Originally posted by: Defected-Piece
mujhe pata hai, ye bohot hard hai.. jo meat nahi khate on ko kya pata. lekin main ne khana band kar diya to bohot time tak feel hota tha ke koi kami hai.. u right bohot hard hai. lekin main ne kisi keyliye kar ke dikhaya ye bhe.
mere khane ki sab tareef karte hain, bus 1 masla hai, dikhne main acha nahi lagta lekin taste bohot acha hota hai, or 1 baat ager main ne khud khana ho to main or tarhan se banata hoon, os mei sabaz mirch kam se kam 12 se 15 add karta hoon or wo dosre nahi kha sakte,
or jab dosron keyliye banaon to zara kheyal rakhta hoon,
mujhe yaad 1 Indian uncle ne Indonesia mei mujh se kaha yaar kuch bana ke khilao,, main ne baat mani wo sab kha kar kehne lage maza bohot aya lekin bohot mirchi thi, lool
trust me fish eyes keyliye itni achi hai ke os se eyes theek bhe ho skti hain ager os ka soup piya jaye to :)
nahi fish ki smell nahi hoti, wo bus cooking karne wale pe hota hai, os ko salt laga kar rakha jaye kuch time to smell zara bhe nahi ati,
wese bhe fish ke bare main logon ko ghalat fehmi hai ke hum os ki eyes bhe kha jate hain, lool nooo, just meat, no eyes, no head,!
lekin main ne fish ko bhe bye bye kar diya kab ka,
It's like losing a good sleep for me lol. Woh isiliye kyunki ek habit change hoti toh sab naya lagta hain toh kami wali ehsaas hoga. Aapne itna kiya, yeh changes lana bohot mushkil hain, that's really admirable. Mere liye koi karta aise,meat khana band toh main uske charan sparsh karti aur bolti itna bhi mat karo aur jo pasand hain khalo,, baad main bhuk lagi toh kya karega bechara 😆
😲Itna spicy khana yaar,, aap ko adath hogi na itna spice khane ka. Agar aise dursa khalega toh bhag lega 😆 usko bass pani hi peeni padegi. Toh uss uncle ko mithai diya aapne ? At least enjoy kare acha hain...maine ek mirchi wala khana khaya ankhon se paani aane laga,, abhi jyda mirchi lagi toh kahi pe bhi nhi khati.
Shyad aap sahi bol rahe ho, maine jyda dekha bhi nhi fish ko, toh idea nhi. Bengalis bohot khate hain fish. Eyes kaise kha sakte hain yaar,, body se oil bhi nikala jaata haina, usmai se omega fatty acids hoti hain.




933