EPISODE 23
(NEXT MORNING)
(armaan tayyar mirror ke saamne tayyar ho rha hota hai ki tabhi riddhima ki ankh khulti hai vo bed par bethti hai aur armaan ko tayyar hota dekhkar usse kehti hai...)
Riddhima- itni subha subh uth gye...itni jaldi office jaoge...
Armaan- subha subha...?? 10 bajne waale hai madam...jaagiye neend se...
Riddhima- kya 10..??
Armaan- ha 10 ..vese aajkal tum kuch zyada nhi sone lagi ho..
Riddhima- ha pta nhi kya ho gya hai mujhe...me abhi tayyar ho jaati hu..
Armaan- araam se tayyar ho jao..tumhe kounsa aaj office jaana hai..kal se chali chalna...
Riddhima- ha yeh bhi thik hai...
Armaan- me aaj aate huye tumhari reports bhi collect kar lunga clinic se...
Riddhima- ha thik hai...
(armaan bye bolkar chala jaata hai...riddhima bhi uthkar tayyar hone chali jaati hai...)
OFFICE
(armaan office me betha hota hai ki tabhi ek peon enter hota hai aur armaan ko ek envelope dete huye kehta hai..)
Peon- sir yeh gautam sir ne diya tha kha tha aapko dedu...par kal me aaya nhi tha isliye nhi de paaya...
Armaan- kya hai yeh..?
Peon- sir yeh unka resignation letter hai..aur unhone yeh bhi kha hai..ki unka kuch samaan unki.drawer me hai..vo samaan vo kisi se mangva lenge..
Armaan- resignation letter?? Acha thi hai lao..tum jao..
(peon chala jaata hai..aur armaN resignation letter dekhkar padta hai...)
Armaan- gautam ne resign kyu kiya...jo bhi ho uski marzi..par vo project ki file jispar vo kaam kar rha tha? Uske samaan me hi hogi me check kar leta hu..
(armaan gautam ke cabin me jakar uski drawer kholta hi hai ki tabhi vha ek photframe rakha dekh vo shock ho jaata hai..usme gautam aur riddhima ki photo lagi hoti hai...gautam ridhzi ke cheeks par kiss karne wala hota...hai aur riddhima use haste huye door kar rhi hoti hai...yeh dekhkar armaan ko boht gussa ane lagta hai...vo photframe uthakar phekne waala hota hai..ki tabhi...armaan khud se kehta hai..
Armaan- cool down armaan yeh uska past tha...just a past...aur ab vo mujhse pyaar karti hai aur me usse...aur koi teesra kya kare I don't care...i trust you riddhima...and I love you..aaj me tumhe apne dil ki baat keh dunga.. Ab nhi rakh paunga apne andar.. Aur yeh baat...
(armaan gautam ki drawer band karkar jaane lagta hai..ki tabhi table se ek earing girta hai...vo earing uthakar dekhta hai aur kehta hai..)
Armaan- yeh earing to riddhima ka hai..? Gautam ke cabin me...stupid arrmaan malik yeh riddhima ka bhi to cabin hai..gir gya hoga...
(armaan earing lekar chala jaata hai...)
DR Batra's clinic
(armaan apni car park karkar...andar jaata hai..aur dr se kehta hai..)
Armaan- dr riddhima ki reports...?
Dr- mr malik..aap riddhima ki report rreceptionist se collect kar lijiye mujhe ek patient ko dekhna hai..thoda jaldi me hu...
Armaan- its ok...aap jaye me le lunga...
Dr- ok thnx...and congrats...
Armaan- kisliye..?
Dr.- aap smajh jayenge...
(yeh kehkar dr chali jaati hai armaan pehle thoda confuse hota hai phir vo receeption ke paas jaata hai..)
Armaan- excuse me..mrs riddhima malik ki reports...
Recreceptionist- just a second sir...
(receptionist Drawer se reports nikalkar armaan ko de deti hai..armaan reports bahar lekar aa jaata hai aur car me beth jaata hai..)
Armaan- riddhima ki reports check kar leta hu..
(armaan reports kholne lagta hai aur envelope se paper bahar nikalta hai aur dheere dheere use kholta hai aur phir jab vo padna start karta hai to uski ankhen badi ho jaati hai aur uske face par shocking smile aa jaati hai...vo shockingly smile ke saath kehne lagta hai)
Armaan- riddhi..ma..is..she is..preg..(isse pehle armaan apna word pura kar paata uski smile fade hone lagti hai..aur vo bas reports ko dekhta reh jaata hai...vo reports ko dekhkar kehta hai..)
Armaan- how can it be possible...no way..yeh reports galat yeh riddhima ki reports nhi hai..
(armaan reports lekar bhaagkar vapas andar clinic me jaata hai..tabhi use dr dikhti hai..vo unke paas jakar kehta hai..)
Armaan- dr.. dr...yeh galat reports hai..isme likha hai riddhima is...
Dr- ya she is pregnant...vese symptoms to mujhe usi din lag rhe the..but me sure nhi thi na..to mene aapko bataya nhi...congratulation mr malik..
(yeh kehkar dr chali jaati hai..armaan shock me vhi khada reh jaata hai...aur kehta hai..)
