Geet: Maan sirf mere Maan [Maan only my Maan]
Meera had a victorious smile on her face
Meera : Kiske Maan? [Whose Maan?]
Geet: Mere Maan Geet k Maan sirf Geet k [My Maan, Geet's Maan only mine]
Meera: Par wo toh aapko maindaki bulathe haina aur aap unhe girgit toh iska matlab hua k wo Maindaki k Girdit hai aur aap Girdit ki Maindaki [But he addresses u as frog and u address him as chameleon so that means Chameleon belongs to frog and frog belongs to Chameleon]
Geet opens her eyes instantly
Geet: Ye kya bakwaas kar rahi hai duniya mein ladko ki kami hai kya jo main uss Maan ko apna humsafar banau [What nonsense is this there is no shortage of men in this world that I will lose my heart to Maan]
Meera: Di ye toh cheating hai aapne khud abhi accept kiya hai k aap Maan bhai mein apna humsafar dekthi hai aur ab toh main bhi yakeen se keh sakthi hoon k aap dono ek dusare ko chahthe ho [Di this is cheating u yourself accepted that u can see all the qualities of your life partner in Maan and now I am also sure that both of u are made for each other]
Geet: Yahi bakwaas subah se sun sunkar mere kaan pakh chuke hai ab agar tune dubara ye jhothi baat ko sach sabit karne ki koshish kina toh mujhse bura koi nahi hoga [These words are haunting me from morning and I am fed up of these silly talks and now if u try to convert this false statement into a true one then it won't be good for u]
Meera: Di jhooth toh aap ab bol rahe ho zara aap hi sochiye agar aapke dil mein Maan bhai k liye jazbat nahi hothe toh aapne unka naam liya hi kyun? [Di don't try to hide the truth okay tell me if you do not have any feelings for Maan then why did u take his name?]
Geet: Wo iss liye kyunki mere dimag mein ye baat bait chukka hai subah se yahi sun rahi hoon k Geet aur Maan ek dusare k liye bane hai aur issi wajah se maine galti se Maan ka naam le liya [I took his name by mistake as from morning onwards I am constantly hearing that Maan and Geet are made for each other ]
Meera: Par Di [but Di]
Geet: Par war kuch nahi khana nikal mujhe bhook lagi hai main haath dhokar aathi hoon [ I don't want to hear anything I am hungry I will wash my hands till then u arrange the food]
Geet goes to wash her hands
Meera: Mano na mano Di pyar toh aapko ho hi chukka hai aur jald hi aapko iss baat ka ehsaas bhi ho jaayega [It's just a matter of time as you have already fallen in love very soon u will realize your feelings as well]
Geet: (thinking) Maine Maan ka naam kyun liya kahi ye sach toh nahi'. Geet aisi baat sochna bhi mat agar Maan ko pata chal gaya toh wo tujhe aur bhi chedne lagega [Why did I take Maan's name is this the truth' no Geet don't even think about this if Maan comes to know this then his teasing sessions will go on increasing]
Geet: Itna yaad rakh k tu APNE girgit se kabhi bhi pyar nahi kar sakthi [Just remember one thing that you can never fall in love with YOUR chameleon]
Meanwhile,
Dev: Maan bhai aap Geet k ghar se aa rahe ho? [Maan did to go to Geet's place?]
Maan: Haan issmein itna chaukne ki kya baat hai kya main APNI maindaki k ghar nahi jaa saktha [Yes but why are u surprised no one can stop me from visiting MY frog's house]
Dev: Maindaki? [Frog?]
Maan: Haan wo aaj se main Geet ko maindaki kehkar bulaunga aur wo mujhe Girgit [Yes from today onwards Geet is my frog and I am her Chameleon]
Dev: (thinking) Najaane kaise kaise naam dhundthe rehthe hai [What all names do they keep on searching for each other]
Maan: Kya soch rahe ho tum? [What are you thinking?]
Dev: Main soch raha tha k Maindaki k ghar aap kya karne gaye the? [I was thinking why did u go to Frog's house?]
