meri zindagi to pata nahi kese chal rahi hai, siraf 1 jhakta lagega or main khatam,
kabhe bhe ho sakta ho, kya pata ye post bhe na kar sakon, lol
jab insaan ko dil ki beemari ho jaye to phir wo insaan kismat se he zinda rehta hai, balke zinda nahi rehta din he guzarta hai,
main na dil ka weak hoon, wese nahi,
hospital jata hoon to doc kehte hain ghar jane ki ijazat nahi hai tumhari halat theek nahi, or main on ki sunta he nahi main wahan nahi rehna chahta,
ager doc eysa bol rahe hain to meri life 1 tarhan se 1 risk pe chal rahi hai,
normal insaano ki life ka kuch pata nahi chalta, or mujhe to doc khud keh rahe hain ke tum theek nahi ho.
meri Mama week main 2 baar emergency jati thin, jab on ki death hoi na os se 6 months pehle ka yehi haal tha,
or meri avg har 10 din main 1 baar hai :)
2016 jan to sara he wese he guzra tha, tab naya naya dil toota tha na is liye,
lekin phir theek bhe hova tha,
tab ki avg 2 months ki thi
2017 main 1 month pe a gayi,
2018 main kam ho kar 15 se 20 din ho gayi,
or abhe 2019 main har 10 din main emergency jata hoon.
9