Armaan- its not possible..aisa ho hi nhi sakta hai..riddhima now way...kuch to galat hai..aisa kaise ho sakta hai...par agar...agar yeh sach hai...no way..me dr se baat karta hu..ho sakta reports change ho gyi ho...
(armaan bhaagkar dr ke cabin me jaata hai..dr use dekhkar kehti hai...)
Dr.- kya hua mr malik...?
Armaan- dr vo yeh reports riddhima ki nhi hai...
Dr- kya?? Lagta hai aap shock me ho..but I am 100% sure mr malik..yeh riddhima ki hi teports hai..aur riddhima sach me pregnant hai...
Armaan(shock me)- aisa kaise..
Dr- kya hua aap khush nhi hai...
(armaan dr ko shock me dekhta rehta hai aur bina kuch bole vha se chala jaata hai..aur dr confusingly use dekhti reh jaati hai..)
MALIK HOUSE
(riddhima apne room me hoti hai..aur armaan ki photo dekh rhi hoti hai...aur uski photo par haath lagate huye kehti hai..)
Riddhima- me kitni lucky hu armaan jo mujhe tum mile...aaj me sneha tumhe thank you kehna chahti hu...agar tumhari last wish yeh na hoti..to shayad Mujhe mera armaan mera pyaar kabhi na milta...mene socha bhi nhi tha armaan se shaadi ke baad me itni khush reh paogi...par aaj me aaj me itni khush hu...jitni shayad me kabhi na thi...bas ab armaan bhi mujhse kehde ki vo bhi mujhse kitna pyaar karta hai...to phir yeh khushiya aur bad jayegi...
(riddhima bethivi yeh keh hi rhi hoti hai...ki vo dekhti hai armaan hatho me ek paper liye bina kuch dekhe room me aakar bed par beth jaata hai...riddhima use dekhkar kehti hai..)
Riddhima- aaj to jaldi aa gye...reports le aye kya...kya hua..sab thik hai na...
(riddhima armaan ke paas jaakar khadi ho jaati hai..aur use kuch na bolte huye dekhkar kehti hai..)
Riddhima- kya hua hai armaan...bol kyu nhi rhe tum kuch.. sab thik hai na reports...me.. tum to mujhe kuch btaoge nhi me khud hi dekh leti hu..
(riddhima armaan se reports lekar dekhti hai..reports dekhte hi uski ankhen shock se badi ho jaati hai...aur ek smile uske face par aa jaati hai..vo smile aur shocking look ke saath kehti hai..)
Riddhima- I can't believe it...i am...Seriously I AM...pregnent...
(riddhima khush ho jaati hai...ki tabhi armaan bolta hai..)
Armaan- KISKA BACCHA HAI YEH..??
(yeh sunte hi riddhima ki smile fade hone lagti hai..aur vo darte huye kehti hai..)
Riddhima- yeh..yeh...yeh kaise sawaal kar rhe ho tum...obviously..i mean yeh hamara...
(isse pehle riddhima kuch bol laati armaan khada hokar chillata hai..)
Armaan- JHOOT NHI...ab sab sach sunna hai mujhe...sab kuch Sach sach btao...
(armaan ki eyes gusse se red ho rhi hoti hai...aur uski ankhon me ansoo bhi hote hai...riddhima ki ankhon me bhi ansoo aane lagte hai aur vo kehti hai..)
Riddhima- armaan tum aisa soch bhi kaise sakte ho...yeh sach me hamara baccha hai armaan...
Armaan- jhoot.. Jhoot par jhoot...jabse mili ho pta nhi kitne jhoot bol chuki ho...
Riddhima- me jhoot nhi bol rhi hu armaan..yeh sach hai plzz mera yakeen karo..
Armaan- Just shut up...tumpar yakeen karu...kaise karu ha ..jab me acchi tarha jaanta hu yeh baccha mera nhi hai...are kaise hoga yeh mera baccha jab hum dono ke beech kuch hua hi nhi..to kaise...
Riddhima- aisa mat kaho armaan...tumhe yaad nhi par hamare beech sab kuch hua tha...us raat armaan.. plzz believe me...yeh hamara hi baccha hai...
Armaan- pagal smajhti ho mujhe huh...PAGAL SMAJHTI HO...kya kaha mujhe yaad nhi...sab kuch ho jaata hai hamare beech aur mujhe kuch yaad nhi...mene tumhe kya socha tha riddhima aur tum kya nikli...
Riddhima(thoda shout karti hai..)- shut up armaan tum aisa kaise soch sakte ho...tumhe sach me lagta hai..me aisa kuch kar sakti hu..
Armaan-(aur zyada shout karkar kehta hai..)- HA LAGTA HAI MUJHE...
EPISODE 24
(riddhima armaan ke munh se yeh sunkar shock ho jaati hai use apne ears par believe nhi hota hai...vo stammer karte huye kehti hai)
Riddhima- tu..mhe..sa..ch..Sach... Me..ye..h La..gta.. Ha..i ki me..
