main apni tareef kar he nahi sakta, or na sunta hoon, is kabil he nahi hoon main, lekin bhai mera ye dil bohot achi cheez hai ye main khud keh raha hoon, is ko magic bhe ata hai, lool ye mujhe sab bata deta hai :P
or afsoos yehi meri kamzoori hai.
blv me bhai 5 saal ke bache ka dil itna weak bhe nahi hoga...
kisi ke sath meri dosti hoi hai, PM main baat karte karte kisi ne kaha ke main on ko kafi honest laga, or strng bhe, to main ne pucha kese? to jawab mila tum itne time se os dard ke seh rahe ho to is se zeyada or strong kon ho sakta hai?
on ki is baat pe mujhe sachi wala rona a geya.. baton wala nahi sachi wala a geya yaar. or main ne on ko reply main kaha ke jis ko strong bol rahi ho wo tumhari is baat par he ro para hai,
kis ko strong keh rahi ho? lol


9