Loving the concept of this show...bahut dino ke baad mujhe koi show ki nuances bhi touch kar rahi hai...socha ki share karu...
Daily shows bahut hai..aur sab mein bahut characters hote hai..par jyadatar sabki characterisation thodi flat ho jati hai...aur kahani bhi ek predictable tarike se aage badhti hai..complain bhi nahi kar sakte kyuki shows zarurat se jyada khinch jate hai..upar se trp ka pressure bhi hota hai...par quality ko suffer karana iska excuse nahi hai...
anyways mera main topic ye nahi hai...Jee le zara ka ek bahut chota sa scene tha jo mujhe bahut touch kiya...
Sanchi ki sister jab usse milne uske factory jati hai...tab wo upset rehti hai..and anjane me bol deti hai ki "supervisor unmarried hai isliye usko frustration hai aur wo ye hum young gals par utarti hai" uss waqt Sanchi ke chehre par ek expression aa ke chala gaya tha..hurt ka..afsos ka...apni lachari ka..wo kuch seconds ka expression itna heart touching hai...kudos to sangeeta...aise khoobsurat real emotions bahut kam show me dekhne ko milte hai..
Wo ek lamha..bahut tha Sanchi ke dard jhalka dene ke liye...
hope show expectations ko fulfil kare... 👏
Ek lamhe mein simat aaya hai sadiyo ka safar..
Zindagi tez bahut tez chali ho jese.. 😊
please share your views...
comment:
p_commentcount