Armaan- ha lagta hai..aur kyu na lage...(riddhima ke haath se reports cheente huye use dikhakar kehta hai..)in reports ko dekhne ke baad kyu na smajhu..me huh..khush nhi thi mere saath...ek mint us din bhi tunne divorce ko kha tha na...yaad hai mujhe.. Kaash me tab samjh jaata ...ki tum to sach me yhi chahti ho...ek baar kehkar to dekhti...de deta tumhe duvorce... tumhari khushi ke liye koi baat nhi tab nhi diya na ab kar deta hu me dunga tumhe divorce...
Riddhima(shout karti hai)- Tum aisa nhi kar sakte samjhe tum...( armaan ka collar pakadkar gusse me shout karti hai..)yeh baccha tumhara hi hai...believe me yeh tumhara baccha hai armaan..plzz armaan yakeen karo mera yeh tumhara hi..
(armaan uska haath hatakar piche kar deta hai aur kehta hai..)
Armaan- chuo mat mujhe tum...ghin aati hai mujhe tumse...aur tum yakeen ki baat karti ho...jo shaadi shuda hote huye bhi kisi aur ka baccha apne kok me paal rhi hai...(armaan paas jakar uske shoulders se tight pakadkar usse puchta hai..)kiska baccha hai yeh riddhima..me janna chahta hu kiske saath milkar tumne mujhe dhoka diya hai...btao mujhe..(phir use kuch yaad aata hai..aur vo use shoulder itni zor se chodta hai ko vo piche girte girte bachti hai...)ek mint me kyu tumse puch rha hu mujhe to pta hona hi chahiye...aur koun hi sakta hai..is bacche ka baap aur koi nhi GAUTAM HI HAI..HAINA..??
(riddhima ki ankhon se boht saare aansoo girne lagte hai..armaan us piche dhakka dete huye kehta hai)
Armaan- tabhi..tabhi me sochu ki vo achanak kyu chala gya...zarur use tumhare andar pal rhe is paap ke baare me pta chal gya hoga...tabhi to vo bhaag gya Aur tumne socha ab is paap ko tum mere hawaale kar dogi...right...but tum galat ho...me is bacche ko kabhi nhi apnaunga... Kyuki jitna pyaar me tumse karne laga tha na...shi suna jitna pyaar tumse karne laga tha na aaj usse khi zyada nafrat hai mujhe tumse.. Tumhare har aks se...i hate you riddhima..
(riddhima rote huye kehti hai..)
Riddhima- tum aisa nhi kar skate ho..tum mujhse nafrat nhi kar sakte ho..tum pyaar karte ho mujhse tum mujhse nafrat nhi kar sakte...sab galat ho rha hai armaan tum galat smajh rhe ho...mere aur gautam ke beech kuch nhi..
Armaan- ek aur jhoot ..kaash me pehle samjh jaata jab mene tumhe uski car me aate huye dekha aur us din karwachauth ke din bhi tum dono ek dusre ke gale lage the.. Par mene I trusted you riddhima... Aur tumne tumne mera trust Tod diya..
Riddhima- mene aisa kuch nhi kiya mene tumhara trust nhi toda hai...
Armaan- bilkul sharam nhi aati na tumhe..jhoot par jhoot yeh reports sab kuch sach keh rhi hai..ab me tumpe aur bharosa nhi kar sakta...me tumhe divorce deta hu... Ab ek pal bhi tumhari shakal nhi dekh sakta me...get out...
Riddhima- tum aisa nhi kar sakte armaan...tum tum pyaar karte ho mujhse...
Armaan- galat.. karta tha...ab nafrat karta hu tumse jo tumne kiya tum yhi deserve karti ho...ab tum kahi par mar bhi rhi hogi na tab bhi mujhe koi farq nhi padega kyuki tumne mera bharosa toda hai...sneha galat thi...tum ek achi ladki nhi ho...ab chali jao yha se... Aur kabhi mujhe apni shakal mat dikhana...get out..
Riddhima-n..hi...nhi jaungi me ek galatfemi hai me door kar dungi...me tumhe chodkar nhi jaungi...me nhi jaungi..
Armaan- mujhe tumhe dhakke dekar is ghar se bahar nikalne par majboor mat kro...
Riddhima- armaan I am pregnant.
Armaan- I DON'T CARE...
(armaan riddhima ka haath pakadkar use ghasita hua ghar se bahar nikalne lagta hai riddhima rote huye kehti rehti hai..)
Riddhima- armaan aisa mat karo...tum galat smajh rhe ho believe me armaan...
(riddhima rote huye chikhti rehti hai ananya bahar nikalkar aa jaati hai aur armaan ko aisa karte dekh vo armaan ke aage akar kehti hai..)
Ananya- yeh kya hai armaan kaise behave kar rhe ho tum riddhima ke saath...
Armaan- shi kar rha hu mom me..yeh ladki isi layak hai...
Ananya- kya..pagal ho gye ho...
Riddhima- mom aisa..
Armaan- me btata hu mom...she is pregnant..
Ananya- kya..? Yeh to khushi ki baat hai..tum aise..
Armaan- khushi kis baat ki mom...yeh baccha jab mera hai hi nhi...iske pet me us gautam ka baccha pal rha hai...iske ex boyfriend ka..she cheated me mom...dhoka diya hai isne mujhe...
Ananya- yeh kya bakwaas hai armaan..tum aisa soch bhi kaise sakte ho...riddhima aisa nhi kar sakti...