Maan: Khabardaar Geet ko Maindaki k naam se bulane ka haq sirf mera hai samjhe tum? Wo sirf meri Maindaki hai sirf meri [Be watchful no one can call Geet by that name other than me did u get it? She is only my frog only mine]
Dev: (thinking) Yahi sahi waqt hai Maan bhai se ye jaanne ka k wo Geet k baare mein kya mehsoos karte hai [This is the right time to ask Bro about his feelings towards Geet]
Maan: Haan wo darasal Geet ko chot lag gayi thi toh main usse ghar tak chodne gaya tha [Geet was injured so I dropped her to her house]
Dev: Geet ko chot kaise lagi? [How was she injured?]
Maan: Geet k haalat k zimeedar ye gaonwale hai subah se mujhe aur Geet ko ek hi baat kahe jaa rahe hai k ek din hum dono mein pyar ho jaayega ussi chakkar mein meri Maindaki mujhse dur jaane ki koshish kar rahi thi tabhi uske pair mein moch aa gayi aur mujhe usse apne baho mein uthakar usse ghar tak chodna pada [These villagers are responsible for Geet's condition everyone is troubling and trying to convince us that we are made for each other and just because of this MY frog was trying to stay away from me and in the process she sprained her ankle and I had to carry her in my arms]
Dev: (shocked) Aapne Geet ko apne baho mein utaya? [You carried Geet in your arms?]
Maan: Haan ab Geet ko main nahi utayega toh kaun utayega? [Yes if I wouldn't have carried her then who would have done it?]
Dev: Koi aur bhi toh Geet ko utakar le jaa saktha tha na aapko takleef karne ki kya zarurat thi? [Anyone else could have helped what was the need for you to take this trouble?]
Maan: (angry) Geet ko koi haath lagakar toh dhikaye aise injections lagayunga k wo bandha dubara pani ka glass uthane k laayak nahi rahega. Maindaki ko sirf aur sirf Girgit hi uthasaktha hai [I will torture that person with injections whoever dares to touch Geet and I will make sure that the person won't be able to pick up a glass of water throughout his life forget about carrying a girl in his arms. Chameleon has the only right to scoop his frog in his arms]
Dev: Waise bhai aapko nahi lagta k aapko shayad geet se sachmuch mein pyar ho gaya hai? [Don't u think that u indeed love Geet?]
Maan: Ab tum shuru mat ho jaana subah se ye baat sunkar dimag ne kaam karna bannd kar diya hai [Pls don't start it again my brain has stopped working listening to these silly talks]
Dev: Achha ye toh bataiye k aapko kaisi jeewansangini ki talash hai kum se kum mujhe apni honewali bhabhi mein kya gun hone chahiye ye pata toh ho [ok tell me what type of qualities do you want to see in your life partner?]
Maan: Main ye chahtha hoon k koi aisi ladki ho jo Maan SINGH Khurana ko nahi balki Maan se pyar kare [I want a girl who loves Maan and not Maan SINGH Khurana]
Dev: Aaj achanak aapko ye naam kaise yaad aa gaya bhai? [How did u remember this name after so many days?]
Maan: Iss naam se jude hue raaz se toh tum bekhabar nahi ho Dev agar ye naam nahi hotha toh main yaha nahi hotha [You are very well aware the mystery that is associated with this name nothing is hidden from you. It is just because of this name that today I am here otherwise']
Dev: Jaanta hoon khair ab purani baato ko chodkar muje mere sawal ka jawab dijiye [I know but let us forget the past and answer my question first]
Maan: Jaante ho Dev Jeewansangini kise kehthe hai? [Do u know whom do we refer as a life partner?]
Dev: Kise bhai? [Who?]
