"Rafi sahab bahot bade gayak the, main ne kabhi khud ko un ke barabar nahin samjha, phir woh didi (Lata) ke sathi the zyda tar un ke sath hi gaya karte thay.
Mujhe un ke saath kuch geet ganay ka maoqa mila, yeh mera saobhagya hai, Rafi sahab ki badai (khoobi) yeh thi ke unhon ne kabhi didi par israar nahin kiya aor mere aor usha ke sath bhi bila-takalluf (without hesitation) gaate thay. Yeh zikr us waqt ka hai jab main itni mash'hoor nahin thi.
Ek baar Rafi sahab aor didi main kuch ikhtilaaf ho gaya, dono ne sath gana band kar diya. In dino mujhe Rafi sahab ke saath ganay ka bahot maoqa mila, mujhe aik taraf yeh khushi thi ke main Rafi sahab ke sath ga rhi thi aor doosri taraf yeh dukh tha k do baday gayak ek doosre se juda ho gaey.
O.P.Nayyer ji aisi music director hain jinhu ne hamesha hi mujhe maoqa diya aor un ki hidayat main mai ne bahot se ache do-gane (duet) Rafi sahab ke sath gaey. Film Naya Daor ke yeh geet 'Maang Ke Sath Tumhara' aor 'Saathi Haath Badhana' aaj bhi yaad hain.
Didi ke muqable main to main ne bahot hi kumgeet Rafi sahab ke saath gaey phir bhi kafi maoqa mujhe mila. Meri aor un ki mushtarka (common) films main Naya Daor, Kashmir Ki Kali, Tum Sa Nahin Dekha aor Mere Sanam shamil hain.
Rafi sahab ke sath gana aor un ki awaz ke sath awaz milana aasan nahin tha. Un ki range bahot zyada thi aor woh awaz ko jis tarah chahte the dhaal (mould) kar lete the. Un ke geet hamare liye sarmaya hain aor un ke saath gaey duets mere liye kisi anmol daolat se kum nahin, jin par main hamesha fakhar karoon gi."
2.Raj Kapoor
" Raat bhar meri aankhain bheegti raheen, sookhti raheen, zindagi apni dagar se hat kar chalti rehi. Mujhe yaqeen nahin aa raha tha ke Mohammad Rafi jaise play back singer bhi kabhi na khatam hone wale safar ke liye rawana ho jayen ge jin ki awaz main qos-e-qaza (rainbow) ka sa rang tha, un rangon ko jab bhi main apne fan (art) ki aankhon se dekhta hoon to waisa rang kisi bhi play back singer ki awaz main nahin hai, na tha aor na shayad ho ga.
Infiradiya (originality), Anokha pan aor pur-kashish (attractive) jaise alfaz sirf Mohammad Rafi jaise play back singer ke liye istemal kiya ja sakte hain, doosre is ke haqdar nahin hain.
Rafi bahot azeem (great) insaan the, go ke (although) Mukhesh ki awaz mujhe bahot suit karti thi, is ke bawajood 'Andaaz' wagaira main Rafi sahab ne mere liye jo ganay gaey hain un main Mukesh ki kami mehsoos nahin hoti. Yeh Rafi sahab ki khasiyat thi k woh jis ke liye play back dete the un ki awaz us par khap jati thi. Aise versatile fankar (artist) mushkil se hi milte hain."
3.Kishore Kumar
"Rafi sahab mahaan gayak thay, ganay main un ka aor mera saath to kum hi hua magar taalluqat (relations) bahot achhe thay. Dilchasp (interesting) baat yeh hai ke main khud gayak hoon magar mere liye bhi Rafi sahab ne play back diya tha film 'Rangoli' aor 'Shararat' main.
'Haathi Mere Sathi' ke sab mardana (male) geet main ne gay thay magar aakhri geet main itnay utaar chadhao thay k mere bas ka na tha. Main ne saaf keh diya ke yeh geet Rafi sahab ke ilawa aor koi nahin ga sakta. Yeh un ki badai thi k unhon ne faori taor par yeh geet gana qubool kar liya aor is baat ka bura nahin mana k pehle yeh geet unhain kyun nahin diya geya.
Jaisa k log normally samajhte hain, Rafi sahab se mera koi competition nahin tha, woh mujh se kahin achhe gulukaar (singer) thay, main to ek do tarah se gaata hoon woh sao tarah se gatay thay, isi liye woh amar rahain gay."
4.R.D.Burman:
"Mere pita ji (S.D.Burman) Rafi sahab ko bahot pasand kartay thay. Unhon ne 'Pyasa', 'Kala Bazar', 'Guide' aor 'Ishq Par Zor Nahin' aor baqi films main un ki awaz ka behtareen istemal (use) kiya tha.
Main pita ji ke saath kaam karta tha to Rafi sahab se milne ka maoqa milta rehta tha. 'Chhote Nawab' main mujhe azadana taor par music dene ka maoqa mila to main ne pehla geet Rafi sahab ki awaz main hi record karwaya. Jab main kamyaab hua to zamana badal chuka tha aor waqt ke lehaaz se doosre gayekon ko lena padta tha is liye main Rafi sahab ki awaz se zyada fayda na utha saka. Is ka mujhe hamesha afsos rehe ga.
Rafi sahab bade masoom thay. Saadgi un main koot koot kar bhari hui thi. Un main bachon jaisi inkaar wali baat bhi thi. Bade bholpan (childish) se inkaar ka lafz apne honton se nikaaltay - abhi haal hi main inteqaal se qabal (just before death) meri ek nai film main un ki awaz meri awaz k saath record ki gayi. Us geet ke bol thay 'yamma yamma', jab main ne kaha (dartay dartay) 'Rafi sahab is geet main mai bhi apni awaz aap ki awaz se milaoon ga' to kehne lagay 'aray nahin, main kaisay gaa sakoon ga'. Yeh un ki aadat thi although unho ne woh geet gay. Jab bhi geet ki recording hoti woh bhindi bazar se halwa latay aor hum log ek saath baith kar khatay thay.
Woh halwa woh pyar ab ek yaad ban kar reh gayi. Woh halwa ab kadwa karaila ban kar reh gaya hai - kya kiya jay??? "
So whaddaya think? 😃
comment:
p_commentcount