Armaan- kaash mom aap shi hoti...par yeh sach nhi hai..aaj mujhe iski asliyat pta chali hai...yeh mera baccha nhi hai mom...dhoka diya hai isne mujhe...
Riddhima- mom nhi..aisa..nhi h..
Ananya- yeh jhoot hai armaan...aur tum kaise keh sakte ho yeh baccha tumhara nhi hai...
Armaan- mom baccha to tab hota na..agar hum dono ke beech kuch. Sambandh hua hota...sach to yeh hai..me aur riddhima kabhi paas aye hi nhi... To yeh baccha kaise mom...
Ananya- yeh kya keh rhe ho tum dono..kabhi..
Armaan- ha mom..
(riddhima bas vha khadi roti rehti hai..aur kehti hai)
Riddhima- me kaise smajhau..aapko..aisa..
Armaan- just shut up...aur nikal jao is ghar se..
Ananya- tum..riddhima kyu...tum kaise itna gir sakti ho..mene tumhe apni beti mana aur tumne..kyu riddhima..
Armaan- mom aap isse kuch na bole ab.. ab iski hamari life me koi jagah nhi hai...
Riddhima- aisa mat bolo armaan please...
(armaan riddhima ka haath pakadkar use gate ke bahar khada kar deta riddhima bhaagkar vapas andar aane ki koshish karti hai par armaan gate band kar deta hai...riddhima door zor se knock karti rehti hai aur kehti rehti hai...)
Riddhima- armaan...mene kuch nhi kiya..believe me armaan plzzz Me mar jaungi tumhare bina armaaan...me mar jaungi...
(armaan sab ignore karkar chala jaata hai...ananya bhi rote huye apne room me chali jaati hai...riddhima bahar 1 ghante tak door knock karti rehti hai par jab koi bhi door nhi kholta hai...to vo ghar se bahar nikal jaati hai..aur ek lifeless body ki tarha road par chalne lagti hai..aur( background me yeh song play hota hai..)
Jaane kyun..har ek raah mein yeh
Nazarein meri..dhoondti hai tujhe
Jaane kyun..har ek raah mein yeh
Nazarein meri..dhoondti hai tujhe
(riddhima armaan aur uske kuch love moments yaad karti hai..)
Jo kuch bhi tha kabhi woh..
Hai aaj bhi yahan
Hum bhi khade hai yahin par
Bus ek tu hi hai kahan
Soniya..dil todna hi tha
Toh bata dil kyun lagaya
Soniya ek vaari aa bhi jaa
Soniya..
(riddhima armaan ka use ghar se nikalna yaad karti hai..)
Soniya..dil todna hi tha
Toh bata dil kyun lagaya
Soniya ek vaari aa bhi jaa
Soniya..
Sar pe milon dhoop hai
Chhav na hai kahin raah mein
Sar par milon dhoop hai
Chhav na hai kahin raah mein
Tapti ret pe phirte hai
Hum toh teri hi chaah mein
(armaan apne room me bed par betha hota hai..aur uski ankhon me bhi ansoo hote hai..use riddhima aur gautam ka ek saath.car se aana aur gale lagna uaad aa rha hota hai..)
Kyun mere tute khwaab ko
Khojon ne sahil pe laa diya
Ab toh khuda se hai dua
Mere pyaar ka karde haq adaa
Soniya..dil todna hi tha
Toh bata dil kyun lagaya
Soniya ek vaari aa bhi jaa
Soniya...
(riddhima road par akele chal rhi hoti hai..ki use armaan dikhta hai..jab vo use chune jaati hai to gayab ho jaata hai..aur riddhima ki ankhon se ansoo girne lagte hai..)
Ek kaanch ki haan gudiyaa thi
Pathhar ke dil se pyaar tha
Tuti woh iss tarah se ke
Haathon mein naa ikhtayar tha
Dil wahan..dhoondta hai
Jahan pe humne vaade liye
Sajde jahan pe the kiye
Main tanha hoon aaj bhi wahan
Soniya..dil todna hi tha
Toh bata dil kyun lagaya
Soniya ek vaari aa bhi jaa
Soniya..
Soniya..dil todhna hi tha
Toh bata dil kyun lagaya
Soniya ek vaari aa bhi jaa
Soniya..
Soniya..dil todhna hi tha
Toh bata dil kyun lagaya
Soniya ek vaari aa bhi jaa
Soniya...
EPISODE 25
GUPTA HOUSE
(riddhima gupta house me enter hoti hai shashank aur padma dining table par kisi baat par hams rhe hote hai ki padma ki nazar riddhima par padti hai vo riddhima ko bina slippers rotela hua chehra aur bikhre baalo me dekhkar shock ho jaati hai...vo bhaagkar riddhima ke paas jaati hai..shashnak use jaata hua dlehkar uski taraf dekhta hai..to riddhima ko dkehkar vo bhi shock ho jaata hai...vo bhi uske piche bhaagta hai)
Padma- ridzi..beta..yeh yeh kya hua..tu thik hai na..
Shashank- kya hua hai beta...btao..
Padma- btaana beta kya hua hai..mujhe dar lag rha hai..
(riddhima bina kuch bole padma ke gake lagkar zor se rone lagti hai ...)