Maan: Ye aapke jeewan ka wo hissa hothi hai jo har utar chadav mein aapke har haar jeet mein aapka saath dethi hai [She is the one who will support you in every phase of your life she will stand by your side not only in your victory but also in your defeat]
Maan: Mujhe ek aisi ladki ki talaash hai jiska dil sundar ho mujhe uske chehre ki khoobsurathi se koi lena dena nahi hai bus uska mann sundar hona chahiye [I want a girl who has a beautiful heart I am least interested in her physical features]
Maan: Mujhmein toh koi bhi khubiyaan nahi hai par mujhe ek aisi ladki chahiye jo agar mere saath bhi khadi ho jaaye toh meri saari khamiyaan khubiyon mein badal jaaye [I don't have any good qualities but when she stands by my side then her effect should be such that my weakness automatically becomes my strength ]
Maan: Jab main thak jau toh uski ek nazar mujhmein ek nayi taakat bhar de [When I am tired then her one love filled look should remove my exhaustion]
Maan: Wo ek aam ladki ho par phir bhi uski baate sabse khaas ho [She should be simple yet her talks should be extraordinary]
Maan: Uske pyar mein koi chal ya kapat na ho chand mein daag ho saktha hai par uski parchayi pavitrata ka aayina ho [Her love should be flawless her shadow should be a mirror of purity]
Maan: Wo mujhse pyar kare ya nafrat isse mujhe farak nahi padtha par uska saath mujhe sukoon de aur mera saath usse pyar ki khoobsurati ka ehsaas dilaye aisa hona chahiye humara rishta [It doesn't matter if she hates me or loves me but our relationship should be such that her mere presence would give me peace and my presence should make her realize the true beauty of love]
Maan: Ek aisi ladki jisse main apne dil ki har ek baat bata saku [A girl with whom I can share my deepest secrets]
Maan: Mujhe ek aise jeewansathi ki talash hai jo mere dukh ko aadha aur khushi ko dugna kar sakhe [I need someone who will reduce my pains and amplify my happiness]
Maan: Ek aisi ladki jo mujhe mujhse bhi zyada behtar pehchanthi ho aur main jaisa bhi hoon mujhe bina koi badlav k apni zindagi mein shamil karne k liye taiyaar ho [A girl who knows me better than myself and who would accept me the way I am in her life]
Maan: Jo mujhse mohabbat kare aur jispar sirf mera haq ho sirf mera [Who would love me and who would belong only to me]
Dev: Bhai aap ek minute k liye apni aakhein bannd kijiye aur bus mere sawalo ka jawab dijiye [Bro pls close your eyes for a minute and answer some of my questions]
Maan: Par tu kya puchna chahtha hai main tujhe abhi jawab de detha hoon issmein aakein bannd karne ki kya zarurat hai? [I will give u all your answers what is the need for closing my eyes]
Dev: Maan bhai nahi inn sawalo k jawab aapko aakhein bannd karke hi deni hongi [No I will get the correct answers only if u close your eyes]
Maan: Thik hai [ok]
Maan closes his eyes
Dev: Kya aapko koi aisi ladki nazar aata hai jiska dil uske chehre se bhi zyada sundar ho? [Can u see a girl whose heart is more beautiful than her face?]
Maan could see a pair of angelic eyes in front of him
A weird and wonderful magic of innocence and beauty was getting reflected in those eyes
Dev: Ek aisi ladki jo aapke saath khadi ho jaaye toh aapki saari khamiyan khubiyon mein badal sakthi hai [A girl who has the potential to convert your shortcomings into your strength]
Maan could hear some voice "Kitni pyari Jodi hai inn dono ki" [They are such an adorable couple]
Dev: Wo aam ho par phir bhi khaas ho [She is simple yet extraordinary]
Maan could see someone walking with a very fast speed
Dev: Jo pavitrata ka aaiyna ho [She is a mirror of purity]
Maan could see a beautiful smile
Dev: Uska saath aapko sukoon de [Her mere presence gives u peace]
Maan recollected the moment when he had carried Geet in his arms, yes he had to admit it was the most peaceful moment of his life
Dev: Jisse aap apne dil ki har ek baat share kar sako [U can share every deep secret of your life with her]
Maan remembered their silly fights
Dev: Jispar sirf aapka haq ho [A girl who belongs only to you]
Maan could hear his own voice "Tum sirf meri maindaki ho"
Dev: Kya aapko koi aisa nazar aaya jo Maan se pyar kare aur Maan SINGH Khurana se nahi? [Did u see anyone who would love Maan and not Maan SINGH Khurana?]
Maan: Duniya mein aisi sirf ek ladki hai [There is only one girl in this entire world]
Dev: Kaun? [Who?]
Maan: Maan ki Geet haan meri Geet sirf meri sirf Maan ki [Maan's Geet yes my Geet only mine]
PRECAP: " Main toh ainvayi ainvayi luth gaya" 😉😉😉
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
ALL THOSE WHO WANT A PM ADD ME TO YOUR BUDDY LIST
Love-Piya
PART 6: Page 72
63