Anmol aur Abir dono bua pe baras rahe the aur bua ne jo kiya wo to acha hua. Ab mai bua ko istemaal kar ke Pooja ko iss ghar se aur Anmol ki zindagi se hamesa ke liye nikal sakti hoo.
Par ek baat meri samajh nhi aa rahi thi Abir itna laal peela kyu ho raha. Anmol to ek bahut hi naram dil insaan hai uska gussa hona samajh me aata hai par ye Abir kyu overreact kar raha. Usse to ghar ke mamlo se koi lena dena nahi hota. Kahi aisa to nhi Abir ke man me Pooja ke liye kuch alag hi feelings hai. Ha lag to waisa hi raha par pehle ye confirm karna padega. Khair in baato ko chod pehle is mauke ka fayda utha Anamika. I smiled evily.
"Are aplog kya kar rahe hai ye? Jis bua ne khud ka ghar nahi basaya aplogo ki khatir. Ap logo ko maa ki tarah paal poshkar bada kiya us par aplog is tarah chilla rahe. Wah jisne apni khushiyan kurbaan kar di apke liye acha silade rahe aplog use. Mana buaji ne jo kiya galat kiya par ye koi tarika nhi unse baat karne ka samjhane ka. Buaji hamse badi hai ye kyu bhul rahe ap. Bado se is tarah ka bartaav. (Looked at Anmol) Anmol mujhe tumse ye ummid nhi thi" I said .
Then I turned towards Buaji and said "Par Buaji apne jo Pooja ke sath kiya wo bahut galat hai. Jo kuch v hua usme is bichari ki kya galati hai. Ise to apni baat rakhne ka ya apni marzi batane ka mauka tak nahi mila. Pehle se hi bichari is halat me hai aur ap uske sath aisa bartaav kar rahi. Ye bartaav shobha nhi deta apko."