Padma- riddhima bolna kya hua tu kyu aise..
Shashank- padma riddhima room ne lekar jao..ise kuch khilao..baad me baat hogi...
Padma- aap thik keh rhe ho..
(padma riddhima ko bithakar room me le jaati hai..par riddhima ke ansoo nhi rukte hai..)
ARMAAN'S ROOM
(ananya armaan ke room me enter hoti hai to dekhti hai ki room ki saari chize zameen. Par padi hoti hai chalne ki bhi jagah nhi hoti vo armaan ko dhoondti hai to dekhti hain armaan bed ke niche betha hota hai..vo mushkil se us tak jaati hai..to dekhti hai armaan ki ankhon se ansoo gir rh ehitebhai..aur vo chup chaap zakeen par betha rehta hai..ananya uske paas beth jaati hai..aur kehti hai..)
Ananya- armaan..
(apna naam sunte hi armaan ananya ko dekhta hai..aur uske ansoo girne lagte hai..vo ananya ko hug kar keta hai aur rote rote kehta hai..)
Armaan- mom usne kyu kiya mere saath aisa...me to usse ..me usse pyaar karne laga hu mom boht pyaar aur usne...kyu mom kyu...
Ananya- mujhe khud yakeen nhi aaa rha hai armaan ki riddhima aisa kuch kar sakti hai..aisa lag rha hai..yeh sab jhoot ho..
Armaan- me bhi yhi chahta hu mom ki yeh sab jhoot ho..par vo reports baar baar meri ankhon ke saamne aa jaati hai..vo maa banne waali hai mom..vo bhi kisi aur ke bacche ki...mom me isse pyaar karne laga hu..i love her mom..par jo usne kiya vo shi nhi tha...usne dhoka diya hai..mujhe ab me nafrat karta hu usse I hate her mom...i hate her..
(ananya bhi rote rote armaan ko kaskar hug kar leti hai..)
RIDDHIMA'S ROOM
(riddhima room me bethi hoti hai usne dress change jarli hoti hai..vo bas ek hi.chiz jo chup chaap dekhti rehti hai shashank aur padma uske room me khana lekar aate hai...par riddhima ko kuch kta nhi hota vo apne hi khyalo me ghum hoti hai..shashank yeh dkehkar padma se kehta hai..)
Shashank- padma tum jao...me yhi bahar khada hu..usse baat karo..
Padma- ji.shashank...
(padma khana lekar jaati hai..aur fake smile ke saath kehti hai..)
Padma- riddhima chalo ab jaldi khadi ho jao..ab hum khana khayenge...aaj pta hai tumhari favourite khana hai..chalo ab jaldi se finish karo..
(par riddhima ko kich sunayi nhi deta vo bas ek hi jagah dekhti rehti hai..padma shashank ko dekhti hai..shashnak use aur baat karne ka ishara karta hai...padma khana side me rakhkar riddhima ka haath pakad leti hai..haath pakadne se riddhima uski taraf dekhti hai..)
Padma- kya baat hai riddhima hua kya hai..tumhari armaan ki ladai hui hai kya...?
(armaan ka naam sunte hi riddhima ki ankh se ek ansoo niche gir jaata hai...padma use pochkar kehti hai..)
Padma- please beta btaa mujhe ..mujhse teri halat nhi dekhi jaati hai...
(riddhima padma ko dkehkar bina expression ke dekhkar kehti hai..)
Riddhima- I AM PREGNANT...
(yeh sunkar padma khush hokar kich react karne wali hoti hi hai ki riddhima phir bolti hai..)
Riddhima- armaan ko lagta hai yeh baccha uska nhi hai..
(yeh sunte hi padma aur shashank dono ki ankhen shock se badi ho jaati hai..shashank gusse me andar aata hai...aur kehta hai..)
Shashank- armaan ki himmat kaise huyi..aisa sochne ki bhi..
Riddhima- usne mujhe dhakke maarkat ghar se bahar nikal diya hai papa...aur vo mujhe divorce dena chahta hai...
(yeh sunkar shashank akar riddhima ko hug kar leta hai...aur riddhima rote rote kehti hai..)
Riddhima- papa me uss eboht pyaar karti hu...me uske bina kaise jiyungi..use samjhaye na papa...please..
Shashank- bas beta me usse abgi baat karunga...tum yhi ruko...
(shashank uthkar chala jaata hai..padma riddhima ko hug kar leti hai..)
MALIK HOUSE
(armaan vho betha hota hai air ananya bhi ko tabhi unhe kisi ke shout jarene ki awaaz aati hai..vo dono bahar aate hai...to dekhte hai shashank gusse me akar armaan ka collar pakadkar kehta hai..)
Shashank- tumhari himmat kaose hui armaan meri beti par itna ganda ilzaam lagaane ki...
(armaan bhi gusse me kehta hai..)
Armaan- sorry sir par aapki beti yhi deserve karti thi...
(vo khud ko chudkar kehta hai..)
Armaan- sir agar aap yha us ladki ki koi safaai dene aye hai to chale jaaye...
Shashank- patni hai vo tumhari...
Armaan- kuch dino me nhi rhegi..me divorce paper bhijwa dunga..uska aur mera ab koi rishta nhi...
Shashank- tum jyu kar rhe ho aisa armaan uske saath...vo tumhare bacche ki...
Armaan-mera baccha nhi hai vo...are hum dono ke beech kabhi kich hua hi nhi...to kaise...
Shashank- bas me nhi jaanta tunhare beech kich tha ya nhi..par itna zarur jaanta hu meri beti shi hai..Mujhe meri parvarish par bharosa hai...vo kabhi kuch galat nhi kar sakti...
Armaan- is baar aap galat hai kyuki aapki beti sar se pao thak galat hai...mene to use dhakke maarkar nikal diya hai..jo ki vo deserve karti thi...
Shashank- ej baar uski baat sunlo armaan vo gakat nhi ho sakti hai..
Armaan- aap yha se jaa sakte hai sir...
(shashank gusse me midkar jaane lagta hai..par phir rukta hai aur bina liche mude kehta hai..)
Shashank- meri beti kuch deserve jare na kare..par vo tum jaise husband deserve nhi karti thi..
(yeh kehkar shashank chala jaata hai..)
Gupta House
( riddhika aur padma shashank ke aane ka wait kar rha hote hai jaise hi shashank ghar me enter hota hai riddhima bhaagkar uske paas jaati hai..aur kehti hai..)
Riddhima- papa aap aa gye..armaan kya hua papa...armaan jha hai lene aaya haina vo mujue..sab thik hai na ab...papa aap kich bol kyu nhi rhe hai...kuch to boliye...
Shashank- beta...vo tere layak nhi hai...vo.. Use ab bhi yhi lagta hai ko yeh baccha...vo tujhe deserve nhi karta hai...
Riddhima- papa aisa mat kahe na...me boht pyaar karti hu isse...please me uske bina mar jaungi..papa please...aisa mat kahe..vo bhi to pyaar karta hai mujhse...
Shashank- nafrat bhari hai usoe dil me tumhare liye..are aisa insaan jo apni wife par bharosa na kar sake..vo kya tumse pyaar karega beta...
(riddhima shashank ko dekhti rehti hai...aur behosh ho jaati hai..padma shashank ise bedroom ne le jaate hai...)
AFTER 2 WEEKS
MALIK HOUSE
(riddhima ghar ke bahar pohchti hai aur ghar ko dekhte huye kehti hai...)
Riddhima- aaj me tumhe apni.sacchai ka yakeen dilakar rahungi armaan...
(riddhima gate me enterbhone hi wali hoti hai ki...guard akar use rok leta hai...aur kehta hai..)
Guard- sorry mama aap andar nhi jaa sakti...sir ne aapko andar aane ke liye saaf mana kiya hai..
Riddhima- dekhiye yeh mera ghar hai..aap mujhe nhi rok sakte hai..
Guard - sorry madam aap nhi jaa sakti hai...plzz jaiyye...
Riddhima- par..
(tabhi riddhima dekhti hai armaan apni car me office ke liye jaa rha hota hai...vi uski car ke piche bhaagti hai..armaan chillate huye par armaan use mirror me dekhkar car aur tez karkar nikal jaata hai...)
OFFICE
(armaan car se bahar nikalta hai...tabhi ek employe ek file lekar aa jaata hai...vo isse baate karne lagta hai..ki poche se riddhima ek auto me aata Hai vo utarkar armaan ko awaaz lagati hai..armaan riddhima ko dekhkar gussa me aa jaata hai..aur us employe ko bhej deta hai...aur jaldi kadam badakar riddhima ka haath pakadkar...use side me le jaata hai..aur gusse me kehta hai)
Armaan- kyu tamasha bana rhi ho...
Riddhima- Me tamasha bana rhi hu..? Tamasha to tum bna rhe ho kyu kar rhe ho aisa...me tumhare bina nhi jee sakti hu...
Armaan- tumhe to actress hona chahiye tha...kisi air ka baccha apne pet me rkahkar keh rhi ho..ki tum mujuse pyaar karti ho...ek mint gautam nhi aaya abtak...2 hafte uska intezaar kiya hoga tumne haina...? Par jab vo nhi aaya...tumne socha..vapas mere paas aa jao...e on baat btadu tumhe...vo alag baat hai ko tumne har kadam par mujhe dhoka diya hai mujhe bewakoof banaya hai..par me bewakoof nhi hu...me ab tumhari kisi baat me nhi aunga.. Kabhi nhi...ab tum jaa sakti ho..
Riddhima- armaan meri baat suno tumhe lagta haina hamare beech kabhi kuch nhi hua..par aisa nhi hai...us raat nash eme hum dono ek beech...
Armaam- bas karo riddhima apni galtiyaan chupaane ke liye aur kitne jhoot bologi ha..dekhi aaj ke baad mujhe apni shakal mat dikhana..aur agar mere ghar aur office ke bahar nazar bhi ayi na.. To tum soch bhi nhi skati me tumhara kya haal karunga.
(yeh ekhkara armaan jaane ke liye mud jaata hai apr riddhima ke kuch kehne par bina mide kahda hokar sunta hai..)
Riddhima- shi kha tumne nhi soch sakti thi me..ki tum aise hoge..smajh nhi aa rha.. Ki yeh asli armaan hai jo apni biwi ki izzat ko yuhi badnaam kar sakta hai...ya phir vo asli armaan tha jisne ek ladki ki jo tab use thik se jaanti bhi nhi thi...uski izzat ke loye gundo lada tha...tum meri shakal nhi dkehna.chahte na..thik hai aaj ke baad riddhima gupta tumhe kabhi apni shakal bhi nhi dikhayegi armaan malik divorce ke paper ghar par bhijwa dena...me sign kar dungi...yeh baat aur hai me tumse ab bhi pyaar karti hu...par phir bhi...GOOD BYE ARMAAN...
(yeh kehkar riddhima chali jaati hai aur armaan use jaate huye dekhta rehta hai..armaan ki ankh se ek ansoo girta hai..par vo jaldi.se use saaf kar leta hai..aair vha.se.chala jaata hai..aur dono apposite direction ne chale jaate hai...)
EPISODE 26
(riddhima gupta house me aati hai..aur apne room me jaakar bed par rone lagti hai..aur rote huye kehti hai..)
Riddhima- kyu armaan kyu nhi samjh paa rhe ho tum...kya in 3 mahino me sirf itna hi jaana hai tumne mujhe...tumhe sach me lagta hai ki tumhari riddhima aisa kuch kar sakti hai...plzz armaan me aisa din nhi dekhna chahti hu jis pal me tumse nafrat kar bethu...plzz vapas aa jao...vhi puraane armaan ban jao..
(idhar armaan office ke cabin me khada kehta hai..)
Armaan- ab vo purana armaan kabhi vapas nhi ayega...jisne tumse pyaar kiya tha yeh armaan tumse sirf aur sirf nafrat karta hai.
Riddhima- yeh mera armaan nhi hai mere armaan ke seene me ek dil hua karta tha..par tumhare andar to dil hi nhi hai..
Armaan- dil nhi hai ab mere paas ab mere seene me hai to sirf patthar jo kisi ke ansuo se pighla nhi karte hai...
Riddhima- kaise badal gye itna tum armaan...but still I CAN'T STOP LOVING YOU...
Armaan- tumhare us ek dhoke ne badal diya hai mujhe.. itna to mujhe sneha ki maut ne bhi nhi toda tha jitna tumhare ek dhoke ne toda hai...and now I HATE YOU...
AFTER 2 DAYS
GUPTA HOUSE
( bell bajti hai..riddhima door open karti hai..to postman use ek envolope deta hai vo envelope lekar door close karkar andar aati hai...aur vo envelope kholkar dekhti hai..aur divorce paper ko dekhkar shock ho jaati hai jisme pehle se hi armaan ke sign hote hai..vo shock me hi...sofe par beth jaati hai aur sar pakadleti hai...aur unbelievable tone me kehti hai..)
Riddhima- sign kar diye...kya kya...itna asaan tha yeh sab kuch tumhare liye...kya vo words sach me tumne soch samjhkar kahe the.. Kya sach me ab nafrat karte ho tum mujhse...itna hi bharosa tha kya mujhpar...
(riddhima ki ankhon se ansoo girne lagte hai...vo apne ansoo.saaf karkar kehti hai..)
Riddhima- thik hai armaan tum ek kagaz ke tukde se hamara rishta kahatam karna chahte hona..to thik hai..me sign kar dungi..aur ho jaayegi yeh shaadi khatam...
(riddhima pen uthakar paper par sign karne ke liye laati hai..par ek dum se uska haath ruk jaate hai..aur use unki shaadi yaad aati hai...par us paper par armaan ke sign dekhkar vo ankhen band karkar uspar sign kar deti hai..aur apne ansoo saaf karkar vo phone lagati hai armaan ke office me receptionist call attend karti hai..)
Riddhima- me riddhima bol rhi hu...armaan se kehna jo vo chahte the vo ho gya hai...kisi ko bhej kar papers mangva le...
Receptionist- ok mam me sir se bol dungi...
(riddhima yeh kehkar phone rakh deti hai aur kehti hai..)
Riddhima- ek kagaz ke tukde ne mujhpar se tumhara bharosa hi tod diya aur doosre ne to..hamara rishta hi tod diya...
AFTER 8 MONTHS
IN NIGHT
(armaan apni car me hota hai aur phone par baat kar rha hota hai...)
Armaan- mr saxena..i dont care yeh contract na hone se aapki company bikegi ya aap raste par aa jayenge..what I care is..isme mera faida hai...aur armaan malik sirf apne baare me sochta hai..
Saxena- please sir aisa mat kijiye..meri biwi hai bacche hai..aapka bhi to koi hoga na aapki biwi baccho ke khatir mujhe yeh contract dede...
Armaan- yeh contract to aapko kabhi nhi mil sakta...
Saxena- sir please aisa nat kijiye..yeh meri zindagi aur maut ka sawaal hai..
Armaan- to phir aap apni maut chun lijiye...kyuki armaan malik ka ek baar liya hua faisla koi nhi badal sakta hai...
(yeh kehkar armaan phone cut kar deta hai...tabhi driver car ek mandir ke paas rok deta hai...)
Armaan- kya hua...car kyu roki...
Driver- sir lagta hai kuch problem ho gyi hai..me abhi check karta hu...
Armaan- tum pehle nhi dekh.skate the mera time waste hoga ab yha.. idiot...
(driver utarkar car check karne lagta hai..armaan bhi utarkar car ke paas khada ho jaata hai..aur idhar doosri taraf uppar mandir me apne baby bump ke saath riddhika puja kar rhi hoti hai...ki tabhi uska phone ring hota hai..)
Riddhima- ha mumma boliye..
Padma- kya boliye riddhima itni raat ko kya zarurat thi mandir jaane ki... Ya mujhse puch lete me chali chalti...beta tumhari halat...
Riddhima- mumma...please itni tension mt le me thik hu...bas thodi der me ghar aa rhi hu...
Padma- sambhalkar aana...taxi vaxi to milegi nhi vha..aur itni raat ko to koi bhi nhi hoga mandir me aisa kro tum wait karo me bas adhe ghante me vha pohchti hu aur khabardaar jo mandir se bahar gyi to...
Riddhima- acha mumma aap aa jaaye me niche aapka wait karti hu...
(riddhima phone cut kar deti hai.. Aur sambhalkar niche aa jaati hai...use pyaas lagti hai... ki vo dekhti hai..thodi door koi apni car thik kar rha hota hai..vo kehti hai.)
Riddhima- inse paani maang leti hu...
(riddhima apna baby bump sambhalte huye car ki taraf badti hai...aur driver se kehti hai..armaan piche face karkar khada hota hai..)
Riddhima- suniye..thoda paani milega...
(armaan awaaz sunkar piche mudta hai...aur riddhima ko dekhkar shock reh jaata hai...riddhima bhi armaan ko dekhkar shock reh jaati...hai..armaan aur riddhima ko unke saare loving moments yaad aate hai...par phir armaan ki nazar uske baby bump par jaati hai..aur usko vo pregnancy report yaad aa jaati hai...vo gusse me driver se kehta hai..)
Armaan- koi zarurat nhi hai driver in jaise logo ko paani dene ki...
Driver- ji Sir...sir...chale car thik ho gyi...
Armaan- chalo..
(armaan car me bethne hi waala hota hai ki riddhima ko achanak se uske pet me pain hone lagta hai..driver bhaagkar use smabhalta hai...armaan paas aa rha hota hai..par vo driver ko jaata dekh ruk jaata hai..)
Driver- sir lagta hai..labour pain hai..delivery hogi inki...
(armaan akar use uthaane wala hota hai...ki use riddhima aur gautam ka saath milna yaad aa jaata hai...aur pregnancy report bhi..vo vapas piche ho jaata hai..par riddhima dard se cheekti rehti hai...armaan driver se kehta hai..)
Armaan- iski delivery hai..yeh iski problem hai...agar tumhe apni naukri pyaari hai to chodo ise yhi aur chalo..mujhe late jaana pasand nhi...
Driver- par sir yeh...
Armaan- agar naukri khona nhi.chahte ho to chalo..
(driver apni naukri ke dar se riddhima ko vhi sadak par lita deta hai..aur jakar driving seat par beth jaata hai..armaan mudkar jaane lagta hai par riddhima cheekte cheekte uska haath pakadleti hai..vo piche dekhta hai..riddhima boht mishkil se keh paati hai..)
Armaan- armaa...n..aah...armaan...PLEASE HELP ME...aaahh...HELP ME...
(armaan jaana chahta hai par vo khud ko control karkar uska haath jhatke se piche kar deta hai..aur car me beth jaata hai..aur vha se chala jaata hai..riddhima akeli mandir ke bahar padi chillati rehti hai...pure adhe ghante baad padma ki car aati hai..aur padma riddhima ko yu dekhkar darr jaati hai.
Vo jaldi se riddhima ko car me bithakar hospital le jaati hai...idhar armaan car me riddhima ke baare me soch rha hota hai aur uske dard ke baare me vo boht der tak kuch sochta hai..phir vo driver se kehta hai..)
Armaan- driver gaadi modo... Vapas mandir chalo ...
Driver- ji saab..
(armaan jaldi se vapas mandir ata hai aur riddhima ko na dekhkar shock ho jaata hai..aur use dhundne lagta hai..)
Armaan- I hope riddhima thik ho...
In Hospital
(padma bahar khadi hoti hai aur andar operation chal rha hota hai..thodi der baad andar so doctor nikalkar aate hai aur padma kehti hai..)
Padma- kya hua doctor riddhima thik hai na aur baccha..
Doctor- riddhima bilkul thik hai but...unka baccha mara hua paida hua hai..
(yeh sunkar padma shock ho jaati hai...aur uski ankhon me ansoo aa jaate hai..)
Padma- yeh kya keh rhi hai aap doctor aisa kaise...
Doctor- agar aap unhe thodi der pehle le aati to shayad aisa nhi hota par aapne boht der kardi I am sorry...
(yeh kehkar doctor chali jaati hai..aur padma sar pakadkar vhi beth jaati hai aur kehti hai..)
Padma- kis baat ki saza mil rhi hai meri bacchi ko..jo sirf dusre ke face par khushiya laati thi ek ek karkar uski saare khushiya kyu chin rhi hai..kyu...???
TO BE CONTINUED...
nikki :)
4